Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Joint Family System*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: *Joint Family System*

    Originally posted by munda_sialkoty View Post
    Ub he neend kisay
    Ub he chain kahan :shyy:

    u ka to wo wala hal hogaya he :garmi:

    maut ka aik moeyn he
    neend phir kyu rat bhar nahi ati

    Comment


    • #62
      Re: *Joint Family System*

      Originally posted by mano_billi View Post
      u ka to wo wala hal hogaya he :garmi:

      maut ka aik moeyn he
      neend phir kyu rat bhar nahi ati
      Tumhein dekh ker mujay kameenay movie ke songs kyoon yaad aa jatay hein :think:
      :thmbup:

      Comment


      • #63
        Re: *Joint Family System*

        Originally posted by mano_billi View Post
        Asalam o alaikum ... :hii:


        to mjhe batayein kia joint family system me rehna aj kal ki larkiyo ke lye itna hi azaab ban gaya he :garmi: ke apni asal family ko nahi jhel sakteen? :think:

        joint family system ke ap ke khyal me pros and cons kia hein :sword:
        waalikum asslam

        کسی کے ساتھ رہنے کے لیے برداشت کا مادہ ہونا چاہیے اور ظرف بڑا ہونا چاہیے،اتنا آسان کام بھی نہیں کہ اختلافات ہونے کے باوجود گزارہ کیا جائے ،خیر مختلف صورتحال ہوتی ہے کہیں لڑکی غلط ہوتی ہے کہیں نہیں بھی ہوتی
        آپ کی دی گئی مثال میں کہا جاسکتا ہے کہ خودغرضی ہے اور کیا
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • #64
          Re: *Joint Family System*

          Walaikum Assalaam Mano_billi

          Bohat hi acha thread lagaya hay aap nay, thank you very much.

          Islam ki roo say shaadi ki zimaydariyon main shaamil hay kay mard aurat ki har uss asayish ka khayal rakhay jiss ki woh tamanna karti hay, offcourse, ab aisi bhi tammanna na hoon jo mard kay liye asmaan say taaray touRnay kay barabar hoon, yaani jaisa buzargoon nay farmaya hay kay jitni chaadar hoon untnay hi paoon pehlaanay ki khuwahish rakhay.. aur ISLAM nay aurat ko alag rehnay ki koi mumaniyat nahin ki.

          Jiss misaal ka aap nay zikar kia hay uss main aap iss baat ka ilzam laRki kay sar laga rahi hain, kia uss betay ko ehsaas nahin hay kay woh apni MAA aur chotay bhai ko choR kar chala gaya... wohi baat kay agar uss kay zarayay achay hain aur woh aik handsome tankhuwa kama raha hay tou ussay apnay BIWI kay huqooq kay saath saath apni MAA aur BHAI kay huqooq ko bhi poora karna chayeh.

          Aik Mard aik maashray main bohat tabdeelian laa sakta hay, ISLAMI nuqta-e-nazar say jahan woh apni biwi ko alag rakh sakta hay wahin woh MAA ko besahara nahin choR sakta... agar waalid zinda hain aur retirement ki age main hain tou unhain bhi aaraam farahim karna aik betay ka farz hay... bas wasayil aisay honay chayeh jiss main woh apni biwi ko alag rakh kar bhi apni Maa aur bhai ko ghar ka kharcha daita rahay aur saath main aik noukraani bhi rakh sakay jo ghar kay kaam kaaj aur khana bananay main walida ki madad kar sakay.

          Joint family system kay jahan bohat say faiday hain wahan bohat say nuqsaanat bhi hain, aap nay srif aik misaal per baat karnay ki baat ki hay issi liye main apni post ko yahi tak mehdood karta hoon.

          Khush rahyeh

          FI Amaan ALLAH



          Originally posted by mano_billi View Post
          Asalam o alaikum ... :hii:

          baht arsay baad thread laga rahi hu ajeeb ajeeb lag raha he :D ....

          me ne apni bhabi ki friend ki baat suni ke uski kafi aged saas hein or aik devar unmarried tha jo college me tha..phir bhee woh apne mian ko le ke alag hogayi ye keh ke mein apne mian ko share nahi kar sakti kisi ke sath

          to mjhe batayein kia joint family system me rehna aj kal ki larkiyo ke lye itna hi azaab ban gaya he :garmi: ke apni asal family ko nahi jhel sakteen? :think:

          joint family system ke ap ke khyal me pros and cons kia hein :sword:

          asal family is lye kaha kyu ke kehte hein punjabi me "dhiyan paraya dhan" matlab betiyan parayee hoti hein unka susral hi unka real ghar hota he :shyy:


          waiting for ur replies
          sigpic

          Comment

          Working...
          X