Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

**Eco-Friendly.....!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • **Eco-Friendly.....!

    Asalamaalaikum

    ummid hai sub khairyat se honge....:rose

    aaj subha jog track per se ek bande ko dekha or phir us'se me ki acchi khasi behas hogai... woh kuch thailyaan samndar mein daal raha tha.. he was south indian... me ke rokne per kehne laga ke "bhagwaan ka hai"... khair... usey police ka dar dila ker baaz rakha ke ab ager ek or bhi thaili phainki tu me ne seedha fine lagwa dena hai.... 372-shock

    so poochna yeh tha ke aap kitne eco freindly hai???teddy

    raste mein thokna, sarko per kachra dalna, plastic bag mein cheezein khareedna, samndar mein cheezo ko dalna (kuch log religious cheezein dalte hain "thanda" karne ke liye.) like ek saal pehle hume samndar mein Quraan ke kuch safhaat mile... woh paani ke saath beh ker kinaare per aa gaye the... me ne andar tak jaa ker or jahan tak nazar pari wahan se collect kar liye jitne mil sake or gher le aai)....
    I dont understand this conept exactly?? aap members apne apne veiws dijye or me ke bhi doubts clear kijye... but personally I feel ke this is not right?? pehle tu paani ganda hota hai. secondly behurmati hoti hai woh alag... as being muslim hume sumjh aa gai ke woh Quraan ke pages hain... per..............

    khair... give your views... waiting for reply....:thmbup:

    Questions are:
    aap kitne eco freindly hai
    or is tarah samndar mein cheezein (sepcaill religious stuff) thanda karna kahan tak durst hai??

    khush rahein...

  • #2
    Re: **Eco-Friendly.....!

    Wa salaam beti - kal parh ker jawab doon ga :D :D
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: **Eco-Friendly.....!

      Originally posted by Masood View Post
      Wa salaam beti - kal parh ker jawab doon ga :D :D
      :lol

      anytime bhai....

      Comment

      • #4
        Re: **Eco-Friendly.....!

        waalikum asslam

        ummid bohat achaa topic hai :ANYWORD8
        bas yeh bata dein eco-friendly kya hota hai :embarasse
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment

        • #5
          Re: **Eco-Friendly.....!

          Dekho beta....

          Eco friendly hona jahan tak insaani tabiyat ka aik hissah hai, waisey hi yeh muashrti tabiyat ka bhi hissah hai. Hamarey muashron mein jahan ijtimaii satah per safaii ka khiyaal nahin rakha jata, wahan infradi tauq per kahan rakha jata hai?? Europe mein jab bachey kindergarden jaatey hain to inhein btaya jata hai keh mahol ko saaf rakhna kitna zaroori hai aur ham ba'hasiyat insaan is mein kya kar saktey hain. Jab yehi bachey barrey hotey hain to woh insaani tarbiyat ka aik hissah ban chuka hota hai...

          Hamarey haan apney ghar ki char'deewari sey bahir har jaggah hamari nahin aur us per aap gand daal saktey hain.

          Rahi baat thailiyon ka samunder ya darya waghera mein daalna to yeh to kisi mazhabi rasoomat ka hissah hain, inhein aap eco key khilaaf to kah saktey hain magar jab unkey mazhab mein iski gunjaish hai to aap kya kar saktey hain??

          Rahi baat meri zaati to main to chewengum ka aik paper bhi garri mein rakh leta hoon aur jahan dustbin nazar aaey usi mein daalta hoon :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: **Eco-Friendly.....!

            Originally posted by saraah View Post
            waalikum asslam

            ummid bohat achaa topic hai :ANYWORD8
            bas yeh bata dein eco-friendly kya hota hai :embarasse
            eco friendly means... environmental friendly... yaani aap ki wajah se ya aap ki istemal kardah cheezo ki wajah se environemt ko koi nuqsaan na ho.... jaise.. sarko per kachra dalna, darkhto ka katna, plastic bags use karna... woh cheezein use karna jo recycle nahi hosakti... hope sumjh aa gai hogi... :rose

            Comment

            • #7
              Re: **Eco-Friendly.....!

              Originally posted by saraah View Post
              waalikum asslam

              ummid bohat achaa topic hai :ANYWORD8
              bas yeh bata dein eco-friendly kya hota hai :embarasse
              Sirnii jiii agar aap ECO mein aik aur C ka izafa kar key ECCO likhein to yeh Denmark ki aik jootiyaan bnaney wali company hai - iski to samajh aa gaii hai na 372-haha
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: **Eco-Friendly.....!

                Originally posted by Masood View Post
                Dekho beta....

                Eco friendly hona jahan tak insaani tabiyat ka aik hissah hai, waisey hi yeh muashrti tabiyat ka bhi hissah hai. Hamarey muashron mein jahan ijtimaii satah per safaii ka khiyaal nahin rakha jata, wahan infradi tauq per kahan rakha jata hai?? Europe mein jab bachey kindergarden jaatey hain to inhein btaya jata hai keh mahol ko saaf rakhna kitna zaroori hai aur ham ba'hasiyat insaan is mein kya kar saktey hain. Jab yehi bachey barrey hotey hain to woh insaani tarbiyat ka aik hissah ban chuka hota hai...

                Hamarey haan apney ghar ki char'deewari sey bahir har jaggah hamari nahin aur us per aap gand daal saktey hain.

                Rahi baat thailiyon ka samunder ya darya waghera mein daalna to yeh to kisi mazhabi rasoomat ka hissah hain, inhein aap eco key khilaaf to kah saktey hain magar jab unkey mazhab mein iski gunjaish hai to aap kya kar saktey hain??

                Rahi baat meri zaati to main to chewengum ka aik paper bhi garri mein rakh leta hoon aur jahan dustbin nazar aaey usi mein daalta hoon :)

                good... aap accha karte hain.... is ke illawah aap ko jo kachra phainkta dikhe chahe ek kaghaz ka tura hi sahi aap usey rok sakte hain... so ek chain ban jaati hai.... it takes time... but aap or hum se hi yeh sub start hona hai....

                and one more thing.... I dont know about other countreis but India mein yes ofcourse govt ne ek particular jagah rakhi hai jahan yeh sub cheezein le ja kar daali jaa sakti hai... or hinduz mein tu kaafi hota hai yahan... un sub ko rokna is a tuff task...372-shock.... but me ko jo dikhe me maze se behas kar ke usey convince kar hi leti ho ke ayndah woh nahi daalega kachra or kisi or ko bhi dekhe tu usey roke... ab pata nahi woh log maan jaate hain ya me se ukta ker aisa agree karlete hain... :blush:.... but 100 mein se ager 2 bhi amal kare tu I dont think ke 100 logo se ulajhne mein me ko koi pareshani honi chahiye.... :372-shock

                Comment

                • #9
                  Re: **Eco-Friendly.....!

                  Originally posted by ummid View Post

                  Beta jaghein Pakistan mein bhi hain. Dustbin bhi hain. Jaggah jaggah likha huwa bhi miley ga, magar jahan likha ho ga keh yahan thookna mana hai, hamara Pakistani wahan hi thookey ga :p. Aap kisi ko rokhiyey woh kahey ga "terey baap ki jaggah hai" 372-haha...... yehi soch ley ker jab hamarey log Europe mein aatey hain to aisa kuchh hi kartey hain... Main ney yahan per kuchh arabs families ko muhalley mein gand daaltey roka to kehney lagey: tumhari jaggah hai, Commune key log aa ker uthaa lein gey" 372-haha
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: **Eco-Friendly.....!

                    Originally posted by Masood View Post
                    Beta jaghein Pakistan mein bhi hain. Dustbin bhi hain. Jaggah jaggah likha huwa bhi miley ga, magar jahan likha ho ga keh yahan thookna mana hai, hamara Pakistani wahan hi thookey ga :p. Aap kisi ko rokhiyey woh kahey ga "terey baap ki jaggah hai" 372-haha...... yehi soch ley ker jab hamarey log Europe mein aatey hain to aisa kuchh hi kartey hain... Main ney yahan per kuchh arabs families ko muhalley mein gand daaltey roka to kehney lagey: tumhari jaggah hai, Commune key log aa ker uthaa lein gey" 372-haha
                    me ne bhi yeh sub suna hai.... per me bhi phir bhi larti ho maze se....

                    aaj hi woh subha ka south indian banda kehta hai jub me ne us se poocha kya kar rahe ho? tu kehta hai bhagwaan ka hai... tu me ne kaha haan samndar tu bhagwaan ka hi hai... aap us mein gand daal rahe ho.. tu kehta hai... samndar nahi woh jo samndar mein dala woh bhagwaan ka hai... :lol...

                    ek baar me ko bhi ek bande ne aisa hi kaha tha: tumhara kya jata hai.. sarak kya tere baap ki hai?? me ne kaha tha... ji bilkul humare dad tax dete hain is mein un ki bhi income lagi hai or shaid aap ke dad ki bhi... so isey saaf rakhiye or sarak per mut thokiye... :D... ab woh banda waqiy sumjh gaya ya larki sumjh ker us ne or behas nahi ki... theek hai theek hai ab nahi thokonga keh ker ke chala gaya.... :lol...

                    Comment

                    • #11
                      Re: **Eco-Friendly.....!

                      wa.alaikum asalam.

                      ummid aap kaisi hain?
                      @topic: g mai'n bohat ziada friendly hoo'n:D
                      Last edited by Almas; 7 June 2009, 06:51.
                      Finding truth - Finding love
                      These diamonds sparkle from lights above

                      Lorraine Venner

                      Comment

                      • #12
                        Re: **Eco-Friendly.....!

                        wa lekum salam...

                        I have no doubt in saying that I am Eco friendly... :embarasse

                        jahan tak baat rahi Pani me cheezen dalney ki to mene to aaj tak aisa kuch nahi kiya...siwaye is k ek baar Sindgh River me picnic k doran mangoes thandey karney k liye daley they... lekin un ka garbage nahi...

                        or Religious stuff dalna kam sey kam ham musalmanon ko zeb nahi deta...isliye aisa nahi karna chaye... baqi Allah behter janta hia...

                        Comment

                        • #13
                          Re: **Eco-Friendly.....!

                          salam g humain apne aass pass k mahool ka bohat kiyal rekhna chaye kiyon k hum he hain jo bigartain hain aur hum he hian jo sanwar sakty hain aur man ager sya koi b insan ya insaani dekh lo jo aysi herkatin ker raha ho jis sy aass pass ki khubsorti ko nuksan ho raha hoo to zaror rokti hon kiyon k muje bohat he boray lgty hain ayse log jahil kahin k khas tor per jaga jaga ghedhon ki terhan likhany waly log jo dewaron ka sataynass mar daytain hain aur jahan tak sea ki gal ay to me k pas nhe hain sea na he kabi dekha hain :tasali::tasali: real main
                          ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: **Eco-Friendly.....!

                            Mein baht zada eco-friendly hu 372-shock

                            mein ne kabhi rastay me thooo thoo nahi kiya ... naa hi chalte chalte gandh daal dya me humesha dust bin me har cheez dalti hu

                            ... aik dafa tissue paper me wrapped friend ke retainers bhee phenk dye the dustbin me .. me ne kaha pata nahi kia gandi cheez he :embarasse

                            mein ye samajhti hu :mm: ye zameen humari he...apne ghar ko hum nahi sawarein ge to kon saware ga :donno:

                            mein green bags use karti hu 372-shock jute ke itne cute lagte hein wood ke handles wale teddy

                            mein air freshner dekh ke use karti hu eco-friendly he ya nahi ozone layer ko nuqsan pohnchta he gande air freshner se :embarasse

                            mjhe pani me pari hui gandi cheezein dekh ke behad ghusa ata he or dil karta he aise logo ko ghar ja ke maru :fuming:

                            mjhe to cigarette peene walon se bhee nafrat he 372-shed or jo pipe peete hein unse or zada 372-shed

                            lagta he jaise train ja rahi he dhuan chorti hui :fuming:

                            Comment

                            • #15
                              Re: **Eco-Friendly.....!

                              Originally posted by ummid View Post
                              eco friendly means... environmental friendly... yaani aap ki wajah se ya aap ki istemal kardah cheezo ki wajah se environemt ko koi nuqsaan na ho.... jaise.. sarko per kachra dalna, darkhto ka katna, plastic bags use karna... woh cheezein use karna jo recycle nahi hosakti... hope sumjh aa gai hogi... :rose
                              ji ji me samjh gayi

                              Originally posted by Masood View Post
                              Sirnii jiii agar aap ECO mein aik aur C ka izafa kar key ECCO likhein to yeh Denmark ki aik jootiyaan bnaney wali company hai - iski to samajh aa gaii hai na 372-haha
                              iss me itna hansnay ki kya baat hai sir jiiii :nnnnnn:
                              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                              Comment

                              Working...
                              X