Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

14 Aug special ...6th Aug 2009

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • 14 Aug special ...6th Aug 2009

    assalamalikum
    6th Aug 2009 ka sawal

    Hub-ul-watni kay baray main apnay comments likhian .....is kay achay or boray asraat :salam:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

    watan say mohabat? watan say mohabat to tab ho gi jab watan ke log aik dooje se mohabat karein ge.
    dilon main nafratein hon to watan say to keya sab say pehlay apnay aap say mohabbat ki koshish karni chahiye.
    din ko maro naaray"Pakistan zindabad" ............. aur raat ko indian movie.ROFL
    sorry to say , I never celebrate independence day, kyon ke ham abhi tak "ghulam" hain aur ghulam log jashan nahi manaya kartay.
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

      shyd yeh topic k mutaliq hai



      قومی عصبیت
      ابو فصیلہ سے روایت ہے ،وہ کہتے ہیں میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا:
      اپنے لوگوں سے محبت کرنا کیا عصبیت ہےِ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا،نہیں -بلکہ عصبیت یہ ہے کہ آدمی ظلم کے مقابلے میں اپنی قوم کا ساتھ دے۔

      از
      ''راہ عمل''
      مولانا جلیل احسن ندوی
      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment


      • #4
        Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

        "Asbiyat" keya hota hai?
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

          iska lafzi matlab .....'' taraf daari'' hai.....aur ''rishte daari'' b ......!
          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

          Comment


          • #6
            Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

            is hadith ka yahan kea maksad?
            qoum ka sath kesay diya jata hai, jab qoum main itehad hi na ho.itefaq hi na ho.
            is aik chotay say forum per logon main itefaq nahi hai pooray pakistan kay logon ka andaza asani say kiya ja sakta hai.
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

              Jab qoum ka dard dil main ho to jashan naih manaye jatay.un logon ko dekhain jin ko aik wakt khanay ko milta hai aur do wakt bhookay rehtay hain magar phir bhi apni safed poshi ki wajah say maang naih saktay..jin kay bachay taleem say mehroom hain.
              jab qoum ka dard dil main ho to zaban talkh ho jaati hai.
              ham yahan beth kay batein to bohat kartay hain lakin kabhi isi qoum kay un logon kay dukhon main shareek nahi howe. un kay paas ja kay un ka dil naih behlaya.
              lafzon say khel kay ham keya sabet kerna chatay hain kay ham main qoum ka bohat dard hai?
              zaban hilanay say nahi. forums per likh denay say nahi. amli tor per ham agar aik bi dukhi shakhs kay dukh main shamil ho jaen to ehsas bhi ho ga kay dukh hota keya hai.
              burger families kay log ka yeh fashion hai kay qoum kay dukhon ki baat forums per ki jay ,,,chahay to kisi bhi media ka forum ho.
              6 din say dekh raha hun jashan mananay ki tayyari ho rahi hai jis par laakhon rupee zaya kiye jaen ge.magar aik ghareeb aur dukhi shakhs ko apnay sath shamil nahi kiya jay ga.
              bas aaj dil uth geya yahan say...........
              chal uth way dila ithon turr chaliye
              ay sher nai gham kharaan da.........
              m3aa salam.
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

                :be pakistani:
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

                  Hub_al_watni ka matlab ya hay ka is waqit pakistn jais dore sa guzar raha hay , is waqit her muslman jo pakistani hay us ko achay our buray ke pachan kar ka pakistan dushman anasar ka khalaf kahara ho jana chai.Our islam ka is qilay ko dushman ka napak aradow say bachana chaia.Agar pakistn k lia is waqit jan ke be zorat paray to us ko be lota do.Ya Hub_al-watnie hay.Our is ka tmam achay israt he hain,bura maray kahail say koie nie hay.
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

                    Originally posted by Mirza Ghalib View Post
                    watan say mohabat? watan say mohabat to tab ho gi jab watan ke log aik dooje se mohabat karein ge.
                    dilon main nafratein hon to watan say to keya sab say pehlay apnay aap say mohabbat ki koshish karni chahiye.
                    din ko maro naaray"Pakistan zindabad" ............. aur raat ko indian movie.ROFL
                    sorry to say , I never celebrate independence day, kyon ke ham abhi tak "ghulam" hain aur ghulam log jashan nahi manaya kartay.
                    aur hum jashan manatay haiN, kioN kay hum aazad haiN :aug:

                    Originally posted by Mirza Ghalib View Post
                    Jab qoum ka dard dil main ho to jashan naih manaye jatay.un logon ko dekhain jin ko aik wakt khanay ko milta hai aur do wakt bhookay rehtay hain magar phir bhi apni safed poshi ki wajah say maang naih saktay..jin kay bachay taleem say mehroom hain.
                    jab qoum ka dard dil main ho to zaban talkh ho jaati hai.
                    ham yahan beth kay batein to bohat kartay hain lakin kabhi isi qoum kay un logon kay dukhon main shareek nahi howe. un kay paas ja kay un ka dil naih behlaya.
                    lafzon say khel kay ham keya sabet kerna chatay hain kay ham main qoum ka bohat dard hai?
                    zaban hilanay say nahi. forums per likh denay say nahi. amli tor per ham agar aik bi dukhi shakhs kay dukh main shamil ho jaen to ehsas bhi ho ga kay dukh hota keya hai.
                    burger families kay log ka yeh fashion hai kay qoum kay dukhon ki baat forums per ki jay ,,,chahay to kisi bhi media ka forum ho.
                    6 din say dekh raha hun jashan mananay ki tayyari ho rahi hai jis par laakhon rupee zaya kiye jaen ge.magar aik ghareeb aur dukhi shakhs ko apnay sath shamil nahi kiya jay ga.
                    bas aaj dil uth geya yahan say...........
                    chal uth way dila ithon turr chaliye
                    ay sher nai gham kharaan da.........
                    m3aa salam.
                    tum nay to kaha "ghulam" jashan nahe manatay??

                    yeh dosri baar uTha hai tumhara dil :shyy:

                    un loog bhi jashan mana rahay haiN bus kuch loog un ka naam lay'kar apnay jashan na mananay ka jawaz paish kar rahay haiN.

                    ajeeb loog ho tum bhi...!! woh mashwaray bhi daytay ho jis par khud kabhi amal nahe kartay..
                    That's Enough...!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

                      Originally posted by Mirza Ghalib View Post
                      is hadith ka yahan kea maksad?
                      .

                      iska maqsad yeh hai k yeh ahaadees ''hubb ul watni'' k baab me bayan hui hain
                      Attached Files
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment


                      • #12
                        Re: 14 Aug special ...6th Aug 2009

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        assalamalikum
                        6th Aug 2009 ka sawal

                        Hub-ul-watni kay baray main apnay comments likhian .....is kay achay or boray asraat :salam:
                        walaikum salam

                        Jiss tarhan her jazba apney hadood mey acha lagta hai ussi tarhan hubulwatni bhi hai. Agar ye racism ki had tak phonch jaye yani k jo kuch hein wo sirf "ham" hein (jaisey franissision ki tareekh mey hua) tau phir garh barh ho jati hai.
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        Working...
                        X