Re: Pegham Elections: Revolutionary Ideas!
:thmbup:
Originally posted by Z.
View Post
Iss sey pehley k ye elections khatam ho jayein , mey aap logon k sath kuch apni colourful sochein share kerna chahuN gi :oldie:
Insaan: Ham sab ka ta'luq jandaroN ki aik aeysi category sey hota hai jiss k individuals insaan kehlatey hien, jab ye insaan aik acha insaan banta hai tab Ashraful Makhluqaat kehlata hai. Insaan ka ashraful makhluqat bann-ney tak ka amal poora aik revolutionary amal hai. Ye revolution insaan ki soch sey shuru hota hai. Jo aap sochtey hein, wo aap kehtey hein, jo aap kehtey hein wo aap kertey hein, jo aap kertey hein wo aap ki adat ban jata hai aur aap ki adateiN aap ki shaksiyat.
Soch: Jaisey k iss saarey process mey soch sab sey ziada ehmiyat ki hamil hai iss liye ham thori deyr iss lafz soch pe concentrate kertey hein. Aap apni ankhein band karein aur apney bachpan mey chaley jayein, apney ibtedai seekhney ki zindagi mey, aap k pass aik list aa jaye gi un tamaam cheeezon ki jo k aik achey bachey mey hoti hain/ honi chahiyein. ye list do logon ki baaton sey banti hai: Aap k parents aur aap k teachers. waqt k sath sath aap ye list edit kertey rehtey hein, aap ney dekhna hai k ab iss list mey kya kya baatein maujood hein.
Tajziya: Insaan kitabon k sath sath jeetey jaagtey insano sey bhi seekhta hai. Jin logoN ko aap jantey hein un sey aap baat/debate/discussions sey seekh saktey hein. Jin logon ko aap nahi jantey hein un sey kaisey seekha jaye? Aeysey logon ko aap observe kerna shuru ker dein, ye dekhein k un ka apney ird gird k mahaul k sath kaisa rawiya/bartao hai. Insaano ki dunya sey bahar niklein tau aap qudrat ki doosri nishaniyon sey bhi kafi kuch seekh saktey hein jaisey parindey, subha sawerey un ki awaz kano ko kitni bhali lagti hai, ye apney din ka aghaz Allah T'ala ki hamd-o-sana sey shuru kertey hein aur shayad yahi ibadat un k ander itni energy, lagan aur talab paida ker deyti hai k wo apna sara din justuju mey guzaar detey hien.
Dil: sochney ka link dil sey hai, ye aap ka dil aap ko bata sakta hai k aya aap sahih soch rahey hein ya ghalat? Yad rahey, agar aap ki soch ghalat ho gi, tau aap ki baat bhi ghalat ho gi, aap ka amal ghalat ho ga, adateiN ghalat hon gi aur in sab ka asar aap ki shaksiyat pe ho ga. Iss liye iss dil ki hifazat kerna behad zaroori hai.
Akhri baat: over to you! Aap ney ye dekhna hai k aap apni soch sey aik behtareen insaan kaisey ban saktey hein.

Comment