Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aap Kitnay Azad Hain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aap Kitnay Azad Hain

    Asslamoalikum respected members

    apni zindagi me aap kitnay azaad hain?

    aap k paas kitni choices hain ghar walon ki janib s eaap ko millin/milti hain?

    aap k paas kitni choices hain jo aap ko Allah ki janab se milin?

    aap khud ko kahan kahan khud mukhataar samjhtay hain???
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

  • #2
    Re: Aap Kitnay Azad Hain

    Walaikum asalam think tank,

    nice topic as always :), pehle to maa baap aap ko aazadi detay hain, uss par munhasir hota hai keh aap ki shaksiyat kis qadar nikhri hai ya bigri hai, alhumdulilALLAH mujhay meray maa baap ne itni hi azadi di jitni mujhay zarorat thi, uss ke baad insan apni aazadi khud chunta hai jab insan ko samajh aa jati hai keh kia ghalat hai aur kia sahi. ALLAH par mera bohat pakka yaqen hai alhumdulilALLAH, ALLAH ke bina na mera koi kaam hua tha aur naa inshALLAH ho ga, baqi i try mein mein khud hi kaam karon aur dosray logon se kam hi madad leta hoon

    Choices ke mamle mein mujhay koi rok tok nahi lekin mein yehi samajhta hoon keh ghar walon se pochna zarori hai

    ALLAH ne alhumdulilALLAH bohat se mawaqe ata kiay hain aur jo kuch bhi mila koshish karta hoon ussi mein khush rahon, kyon keh hum woh nahi jante joh ALLAH janta hai
    Last edited by pakgates; 14 June 2009, 10:59.


    Comment


    • #3
      Re: Aap Kitnay Azad Hain

      wa lekum salam...

      Me apni zindagi me utna khud-mukhtar hon jitna hona zaroori hia... agar'cheh is ko mapney ka koi khas paimana to nahi... phir b me apney faislon, apni oonch neech, achey burey or jorney torney per jitna ikhtiar rakhta hon us sey me mutamin hon... or ek baat ki shiddat sey khahish or dua hia k me or mera sab kuch Allah k ikhtiar me hia... muje is per yaqeen-e-kamil hasil ho jaye...

      Comment


      • #4
        Re: Aap Kitnay Azad Hain

        Originally posted by saraah View Post
        Asslamoalikum respected members

        apni zindagi me aap kitnay azaad hain?

        aap k paas kitni choices hain ghar walon ki janib s eaap ko millin/milti hain?

        aap k paas kitni choices hain jo aap ko Allah ki janab se milin?

        aap khud ko kahan kahan khud mukhataar samjhtay hain???
        Walaikum Assalam

        - mein azaad nahi dheet ho
        - buhat hi kum he... lekin chon k me ziddi ho us lie samjh lein k buhat sari choices he
        -yeh to nahi pata
        -sochna pare ga:mm:

        Comment


        • #5
          Re: Aap Kitnay Azad Hain

          Asslamoalikum respected members
          wasalam... khush raho...

          apni zindagi me aap kitnay azaad hain?
          kaafi had tak..... I have my own wings... :D

          aap k paas kitni choices hain ghar walon ki janib s eaap ko millin/milti hain?
          me ke baba ne sikhaya hai "dont beleive in taking right decisions... Take decision and make them right" so me waisi hi ho.... apne decisions khud leti ho... gher ki taraf se koi pabandi nahi hai... kya parhna hai.. life mein kya karna hai... kahan jana hai... kaise dost hain... hume kabhi restric nahi kiya gaya... haan per mom thori strick hai in sub baato ko le ker...

          aap k paas kitni choices hain jo aap ko Allah ki janab se milin?
          zindagi jeene ki choice tu mili hoi hi hai...

          aap khud ko kahan kahan khud mukhataar samjhtay hain???
          or khud mukhtaar... apni life ke her faisle mein ho...

          Comment


          • #6
            Re: Aap Kitnay Azad Hain

            Originally posted by saraah View Post
            Asslamoalikum respected members

            apni zindagi me aap kitnay azaad hain?

            aap k paas kitni choices hain ghar walon ki janib s eaap ko millin/milti hain?

            aap k paas kitni choices hain jo aap ko Allah ki janab se milin?

            aap khud ko kahan kahan khud mukhataar samjhtay hain???


            Walaikum Asalam sharah apee teddy

            kashi ho :blush:


            --mjhe to azadi baht pasand he teddy iski waja ye he ke me azaad peida hui thi :dance2:


            -- gharwalon ne aik limit rakhi hui he..is limit me reh ke jo marzi karo bas limit se bahir nahi jana :yy: or insan jaise jaise mature hota jata he usay khud bhee samajh ajati he kia cheez uske haq me behtar he or kis me behtari nahi he :na:


            -- Allah ne to har tarah se azaadi di hui he ... or sath me aqal bhee di he apne lye right and wrong ko judge karne ki ... time management skills bhee di hui hein 5 waqt namaz ka time de ke or phir bhee humare paas ye azaadi he ke hum choose karein hum usi waqt namaz parh ke Allah se raabta karein ya thori dayr baad :donno:

            -- mein khud mukhtaar hu :mm: likin dusre bande se mashwara lene me koi harj nahi samajhti 372-scare mein samajhti hu sunni sab ki chahye likin karni apni chahye :wk or agar kisi dusre ka mashwara mila he to ache wala part apne karne ke sath jorh lo ho sakta he faida hojaye 372-haha or baad me ye guilt bhee nahi hoga :lahoul kaash me us waqt sun leti to aj kam khrab na hota


            mein ne is dafa sab right answers dye hein na? :donno:

            Comment


            • #7
              Re: Aap Kitnay Azad Hain

              hi

              Comment


              • #8
                Re: Aap Kitnay Azad Hain

                Originally posted by asimmughal View Post
                hi

                hi uncle ... kia ap bhee azaad hein? :mm:

                Comment


                • #9
                  Re: Aap Kitnay Azad Hain

                  Originally posted by saraah View Post
                  Asslamoalikum respected members

                  apni zindagi me aap kitnay azaad hain?

                  aap k paas kitni choices hain ghar walon ki janib s eaap ko millin/milti hain?

                  aap k paas kitni choices hain jo aap ko Allah ki janab se milin?

                  aap khud ko kahan kahan khud mukhataar samjhtay hain???
                  wa.alaikum asalam. interesting topic

                  ziada toar loag azadi ko independence samjhtay hai'n, but mairay liye azaadi hay dependence mai'n hay, k sab kuch Allah par insaan chorhta hay to' waqai azad mehsoos karta hay, so abb finally mai'n azaad huwi hoo'n tawakal k zariye!

                  ok so parents k taraf say kuch set restrictions nahi and kabhi kisi nay ye nahi kaha k ye nahi karo woh karo etc. but muje apni limitations pata hai'n woh limitations again Deen nay set kii'n hai'n, jo life ko easy bana daiti hai'n.

                  Allah Ta'la ki taraf say bohat choices because Allah nay kaha hay k sab kuch kar saktay hai'n ham except a few things, so Allah nay agar daikha jaye ziada cheezain halal kar dii'n, for e.g. khaanay peenay mai'n hee daikh lain:)
                  Finding truth - Finding love
                  These diamonds sparkle from lights above

                  Lorraine Venner

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aap Kitnay Azad Hain

                    Originally posted by saraah View Post
                    Asslamoalikum respected members

                    apni zindagi me aap kitnay azaad hain?

                    aap k paas kitni choices hain ghar walon ki janib s eaap ko millin/milti hain?

                    aap k paas kitni choices hain jo aap ko Allah ki janab se milin?

                    aap khud ko kahan kahan khud mukhataar samjhtay hain???
                    walaikum salam

                    1- kuch restrictions k sath kafi had tak azaad
                    2-3 choices yani??
                    4- apni sochoN mey
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aap Kitnay Azad Hain

                      Originally posted by saraah View Post
                      Asslamoalikum respected members

                      apni zindagi me aap kitnay azaad hain?

                      aap k paas kitni choices hain ghar walon ki janib s eaap ko millin/milti hain?

                      aap k paas kitni choices hain jo aap ko Allah ki janab se milin?

                      aap khud ko kahan kahan khud mukhataar samjhtay hain???

                      Wa Alaikum Aslam,

                      Sub se pehlay to mein yeh kahon ga ke tumhara aur Aanchal ke threads hameesha interesting hotay hein. Keep your good work up.

                      Mein takreebun khud'mukhtaar he hoon, mere apnay decision hotay hein her kaam kein
                      :thmbup:

                      Comment

                      Working...
                      X