Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

    asslamoalikum respected members

    ego/anaa kam o besh har insan me hoti hai... ''positive ego'' rakhna buri baat nae.... lakin positive se negative ka farq barra maheen sa hai..
    • tou aap yeh batayen kya farq hota hai positive aur nagative ego me?
    • aur kya aap ne kabhi ''shayoori'' koshish ki hai apni ''mein'' marnay ki?

    yes or no???
    (wahan nahi jahan ''angoor khattay hon balkay wahan jahan aap ka ''ikhtyaar'' ho'?
    • if yes.... tou aap ki kya feelings rahin....?
    iss shayoori koshish k baad kya dobara esi khwahish ne janam liya ya aap ne ''mein'' maarnay se tauba kr li ???
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

  • #2
    Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

    suno larki Insaan jub Allah ko sajdah karta hai tu woh apni zaat ki nafi karta hai or Allah ke hone us ke Qaayam w Dayam hone ka Iqraar karta hai... woh yeh bhi IQraar karta hai ke "MAIN" faani ho.... Allah humesha zindah Rehne waala hai subhaan Allah...

    so jo Insaan Allah ke hazoor sajdah karta hai us mein yeh "main" ka conecpt kahein nahi hota.... duniya waalo ke liye ek had tak hona hi chahiye.... warna yahan itne dhoke hain ke palak jhapkte manzar badlte dair nahi lagti... khud parsti, khud shansai, khud mukhtaari... to some extend yeh sub humari nazar mein sahi hai...

    "main" ka concept is liye bhi important hai humari nazar mein ke roz e hashar her Insaan ko or Us roz per hi kya munhasir duniya mein bhi her Insaan ko apne kiye ko khud hi bhugtna hai... yeh baat aap ki individuality ki ehmiyat batati hai... aap dosre ke kandhe per bandooq rakh ker nahi chala sakte....

    so I believe ke duniya mein yeh "I" concept to some extend zaroori hai.... apna shaor.. apni soch... apne aamal...

    ab aate hain positive or negative ego ki baat per... tu +ve ego hai jo hum ne uper define ki... or -ve ego mein yeh MAIN ke saath HI bhi jur jata hai.... yaani duniya mein falan kaam sirf MAIN HI kar sakta ho/ ya kar sakti ho...

    or rahi baat humari tu.... have not yet faced this type of sitaution yet... jahan hume apni soch ko maar ker ya apni individuality ko nazar andaaz ker ke ya "main" ko maar ker koi kaam karna para ho.... :rose

    Comment


    • #3
      Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

      wa lekum salam...

      well... sach poochiye to "Main" ek aisi cheez dikhayi deti hia jis ka her shakhs hi madah hia... jis ko dekho wo "Main Main" karta hia... :s

      or is ki wajah shayed yahi k insan apni haqeeqat ko faramosh kar baitha hia...is baat ko k us ki zaat ek tinkey sey b haqeer tarr hia... main ki haqeeqi or musbat nafi to ussi soorat me hi mumkin hai k insan apney aap ko Allah k hazoor jhukey to is ehtram is nazriyee sey k us k baad us ki main, main na rahey... ye jaan ley k us ki jaan jis k qabz-e-qudrat me hai wo kissi b waqt ussey le leney per qadir hia...

      Comment


      • #4
        Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

        Originally posted by saraah View Post
        asslamoalikum respected members

        ego/anaa kam o besh har insan me hoti hai... ''positive ego'' rakhna buri baat nae.... lakin positive se negative ka farq barra maheen sa hai..
        • tou aap yeh batayen kya farq hota hai positive aur nagative ego me?

        • aur kya aap ne kabhi ''shayoori'' koshish ki hai apni ''mein'' marnay ki?

        yes or no???
        (wahan nahi jahan ''angoor khattay hon balkay wahan jahan aap ka ''ikhtyaar'' ho'?
        • if yes.... tou aap ki kya feelings rahin....?

        iss shayoori koshish k baad kya dobara esi khwahish ne janam liya ya aap ne ''mein'' maarnay se tauba kr li ???
        Ego jo he wo ego he hoti he, wo negative positive nahi hoti, yeh hameesha apnay mazaaj mein sakhat aur doosray loogon ke liye talakh hoti he. Haan hamein baaz aukaat apni ego ko side pe rakh ke sooch lena chahiye aur baaz jaghein aisi hoti hein jahan Ego ka istamaal mein he hamari izat poosheeda hoti he :bwink:
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

          na kar aethey meri meri tey dam da wasaah koi na
          allah hoo da awaza aawey kuli ni faqeer di wichoon
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

            Originally posted by ummid View Post
            so jo Insaan Allah ke hazoor sajdah karta hai us mein yeh "main" ka conecpt kahein nahi hota....
            Umeed beti - main aap ki is baat per aik meethi si smile dey sakta hoon????
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

              Originally posted by Masood View Post
              Umeed beti - main aap ki is baat per aik meethi si smile dey sakta hoon????
              zaroor...

              aap tu phir bhi muskurane ki baat kar rahe hain aabi bhai ne tu Qahqahe lagayen honge..... :D

              Comment


              • #8
                Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

                Originally posted by Masood View Post
                Umeed beti - main aap ki is baat per aik meethi si smile dey sakta hoon????
                yaar mujay tumhari smile pe koi aitraaz nahi. Per is ke meetha honay per mujay sakhat aitraaz he 372-shed
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

                  Originally posted by ummid View Post
                  zaroor...

                  aap tu phir bhi muskurane ki baat kar rahe hain aabi bhai ne tu Qahqahe lagayen honge..... :D
                  اسلام علیکم پیاری بہنا آپ نے فرمایا کہ میں نے آپکی بات پڑھ کر قہقہہ لگایا ہوگا تو عرض ہے کہ قہقہے کی بجائے مجھے اَپ کی باتیں پڑھ کر سخت غصہ آیا کہ میری بہن ہوکر انا، خودی ، خود شناسی اور خود پرستی کا فرق تک نہیں معلوم ؟؟؟؟؟؟؟؟' کاہے کو اتنا پڑھا اور پڑھ لکھ کر ضائع کیا ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ڈئیر فقط سجدہ کرلینے سے نہ تو خود شناسی و خود آگاہی حاصل ہوتی ہے اور نہ ہی انا کا خاتمہ ہوتا ہے گر یوں ہوتا تو سب سے پہلے جو اپنے زمانے کا بہت بڑا عابد و ساجد تھا یعنی ابلیس وہ کبھی بھی آدم علیہ السلام کو سجدہ کرنے سے انکار نہ کرتا اور اس کا انکار تو سرا سر انا پر مبنی تھا کہ اس نے کہا تھا "انا " خیر منہ کہ" میں " اس سے بہتر ہوں۔ ۔ ۔ دنیا بھر میں لاکھوں ساجدین مسلمان ہیں مگر حالت کیا ہے ؟؟؟؟؟؟ اور ویسے بھی سوال کرنے والےنے سوال میں جس انا کی منفی یا مثبت ہونے کے بارے میں دریافت کیا ہے وہ بندوں کی بندوں کے مقابلے میں انا ہے نہ کے مخلوق کی خالق کے مقابلے میں ۔
                  عربی میں اسے دو طرح سے سمجھا گیا ھے
                  . میں، خود
                  کمال عشق کس دھن میں انا لیلٰی پکار اٹھا
                  گربیاں پہاڑ کر وہ بھی نکل آئے نہ محمل سے

                  . تصوف میں اسے انا الحق کی تخفیف کہا گیا ھے ۔
                  خموش ہوں کہ انا میں انانیت کی ہے بو
                  وگرنہ اپنے میں اک وصف دیکھتا ہوں میں

                  فارسی زبان میں انا کو ایسے لکھا گیا ھے

                  تصوف کی روح سے


                  . اپنی ذات، نفس، روح، شعور، ذات، خود شعوری کے معنوں میں آیا ھے
                  . خود پسندی، انانیت، غرور، تکبر، خود سری، خودرائی
                  اس کی خودی پہ جائے نہ قسام روزِ حشر
                  یہ بات تو ازل سے مزاج بشر میں ہے

                  . خود غرضی میں بھی استعمال ھوا ھے
                  جواں لہر کی وہ پینگیں وہ مست انگڑائی
                  وہ نخوتیں وہ اذیت، خودی، خود آرائی

                  . تصوف میں خودی انانیت کو کہتے ہیں
                  پر یہ دو قسم کی ہے ایک اپنی خودی دوسری حق کی جس کو انا مطلق کہتے ہیں۔ (مصباح التعرف، 115)
                  انگریزی میں انا اور خودی کو ایک ھی رنگ میں دیکھا گیا ھے اور مختلف اشارات میں استعمال کیا ھے
                  Self identity; selfishness, egotism, conceit, vanity, pride, arrogance.
                  اردو لغت میں مندرجہ بالا انگریزی کے مترادف یا متبادل الفاظ یہ ھیں

                  ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                  Comment


                  • #10
                    Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

                    ohoooo aabi bhai.... itna deep me ne socha nahi... waise me ne kaha tha ke me apni baat mein 1% gunjaish hi rakhti ho Islaah ki so woh me ne kar li... :blush:
                    or haan me ki parhai mukamil hoi nahi hai... jo you yeh kaho ke itna parh likh kar kya faydah howa.... abhi me ko doctor banne mein waqt hai.... :D.... so befiker rahein.. tub tak me ne kaafi kuch trail and error ke saath seekh hi jana hai.... InshAllah.. sahi? :embarasse
                    372-shock
                    Last edited by ummid; 19 June 2009, 18:57.

                    Comment


                    • #11
                      Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

                      Originally posted by ummid View Post
                      ohoooo aabi bhai.... itna deep me ne socha nahi... waise me ne kaha tha ke me apni baat mein 1% gunjaish hi rakhti ho Islaah ki so woh me ne kar li... :blush:
                      or haan me ki parhai mukamil hoi nahi hai... jo you yeh kaho ke itna parh likh kar kya faydah howa.... abhi me ko doctor banne mein waqt hai.... :D.... so befiker rahein.. tub tak me ne kaafi kuch trail and error ke saath seekh hi jana hai.... InshAllah.. sahi? :embarasse
                      Waise me ne kaafi Superficial way mein answer diya tha 372-shock
                      aap meri tarah apni tamam batoon main 100 feesdi islah k imkaan ko nazar andaaz mat kiya karo . . .. aur baqi abhi main nay aap ki tamam post ka postmartam naheen kiya wagarna superficial ki haqeeqat bhi samny aajati :wk
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment


                      • #12
                        Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

                        lo g

                        positive or negative yai to aap k andar ka mufti (mufti ZAMEER) ki baat ho rahi hay wo bata daita hay k aap nay yahaN positive way maiN anaa istemaal ki hay ya negative way maiN...... meray khyaal k mutabiq.....

                        iss koshish k baghair banda bohat kuch kho sakta hay khaas taur par lateef cheezaiN jaisay ilm adab aur duaoN aur bohat si cheezaiN sense karnay say mehroom rehta hay.... i think agar iss say baRh kar baat khatam karooN to khair say mehroom reh jata hay....

                        teesra sawal feelings ka aa gya ji koshish ki b aur kaafi hadd takk kaamyaab b raha aur bohat achi feelings theeN aur haiN.. aur rahaiN gi b....

                        i hope k that answers your question

                        wasslaam
                        Raza

                        kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                        Comment


                        • #13
                          Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

                          Walaikum asalam,

                          good topic think tank as usual

                          ego to sab har insan mein maujod hoti hai, baat yeh hai aap ko apni ego par kita control hain.

                          wasay aik reseach bhi hui thi keh jab bhi koi insan nia pen se likhta hai to 98% loog pen se pehla lafz apna naam hi likhtay hain, iss se andaza ho sakta hai insan ki ana ka

                          Meray khiyal mein +ve ya -ve ego nahi hoti ego hamesha -ve hi hoti hai, dosra insan kabhi nahi pasan karay ga keh aap sirf apni hi baat kartay rahein, woh ziada uss insan ko pasand karay ga jo apni kam aur dosron ki ziada sunnta ho

                          aur rahe meri to mein pori koshish karta hoon keh apni ana ko control mein rakhon, thori takleef to hoti hai lekin phir aap ko aadat ho jati hai, aur meray khiyal se sab ko yehi karna chahiyay


                          Comment


                          • #14
                            Re: ''Mein'' Maarnay Ki Shayoori Koshish

                            issi mozu se related aik ghazal k chand asha,aar. .
                            رازِ ہستی ہے عقدہء مشکل
                            عشق میرا ابھی نہیں کامل

                            وہ سمندر ہے موجزن دل میں
                            ہائے جس کا کوئی نہیں ساحل

                            جارہا ہوں کہاں خدا جانے
                            پوچھتا ہوں ہر ایک سے منزل

                            میری ہستی ہے وجہ ناکامی
                            ورنہ ہے کون بیچ میں حائل


                            کامیابی ہے عین ناکامی
                            میرا حاصل ہے ماتمِ حاصل

                            ایک افسانہ رہ گیا جاذب
                            اب نہ لیلا ہے اور نہ ہے محمل


                            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                            Comment

                            Working...
                            X