Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~ Perfect Bride Or Wife ~
Collapse
X
-
Re: ~ Perfect Bride Or Wife ~
Originally posted by thefire1 View PostWalaikum Assalaam
Kia sawaal kardiya aap nay...? bohat mushkil jawaab hay iss ka, aik dafa humari walida nay bhi aisa hi sawaal kia tha kay baita abhi aap jawan hogayay hoo aur hum chahtay hain kay aap ki shaadi jaldazjald kardi jayay kia aapapni rayay say agaha karain gain kay laRki kaisi chayeh...
Main azrah-e-sharam kuch keh na paya magar walida say kaha aik din ki mouhallat dain main kal tak bata doonga... phir kia tha dil main nayay umadtay huway jazbaat ki waja say chehra tamatar ki tarah laal hogaya aur main nay shidat-e-jazbat say qalam uthaya aur likhnay laga.... woh kuch iss tarah tha
"Mujhay aisi laRki say shaadi karna hay jiss ki ankhoon main jheel see gehrayi ho, jab woh nazrain uthayay tou aisa lagay kay subah ki pehli kiran meray chehray per munawaar hogayi hay aur jab ankhain jhukain tou aisa lagay kay asmaan aur zameen aik dosray say mil rahay hoo, jab muskurayay tou aisa lagay jaisay kisi aabshaar say paani machal machal kar gir raha hoo, baatain karain tou aisa lagay jaisay gulab jhaR rahay hoon aur apni sansoon ki mehak say meray pooray wajood ko mehka day, chand sa uss ka chamakta chehra kisi chandni raat ka tasawurr zehan main paida karay, uss ki haya aur pakeezgi itni pursukoon hay kay wazoo kar kay bhi dil chotay huway ghabrayay, usski chaal main aisi sharafat hokay azrah-e-haya har buri nazar uth-tay hi ruk jayay, uss kay khoobsurat lambay gaisoo agar lehra day tou din main raat sa sama lagay.... khandaani izzat aur mohabbat uss ka shaiwa hoo aur baRoon ki izzat woh apna farz samajh kar karay.... guftaar main aisa saleeqa kay koi taiz awaaz main baat kartay huway ghabrayay, aankhoon main aisi kashish kay bina kahay hi bohat kuch keh daalain, khudhaitimaadi aur milansaari main usska koi saani na ho, soum-e-saalat ki paaband ho, aur ghar kay mahool aur safayi ka itna khayal rakhti hoo kay ghar main daakhil hotay huway aisa ahsaas hoo kay masjid main daakhil horahay hoon....!, pyar, mohabbat aur ikhlaaq usski zindagi kay sab say aham juzz hoon"
Jab ammi nay yeh paRha tou kehti hain baita main tou tumhari 1 hi shaadi karwana chaati hoon :lol bus Khan sahab zindagi nay phir aisi karwat badli aur humari waalda nay humari Cousin say humari mangni kardi... aur ALLAH SWT kay karam say yeh tamam baatain jo kuch main sooocht-ta tha uss main moujood thi...... magar yeh sab ziyada dair barqaraar na reh saka, breast cancer ki waja say walida ka intiqaal hogayay... Meri mangaitar nay mera bohat saath dia, uss nay meri himmat bandah rakhi aur uss nay mujhay muskurahat ka aik aisa sabaq dia kay main gham main bhi muskuraata raha.. khair ab hum iss sadmay say baahir nahin niklay thay kay aik saal kay andar andar meri mangaitir ka bhi intiqaal hogaya... main kuch samajh nahin saka kay achanak zindagi main yeh kia hogaya hay... magar phir bhi usski dee hoyee taleem yaani muskurahat pehlayay main sab say milta hoon, jabkay andar hi andar shayed mera wajood hi nahin....
Waalid bohat israar kartay hain kay ab shaadi karloo aur main humesha hi muskura kay kehta hoon, kay meri khuwahish thi kay meri shaadi meri AMMI JAAN karain giin, ab aap aisa karain kay pehlay aap shaadi karain taakay nayee ammi aakar mera rishta dhoonday... tou meri khuwahish bhi poori hojayay gi... aur woh bechaaray mujhay seenay say laga kar muskuraanay lagtay hain...magar unki aankhoon ki nammi woh mujh say nahin chuppa saktay hain!!!!
MAZRAT dost, shayed main jazbaat main bohat kuch likh gaya I AM SORRY!!!
Allah Talah aap ki Walida Marhooma ke tamaam tar sagheer -0- kabeera gunaahon ko mua'aaf karen, un ke darjaa'at ko buland karen aur unhe jannat ul firdous me aala se aala muqaam ata karen ( Ameen ) :dua
Aur Allah Talah aap ki mangetar marhoma ke bhi tamaam tar sagheer -0- kabeera gunaahon ko mua'aaf karen, aur unhe jannat ul firdous me aala se aala muqaam ata karen ( Ameen ) :dua
Comment
-
Re: ~ Perfect Bride Or Wife ~
Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Postkhabar'dar jo meri serious reply ko mazaq maiN uRanay ki koshish ki
koi insaan perfect nahe hota aur laRkioN maiN yeh shara ziadah hai 372-haha is leay banday ko taham'mul mizaaj ban'na paRta hai :fight:
Comment
-
Re: ~ Perfect Bride Or Wife ~
Originally posted by _Dard_Aashna_ View Postgoya k aap ka kehna hay k apni family bananay k baad insan apni old family
mean siblings , parents , in say hat kar apni new family ki had tak rahay ?
is it?
Originally posted by _Dard_Aashna_ View Postagreed with last lineThat's Enough...!!
Comment
-
Re: ~ Perfect Bride Or Wife ~
Iss ka jawab thora sa ajib hai mgr jo haqeeqt hai wohi btao ga.
Agr aap ko naik Biwi Chahye jo aap ki or ghar walo ki izaat kary to pehly dusro ki maao behno pay ghlat nazr khatm karni hogi. Q k mera manna hai k agr aap Zani ho to aap ko Biwi bhi isi trah ki milay gi hqeeqt to yehi hai k hum larkio ko izzat nahi dete pehly to boht khud ko show karwaty hain k hum achy hain wgera wgera mgr phir baad mein shetan bharka deta hai.
baat itni hai k aap dusro ki maao behno ki izzat ka khyal rakho Biwi bhi aap ko Naik he milay giLast edited by Mr.Khan; 29 November 2009, 13:51.
Comment
Comment