Walaikum Assalaam
Jahan tak main nay observe kia hay aur main baat apnay ghar ki kar raha hoon, apni behnoon ki.... woh bhi aaj kal kay dour ki hi hain aur ghar main MASHALLAH paRhayi kay saath saath silayee, cooking waghaira main bhi bohat kuch seekha aur har gharayloo kaam bakhoobhi nibhaati hay.
Interest ki baat hoti hay aur zimaydaari ki, laRkiyan aksar ghar main gharayloo kaam apni waalida ka haath bataanay kay liye karti hain aur yehi wajah hay kay woh MAA kay sab say ziyada qareeb lay kar zindagi ka tajurba haasil karti hain, rahi baat baatain baanany ki tou woh har koi bana laita hay kay mujhay yeh acha nahin lagta, woh acha nahin lagta, aur bohat si aisi walida bhi hain kay woh aksar apni beetiyon ko baRay nazoon say rakhti hain jinn ko woh haqdaar bhi hain.
Aisi laRkiyan jab sasuraal jaati hain tou apnay shohar aur in-laws ki khushi kay liye woh safayi suthrayi, cooking waghaira sab seekh jaati hain, kiyonki un per iss kaam ki ZIMAYDAARI daali jaati hay, isi liye issay itna serious nahin laina chayeh.
In short jab zimaydaari aati hay tou har kaam ki ahmiyat ka ehsaas hojaata hay aur waqt kay saath saath har kaam insaan seeekh laita hay.
Originally posted by Aanchal
View Post
Leave a comment: