Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Munafqat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Munafqat

    Aslamoalikum:hii:
    sab se pehle meri taraf se sab ko eid mubarak:eddd:
    ab aik sawal poochna he372-scare
    ager ap kahin larai jhagre se bachne k leay ya baat ko barhane se rokne k leay bardasht se kaam lete hen,dar guzar karte hen,khamoshi ikhtyar kar lete hen chahe ap k dil me ghusa ho,dukh ho ya bezaari ho lekin ap mehsoos na hone den to kia is surat me insan munafiqat kar raha hota he?:think:
    or kia mooh par saf saf baat mar dena yani straight forward hona kia wakai aik azeem kaam he,chahe kisi ka dil dukhe?

  • #2
    Re: Munafqat

    Originally posted by unity View Post

    yah straight forward hona azeem srif books main hi acha lagta hain werna haqiqaat main Insaan bura hi banta hain.. ajkal kay time main koi bhi straight forward baatein baardash nahi karta. main is malmay main bohat straight forward hoon saaf saaf monh par bol deta hoon is liyah to maira koi friend nahi hain. but who care
    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

    Comment

    • #3
      Re: Munafqat

      wasalam and eid mubarik to you too.....:d1:
      @ topic
      well senorita..... as far as aap ka intention accha hai... like koi aap ka bura kare or aap us ke us fail ko tu dil mein bura jaane per darguzar se kaam lein.... woh munafeqat naho hogi... haan ager aap waqti tor per baat khatam kar dein per us baat ko dil mein rakh ker waqti tor per tu khushakhlaqi dikhayen per moqe ki talash mein rahein or moqa milte hi war karein... I would say thats munafeqat.... isi liye kehte hain "chupe dushman se khula dushman bhala" yehi chupa dushman Munaqif hota hai....

      seconldy straight fwd hona so I wud say ke yeh bande ko kaafi tension free kar deta hai if you take it in a positive sense...... kisi ki koi baat buri lage usey wahein rok do bol ker tu behter hota hai..... yeh koi azeem kaam nahi bus yeh aap ko "tension free" ker deta hai.... or rahi baat dil dukhne ki tu chanda samne waali ki bhi kisi na kisi baat se aap ka dil dukha hoga jubhi hi koi kuch kahega na... warna I dont think ke kabhi aisa ho ke aap ke liye koi kuch accha kare or aap ko faydah bhi pohanchein phir bhi aap usey baatein sunaaye.... ::think:

      Comment

      • #4
        Re: Munafqat

        Originally posted by unity View Post
        Aslamoalikum:hii:
        sab se pehle meri taraf se sab ko eid mubarak:eddd:
        ab aik sawal poochna he372-scare
        ager ap kahin larai jhagre se bachne k leay ya baat ko barhane se rokne k leay bardasht se kaam lete hen,dar guzar karte hen,khamoshi ikhtyar kar lete hen chahe ap k dil me ghusa ho,dukh ho ya bezaari ho lekin ap mehsoos na hone den to kia is surat me insan munafiqat kar raha hota he?:think:
        or kia mooh par saf saf baat mar dena yani straight forward hona kia wakai aik azeem kaam he,chahe kisi ka dil dukhe?

        pehle sawal ka jawaab - Nahi ! munafiqit isko to nehi kaihte :hairdrayer:

        doosre sawak ka jawab - Nahi ! straight forward ka yeh matlab nahi ke doosre ki baat buri lage to usko tanz kerdo aur bura bhala keh do.

        Hadith ke mutabiq bhi Hazrat Mohammed s.a.w ke pass aikbaar aisa shakkhs ayea tha jo acha insaan nahi tha, lekin Hazoor s.a.w us se Ikhlaaq se paish aye.aur Hazrat Ayesha r.a. ke poochne per bataea Hazoor s.a.w ne ke be shaq wo acha insaan nahi, lekin ache ikhlaaq se pesh ana chahiye humai.
        Last edited by Khala@Saleema; 30 November 2009, 20:06.

        Comment

        • #5
          Re: Munafqat

          Originally posted by unity View Post
          Aslamoalikum:hii:
          sab se pehle meri taraf se sab ko eid mubarak:eddd:
          ab aik sawal poochna he372-scare
          ager ap kahin larai jhagre se bachne k leay ya baat ko barhane se rokne k leay bardasht se kaam lete hen,dar guzar karte hen,khamoshi ikhtyar kar lete hen chahe ap k dil me ghusa ho,dukh ho ya bezaari ho lekin ap mehsoos na hone den to kia is surat me insan munafiqat kar raha hota he?:think:
          or kia mooh par saf saf baat mar dena yani straight forward hona kia wakai aik azeem kaam he,chahe kisi ka dil dukhe?
          W sallam...Issay Munafiqt nahii Balkehh Buzdalii kahain gayy aaj kayy Door kayy hissabbb sayyyy:)
          "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

          Comment

          • #6
            Re: Munafqat

            Originally posted by unity View Post
            Aslamoalikum:hii:
            sab se pehle meri taraf se sab ko eid mubarak:eddd:
            ab aik sawal poochna he372-scare
            ager ap kahin larai jhagre se bachne k leay ya baat ko barhane se rokne k leay bardasht se kaam lete hen,dar guzar karte hen,khamoshi ikhtyar kar lete hen chahe ap k dil me ghusa ho,dukh ho ya bezaari ho lekin ap mehsoos na hone den to kia is surat me insan munafiqat kar raha hota he?:think:
            or kia mooh par saf saf baat mar dena yani straight forward hona kia wakai aik azeem kaam he,chahe kisi ka dil dukhe?
            w/salam,

            khair mubarak

            khamoshi ikhteyar karna munafqat nahe hai, laikin aisa ho kay dil maiN acha feel na ho aur phir bhi zubardasti khush'ikhlaqi say paish aya jaiy to woh meri nazar maiN munafqat he hai.

            baqi moonh'phaT aur saaf'go honay kay hawalay say mera nazariya yeh hai kay is dunia maiN agar koi aap kay monh par such bolay to woh monh'phaT aur aap khud kisi kay samnay such bolaiN to woh saaf'goi kehlati hai 372-haha
            That's Enough...!!

            Comment

            • #7
              Re: Munafqat

              thanxx to all:)

              Comment

              • #8
                Re: Munafqat

                Walaikum Assalaam

                Meri jaanib say bhi aap ko bohat bohat EID MUBARAK.

                Sab say pehlay humain yeh janna zaroori hay kay MUNAFIQ kay asal mainay kia hain aur MUNAFIQ kiss shaks ko kehtay hain.

                ISLAMIC nuqta-e-nazar say iss kay mainay hain aisa shaks jo ISLAM qubool karnay kay bawajood bhi dil say ISLAM kay khilaaf ho aur srif daR ya fitnay pehlaanay ki niyat say ISLAM ko qubool kia hoo.

                Non-Islamic nuqta-e-nazar say Munafiq aisa shaks hota hay jiss kay qoul aur fayil main tazzad ho, yaani kehta kuch hoo aur karta kuch hoo.

                Ab aap kay sawaal kay jawaab main yeh kahoon ga kay sab say pehlay laRayi kiss noyait ki hay agar koi Gustakh-e-Rasool SAW hay, yaa koi ISLAM kay khilaaf baat kar raha hay tou uss ko zaroor uss kay anjaam per poohanchana chayeh aur aisay shaks ko Munafiq kehtay hain jo iss tarah ki baatain karain aur jo iss tarah ki baatain bardasht karay...

                Agar laRayi apni zaat say related hay tou ziyada sa ziyda koshsih karni chayeh kay maamla bahimi mufahimat say hal kar lia jayay, agar samnay waaala aap ki baat say nahin maanta tou darguzar karna hi behtar hay.... Behtreen pehalwaan woh hay jo ghussay per qaboo rakhna jaanta hoo!!!! Aisi soorat main Munafiqat nahin hoti, issay darguzar kaha gaya hay jiss ka Ajar bhi hay ALLAH SWT ki taraf say aur yehi taleem humaray NABI-E-KARIM SAW ki jaisa kay Momo@khala nay apni post main bayan kia hay..!

                Baaqi aap kay doosray sawaal ka jawaab aisay doonga kay kisi kay moon per baat marna straighforward hona nahi hay issay aam zaban main BADTAMEEZI kehtay hain... Sraightforward ka sahi meaning hain kay HAQ KI BAAT KARNA aur uss main sharm mehsoos na karna.... haan baat karnay ka andaaz BA-IKHLAAQ tareeqay say hona chayeh, zahir see baat hay kay jab HAQ ki baat koi karta hay tou woh fitratan buri lagni hay magar aap ka kehnay ka tareeqa aur aap ka ba-ikhlaaq rawaiya iss Teekhi baat ko bhi nihayat shaistagi ata kar sakta..!

                May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

                Aap ki duwayoon ka talabgaar, ek khaksaar

                Fi Amaan ALLAH

                Originally posted by unity View Post
                Aslamoalikum:hii:
                sab se pehle meri taraf se sab ko eid mubarak:eddd:
                ab aik sawal poochna he372-scare
                ager ap kahin larai jhagre se bachne k leay ya baat ko barhane se rokne k leay bardasht se kaam lete hen,dar guzar karte hen,khamoshi ikhtyar kar lete hen chahe ap k dil me ghusa ho,dukh ho ya bezaari ho lekin ap mehsoos na hone den to kia is surat me insan munafiqat kar raha hota he?:think:
                or kia mooh par saf saf baat mar dena yani straight forward hona kia wakai aik azeem kaam he,chahe kisi ka dil dukhe?
                sigpic

                Comment

                • #9
                  Re: Munafqat

                  و عليكم السلام و رحمة الله

                  guzrii howii eid app ko bhi khair mubarak....:D

                  ap k sawal ka jawaab deney ka tu dil kar raha hai magar is waqt do wajoohat ki bina par dey nai saktey...:hairdrayer:
                  pehlii wajah net speed :garmi:
                  or dosrii wajah The Fire bhai ...jub wo boltey hain tu hum khamosh rehtey hain....:shyy:

                  khair i'll b back one day to answer ur question.......:fly:
                  .......................!!!!!

                  Comment

                  • #10
                    Re: Munafqat

                    Aslamoalikum
                    ab aik sawal poochna he
                    ager ap kahin larai jhagre se bachne k leay ya baat ko barhane se rokne k leay bardasht se kaam lete hen,dar guzar karte hen,khamoshi ikhtyar kar lete hen chahe ap k dil me ghusa ho,dukh ho ya bezaari ho lekin ap mehsoos na hone den to kia is surat me insan munafiqat kar raha hota he?
                    وعلیکم السلام
                    جب آپ کہیں لڑائی جھگڑے سے بچنے کے لیے یا بات کو بڑھنے سے روکنے کے لیے برداشت سے کام لیتے ہیں اور درگذر کرتے ہیں یا خاموشی اختیار کرتے ہیں اگرچہ سامنے والی کی باتیں آپ کو ناگوار ہی گزر رہی ہوتی ہیں لیکن آپ محسوس نہیں ہونے دیتے تو آپ کے اس عمل کو مصلحت کا تقاضا سمجھتے ہوئے برداشت کرنا یا درگذر کرنا ہی کہا جائے گا نہ کے کچھ اور ۔ ۔ ۔

                    or kia mooh par saf saf baat mar dena yani straight forward hona kia wakai aik azeem kaam he,chahe kisi ka dil dukhe?
                    رہ گئی کی سٹریٹ فاروڈنیس بات تو سٹریٹ فاروڈنیس کہتے ہیں کھرے پن کو یا راست روی کو دوسرے لفظوں میں دیانت داری کو بھی کہتے ہیں عمومی طور پر سٹریٹ فاروڈنیس کی جو معنٰی مشہور ہیں وہ غلط ہیں اسے سٹریٹ فارورڈ ہونا نہیں کہتے ہیں لہذا آپکے اول سوال میں جو صورتحال بیان ہوئی بِعَینِہ اسی صورتحال کو آپ ہی کی بیان کردہ تمام کنڈشینز کے مطابق اگر اپلائی کیا جائے تو بھی تو اس اپلائی کرنے والے کو بھی دیانت دار یا راست گو یا سٹریٹ فاروڈ ہی کہا جائے گا کیونکہ دیانت داری اور راست گوئی کے بعض تقاضے بعض جگہوں مختلف فیہ ہوتے ہیں ۔ ۔
                    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                    Comment

                    • #11
                      Re: Munafqat

                      ap sab ka bhi behad shukria:)

                      Comment

                      • #12
                        Re: Munafqat

                        Originally posted by unity View Post
                        ap sab ka bhi behad shukria:)
                        koi baat nahe yeh to humara ikhlaqi farz tha :) aap ko mazeed koi fuzool sawal pochna ho to woh bhi poch lejeay 372-haha
                        That's Enough...!!

                        Comment

                        • #13
                          Re: Munafqat

                          na bilkul khamosh rehna chaye or na moun phat ...beech ki raah ikhteyaar karni chaye ...

                          dil main baat rekhnay say khamosh rehnay say nuqsan apna hi hoo ga dosroo ka nahi ..jo ghalati karay usay ehsas dilna zarori hai kay wo ghalat hai ...

                          or zaida moun phutt bhi na hoo banda kay har baat dosroo kay moun pay maar day kay main nay to such bola hai ..baat karaian lekan is taraha say kay dosray ko ghalati ka ehsas bhi hoo jaye or aap ka rawayya bhi acha rehay ....
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment

                          • #14
                            Re: Munafqat

                            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                            koi baat nahe yeh to humara ikhlaqi farz tha :) aap ko mazeed koi fuzool sawal pochna ho to woh bhi poch lejeay 372-haha
                            thank u sooooo muchteddy..ap kitne ache hen na mujhe mazeed fazool sawal poochne ki ijazat de di ap ne

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            na bilkul khamosh rehna chaye or na moun phat ...beech ki raah ikhteyaar karni chaye ...

                            dil main baat rekhnay say khamosh rehnay say nuqsan apna hi hoo ga dosroo ka nahi ..jo ghalati karay usay ehsas dilna zarori hai kay wo ghalat hai ...

                            or zaida moun phutt bhi na hoo banda kay har baat dosroo kay moun pay maar day kay main nay to such bola hai ..baat karaian lekan is taraha say kay dosray ko ghalati ka ehsas bhi hoo jaye or aap ka rawayya bhi acha rehay ....
                            khamosh rehne se apna nuksan kese hota he?:think:

                            Comment

                            • #15
                              Re: Munafqat

                              Originally posted by unity View Post

                              khamosh rehne se apna nuksan kese hota he?:think:
                              dosray banday ko jub tuk ehasas nahi dilaian gay kay wo ghalati par hai to wo ghalti karta hi rehay ga na ..or nuqsaan aap ka ..jo aap say ghalat karay unhay vohi rook daian to zaida behtar hai ....khamosh rehnay say kio dosra banda sudhar thori jaye ga ...
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment

                              Working...
                              X