Re: ek afsos naak khaber
Waqayi khabar tou bohat afsoos naak hay aur dil bhi dukh raha hay kay aap ki zindagi kis tarah mumkin hogi, zinda tou shayed aap reh lain magar aik bayjaan laash ki tarhan, aap ka wajood uss demakzada darwazay ki tarah hojayay ga jissay koi dekhnay kay liye bhi tayyar nahin dastak daina tou door ki baat hay.....
Hum nay tou zindagi kay wajood kay liye 4 ansar sunay thay. AAG, HAWA, MATTI aur PAANI... iss jadeed dour main inn anasir ki revision bohat zaroori hay...
Aaj jeenay ka 4 ansar kay ilaawa mobile phone paanchwaan, computer chatta aur internet satwaan ansar hay!!!
Aap kay mobile ki mout per bohat afsoos hua, uski tadfeen-o-takfeen zaaroor kar lijye ga kahin uss ki aatma na bhatak baRay aur jagah aap ko uss ki ring tone na sunayee dainay lagay :)
Originally posted by ashi
View Post

Comment