Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

14 Aug special ....5th Aug 2009

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • 14 Aug special ....5th Aug 2009

    assalamalikum
    is thread main pakistan ki mashoor folk stories pay kuch batana hai aap logoo nay :hii: ..pakistan kay kisi bhi shehar ki mashoor rewayaat , ya romantic stories jesay heer, ranjha , soni mahewaal waghera waghera jo aap nay sun rekhi houn :hairdrayer:

    :14:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

    Originally posted by Aanchal View Post

    jashn-e-azadi par ab hum in farigh logoN ko bhi yaad karaiN gaiy kia :fight:
    That's Enough...!!

    Comment

    • #3
      Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

      Comment

      • #4
        Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

        soory ghalti se mistake ho gai, mein ne kuch aur post kar diya.

        Comment

        • #5
          Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

          Ek dafa yaaram ne mujh se mangi thi ye story to mere pas save thi

          Heer Raanjha

          sargosha district k ek chhote say qasbay k ek chotay se shaher takhat hazar mein ek zamindar rehta tha us k 8 betay thay sab k sab mehnti aur khetoon per kaam karte thay un mein se sirf ek beta kaam chor tha jis ka naam dedoo tha us k lambe baal thay sara din baansri haath mein liye ghoomta rehta tha us doosre bhai usay bahoot tanay martay thay lekin us per koi asar nahi hota tha us ki ek bhabhi bhi usay tanay marti thi k tum haram khatay ho na kaam k na kaaj k dushaman anaj k kehti thi
          lekin deedo per koi asar nahi hota tha bas woh baansri haath mein liye sara din awara gardi karta rehta tha
          us k baansri k suroon mein aisa jadoo tha k kisanoo k haathoon se hal chhot jatay thay
          larkiyon k haath se lasi k bartan gir jatay thay...........
          aakhir kar us k bhaiyon ne tang aakar qazi k paas zameeno k batwaray ka faisala kiya saari zarkhez aur abad zaeemen khud rakh lin aur banjar zameenen deedo ko de di
          us k baad woh apni zamen per kaam karne laga jo nazak haath baansri bajatay tha woh ab hall chalanay lagay us ka sufeed rang garmi se kala ho gaya tha.......is darmiyan us k walid ka bhi intaqal hogaya bhai to pehlay he us se tang thay us ka baansri k ilawa koi dost bi nahi tha aakhirkaar usay itna tnag kiya gaya k woh takhat hazar chhorne per majboor hogaya
          us ne apni baansri saath li aur takhat hazara ko alvidah kaha aur dariya chanab ki taraf chal diya rastay mein ek qabrstan aaya jahan us ki maan aur baap ki qabren thi wahan gaya aur Dua maang kar wahan se chala gaya us ki koi manzil nahi thi bas chalta gaya chalta gaya
          us k qadam achank ek jagah ruk gaye dariya k us paar usay ek shaher nazar aaya woh siyal aur rajput bratheri ka ek shaher tha siyal qaom ko khud per bara naaz tha aur woh khud ko sab se bartar samjhte thay
          deedo ek kashti mein betha aur aankhen band kar k baansri bajanay laga us ki baansri k sur jis ne bhi sunay us k qadam wahen ruk gaye sab dekhnay lagay k ye nojawan kon hai kashti aakar kinare se lagi wahin deedo ki nazar ek pari misal larki per pari aur ishq ka teer dedoo k dil k paar hoaya aur us larki ki halat bhi keedo se kuch kam na thi
          ek tarf ek jat nojawan ek tarf ek siyal larki ,, siyal qaom k log jat qaom ko kamtar samjhte thay un ko apni beti dena tohen samjhte thay
          kahan se aaye ho tum"? heer ne dedoo se poochha
          takhat hazara se utar kar zameen per aya hoon " dedoo ne jawab diya
          naam kiya hai?" heer ne poochha
          maan baap ne deedoo naam rakah tha tum jis naam se chahay pukar sakti ho
          qaom jat hai zaat ka raanjha hoon.........
          ranjha aur siyal ka melap mushki hai pardesi
          tum chaho to sab kuch ho sakta hai siyal koi nadi nahi hain jo ulti nahi beh sakti
          heer ne kaha mein tumhare liye kisi rozgar ka intzam karti hoon aur woh raanjhay ko apni ghar maahiwal ki nokri per rakhnay mein kamiyab ho gai
          heer k baap chochak siyal ne raanjhe se kuch sawal kiye aur nookri per rakh liya
          rozana heer ranjhay k liye dopahr ko bajre ki roti le kar jati aur woh aaps mein piyar mohabbat ki baaten karte aisa lagta tha k raanjhay ko poori kainat mil gai thi lekin waqat hamesha ek nahi rehta heer k baap aur bhaiyon ko un dono k piyar ka kuch pata na tha lekin bahoot log jan gaye thay k un dono mein koi chakar hai.......
          sab chochak siyal ko ye baat batanay se darr rahe thay
          ek din heer ka chaha kedoo jungle se guzar rha tha us ne sab apni aankhoo se dekha aur aakar apnbay bhai chochak siyal ko sab bataya
          chochak siyal bara pareshan hua aur keedo se kaha k ab kiya kiya jai???
          kedoo ne kaha k heer ki shadi kara do sab theek ho jaiga.........aur phir chori chupay heer ki shadi ka faisal kiya gaya aur sedo se heer ki shadi tai kar di gai
          aakhir kar is baat ka pata heer ko bhi chal gaya
          heer bahoot roi tarpi lekin kuch na ho saka aakhir kaar woh din bi aagay jab rajpooton ki barat heer k ghar aayi heer bahoot roi lekin sab yahi samjh rahay thay k maan baap ki judai mein ro rahi hai woh raanjhay se juda ho gai........
          jab heer ki doli ja rahi thi raanjhay ko aisa lag raha tha jaisay us ka janaza ja raha hai woh bahoot roya cheekha chilaya lekin kuch na ho saka aakhir kar woh wapis chala gaya apnay shaher takhat hazara.........wahen phir usay tanay aur bhaiyon aur bhabhiyon ka narwa salook sehana para woh phir wahan se niklana aur jhelum ki taraf chal para jahan us ki mulaqat ek gru se hui jis ka naam balnath tha ye us ka chela ban gaya aur faqiroon wala libas pehan liya us ki dil duniya se ukta gai thi
          wahan heer ka haal bhi bura tha us ne khana peena chhor diya tha aur aakhir kaar bemar ho kar bistre k hawalay ho gai us ka miyan sedoo samjhta tha k heer per kisi jin bhoot ka asar hai heer ne apni paak daamni barqarar rakhi
          unhen dinoo raanjha bhi wahan aaya aur ek baag mein apna maskan bana liya woh us ilaiqay mein mashoor ho gaya sab ki zaban per tha k is ki duain qabool hoti hain heer ne jab ye baat suni to bechain ho gai najanay usay kion yaqeen ho gaya k woh us ka raanjha he hoga
          heer wahan gai doono ne ek doosre ko dekha aur wahan se nikal pare siyalon ne jab un dono ko dekha to dono ko pakar liya aur chochak siyal k paas le gaye jahan dono ne chochak siyal k qadmoon per gir kar muafi maangi........aakhir baap tha aur us ne dono ko muaf kar diya lekin shadi karne per raazi nahi hua aakhair kaar siyal qabilay ko log ikhata huay aur ek bahoot bara jarga hua aakhir kaar ye faisla hua k jat qabeelay k log baarat le kar aayen aur heer ki shaadi kar k le jain
          raanjha bahoot khush hua aur apnay shaher takhat hazara laot gaya.....
          wahan keedo ne chochak siyal k gireban se pakar liya aur kaha k ye shadi nahi ho sakti tum ne siyaloon ki naak katwa li keedo ne qabeelay k sab logon ko bhi apni taraf kar liya
          aakhir kaar keedo ne kaha sab se behatr yahi hai k heer ko zehar de kar maar diya jai takay badnami se bach saken..........aur phir heer ko khanay mein zehar mila kar diya gaya............
          wahan raanjha shaadi ki tiyariyoon mein masroof tha us ne jab heer ki maout ki khabar sunii to us k paaon se zameen nikal gai..........wahen us ne apnay haath phelay aur kaha A RAB agar meri heer is dunaiya mein nahi hai to mujhe bhi wapis bula le..........us ki Dua qabool hui aur raanjhay ki rooh bhi parwaz kar gai
          aaj bhi log heer raanjhay ki mazar per jakar manaten mantay hain
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

            Sassi punhoo, Sohni mahiwal, Umar marvi aur bhi bahot si yaad hain time mila to likhonga
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
              jashn-e-azadi par ab hum in farigh logoN ko bhi yaad karaiN gaiy kia :fight:
              uncil 14 Aug. aur 14 Feb. me confusion ho gai ho gi

              Comment

              • #8

                Originally posted by MSA View Post

                aap donoo nikloo yaha say sara thread kharab kar dia
                :fight: :fight:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #9
                  Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

                  Originally posted by WASI ANJUM View Post

                  :thmbup:

                  yeh sargodha hai kay sargosha ?
                  Last edited by .; 5 August 2009, 18:30.
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

                    Originally posted by Aanchal View Post
                    yeh sargodha hai kay sargosha ?
                    Ji Ye Sargodha hai woh spelling mistake ho gai thi mujh se
                    sigpic

                    Comment

                    • #11
                      Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

                      Originally posted by shakeeel View Post
                      soory ghalti se mistake ho gai, mein ne kuch aur post kar diya.
                      shakeel bhai aap to jazbati he hogaiy :shyy:

                      Originally posted by MSA View Post
                      uncil 14 Aug. aur 14 Feb. me confusion ho gai ho gi
                      ab inhaiN kia pata hum loog kitnay shareef haiN :shyy:

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      aap donoo nikloo yaha say sara thread kharab kar dia
                      :fight: :fight:
                      hum aihtejaaj kartay haiN :fight: in fuzool logoN ki bajaiy "look kahaniyaN" share ki jaiN :fight:
                      That's Enough...!!

                      Comment

                      • #12
                        Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post

                        hum aihtejaaj kartay haiN :fight: in fuzool logoN ki bajaiy "look kahaniyaN" share ki jaiN :fight:
                        to main nay kia likha hai kay sirf romantic stories share karaian ..aap koi bhi dastaan , share kar saktay hoo jo har shehar , gaoun main kisi hawalye say mashoor hoti hai :fly:
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment

                        • #13
                          Re: 14 Aug special ....5th Aug 2009

                          Originally posted by Aanchal View Post
                          to main nay kia likha hai kay sirf romantic stories share karaian ..aap koi bhi dastaan , share kar saktay hoo jo har shehar , gaoun main kisi hawalye say mashoor hoti hai :fly:
                          phir theek aiy :shyy:
                          That's Enough...!!

                          Comment

                          Working...
                          X