Re: kehtay hian kay Eid bachoun ki hoti hai ..
Walaikum Assalaam
Sab ka tou nahin kehta main apni baat zaroor kahoon ga, mujhay aaj bhi yaad hay apnay bachpan kay woh din jab main EID ka intizaar karta tha, nayay kapRay khareed kar baar baar unhain almaari main ja kar dekhna, nayay shoes ko uss kay box main bed kay neechay say nikal kar dekhna, aur chand raat ko poori raat jaagna, haath main mehndi say chand banana, aik chota sa wallet paas rakhna aur intizaar karna kay ab eidi aayi gi tou IGLOO icecream kahoon ga, sandwich (jissay main bunkabab kehta tha) kahoon ga, gandagola loonga, waghaira waghaira.... itni saari masoom see harkatain aur masoom see khuwahishaat!!!
Aaj yeh sab aik khuwaab sa hi lagta hay, yaqeen karain iss eid per yeh hosh bhi nahin tha kay apnay liye koi naya shalwaar kameez hi silwa laita, last moment khayal aaya kay koi naya jouRa hi nahin tou Eid say aik din pehlay dopahir kay 2 bajay apna suit banwanay dia aur raat ko 10 bajay collect kia, bhala hoo Ghafoor Bhai Tailor ka jinhoon nay itna jaldi suit see diya warna iss EID per naya suit pehannay say bhi mehroom reh jaata :)
Issi liye agar kehtay hain kay EID bachoon ki hoti hay tou iss main kuch mughalta nahin, waqayi aaj apna yeh haal dekhta hoon tou aap ki baat ki sadaaqat per yaqeen karna mushkil baat nahin lagti.
khush rahyeh :)

Originally posted by Aanchal
View Post
Comment