asslamoalikum respected members :ANYWORDhhh
hope u wl b fine shine /shade
baat yeh hai k last month jab Ali (thefire1) ka interview chal raha thaa tou 1 mahina pata nae kese khatam hogya itni jaldi ,me pegham se gayab thi kam kam aati rahi iss liye apnay poochay gaye sawaalo pe tabsra b nae kr ski....iss liye ab me ajkal Ali ki lambayyyyyyyyyyy lambayyyyyyyyy jawabaat parhnay ki koshish me pagal ho rahi hoon :garmi:
tou aj wo replies dekhtay hue ek jagha ruk gayi....wohi sawaal aap se hai
Ali ka jawaab mulahza farmayen ,aur batayen k aap agree krtay ho k nae aur highlite words pe meri tarf se Ali ko ek lagayen
372-haha
Note for Ali
Ali thanks alot for ur mature replies there ...... aur muzzrat b k me baad me shamil nae hoski ...ek aur topic hai idealism wala wo me baad me post karu gi :)
Note For Administration
issi thread k zariye me interveiw section k mods se kehna chahoon gi k inyterview k liye 1 month nakaafi hai ,aksar auqaat members masroofiaat k bayas shamil nae ho patay tou yeh barrha k 2 maah kr diya jaye ...shukria:rose

- ''Net friendship Aur Real Friendship me kya faraq hai?
- kya yeh friendship possible hai
- agr possible hai tou kya payedaar sabit hoti hai
- agr nae possible tou kiyon
Ali ka jawaab mulahza farmayen ,aur batayen k aap agree krtay ho k nae aur highlite words pe meri tarf se Ali ko ek lagayen

16. Aap kay nazdeek net friendship or real friendship main kia farq hay?
Yeh NET ki duniya bohat ajeeb hoti hay, yahan log aik dosray kay itnay qareeb hotay huway bhi itnay dour hotay hay jis ka kuch andaaza nahin lagaya jaa sakta.. Iss liye log aatay hain chalay jaatay hain aur phir unki jaga nayay log lay laitya hain kiya pata aaj hum hain kal naa hoon issi liye DIL ko baRa rakhna bohat zaroori hay aur yeh bhi koshish karni chayeh kay kisi say bhi ziyada expectation na rakhi jayain aur aisi dosti meray nazdeek koi mainay nahin rakhti aur main iss per yaqeen bhi nahin rakhta. Asal dosti jis main aap aik dosray say bilmusaafa miltay hain apni izhar-e-rai ka khayal kartay hain hi haqeeqat main insaan ki zindagi ki saathi hoti hay, ab aap hi batayain kay net friendship per kaisay bharosa karain, kia pata computer kay peechay baithi Saraah jis nay apna real naam tak share nahin kia asal main koi moti taazi mooochoon wala ghabRo jawan hoo :lol ya phir Wasi Anjum dar haqeqat koi nazuk khoobsurat simti hoyee khoobusrat dosheeza hoo :lol Jokes apart, kamazkam main nay aaj tak net use kia hay kabhi bhi kisi male ya female say dosti nahin ki, ki bhi tou kabhi mila nahin, kiyonki main bohat kuch paRh chukka hoon, akhbaroon main kay net per dosti karkay uska kaisa najaiz faida uthaatay hain aur kis tarha masoom laRkiyon ko apnay hawas kay jaal main phansa kar unki zindagion ko barbaad kar daitay hain, issi liye main khudh bhi aur sab ko bhi iss say dour rehnay ki talqeen karta hoon.
I know mera yeh jawab arguable hay, aap iss kay liye bhi aik alag say thread bana sakti hain taakay humain sahi message mil sakay!

Comment