Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Joint Family System*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: *Joint Family System*

    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    jab aik laRki kisi ghar maiN jati hai to us ghar ki laRkiyaN sochti haiN k yeh yaheeN rahay aur woh laRki sochti hai kay us ka alag ghar hona chaheay, isi terha jab woh laRkiyaaN jo aik laRki kay aanay par yeh sochti haiN kay woh laRki yaheeN rahay jab woh khud kisi laRkioN kay ghar jati hai to woh bhi yahe sochti hai kay woh alag ghar maiN rahay aur jis ghar maiN woh jati haiN wahaN ki laRkiyaaN bhi yahe soch rahe hoti haiN kay woh laRki yaheeN rahay magar phir woh jab khud kisi kay ghar jati hai to wahaN ki laRkiyaaN yeh sochti haiN k woh yaheeN rahay magar woh khud yeh sochti hai kay alag ghar hona chaheay

    so asal masla laRkioN ka hai unhe say pocho kay jab woh khud aik laRki ko lati haiN to yeh chahti haiN kay woh laRki un kay ghar rahay aur jab woh khud kisi kay ghar jati haiN to chahti haiN kay alaihda ghar ho
    uuuufff ye larkiyan hi sab gar bar ki zimadar hoti hen:pagal:

    Comment


    • #32
      Re: *Joint Family System*

      Originally posted by D@y W@lk3r View Post
      app nay sahi kaha maa baap ki zimaydari betay par hain aur wo usko nibhani chahay. lekin behan bhai ki koi zimaydari nahi.
      Frist Parents
      Second Wife
      etc........
      agar kisi larke ki behen baht choti he or us ke pas resources bhe nahi school jane ke to as a bara bhai usay kehna chahye jao shadi kar lo meri zimedari nahi tum? :donno:

      Comment


      • #33
        Re: *Joint Family System*

        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
        jab aik laRki kisi ghar maiN jati hai to us ghar ki laRkiyaN sochti haiN k yeh yaheeN rahay aur woh laRki sochti hai kay us ka alag ghar hona chaheay, isi terha jab woh laRkiyaaN jo aik laRki kay aanay par yeh sochti haiN kay woh laRki yaheeN rahay jab woh khud kisi laRkioN kay ghar jati hai to woh bhi yahe sochti hai kay woh alag ghar maiN rahay aur jis ghar maiN woh jati haiN wahaN ki laRkiyaaN bhi yahe soch rahe hoti haiN kay woh laRki yaheeN rahay magar phir woh jab khud kisi kay ghar jati hai to wahaN ki laRkiyaaN yeh sochti haiN k woh yaheeN rahay magar woh khud yeh sochti hai kay alag ghar hona chaheay

        so asal masla laRkioN ka hai unhe say pocho kay jab woh khud aik laRki ko lati haiN to yeh chahti haiN kay woh laRki un kay ghar rahay aur jab woh khud kisi kay ghar jati haiN to chahti haiN kay alaihda ghar ho
        is me mardon ka bhee utna hi qusuur hota he agar ye bat clear kar di jaye ke meri family ki tum ne respect karni he to ye ho hi na

        Comment


        • #34
          Re: *Joint Family System*

          Originally posted by unity View Post
          uuuufff ye larkiyan hi sab gar bar ki zimadar hoti hen:pagal:
          aaho

          Originally posted by mano_billi View Post
          is me mardon ka bhee utna hi qusuur hota he agar ye bat clear kar di jaye ke meri family ki tum ne respect karni he to ye ho hi na
          yeh matlab shadi :think:
          That's Enough...!!

          Comment


          • #35
            Re: *Joint Family System*

            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
            aaho
            is leay ap kabhi bhi kisi larki se shadi na karna

            Comment


            • #36
              Re: *Joint Family System*

              Originally posted by A.Athar View Post
              Islami Noqtaie Nazar Say Shohar Ki Zima dari hay K Bevi Ko alag Ghar Main Rakhay.Bevi ki Koit Zima Dari Nahi K Sas,Sosar,Nand,Daywar Ki Khidmat Karay.Ous Ki Zima Dari Shohar Ki Khidmat,Olad ki Parwarish Hay.Albata Agar Moashrati Noqtai Nazr Say Bevi Shohar K Rishton Ki Khidmat Karti hay to Yah ous ka SADQAI JARIA Samjha Jaiy Ga.or Bivi ki Alazarfi Ke Nishani Hoga.:rose
              TO Phir wo borha laachaar wajood
              wo kis ki zimaydari hay ?


              islaam sila e rehmi ki baat bhi to karta hay

              jab rishtaydaron tak k itnay itnay haqooq hain

              parosion k itnay haqooq hain k sagay rishton ka gumaan hota hay

              to maan baap ? ?

              dats not fair k aik larki aaye or apnay haqooq k naam pay ghar toor jaye
              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

              Comment


              • #37
                Re: *Joint Family System*

                Originally posted by unity View Post
                is leay ap kabhi bhi kisi larki se shadi na karna
                to kissay karen gay :donno:
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • #38
                  Re: *Joint Family System*

                  Originally posted by mano_billi View Post
                  is me mardon ka bhee utna hi qusuur hota he agar ye bat clear kar di jaye ke meri family ki tum ne respect karni he to ye ho hi na
                  righttoo
                  thori c correction karongi
                  wo larki ye larki k bajaye rishtay ki baat kartay hain

                  jo larki bhabi ban jati hay wo ye sochti hay
                  Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                  Comment


                  • #39
                    Re: *Joint Family System*

                    Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
                    to kissay karen gay :donno:
                    ye sochna pare ga:think:

                    Comment


                    • #40
                      Re: *Joint Family System*

                      جوائنٹ فیملی سسٹم پر آپ نے تھریڈ تو کھول دیا نیز یہ بھی واضح فرمادیا کہ آپ کو جوائنت فیملی سسٹم پسند ہے مگر آپ نے ان امور کی نشاندہی نہیں فرمائی کہ جن کے باعث یہ سسٹم اکثر ہمارے معاشرے میں کلیش کرجاتا ہے وہ کون سے امور ہیں اور انکا زیادہ تر زمہ دار کون ہے ؟ عورت یا مرد ؟؟؟؟؟ او آیا جوائنٹ فیملی سسٹم میں کوئی ایسی خرابیاں ہیں کہ جس کے باعث یہ کامیاب نہیں ہوپاتا یا پھر خرابی ہم لوگوں میں ہے ؟؟؟؟
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment


                      • #41
                        Re: *Joint Family System*

                        yar joint family mai bary mazy hainteddy
                        sab mil kar rehty hain mil bant kar kam krty hain aur har waqt ronaq si lagi rehti hain
                        m in joint family sab sath rehty hain

                        Comment


                        • #42
                          Re: *Joint Family System*

                          Wa salaam

                          Main ney yahan bohat sari larkiyan dekhi hain jo shadi key baad joint family hi mein rehna pasand karti hai. Unkey nazdeek joint family system mein rehna protection deta hai. Yeh hairat angez baat hai keh Denmark mein pedah hui larkiyaan aisa sochti hain. Woh barron sey un zimmedariyon ka seekhna chahti hain jo woh khud nahin janti. Unhein yeh protection bhi chahiyey keh jab woh sahib-e-aulad hon, koi buzurg ho jo na sirf parvarish mein rehnumaii karey balkeh waqt parrney per babysitting bhi kar sakein.

                          Aisi larkiyaan bhi hain jo shadi key baad sirf apney aap aur apney shohar ko dekhna chahti hai - yeh bhi unka haq hai, is sey unhein be'dakhal nahin kiya jaa sakta.

                          Ab agar yeh baat uthaii jaey keh kya sahih hai aur kya ghalt to bohat lambi aur la'hasil ho gi. Kyunkeh halaat waqt key saath saath badaltey hain. Woh daur aur they jab yeh ehsaas paaley jatey they keh 'ham ney paal pos key barra kiya hai' - ab aisa nahin. Zindagi bohat tez aur waqt mein koi barkat nahin rahi, gehma gehmi afratafri key daur mein aisa nahin chalta. Lehaza agar koi elag rehna chahta hai, to bhi drust aur koi joint mein to bhi drust :)
                          Last edited by Masood; 11 November 2009, 17:10.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #43
                            Re: *Joint Family System*

                            Originally posted by mano_billi View Post
                            Asalam o alaikum ... :hii:

                            baht arsay baad thread laga rahi hu ajeeb ajeeb lag raha he :D ....

                            me ne apni bhabi ki friend ki baat suni ke uski kafi aged saas hein or aik devar unmarried tha jo college me tha..phir bhee woh apne mian ko le ke alag hogayi ye keh ke mein apne mian ko share nahi kar sakti kisi ke sath

                            to mjhe batayein kia joint family system me rehna aj kal ki larkiyo ke lye itna hi azaab ban gaya he :garmi: ke apni asal family ko nahi jhel sakteen? :think:

                            joint family system ke ap ke khyal me pros and cons kia hein :sword:

                            asal family is lye kaha kyu ke kehte hein punjabi me "dhiyan paraya dhan" matlab betiyan parayee hoti hein unka susral hi unka real ghar hota he :shyy:


                            waiting for ur replies
                            Wa Alaikum Aslam,

                            I prefer joint family system. Lekin kuch exceptional cases mein couple alag se bhi reh sakta he. case to case depend kerta he
                            :thmbup:

                            Comment


                            • #44
                              Re: *Joint Family System*

                              me ko joint family system kuch khas pasand nahi hai
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #45
                                Re: *Joint Family System*

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                Wa Alaikum Aslam,

                                I prefer joint family system.
                                Yeh tu tumhein tumhari rukhsati key baad hi ilm ho ga keh tumhara case kya banta hai, aamir khatoon372-haha372-haha
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X