Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Improvement...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **Improvement...!!

    Asalamaalaikum

    ummid hai sub khairyat se honge....:hairdrayer:

    aap ki life ke woh areas jin mein aap behavioral vise improvement lana chahte hain kaun se hain?? or kyun?? :lpop:

    ya aap nahi.. per aap ke parents ya frndz ya aap se related log chahte hain ke aap life ke us aspect ya area mein kuch change in the sense of improvement lao.... aap ko kya lagta hai woh sahi kehte hain ya nahi?
    if yes... why?
    if No.. why??372-shock

  • #2
    Re: **Improvement...!!

    Wa allaikum salaam

    Hmmmmmmm bohat achha aur qabil-e-tareef thread lagaya hai - agar yeh bakbak sey paak raha to :)

    Improvement insaani zindagi ka aik aham hissah hai. Jo waqt key saath saath apni shakhsiyat mein improvement nahin lata, woh kabhi kuchh nahin seekh sakta.

    There are some areas in my life which needs improvement. Har kisi per to baat nahin ho sakti. Magar aik yeh hai keh mujh mein la'parwaii hai. La'parwaii is sense mein keh merey dil har rishtey ka apna apna ehtram hai - magar meri fitrat mein yeh kabhi nahin raha keh main logon ko phone per phone karoon, aaey roz unkey paas jaoun, mail'mulaqat ka silsala chalta rahey waghera waghera - jabkeh yeh baat ham sab jantey hain keh rishtey waqt mangtey hain aur waqt aisa zaalim hai keh haath hi nahin aata... so I wanna improve on that aspect...
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: **Improvement...!!

      Originally posted by ummid View Post

      Walaikum salam,

      My baba,

      Subha ghanta bhar pehley uthta hai insaan ta k baki kamo k sath nashta bhi ker k ghar sey nikley

      My Mom,
      Do more :-$ LOL :embarasse

      My brothers:
      Waqt ka khayal rakha karo

      My Sis:
      Mey chahti hun meri beti bilkul tumhari tarhan ho 372-shock

      My Friends:
      Tum bohot hi ziada achi ho, aeysey kaam nahi chalta hai.

      Iss saarey passmanzar mey mujhey samaj nahi ati k mujhey kidher improvements lani hein.... Iss liye bas aeysey hi guzar rahi hai. :hairdrayer:

      Apart:
      Personally I think k mujhey kafi improvement ki zaroorat hai. Sochon sey ley amaaal tak. Kafi kuch bikhra hua hai ... :-D
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: **Improvement...!!

        Originally posted by Masood View Post
        Wa allaikum salaam

        Hmmmmmmm bohat achha aur qabil-e-tareef thread lagaya hai - agar yeh bakbak sey paak raha to :)

        Improvement insaani zindagi ka aik aham hissah hai. Jo waqt key saath saath apni shakhsiyat mein improvement nahin lata, woh kabhi kuchh nahin seekh sakta.

        There are some areas in my life which needs improvement. Har kisi per to baat nahin ho sakti. Magar aik yeh hai keh mujh mein la'parwaii hai. La'parwaii is sense mein keh merey dil har rishtey ka apna apna ehtram hai - magar meri fitrat mein yeh kabhi nahin raha keh main logon ko phone per phone karoon, aaey roz unkey paas jaoun, mail'mulaqat ka silsala chalta rahey waghera waghera - jabkeh yeh baat ham sab jantey hain keh rishtey waqt mangtey hain aur waqt aisa zaalim hai keh haath hi nahin aata... so I wanna improve on that aspect...
        thanx bhai...

        well.. aap ager kisi ko roz fone nahi karte tu it doesnt mean ke aap laparwaah hai.... it simply means aap BZ hai.. or 24 hours mein Insaan ki priorities badalti rehti hai....

        waise I prefer ke relatives se jahan tak ho sake ek safe distance rakhna hi chahiye.... :donno:

        any other area?? :D

        Comment

        • #5
          Re: **Improvement...!!

          Originally posted by Z. View Post

          Iss saarey passmanzar mey mujhey samaj nahi ati k mujhey kidher improvements lani hein.... Iss liye bas aeysey hi guzar rahi hai. :hairdrayer:

          Apart:
          Personally I think k mujhey kafi improvement ki zaroorat hai. Sochon sey ley amaaal tak. Kafi kuch bikhra hua hai ... :-D
          LOl... when you mom says give or Do more.. me ko waqai kabhi kabhi lagta hai ke yeh betiyo ko powerpuff gilrz jaisa kuch bana akr raheingi.. :lol

          Apart... me ne kahein parha tha... ager aap khud ki zaat mein bauaht se improvement karna chahte hain tu ek waqt mein ek area per kaam karein.... supose Anger... so focus on anger mangemnt... likewise other.... warna aap ko orgnize hone per bhi training lani paregi... :lol

          waise aap waqai bauaht acchi ho MashAllah... :rose

          Comment

          • #6
            Re: **Improvement...!!

            Originally posted by ummid View Post
            thanx bhai...

            well.. aap ager kisi ko roz fone nahi karte tu it doesnt mean ke aap laparwaah hai.... it simply means aap BZ hai.. or 24 hours mein Insaan ki priorities badalti rehti hai....

            waise I prefer ke relatives se jahan tak ho sake ek safe distance rakhna hi chahiye.... :donno:

            any other area?? :D
            Ummi beti baat yeh hai keh ham log jis muashron sey ta'aluq rakhtey hain, us mein rishtey yeh umeed hi nahin balkeh demand kartey hain keh fardan fardan sab ko yaad kiya jaey - agar aik ghar mein kisi fard sey baat kar key baqi afraad ka haal ahwaal poochh liya jaey to kaafi nahin hota :donno:
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: **Improvement...!!

              Originally posted by Masood View Post
              Ummi beti baat yeh hai keh ham log jis muashron sey ta'aluq rakhtey hain, us mein rishtey yeh umeed hi nahin balkeh demand kartey hain keh fardan fardan sab ko yaad kiya jaey - agar aik ghar mein kisi fard sey baat kar key baqi afraad ka haal ahwaal poochh liya jaey to kaafi nahin hota :donno:
              tu na hone dein... :hairdrayer:

              kisi bhi cheez ko bauaht zyadah ehmyat nahi deni chahiye.... aap kuch bhi kar lein "shikaya" kisi na kisi bahane honi hi hoti hai..

              so let it be...

              Comment

              • #8
                Re: **Improvement...!!

                Walaikom Assalam
                mujhay tu abhi buht kuch seekhna hai ....
                jo mujhay zyada feel hota hai woh mostly behaviour say hi related hai ..... kisi ko baat ko samajhna aik problem hai tu us per react karna aik aur problem..::think:
                thoti si time managment mein bhi problem rehti hai.....:shyy:
                For New Designers
                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                Comment

                • #9
                  Re: **Improvement...!!

                  Originally posted by *Rida* View Post
                  Walaikom Assalam
                  mujhay tu abhi buht kuch seekhna hai ....
                  jo mujhay zyada feel hota hai woh mostly behaviour say hi related hai ..... kisi ko baat ko samajhna aik problem hai tu us per react karna aik aur problem..::think:
                  thoti si time managment mein bhi problem rehti hai.....:shyy:
                  awww....

                  kisi ko aap ki baat sumjh na aaye tu zaroori nahi ke aap mein problem hai problem samne waale mein bhi hosakti hai.... :D

                  or time mangment.... hmmm... yeh tu me ko bhi seekhna hai...

                  Comment

                  • #10
                    Re: **Improvement...!!

                    improvement ki gunjaish to shaed insan k marte dam tak rehti he,ham hamesha sochte hen k ab ham pehle se behetr ho gae hen,me khasi gher hazir dimagh rehti hun to sab se pehle mujhe yehi theek karna he is se kuch log naraz ho jate hen jab k mera maqsad kisi ko naraz ya ignore karna nahi hota:shyy:

                    Comment

                    • #11
                      Re: **Improvement...!!

                      مجھ میں بہت سی کمیاں اور کوتاہیاں ہیں جن میں بعض کا تعلق براہ راست میری عادتوں سے ہے اور بعض ماحول اور حالات کی وجہ سے مجھے میں در آئی ہیں یا در آتی ہیں ؟؟ میں ان سب کا خاتمہ چاہوں گا ۔ ۔
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment

                      • #12
                        Re: **Improvement...!!

                        Originally posted by unity View Post
                        improvement ki gunjaish to shaed insan k marte dam tak rehti he,ham hamesha sochte hen k ab ham pehle se behetr ho gae hen,me khasi gher hazir dimagh rehti hun to sab se pehle mujhe yehi theek karna he is se kuch log naraz ho jate hen jab k mera maqsad kisi ko naraz ya ignore karna nahi hota:shyy:
                        ahan..... wish you a good luck... :thmbup:

                        Originally posted by aabi2cool View Post
                        مجھ میں بہت سی کمیاں اور کوتاہیاں ہیں جن میں بعض کا تعلق براہ راست میری عادتوں سے ہے اور بعض ماحول اور حالات کی وجہ سے مجھے میں در آئی ہیں یا در آتی ہیں ؟؟ میں ان سب کا خاتمہ چاہوں گا ۔ ۔
                        bilkul bilkul me khud bhi aap ki sub buriyon ka khatama chahongi

                        Comment

                        • #13
                          Re: **Improvement...!!

                          Originally posted by ummid View Post

                          bilkul bilkul me khud bhi aap ki sub buriyon ka khatama chahongi
                          jis din tum nay khud ko sudhar lia u ko mujh main aik bhi burai nazar naheen aay gi :lol
                          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                          Comment

                          • #14
                            Re: **Improvement...!!

                            Originally posted by ummid View Post
                            LOl... when you mom says give or Do more.. me ko waqai kabhi kabhi lagta hai ke yeh betiyo ko powerpuff gilrz jaisa kuch bana akr raheingi.. :lol

                            Apart... me ne kahein parha tha... ager aap khud ki zaat mein bauaht se improvement karna chahte hain tu ek waqt mein ek area per kaam karein.... supose Anger... so focus on anger mangemnt... likewise other.... warna aap ko orgnize hone per bhi training lani paregi... :lol

                            waise aap waqai bauaht acchi ho MashAllah... :rose
                            yep!
                            Asal mey ye jo mothers hoti hein na ye barhi hi adorable hoti hein, wo chahti hein k un ki betiyon ko ander bahar saarey kaam aney chahiyein .... sughar ho, deendaar hon, suljhi hui hon, chust hon LOL ...etc etc

                            baqi mey aaj kal waqt pe kaam ker rahi hun, lets see kitna waqt lagta hai :-D
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #15
                              Re: **Improvement...!!

                              Originally posted by Masood View Post
                              Ummi beti baat yeh hai keh ham log jis muashron sey ta'aluq rakhtey hain, us mein rishtey yeh umeed hi nahin balkeh demand kartey hain keh fardan fardan sab ko yaad kiya jaey - agar aik ghar mein kisi fard sey baat kar key baqi afraad ka haal ahwaal poochh liya jaey to kaafi nahin hota :donno:
                              :]

                              You see bro. ye jo hamari zindagi sey jurhey log hotey hein wo bohot eham hotey hein insaan ko haftey mey na sahih tau kam sey kam maheeney mey aik baar time nikal ker haal ahwaal darfayat kerney sey tang hona chahiye :-)

                              Iss duar pey tau ye kaam itna asaan ho gaya hai, phone na sahih, text sahih wo na sahih email sahih.

                              Nahi?

                              Working...
                              X