Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Infaradi Aur Ijtamai Kamyabi

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Infaradi Aur Ijtamai Kamyabi

    asslamoalikum

    kya infaradi kamyabi aur ijtamai kamyabi ek doosray se alag hain
    ya laazm o malzoom?

    agr laazm o malzoom hain tou mere khayaal me hum ijtamai sataah pe (yani bahasiat qoum) tou nakaam ho chukay hain...iss hawalay se hum nakam ''fard'' hue phir...

    tou iss situation me kya aap tasleem krtay hain phir k aap ek nakaam fard hain???(kiyon k afraad se mil kr muaashra banta hai )

    aur agar laazm o malzoom nahi .... tou kesay nahi ??? alag kesay hain zra wazahat farmayen.......!
    Last edited by saraah; 14 June 2009, 12:32.
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

  • #2
    Re: Infaradi Aur Ijtamai Kamyabi

    wa lekum salam...

    mere khayal sey dono baaten apni apni jagah ehmiat rakhti hain...

    or muje aap ki baat sey thora sa ikhtilaf b hai k ham ba'hasiat qoum nakam ho chukey hain...haqeeqtan aisa nahi hia...
    aisa ham ney soch liya hia...ya aisa hamarey zehnon me daal diya gaya hia...

    agar kissi qoum ka ek fard apney or apni qoum k liye kamyabian ikhathi karta hai (jaisa k Dr. Abdul Qadeer, Imran Khan, Jahangeer Khan and many others), to wo infaradi tor per b kamyab hia or qoum ki kamyabi me ek ehm kirdar b hia...

    doosri taraf agar kuch log apni qoum ko badnam, ya nakam kartey hain (jaisa k hamarey siasatdaan or hukamran hain) to agar'cheh hamari qoum per un k amaal ka bojh parta hia... lekin ye soch kar hamey un kamyabion ko faramosh ya nazar andaz nahi karna chaye jo hamarey hi ham watnon ney kathi ki hain...

    me ba'hasiat fard qoum k liye wo sab karney ki lagan rakhta ho jiss sey us ko achi nigah sey dekha jaye...or me ba'hasiat qoum un tumam nakamion ko radd karta hon jo kuch gandi machlion ki wajah sey hamey jheelni parin ya parh rahi hain...

    Comment


    • #3
      Re: Infaradi Aur Ijtamai Kamyabi

      میرے نزدیک کسی بھی کامیابی کو پانے کے معاملے میں اصل مسئلہ انفرادیت و اجتماعیت کا ادراک حاصل کرنا نہیں کہ یہ کسی فرد کی کامیابی تھی یا کے قوم کی ؟ بلکہ میرے نزدیک اصل مسئلہ کامیابی کے حصول کے معاملے میں یہ ہے کہ ہم حصول کامیابی کے لیے خواہ منفرد ہوں یا بحیثیت مجموعی ہر دونوں صورتوں میں ایسے اصول پر کاربند ہوجائیں کے جو کہ ہمیں منزل مقصود پر پہنچا دے اور وہ ہے منزل کو پانے کے لیے عمل مسلسل اور تنقید سننے کے لیے بدعملی کا مظاہرہ کیا جائے تب کہیں جاکر ایسی کامیابی حاصل ہوگی کہ جس کی تفریق ہم انفرادیت و اجتماعیت میں بھی کریں تو یہ تفریق محض لغوی ہوگی نہ کے معنوی ۔ ۔ ۔ ۔
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #4
        Re: Infaradi Aur Ijtamai Kamyabi

        Originally posted by saraah View Post
        asslamoalikum

        kya infaradi kamyabi aur ijtamai kamyabi ek doosray se alag hain
        ya laazm o malzoom?

        agr laazm o malzoom hain tou mere khayaal me hum ijtamai sataah pe (yani bahasiat qoum) tou nakaam ho chukay hain...iss hawalay se hum nakam ''fard'' hue phir...

        tou iss situation me kya aap tasleem krtay hain phir k aap ek nakaam fard hain???(kiyon k afraad se mil kr muaashra banta hai )

        aur agar laazm o malzoom nahi .... tou kesay nahi ??? alag kesay hain zra wazahat farmayen.......!

        Wa Alaikum Aslam,

        Bohat acha topic he aur bohat achi sooch ke saath aai ho tum.

        Mere khyaal mein infradi kaamyabi aur ijtamai kaamyaabi do alag alag chezein hein. In dono mein hum'aahangi paida kerne ki zaroorat he ager hum aik koom ki soorat mein kaamyaab hona chahtay hein. Ijtamaai kaamyaabi kurbaniyoon ka takaza kerti hein, jin mein baaz aukaat infraadi kaamyaabi se bhi hamein withdraw kerna per jata he. Lambi kahani he :D:
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: Infaradi Aur Ijtamai Kamyabi

          Originally posted by saraah View Post
          asslamoalikum



          kya infaradi kamyabi aur ijtamai kamyabi ek doosray se alag hain

          ya laazm o malzoom?



          agr laazm o malzoom hain tou mere khayaal me hum ijtamai sataah pe (yani bahasiat qoum) tou nakaam ho chukay hain...iss hawalay se hum nakam ''fard'' hue phir...



          tou iss situation me kya aap tasleem krtay hain phir k aap ek nakaam fard hain???(kiyon k afraad se mil kr muaashra banta hai )



          aur agar laazm o malzoom nahi .... tou kesay nahi ??? alag kesay hain zra wazahat farmayen.......!


          Wa salaam phir sey jeeti raho

          Infradi kamyabi aur ijtimaii kamyabi 2 bilkul mutzad cheezein hain. Yeh drust hai keh kuchh log ijtimaii kamyabi HI ko infradi kamyabi per tarjeeh detey hain aur phir us per kaam kartey hain. Aur phir kuchh log apni zaati kamyabiyon per tawajoh detey hain...

          Bahasiyat qaum - ham nakaam bhi rahey hain aur kamyaab bhi rahey hain - jaisey baqi duniya key mumalik mein hota hai. Hamari kamyabiyon aur nakamiyon ki khaleej beshak bohat wasee hai, magar kuchh hasil to ham ney kiya hai ba'hasiyat qaum.

          Tafseelat mein jaya geya to bohat waqt darkar ho ga...

          Agar hamein qaum ijtimaii taur per nakaam nazar aati hai to shayid is liyey keh ham ney jo jo kamyabiyan ijtimaii taur per hasil ki hain, unhein ham bar'qrar rakhney mein buri tarha nakaam rahey hain - magar ham sey kamyabiyon key woh lamhaat koi nahin cheen sakta...

          Infradi taur per logon ney bohat taraqi ki hai - kaii logon ney apney pet bharey hain 372-haha aur raton raat ameer ban gaey hain aur kuchh hamarey tumharey jaisey hand-to-mouth hi rah gaey hain
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          Working...
          X