Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ROSHNI Party Introduction

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ROSHNI Party Introduction

    Walaikum Assalaam Aanchal

    Bohat hi acha idea hay hope it works well.

    Main bhi apni aik PARTY bananana chahta hoon aur meri party ka Naam hoga ROSHNI aur uss ka symbolic sign hoga AAG!!!!

    Ab Jiss Kay jee main aayay wohi payay ROSHNI
    Hum Nay Tou DIL Jala Kay Sar-e-Aam Rakh Diya
    Humari party kay MANSHOOR darja zail hay....!

    1. Sab say pehlay har umar kay logon ko TALEEM ki ROSHNI say arahasta karna hay.
    2. Logon kay dilooon main Islam ki ROSHNI paida karni hay.
    3. Maa, Baap, Buzargoon, teachers aur apni umar say baRoon say Mohabbat ki ROSHNI aur bachoon say pyar ki ROSHNI
    4. Logon ki mushkilaat ko sunn kar unki zindagiyon main apnay ilm, mohabbat aur lagan say khush-haali ki ROSHNI paida karni hay.
    5. Logoon ko hunar kay fun say jinn main IT related information hain, web designing, software hardware information, software installations, likhnay kay hunar, silayi, gardening, fashion designing, say ROSHNAS karana.
    6. Logon main Siyasi nazaryoon ko ujaagar karna aur unhain HAQ aur BAATIL main farq say ROSHNAAS karwaana.
    7. Sachayi ki talqeen aur Jhot kay nuqsaanaat say ROSHNAAS karwaana

    Mehaz yeh kay har woh kaam jiss say aap ka apna ZAMEER mutmayin hoo aur jiss say aap kay dil aur dimagh ROSHAN hojayain uss say aap sab ki zindagi main ROSHNI paida karna!!!!


    Tou aagay baRhyeh aur iss kar-e-khair main baRh chaR kar hissa lain, Election main kamyaabi kay baad main apni party kay mukhtalif Ministers ka elaaan karoonga!!!

    May ALLAH SWT LIGHT and GUIDE our ways.

    Khush rahyeh

    Fi Amaan ALLAH
    sigpic

  • #2
    re: ROSHNI Party Introduction

    Very Nice Manshoor !!!!!!!!!!:bday7:!

    Comment


    • #3
      re: ROSHNI Party Introduction

      best of luck :d1:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        re: ROSHNI Party Introduction

        :salam:nice buddy my vote 4r ur party :thmbup:

        Comment


        • #5
          re: ROSHNI Party Introduction

          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #6
            re: ROSHNI Party Introduction

            Originally posted by Aanchal View Post
            best of luck :d1:
            kia ada kia jalway tere paro 372-haha
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              re: ROSHNI Party Introduction

              wish you all the best ''thefire'' bhaiya
              :thmbup:

              Comment


              • #8
                re: ROSHNI Party Introduction

                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                kia ada kia jalway tere paro 372-haha
                the fire ka thread kharab kar rehay hoo :think: wo pehlay hi election larna nahi chahtay 372-haha
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  re: ROSHNI Party Introduction

                  Election tou main LaRoon ga,.... woh tou meri aik POLITICAL MOVE thi taakay mujhay SYMPATHY VOTES mil sakain....

                  Yeh siyasat kay khel itnay asaani say samajh aanay waalay nahin 372-haha


                  Originally posted by Aanchal View Post
                  the fire ka thread kharab kar rehay hoo :think: wo pehlay hi election larna nahi chahtay 372-haha
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    re: ROSHNI Party Introduction

                    THANK YOU all for your support, togehter we can make this place a lovely place of generating our knowledge as well as enlighting our life with the LIGHT of EDUCATION!!!

                    Issi tarah apna bharpoor saath dijyey, khush rahyeh
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      re: ROSHNI Party Introduction

                      Assalamo allaikum aur khush rahiyey...

                      Miyan main ney aap ki party ka manshoor bghaur parha hai aur socha hai. Beshak hamarey haan in baton ki ROSHNI phailaney ki zaroorat hai agar wapda walon ney bijli inayat ki to :khi:

                      Mazaq'bartarf... aap sey aik sawaal hai:

                      Sab say pehlay har umar kay logon ko TALEEM ki ROSHNI say arahasta karna hay
                      Yeh kis tarha mumkin hai? Agar aap muntakhib ho gaey to kaisey issey amli jama pehnaein gey?? HAR UMER key logon mein taleem ko rushnaas karana aasan ho ga? Ya iska faidah kya ho ga? Is per ROSHNI daaliyey :)
                      مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                      نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                      Comment


                      • #12
                        re: ROSHNI Party Introduction

                        Walaikum Assalaam

                        Aap bhi khush rahyeh :)

                        TALEEM haasil karnay ki koi umar nahin hoti, insaan apni Maa ki goud say lay kar Qabar tak taleem haasil karta rehta hay aur chahay jitna hi taleem yaafta kiyon na ho TALEEM haasil karna phir bhi baaqi reh jaata hay.

                        Baaqi humain ISLAM say aur Khulfa-e-Rashdeen kay dour say yehi baatain seekhnay ko mili hain kay har shaks ka har umar main taleem say araahsta hona kitna zaroori hay, yehi waja thi kay Jangoon main TEACHER yaa USTAAB ko kabhi qatal nahin kia jaata tha aur ussay logon kay aik GROUP ko TALEEM dainay kay aaywaz rihaa kar diya jaata tha.... Iss say insaan main humagahi, itifaaq, mohabbat, pyar, bhaichargi, haq aur baatil main farq, achayi ki raah per gamzan hona, buraai say door rehna, logon ki izzat karna, Haq baat kehnay say khabraana nahin, insaaf kartay huway hichkichana nahin... mehaz har woh baat jiss say INSAAN, INSAAN ban kar iss mulk aur qoum ki khidmat kar sakay.

                        Rahi baat MUSHKIL ki tou sachayi ki raah main MUSHKILAAT tou bohat hoongi magar unn MUSHKILAAT kay baad KAMYAABI bilaakhir SACHAYI ki hi honi hay aur humain auroon ki zindagi main ROSHNI ki kiran paida kar kay dili itminaan bhi milay ga.

                        May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                        Fi Amaan ALLAH
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          re: ROSHNI Party Introduction

                          Sab sey pehley to main yeh baawar karwaa doon keh mera yun kehna, koi tanqeed ya rukawat daalney key mutradif na samjha jaey balkeh Talat Hussain ki tarha jirrah samjhi jaey :)

                          Originally posted by thefire1 View Post
                          TALEEM haasil karnay ki koi umar nahin hoti,
                          Drust farmaya... ab zara nazar apney mulk per daaliyey aur dekhiyey keh hamari kitni aabadi anparh hai aur us mein kitni aabadi umer key us daur mein hai jahan per uskey liyey kuchh seekhna ya na seekhna aik braber hai - to mera sawaal yeh hai keh woh jo umer key is daur mein hain, un per waqt aur wisaiil kharch karney ki nisbat yeh behtar nahin ho ga keh unkey liyey achha wellfare system tayyar kiya jaey jahan per woh log aaram sey zindagi guzar sakein, bjaey iskey keh unhein ilm ki mushaqat per laga diya jaey????

                          Originally posted by thefire1 View Post
                          yehi waja thi kay Jangoon main TEACHER yaa USTAAB ko kabhi qatal nahin kia jaata
                          Yeh bhi shayid drust hi ho ga, per sab sey ziyada jungein kaun karwat hai? Parhey likhey log hi to karwatey hain :)
                          مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
                          نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

                          Comment


                          • #14
                            re: ROSHNI Party Introduction

                            Aap kay sawaalat ko paRh kar shayed koi usay tankeedi andaz keh sakta hay magar mujhay iss baat ki bohat khushi hay kay aap nay iss qaabil samjha kay main aap kay sawaalaat kay jawaabat day sakoon... aur iss forum ka ADMIN honay ki hesiyat say iss ka aap ko poora poora haq hay.

                            Jee main aap ki baat say mutaffiq hoon kay bohat say log shayed if I am not wrong nearly 68% population umar kay uss dour main hay jahan unhain taleem ka kuch khaas faida nahin honay waala.... magar agar hum unhain HAQ aur BAATIL kay farq say ROSHNAAS nahin karain gain tou humain aik acha LEADER kaisay milay ga, aaj awam ki yeh haalat hay kay bohat say log VOTE dainay hi nahin jaatay aur jo jaatay hain woh yaa tou HAQAIQ say bay-khabar hotay hain ya phir zor zabardasti vote daitay hain.... TALEEM ka matlab yeh nahin kay main unhain Doctrate yaa MBA karwana chata hoon, TALEEM say ROSHNAAS karwanay ka matlab yeh hay kay unhain HAQ ki baatain sikhaana aur unhain apnay VOTE ka sahi istimaal karwaana sikhaana hay.... pata nahin kitni kamyaabi hogi iss main magar itna zaroor hay kay agar 68% main say 8% bhi sudhar gayay tou mera maqsad poora hota hay!!

                            Pakistan aur India main jangaain karwaanay waalay bayshak TALEEM YAFTA log hongain magar ziyada tar uksaanay waalay wohi JAHIL awaam hoti hay jo HAQAIQ say bay-khabar hoti hay!!!

                            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: ROSHNI Party Introduction

                              REQUEST: Aap say guzarish hay kay meri thread kay title ki spelling PARTEY ki jaga PARTY kar dijyey. SHUKRIYA
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X