Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aj k Students...kal k Teachers....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aj k Students...kal k Teachers....

    السلام عليكم و رحمة الله

    Aj kul k students se jub poocha jata hai k app kya banein gey...tu sub se akhir mai teacher ban'ney k barey mai sochein gey..
    kyunki Ustaad se mutasir honey ki had ab class k darwzaey tak hii mehdood reh gaye hai...Ek student class se bahir jatey hii class mai sikhayii janey wali har baat bhool jata hai...KYUN????

    Kyun Ustaad ki ab wo taaseer na rahii????

    Akhir kyun aj k students sirf skills gain karna chatey hain na k education haasil karna???
    kya ye kehna munasib hoga k ek mutavaze' nasal k peechey ek ghair maayaarii taleem hai or ghair mayaarii taleem k peechey na munasib Ustaad???

    agar haan tu aj k Ustaad kul ki taleem k paidawaar hain...tu kya ye cycle youn hii chalta rahey ga????

    Akhir wo kya factors hain jo ek student mai apney Ustaad se kuch bhi gain karney k khilaaf resistance paida kartey hain????

    or kaisey hamarii society ko wo students milein gey jin ki usey zaroorat hai???
    .......................!!!!!

  • #2
    Re: Aj k Students...kal k Teachers....

    I think...Good Student doesn't become a Good Teacher and.....Good Teacher doesn't become a good Student chiips
    Last edited by kutkutariyaan; 3 November 2009, 14:12.

    Comment

    • #3
      Re: Aj k Students...kal k Teachers....

      walikum salam

      Aap ne kaha ke aajkal ke students skills hasil karna chahte hain na ke education..

      Kisi ko kuch skill bhi aik acha ustaad hi sikha sakta hay, mere khayal main agar aap aikk achay teacher banna chahte hain, to zaroori nahi ke aap apni hi field se munsalik rhaein, aap apnay koozay se bahir niklai, litterature parhein, skills seekhein, aik teacher ko aik amli insaan bhi hona chahye, aur students ka ideal bhi.

      Inhi cheezoN ke fuqdaan ki wajah se humara muashra aik kaamil ustaad se mehroom hay, jis chain ka ap ne zikar kia woh to shyad chalti rahey, aik student jo bhari fees de kar parha hay, woh agar teacher ban bhi gaya to woh bhi part time tutions wagaira parhaye ga, aur lecture room main objects ko elaborate nahi karey ga, taaky students ka rush ho us ke paas, 3 , 4 groups parhnay aaty hon. Aik acha muallam wohi hay jis ke andar ilam phelany ka haqeeqi jazbaa mojood hay. Agar hum kisi ko kuch sikha rahey hain to humain issy pese kamany ka behter zarya nahi samjhna chahye, aik acha teacher, jo ussay ilam hay, us se bhi barh ker koshish karey ga ke us ke students tak woh ilam bhi puhanchay jo us ne apnay achay teacher se seekha hay.
      Allah

      Comment

      • #4
        Re: Aj k Students...kal k Teachers....

        Originally posted by bhataktii rooh View Post
        السلام عليكم و رحمة الله

        Aj kul k students se jub poocha jata hai k app kya banein gey...tu sub se akhir mai teacher ban'ney k barey mai sochein gey..
        kyunki Ustaad se mutasir honey ki had ab class k darwzaey tak hii mehdood reh gaye hai...Ek student class se bahir jatey hii class mai sikhayii janey wali har baat bhool jata hai...KYUN????

        main to aj tak nhe bholiteddy

        Kyun Ustaad ki ab wo taaseer na rahii????

        waja shyed kud ustaad hon kuch seb nhe:hairdrayer:

        Akhir kyun aj k students sirf skills gain karna chatey hain na k education haasil karna???
        kya ye kehna munasib hoga k ek mutavaze' nasal k peechey ek ghair maayaarii taleem hai or ghair mayaarii taleem k peechey na munasib Ustaad???

        :think:

        agar haan tu aj k Ustaad kul ki taleem k paidawaar hain...tu kya ye cycle youn hii chalta rahey ga????

        nhe b kal k ustaad aj ki taleem b to hasil ker rahainn hain zamana badel raha hain

        Akhir wo kya factors hain jo ek student mai apney Ustaad se kuch bhi gain karney k khilaaf resistance paida kartey hain????

        i think ustaad apne ap ko bus ustaad he samjhta hain jeb wo student ko student k level per rekh k us k mind ko study kery ga teb he wo usy smjhy ga aur perhaye ga b

        or kaisey hamarii society ko wo students milein gey jin ki usey zaroorat hai???

        mery B.ED KERNE K BAD372-haha372-haha

        TO be honest muje teaching ka aur b.ed ka koi shoq nhe tha lakin jeb main ny apne teacher ko dekha aur un ho ny muj seekhya aur jeb wo apne students ki batain baataty k me k student me k copy kerty jaysa hair style banata hon wo b wyasa banty han ek rolmodel hota hain teacher aur yeh baat me k dil itnaaaaa gehri ja k lagi k main ny is line ko join kerny ak faysela kia aur is sy izaz ki baat me k liya koi nhe ho g main apne students aur mashery k liya b ek aschi insan aur rollmodel beno janty hain me k teacher kon?
        (wasi adda mean wasi anjum jin sy muje teacher benany ki spirit mili ) thanks addateddy
        ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: Aj k Students...kal k Teachers....

          Originally posted by ashi View Post

          tu tum nay faqat pana hair style copy karwany k liye ye line ikhtiar kee lolz 372-haha
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment

          • #6
            Re: Aj k Students...kal k Teachers....

            Originally posted by aabi2cool View Post

            g nhe

            • #7
              Re: Aj k Students...kal k Teachers....

              Originally posted by ashi View Post
              g nhe
              khadara ye shoba chor do reham karo is qaum per is qaum k bachon per aur un k aany waly kal per
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment

              • #8
                Re: Aj k Students...kal k Teachers....

                bohat acha topic he, mere khyaal se aashi aa gai he bolnay ke liye, is liye mein chup ker jata hoon :lol
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: Aj k Students...kal k Teachers....

                  To be very honest teacher banna is not a easy job.... ek Qom, ek generation or ek mulk ke mustaqbil ki zimedari ek ustad ke kandho per hoti hai..... me ki mom ne kahein parha tu woh bata rahi thi ke teaching sub se aasan profesion banta jaa raha hai day by day.. is ke faydeh bhi bare hain (like you get winter and summer vactaion.. sat nd sun holidays... LOl) so you will see ke log teacher banne mein bari dilchaspi lete hain.... specially those jin ke numberz kum ho (not all)... shaid isi liye kahein na kahein we are lacking... coz jo acche skills ke log hai... woh high profile job mein hai...

                  aap nursury ke baccho se poocho ke woh bare ho ker kya banna chahte hain "90% kaheinge Teacher" coz un ke liye un ke teacher sub kuch hote hain.. but aap 10th grade ke bacche se poocho aap kya banna chahte hain woh "doctor, eng etc etc" kaheinge.... so baccho ka jo nursury ka image hai teacher ka usey banna kar rakhna bauaht zaroori hai kahein na kahein... :rose

                  secondly.... Qol w fel mein tazad... yeh ek aisi wajah hai ke zubaan se taseer hi uth jaati hai.... so kahein na kahein yeh bhi ek reason hai or is ka hal yahi hai ke as a teacher aap bhale hi class mein na ho ya apne students ke samne na bhi ho tub bhi wohi karein jo aap class mein seekhate hain....:think:

                  yeh me ki mom ne kaha tha us waqt jub me apna pehle workshop lene jaa rahi thi.... and how it works I tell you... me ne saving per kuch kaha baccho ko... or as a person hum kabhi saving nahi karte... if you give me 500 today humare same day khatam hojaate hain.. LOl..:embarasse so hum ne un baccho se kaha dekho yaro saving mein tu hum bhi bauaht bure hain what we can do aap log hum per check rakho... hum sub ek "saving bank" banate hain apna apna or hum roz us mein paise daaleinge.... me ne bhi saath shoro kiya apne baccho ke... ab humari or un ki saving saath saath chal rahi hai.. hahaha... so you need to be lil bit honest with yourself and with otherz... :blush:

                  or bhi kuch factorz hai... will talk later on it.. lets see or log kya kehte hain....

                  Comment

                  • #10
                    Re: Aj k Students...kal k Teachers....

                    Originally posted by ummid View Post

                    Kisi ne sahi kaha he, larkiyaan bohat boolti hein
                    :thmbup:

                    Comment

                    • #11
                      Re: Aj k Students...kal k Teachers....

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Kisi ne sahi kaha he, larkiyaan bohat boolti hein
                      Kisi ney itna sahi bhi nahi kaha
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      • #12
                        Re: Aj k Students...kal k Teachers....

                        Originally posted by bhataktii rooh View Post
                        السلام عليكم و رحمة الله

                        Aj kul k students se jub poocha jata hai k app kya banein gey...tu sub se akhir mai teacher ban'ney k barey mai sochein gey..
                        kyunki Ustaad se mutasir honey ki had ab class k darwzaey tak hii mehdood reh gaye hai...Ek student class se bahir jatey hii class mai sikhayii janey wali har baat bhool jata hai...KYUN????

                        Kyun Ustaad ki ab wo taaseer na rahii????

                        Akhir kyun aj k students sirf skills gain karna chatey hain na k education haasil karna???
                        kya ye kehna munasib hoga k ek mutavaze' nasal k peechey ek ghair maayaarii taleem hai or ghair mayaarii taleem k peechey na munasib Ustaad???

                        agar haan tu aj k Ustaad kul ki taleem k paidawaar hain...tu kya ye cycle youn hii chalta rahey ga????

                        Akhir wo kya factors hain jo ek student mai apney Ustaad se kuch bhi gain karney k khilaaf resistance paida kartey hain????

                        or kaisey hamarii society ko wo students milein gey jin ki usey zaroorat hai???
                        Walaikum Salam Rooh,

                        Iss sab ki aik hi waja hai, uljha hua aur bata hua taleemi mayyar. Aaj k students ko kal k achey mua'lim bananey k liye zaroori hai k ham aaj k asat'za ko train karein.

                        Jahan tak baat iss shaubey mey interest na leyna hai tau merey khayal mey iss mey aik financial factor bhi ho sakta hai? Mumkin hai k teachers itna acha pay na hotey hon jitna k aur fields mey aap kama sakein?
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #13
                          Re: Aj k Students...kal k Teachers....

                          Originally posted by kutkutariyaan View Post
                          I think...Good Student doesn't become a Good Teacher and.....Good Teacher doesn't become a good Student chiips
                          u think wat u think ...but y do u think wat u think...cant u think wat others think...n so u'll be able to think that others also can think ......:lol

                          anywayz apnii inni qeemtii raye deney ka shukriya.....:)
                          .......................!!!!!

                          Comment

                          • #14
                            Re: Aj k Students...kal k Teachers....

                            Originally posted by Yaaram View Post
                            walikum salam

                            Aap ne kaha ke aajkal ke students skills hasil karna chahte hain na ke education..

                            Kisi ko kuch skill bhi aik acha ustaad hi sikha sakta hay, mere khayal main agar aap aikk achay teacher banna chahte hain, to zaroori nahi ke aap apni hi field se munsalik rhaein, aap apnay koozay se bahir niklai, litterature parhein, skills seekhein, aik teacher ko aik amli insaan bhi hona chahye, aur students ka ideal bhi.

                            Inhi cheezoN ke fuqdaan ki wajah se humara muashra aik kaamil ustaad se mehroom hay, jis chain ka ap ne zikar kia woh to shyad chalti rahey, aik student jo bhari fees de kar parha hay, woh agar teacher ban bhi gaya to woh bhi part time tutions wagaira parhaye ga, aur lecture room main objects ko elaborate nahi karey ga, taaky students ka rush ho us ke paas, 3 , 4 groups parhnay aaty hon. Aik acha muallam wohi hay jis ke andar ilam phelany ka haqeeqi jazbaa mojood hay. Agar hum kisi ko kuch sikha rahey hain to humain issy pese kamany ka behter zarya nahi samjhna chahye, aik acha teacher, jo ussay ilam hay, us se bhi barh ker koshish karey ga ke us ke students tak woh ilam bhi puhanchay jo us ne apnay achay teacher se seekha hay.

                            thank u 4 replying....:rose

                            n chalye skills word ki jaga agar hum degree likh lein ab ap kya kehna chahein gey is baarey mai....:donno:

                            hum yahii tu pooch rahey hain k akhir aisa kya change hogaya k teachers mai wo jazba na raha....

                            n when i talk about teachers is mai sub teachers nai atey..aksariyat ki baat horahii hai....

                            n kya ap yeh bata saktey hain akhir kyun students teachers se mutasir nai hotey ab....wats d reason ...khaamii teachers mai hai ya koi or factors hain???
                            .......................!!!!!

                            Comment

                            • #15
                              Re: Aj k Students...kal k Teachers....

                              Originally posted by aabi2cool View Post
                              tu tum nay faqat pana hair style copy karwany k liye ye line ikhtiar kee lolz 372-haha
                              bhaijaan ap ne kuch nai bolna...:embarasse
                              .......................!!!!!

                              Comment

                              Working...
                              X