Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Closure of Educational Institutes:

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Closure of Educational Institutes:

    Originally posted by Z. View Post
    Salam,

    Pak. k sabhi schools,uniz,colleges 25th tak band hein. Aap k khayal mey ye aik acha step hai? Kya hakumat 100% sure hai k mondays sey halat 101% in control hon gey? Iss sarey faisley ka aur schools band honey ka tulba per kya asar rahey ga/hai aur aap iss sari situation ko kaisey dekhtey hein?
    Walaikum Assalam

    Mera nhi khayal k institute bund kurne se koi khass fark parey ga....jaise uncil ne kaha k eelan'e'jang kur dena chahie..i think k yahi aik option reh gaya he....school bund kurne se behter he app educational institute me jang ki taining de sakte he...mentally and physically prepare kur sakte he...

    institute bund kurne ka koi faida nahi dehshut gard koi robot to he nahi k 1 hafte ki programming ki hui he..us k badd koi blast nahi kurein ge...

    Khi me Uni'z khuli hui he....as such koi measure nahi he security ka infact mera nic tuk check nahi hua ajj...app suicide attack me koi safety measures le hi nahi sakte...

    Comment


    • #17
      Re: Closure of Educational Institutes:

      Originally posted by Ms.Khan View Post
      meri to uni khuli hai or Mr.Khan mujhe jane bhi nahi de rahe :fly:
      is waqt jo jitna buzdil hai woh utna he aqal'mand hai, yahaN kay logoN ko ajeeb bemari hai, maloom nahe unhaiN kisi mashkok banday ka bag check kartay howay kioN sharam aati hai, ya phir apnay hifazati intezamat par, aur haqiqat hai jab koi aisa kuch karay to kaha jata hai kay yeh kia buzdili hai, mout jab aani ho gi aajaiy gi, tumhari kaun jaan lay lay ga etc :fuming:

      Originally posted by _Dard_Aashna_ View Post
      :khi: paai hamari hakumat hamaray ath khail khail rahi hy aur aap keh rahay hain k un ko kaho khail khtam kar do 372-haha
      itnay achay hukmraan nahi milay hamen jo khuddari ka matlab samjhtay hoon
      ye wo log hain jo pakistaan ko baich k kha gaye hain
      to in ko mulk ki salaamti ki ya awam k mustaqbil ki kia fikar
      aisay maren yawesay maren marnay do bhiii
      ibn-e-mariyam howa karay koi,
      mery dukh ki dawa karay koi.

      humaray muashiray maiN dard-Aashna bohot haiN, magar kisi kay pass "dawa" nahe hai :donno:

      jo baat tum kar rahe ho woh sab ko maloom hai aur sab he kehtay haiN, magar kia abhi bhi "amal" ka waqt nahe aya??

      govt. siasat'dano par mitti pao, kia hum khud kuch nahe kar saktay, hum 4,5 friends apnay 4,5 friends ko qail karaiN kay woh mazeed apnay 4,5 friends ko mila kar unhaiN bhi 4,5 friends ko qail kar kay aik aisa chain system bana daiN kay hum apni aankhaiN khuli rakhaiN?
      That's Enough...!!

      Comment


      • #18
        Re: Closure of Educational Institutes:

        Originally posted by Z. View Post
        Salam,

        Pak. k sabhi schools,uniz,colleges 25th tak band hein. Aap k khayal mey ye aik acha step hai? Kya hakumat 100% sure hai k mondays sey halat 101% in control hon gey? Iss sarey faisley ka aur schools band honey ka tulba per kya asar rahey ga/hai aur aap iss sari situation ko kaisey dekhtey hein?

        waslaam


        ITS CALLED EXTREME MISMANAGMENT

        dekhiye HASB E HAAL ka aakhiri hissa
        Siasat.pk • HASB-E-HAAL - October 24, 2009
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • #19
          Re: Closure of Educational Institutes:

          Acha hai issi bahane beche aram ker lain chiips

          Comment


          • #20
            Re: Closure of Educational Institutes:

            Originally posted by Z. View Post
            Salam,

            Pak. k sabhi schools,uniz,colleges 25th tak band hein. Aap k khayal mey ye aik acha step hai? Kya hakumat 100% sure hai k mondays sey halat 101% in control hon gey? Iss sarey faisley ka aur schools band honey ka tulba per kya asar rahey ga/hai aur aap iss sari situation ko kaisey dekhtey hein?

            Z 25th tak nahi 3rd nov ko khulne hein schools :lol: mein pakistan me hi thi jab ye step lya gaya tha saray bache itne khush the :lol: hum khushi celebrate karne joyland bhe gaye .. me ke saray cousins kehte hein tumhare anay se humare school colleges bandh hue hein tum yahi reh jao :lol

            or me ke uncle univ. me lecturer bhee hein woh itne khush the chutiyan hogayee chutiyan hogayeen :lol

            Comment

            Working...
            X