Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poets N Poetry

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Poets N Poetry

    asslamaolikum respected members /shade
    kal ek member se baat ho rahi thi ,kehnay lagay k ''saghar sadiqui ne tou shyeri mere liye hi ki hai....matlab unki shyeri mere ehsaasat aur jazbaat ki tajumani krti hai''

    kabhi aapko esa feel hua ,kis poet ka kalaam aap ko lagta hai k ''aap'' ki tarjumani krta hai.....?

    aur
    wese aapko ko konsay poets pasand hain .....aur kiyon?

    aur kabhi koi aap k liye sher kaha jata ho ya kaha gaya ho???
    matlab aapki nature k hawalay se ya aap k kisi amal k hawalay se wgera wgera

    (edited)

    looking 4 ur detailed replies :)
    Last edited by saraah; 15 October 2009, 19:39.
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

  • #2
    Re: Poets N Poetry

    Originally posted by saraah View Post

    Walekum Asslam
    Nice thread sara :phool:

    Mujhe Wasi Shah, Farhat Abbas shah Aur Sahir Ludhiyanvi ko perh ker aisa feel hota hai jaisay ye mein kehna chahta tha mager unhon ne usay bayan ker diya ho, mujhe ye teenoo poet bahot pasand hain in ki poetry mein dard hai ghehrai hai ehsasat hain sab acha likhtay hain mager mujhe ye poet bahot pasand hain
    Hmm mujh per shair kahe gaye hain shayed mujh per he thay kaha to aisa he tha :)
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: Poets N Poetry

      w/salam
      again nice thread dearo
      hmmm... as Wasi ji said.... issa to mujhy be kabi kabi feel hoti hai..agar koi poetry phero... to isa lagta hai..meri lye hai.. yah mein be yahi kehna chahti ho....etc... :)
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment

      • #4
        Re: Poets N Poetry

        walaikum salam
        Mujhey halli phulki shairi pasand hai jo mujhey samaj aa jaye :-D , ziada mujhey nazmein pasand hein. Abhi tak kisi shair ney merey liye poetry nahi kahi lol ... baki kuch nazmein,ashaar aeyseys hotey hein k jin ko perhney sey aeysa lagta hai k yahi mey kehna chah rahi thi, feel ker rahi hun, ya etc etc :-D
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: Poets N Poetry

          saraah Insaani jazbat aur ehsaasat waqat k sath tabdeel hotey hain to usey aesa lagney lagta hai k shayed yeh poetry marey laey he likhi gaey hai....

          Hota kuch asey hai k jab insaan prechan hota hai to wo sad poetry parhney key koshish kerta hai to asey soorat mein us mostlt ashaar apney opper fit hotey hoey mehsoos hotey hain

          MMuje habib jalib..Ahmad Faraz..Fiaz Ahmad Faiz.....
          shakeeb jalili...Munir Niazi.....Ahmad nadeem Qasmi pasnad hain
          I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

          Comment

          • #6
            Re: Poets N Poetry

            Originally posted by saraah View Post
            asslamaolikum respected members /shade
            kal ek member se baat ho rahi thi ,kehnay lagay k ''saghar sadiqui ne tou shyeri mere liye hi ki hai....matlab unki shyeri mere ehsaasat aur jazbaat ki tajumani krti hai''
            us banday ka naam batao :think:

            Originally posted by saraah View Post
            kabhi aapko esa feel hua ,kis poet ka kalaam aap ko lagta hai k ''aap'' ki tarjumani krta hai.....?

            aur
            wese aapko ko konsay poets pasand hain .....aur kiyon?

            aur kabhi koi aap k liye sher kaha jata ho ya kaha gaya ho???
            matlab aapki nature k hawalay se ya aap k kisi amal k hawalay se wgera wgera

            (edited)

            looking 4 ur detailed replies :)
            Mera favourite poet "Truck he", jitnay interesting shair trucks ke peechay likhay miltay hein wo kisi aik ki shairi mein itni verstality nahi milti :shyy:

            Koi aik particular poet nahi pasand, mukhtalif aukaat mein mukhtalif ashaar pasand aa jatay hein, aur shair aisay pasand aatay hein jo life ki kisi hakeekat se perda uthatay hein.

            Mera yeh maanana he ke ishkiya aur derd wali shairi insaan ko practical honay se door ker deti he, is liye mein ne kabi deeply is mein involve honay ki kooshish nahi ki. Her aik ka apna point of view he :think:
            :thmbup:

            Comment

            • #7
              Re: Poets N Poetry

              Originally posted by saraah View Post
              asslamaolikum respected members /shade
              kal ek member se baat ho rahi thi ,kehnay lagay k ''saghar sadiqui ne tou shyeri mere liye hi ki hai....matlab unki shyeri mere ehsaasat aur jazbaat ki tajumani krti hai''

              kabhi aapko esa feel hua ,kis poet ka kalaam aap ko lagta hai k ''aap'' ki tarjumani krta hai.....?

              aur
              wese aapko ko konsay poets pasand hain .....aur kiyon?

              aur kabhi koi aap k liye sher kaha jata ho ya kaha gaya ho???
              matlab aapki nature k hawalay se ya aap k kisi amal k hawalay se wgera wgera

              (edited)

              looking 4 ur detailed replies :)
              Walaikum Assalam...!!!

              Mujhay lugta he Ather shah Khan Jaidi ne meri lie hi shairi ki he:shyy:

              Waise jokes apart....abhi kuch salon pehle mujhay WASI SHAH ki poetry achi lagne lagi thi:lol...per Allah ka shuker he me us phase se bahir agaya....

              Mein ne jub se Zaid Hamid ko suna he mujhay to Allam iqbal ki poetry bare mazae li lagne lagi he me ko romaaaaaaantic shairi nahi pasand...iqbal ki poetry mazae ki he, motivational, inspirational....jaise
              "Deen kia, deen ki imamat kia
              yeh kia jane yeh 2 rak'at k imam"

              aur me pe kon shair kahae ga...
              me pe to koi geedur nahi keehta

              Comment

              • #8
                Re: Poets N Poetry

                walikumsalam

                Nice thread saraah

                Mujhey buss woh shayeri ya kalam acha lagta hay jo parhtey hi dil main utar jaye.

                Mujhey Saadullah Shah ki shayeri pasand hay. :)

                aur mera khayal hay ke humain yeh nai sochna chahye ke shayer humarey jazbaat ki tarjumani kartey hain. buss sachayi per mabni shayeri parhni chahye. aur mujhey bhi wahi pasand hay. mubaliga arayi achi nai lagti :)
                Allah

                Comment

                • #9
                  Re: Poets N Poetry

                  Walaikum Assalaam Respect Saraah :)

                  Khulta Kisi Pay Kiyon Meray Dil Ka Maamla...!
                  Shairon Kay Intikhaab Nay Ruswa Kia Mujhay

                  Sahi kaha aap nay kay aksar jab hum koi sha'air paRhtay hain tou aisa mehsoos hota hay jaisay shayer nay yeh humaray hi halaat ko apnay lafzoon main bayan kar diya hay.... shayer ki yeh khoobi kay woh chand lafzoon main poori dastaan bayan kar daita hay qabil-e-tehseen hay... hum jaisay seedhay saadhay log tou bas lambi lambi posts say he apnay dil ki baat ya apnay ehsaasat bayan kar saktay hain!

                  Tum Tou Shayer Ho Qateel Aur Woh Ek Aam Sa Shakhs
                  Uss Nay Chaha Bhi Tujhay Aur Jataayaa Bhi Nahin......!

                  Shayeri ek aisi zabaan hay jo chand lafzoon main insaan kay pooray wajood ko jhanjhoR kar rakh day, uss kay ehsaasat ko jaga day, aur ussay zindagi ko srif apni zaat tak mehdood rakhnay say dour rehnay ki talqeen karay, jaisay kay ALLAMA IQBAL nay Hindustan kay musalmanoon kay zameer ko zinda karnay kay iss ka istimaal kia.... unki shaaeri paRh waqayi yeh ehsaas hota hay kay humari zindagi per srif humara hi nahin balkay unn sab insanoon ka bhi haq hay jis ka ALLAH nay aur Uss kay Rasool SAW nay hukum farmaya, yaani huqooq ALLAH ki adaaegi jis ki maafi bhi nahin aur jis ka sawal bhi hoga!
                  Aaj kal kay halaat jin ki waja say main khudh bohat parishaan hoon unko inn chand lafzoon main bayan kar raha hoon, umeed hay dil ko cho jayain gain!

                  Jaltay Ghar Ko Dekhnay Waloon, Ghaas Ka Chappar Aap Ka Hay
                  Aag Kay Peechay Taiz Hawa Hay, Aagay Muqaddar Aap Ka Hay
                  Uss Kay Qatal Pay Main Bhi Chupp Tha, Mera Number Ab Aaaya
                  Meray Qatal Per Aap Bhi Chupp Hain, Agla Number Aap Ka Hay
                  Meray Sarr Ka Khaas Nishaana Aur Wohi Khaas Andaaz
                  Phaikhnay Waala Koi Bhi Tha, Laikin Pathar Aaap Ka Hay

                  Shaeri aik aisi taaqat hay jisay sahi andaaz main istimaal kia jayay tou qoum ko jaga sakti hay.

                  ALLAH SWT humaray mulk ko apni hifz-e-amaan rakhay aur inn janoo kay ziya ko rokay AMEEN.

                  Apni duwayoon main iss khaksaar ko aur ahl-e-ayaal aur ird gird rehnay waalay tamam Pakistaniyon ki salamti kay khusoosi dua kijyey ga.

                  FI Amaan ALLAH

                  sigpic

                  Comment

                  • #10
                    Re: Poets N Poetry

                    Originally posted by saraah View Post
                    asslamaolikum respected members /shade
                    kal ek member se baat ho rahi thi ,kehnay lagay k ''saghar sadiqui ne tou shyeri mere liye hi ki hai....matlab unki shyeri mere ehsaasat aur jazbaat ki tajumani krti hai''

                    kabhi aapko esa feel hua ,kis poet ka kalaam aap ko lagta hai k ''aap'' ki tarjumani krta hai.....?

                    aur
                    wese aapko ko konsay poets pasand hain .....aur kiyon?

                    aur kabhi koi aap k liye sher kaha jata ho ya kaha gaya ho???
                    matlab aapki nature k hawalay se ya aap k kisi amal k hawalay se wgera wgera

                    (edited)

                    looking 4 ur detailed replies :)
                    Walekum Salam
                    mukhtalf poets ki shairi pasand he....jo achi lag jaey....nazmen or ghazlen don.......zeada is leay nahi parhti k shairi insan ko haqeeqat se farar sikhati he....

                    Comment

                    • #11
                      Re: Poets N Poetry

                      Originally posted by WASI ANJUM View Post
                      Walekum Asslam

                      Nice thread sara :phool:

                      Mujhe Wasi Shah, Farhat Abbas shah Aur Sahir Ludhiyanvi ko perh ker aisa feel hota hai jaisay ye mein kehna chahta tha mager unhon ne usay bayan ker diya ho, mujhe ye teenoo poet bahot pasand hain in ki poetry mein dard hai ghehrai hai ehsasat hain sab acha likhtay hain mager mujhe ye poet bahot pasand hain

                      Hmm mujh per shair kahe gaye hain shayed mujh per he thay kaha to aisa he tha :)

                      shukria wasi :)

                      wasi ....wasi shah ki shayeri me kya gehrai hai...zra unn k kalam se koi ''gehra kalam'' tou share kijiye ga agr zehmat na hou tou

                      aur khud pe kahay gaye sher tou share kren hamaray sath /hmmm
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment

                      • #12
                        Re: Poets N Poetry

                        Originally posted by *Hala* View Post
                        w/salam
                        again nice thread dearo
                        hmmm... as Wasi ji said.... issa to mujhy be kabi kabi feel hoti hai..agar koi poetry phero... to isa lagta hai..meri lye hai.. yah mein be yahi kehna chahti ho....etc... :)

                        hala jani

                        yeh aap ne socha hoga jatay jatay me b reply kr doon

                        chalain thank u
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment

                        • #13
                          Re: Poets N Poetry

                          Originally posted by saraah View Post
                          shukria wasi :)
                          Originally posted by saraah View Post

                          wasi ....wasi shah ki shayeri me kya gehrai hai...zra unn k kalam se koi ''gehra kalam'' tou share kijiye ga agr zehmat na hou tou

                          aur khud pe kahay gaye sher tou share kren hamaray sath /hmmm

                          Dekhen saraah pasand apni apni hoti hai
                          bas mere dil ko wasi shah ki poetry he bhati hai

                          ye shair dekhen
                          Apne ehsaas se chhu ker mujhe sandal kerdo
                          mein kai sadiyon se adhura hon mukamil ker do

                          ye

                          Ab k bichhre hain to ehsaas hua hai hum ko
                          dard kiya hai judai kisay kehte hain ?

                          ya

                          tum meri aankh k tewer na bhula paoge
                          an kahi baat ko samjho ge to yaad aaonga

                          ya

                          samander mein utarta hon to aankhen bheeg jati hain
                          teri aankhon ko perhta hon to aankhen bheeg jati hain

                          meri aankhon se khawab dekho to ik shab na so sako ge
                          k khawab kiya hain azab hain ye

                          Dayar e gair mein kese tujh ko sada dete
                          Tu mil bhi jata to aakhir tujh ko ganwa dete

                          Filhal zehan mein yahi shair aa rahe hain....
                          aasaan se lafzon mein dard ko seedhe andaz mein bayan kiya gaya hai wasi ki poetry mein isi liye mujhe pasand hai
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: Poets N Poetry

                            cha gayay Wasi Anjum sahab bohat khoob. yeh shair jo aap ka intikhaab hay bohat khoob laga

                            Tum meri aankh kay taywar na bhula pao gay
                            An kahi baat ko samjho gay to yaad aayon ga
                            sigpic

                            Comment

                            • #15
                              Re: Poets N Poetry

                              Originally posted by Z. View Post
                              walaikum salam
                              Mujhey halli phulki shairi pasand hai jo mujhey samaj aa jaye :-D , ziada mujhey nazmein pasand hein. Abhi tak kisi shair ney merey liye poetry nahi kahi lol ... baki kuch nazmein,ashaar aeyseys hotey hein k jin ko perhney sey aeysa lagta hai k yahi mey kehna chah rahi thi, feel ker rahi hun, ya etc etc :-D

                              hmmmmm

                              muje b nazmain pasnd zayda :hairdrayer:
                              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                              Comment

                              Working...
                              X