Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Buri Aurat
Collapse
X
-
Re: Buri Aurat
Originally posted by A.Athar View PostJanab ApnyPas itna Fazol Waqat Nahin K Dramon Par Kharch karsakin so is par kia tabsarh karonnnn.ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh
Comment
-
Re: Buri Aurat
Dr. sahib Wa salaam
Main ney is per aaj sey koi saal pehley hi likha tha aur Halaat-e-Hazira section mein aik khat bhi mojood hai jo main ney ARY Digital ko likha tha.
Aik waqt tha jab Pakistan mein aik channel huwa karta tha, PTV. Us per har haftey aik drama aaya karta tha jo main drama huwa karta tha. Us dramey ka intizaar sara hafta kiya jata tha aur har mehfil mein har satah per us ki kahani discuss hoti thi.
Us waqt competition nahin tha, waqt ziyada tha aur drama nawees har details per nazar rakhtey huwey aala paimaney key dramey likhtey they aur meyaar highest quality ka huwa karta tha...
Ab:
1) Pakistan mein be'shumar channels ho gaey hain
2) Hindustani channels Pakistan mein aazadana nazar aaney lagey hain
Beshumar channels ki wajah sey drama naweeson mein competion bohat barh geya hai. Quantity ziyada ho to quality gir jati hai. Aur yehi ho raha hai. Hamarey mulk mein kam'tari ka complex bohat barh chuka hai, "Art has no boundries" ka na'ara buland kar key do do takkey key drama'naweeson ney Hindustani channels per behoodah aur gandey aur kisi bhi achhi kahani sey aari dramo ko charbah karna shuru kar diya hai - yehi wajah hai keh meyaar intihaa ki had tak gir chuka hai. Mulk mein Hindustani soch ko khatarnaak had tak phailaya jaa raha hai jo keh hamari saqafat ki maut sabit ho gi.
What can we do? NOTHING. Kyun keh na ARY waley aap ki baat suntey hain aur na GEO waley - koi bhi channel aawam ki baat nahin suney ga...tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
Comment