Re: Ghazal Aur Nazam
Jesa ke Wasi ne bataya ke Ghazal mein matla, maqta, radeef, kaafiya ka hona zaroori he. In chaaron ke ilawa Ghazal mein "Behr" ka hona bhi zaroori he. Yani aik ghazal 5 cheezon se banti he
Matla, Maqta, Radeef, Kaafiya aur Behr.
Behar ko aap sher ki lambai se tashbeeh de saktay hein. Yani ghazal mein is baat ka khyaal rakha jata he ke ghazal ke shairon ki lambai aik jesi ho, ta ke ghazal apnay wazan mein rahay, aik symmetry mein rahay.
Aur Makta yani end walay shair mein shair apna "takhalus" zaroor mention kerta he.
Jub ke nazam in sub cheezon se aazad hoti he.
Originally posted by Mirza Ghalib
View Post

Comment