Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Pegham Elections: Revolutionary Ideas!
Collapse
X
-
Re: Pegham Elections: Revolutionary Ideas!
Originally posted by Z. View PostTum ney dekha ho ga k ham baghair sochey samjhey baatein kertey rehtey hein. Iss liye ham lafzoN ki ehmiyat un ki qadr bhool gaye hein. Ham bhool jatey hein k jo kuch ham kehtey hein, kertey hein, uss ka T'aluk samney waley bandey sey nahi hamari apni zaat sey hai.Kahi janey wali baatein aur kiye janey waley kaamoN ka Zaat k sath ta'luq honey k liye bohot saari misaalein di ja sakti hein lekin mey sirf aik baat kahun gi: Aap dosroN ki izzat iss liye nahi kertey hein k wo respectable hai, Aap dosroN ki izzat iss liye kertey hein k Aap respectful hain. Ye jo lafz "Aap" hai ye bohot ziada ehmiyat ka hamil hai. iss ki ehmiyat ka ehssass jiss din hamein ho gaya uss din iss dunya mey Peace :P aa jana hai!
me ne talash me perha tha, logo'n ki zabano pe InshaAllah, Bismillah....itna charh gaya hota he k unhe pata bhi nahi hota wo use kaha kur rahe he.......
aaho amul aur bato'n ko apus me synchronize hona chaie...jo personally mujhe lagta he k mera nahi ho pa raha kuch arsae se......
aur din me thora time nikalna...matlab babao'n ki tarah muraqba kurna hua na:donno:
waise thanks...
Inqilab:oldie:
btw app "Peace :oldie:" likhna bhol gae
Comment
-
Re: Pegham Elections: Revolutionary Ideas!
Originally posted by Z. View Postthank you aanchal, bohot acha revolutionary song tha
Comment
-
-
Re: Pegham Elections: Revolutionary Ideas!
Salaam.
Ager iss forum mein koi aisa thread ho jo moasharay ki masail per mabni ho, ager uss ka solution koi poster bata deta ha, app k khayal mein uss ka asar kahan tak ho sakta, kiya uss say moashra badla ja sakta, kiya aisa tou nahi ye solution isi forum tak mahdood ha. Ager mehdood ha tou hamein aisa kiya kerna chahiye jo ham aik awaz ban jaein, aur wo itni onchi ho k pura moashara awaz hunay uss ki.
Suggestion will be highly appreciated
Comment
-
Re: Pegham Elections: Revolutionary Ideas!
Originally posted by Max_ View PostSalaam.
Ager iss forum mein koi aisa thread ho jo moasharay ki masail per mabni ho, ager uss ka solution koi poster bata deta ha, app k khayal mein uss ka asar kahan tak ho sakta, kiya uss say moashra badla ja sakta, kiya aisa tou nahi ye solution isi forum tak mahdood ha. Ager mehdood ha tou hamein aisa kiya kerna chahiye jo ham aik awaz ban jaein, aur wo itni onchi ho k pura moashara awaz hunay uss ki.
Suggestion will be highly appreciated
Asar kahan tak ho sakta hai? ye asar leyney walon per munhasir hai. Ham yahan kisi bhi social issue ka hal btatey hein tau wo hamari soch hoti hai. So perhney waley tak hamari soch hi pohanchti hai. Agar perhney waley ko wo soch practical lagey tau wo ya tau uss ko individually implement karey ga ya phir ho sakta hai apney friends k sath uss soch soch badal dein tau muashrey ney khud ba khud badalna jana hai." Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
Comment