Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bardasht ...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Bardasht ...!

    Originally posted by ummid View Post
    yups.... itz because I personally dont like blame game... is ki wajah se aisa howa... or us ki wajah se aisa howa... so isi liye... me prefer karti ho ke apni life apne tareeqe se jiyo'n or her acche ya bure faisle ki or us ke nataij ki khud zimedar raho...
    thats nice

    waisey ummid India mey bhi tau diff. ethnical groups k darmayan bohot kuch ho jata hai? aeysa kyun hai? aur jitna mujhey maloom hai bombay aik cosmopolitan city hai .... wahan kitni bardasht hai logoN mey?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #17

      Lagta he ub mujay answer kerne ka silsla band 372-haha372-haha372-haha372-haha
      :thmbup:

      Comment

      • #18
        Re: Bardasht ...!

        wa lekum salam...

        very nice topic indeed...

        Mera khayal hia k mukhtalif muashron, mazahib or soch k logon ka ek jagah aman-o-aashti sey rehna mushkil nahi...
        is silsiley me Sahib-e-iqtedar logon ki bahut ziada ehmiat hia... misaal k tor per aap or ham sab jantey hain k Islam k taloo k baad Arab me aisey muashrey ki buniad pari jahan mukhtalif mazahib k log abad they... lekin wahan ka aman or husn-e-salook dekh kar ghair mazhab log b musalman hogaye...

        me b ek aisey Arab mulk me abad hain jahan Islami qadren to apna muqam kho chuki hain... lekin mukhtalif mazahib or societies k log bahut aman ki zindgi basar kar rahey hain...

        Comment

        • #19
          Re: Bardasht ...!

          Originally posted by Xai View Post
          thats nice

          waisey ummid India mey bhi tau diff. ethnical groups k darmayan bohot kuch ho jata hai? aeysa kyun hai? aur jitna mujhey maloom hai bombay aik cosmopolitan city hai .... wahan kitni bardasht hai logoN mey?

          dekho bloo.. bardasht ki baat wahan aati hain jahan ignorance ya acceptance jaisi cheez kaam nahi karti... I mean aap ager ignore karna ya accept karna seekh lein tu bardasht nahi karna parta.... :D...

          so bombay is the city where people ignore this kida issue... we travel together... we share things... we respect other religions... yahan eid or dewaali or bhi kai hindu muslimz fastival hum mil ker manate hain... humare kitne dost aise hain jo humare saath Ramdhaan ek fast karte hain.... or eid per humare saath shoping karte hain.... dewaali per hum un logo ko gifts dete hain... and all... this how it goes....

          or rahi baat ethnical groups tu yeh political level per hota hai sub... yahan ke aam log bauaht acche hain... is ki misaal Bomaby riots mein ek dosre ki jo help ki thi logo ne, 26th july flood of Bombay tub.... or 26 Nov jub yeh terror attack howa tha taj per tub.... khair.. ikhtelaaf e raaye sub jagah paya jaata hai... bus you just have to learn ke aap usey accept karo ya ignore... so yeh bardasht or bardasht ka jawab dena aisi baatein aati hi nahi...
          right? :embarasse

          Comment

          • #20
            Re: Bardasht ...!

            Originally posted by Xai View Post
            Salam sa'thiyo
            Walaikum Assalam...mujahido...:salam:

            Mey yahan ye chahun gi k aap log iss cheez pe baat karo k aik community mey jab aap rehtey ho ... jahan pe bohot ziada Ikhtalafaat hoN .. sochoN mey...culture mey.....hata k khaney peeney sey le ker uthney bethney tak k andaaz mey ... aik aeysi community k log aik doosrey k sath bahmi aman k sath reh saktey hein?? haan tau kaisey? aur nahi tau kyun nahi?
            what i think is k agur hum common points pe bat kurein....differences pe zyada dehan na dein...compromise kurna seekhein....common point aur compromise k sath sub ko insaaf aur un ka huq mile to koi shuba nahi k hamare muashre me bhi log bahimi amun k sath reh sakte he.....
            bar'e'sagheer me bhi musalmano ne aik taweel dor tuk hukumat ki...lekin chun k waha adul'o'insaaf milta tha is lie waha azaadi ki jung shru na hoi lekin jub 1857 k baad logo k huq cheena gaya to phir aik faisla'kun jung ka aaghaz huwa...
            lekin bad'qismati se Pakistan me buhat differences paida kur die gae he....hamare logo pe zabano pe diference...firko pe differences...hatta k area pe differences...aik team is lie match har jati he k khi wale final me na pohanche....khi wale dosro ko khi me anae nahi dete.buhat differences paida ho gay he...
            bardahst to he...kafi hud tuk logo ko bardasht kur leta ho:D...
            aur level...jub un'acceptable ho jay:D

            Comment

            • #21
              Re: Bardasht ...!

              Bardasht kerna.. sabar kerna aur doosre ki baat ko tahumul se sunna.. bohat bari khoobi he meri nazar mai.

              Bardasht ka level high se high kerte rehna chahiye.. kiou ke Zindagi mai Bohat si aisy baatain aati hain.. jo Bardasht kerni parti hain.

              Mai kaafi had tak bardasht ker leti hoon doosre ki baat ko.

              Ikhtelaaf ki soorat me .. discuss kerti hoon.. lekin ager koi faida na ho.. to khamoshi kerleti hoon.

              Mujhe ziada ghussa tab aata he.. jab koi Na insaafi wali baat kere.. aur jab koi doosre per Tanqeed kere.. lekin apne girebaan mai kabhi naa jhanke.

              Comment

              • #22
                Re: Bardasht ...!

                Originally posted by Adam Zaad View Post
                wa lekum salam...

                very nice topic indeed...

                Mera khayal hia k mukhtalif muashron, mazahib or soch k logon ka ek jagah aman-o-aashti sey rehna mushkil nahi...
                is silsiley me Sahib-e-iqtedar logon ki bahut ziada ehmiat hia... misaal k tor per aap or ham sab jantey hain k Islam k taloo k baad Arab me aisey muashrey ki buniad pari jahan mukhtalif mazahib k log abad they... lekin wahan ka aman or husn-e-salook dekh kar ghair mazhab log b musalman hogaye...

                me b ek aisey Arab mulk me abad hain jahan Islami qadren to apna muqam kho chuki hain... lekin mukhtalif mazahib or societies k log bahut aman ki zindgi basar kar rahey hain...
                exactly
                aap ki akhri baat mujhey thori si samaj nahi ayi .... muktalif mazahib k log aik islami mulk mey aman sey reh rahey hien?

                Originally posted by ummid View Post
                dekho bloo.. bardasht ki baat wahan aati hain jahan ignorance ya acceptance jaisi cheez kaam nahi karti... I mean aap ager ignore karna ya accept karna seekh lein tu bardasht nahi karna parta.... :D...

                so bombay is the city where people ignore this kida issue... we travel together... we share things... we respect other religions... yahan eid or dewaali or bhi kai hindu muslimz fastival hum mil ker manate hain... humare kitne dost aise hain jo humare saath Ramdhaan ek fast karte hain.... or eid per humare saath shoping karte hain.... dewaali per hum un logo ko gifts dete hain... and all... this how it goes....

                or rahi baat ethnical groups tu yeh political level per hota hai sub... yahan ke aam log bauaht acche hain... is ki misaal Bomaby riots mein ek dosre ki jo help ki thi logo ne, 26th july flood of Bombay tub.... or 26 Nov jub yeh terror attack howa tha taj per tub.... khair.. ikhtelaaf e raaye sub jagah paya jaata hai... bus you just have to learn ke aap usey accept karo ya ignore... so yeh bardasht or bardasht ka jawab dena aisi baatein aati hi nahi...
                right? :embarasse
                theek ummid
                ignore kerney ki baat samaj aa jati hai ....lekin jab tum acceptance ki baat kerti ho? tau how does it work?
                Originally posted by MSA View Post
                Walaikum Assalam...mujahido...:salam:

                what i think is k agur hum common points pe bat kurein....differences pe zyada dehan na dein...compromise kurna seekhein....common point aur compromise k sath sub ko insaaf aur un ka huq mile to koi shuba nahi k hamare muashre me bhi log bahimi amun k sath reh sakte he.....
                bar'e'sagheer me bhi musalmano ne aik taweel dor tuk hukumat ki...lekin chun k waha adul'o'insaaf milta tha is lie waha azaadi ki jung shru na hoi lekin jub 1857 k baad logo k huq cheena gaya to phir aik faisla'kun jung ka aaghaz huwa...
                lekin bad'qismati se Pakistan me buhat differences paida kur die gae he....hamare logo pe zabano pe diference...firko pe differences...hatta k area pe differences...aik team is lie match har jati he k khi wale final me na pohanche....khi wale dosro ko khi me anae nahi dete.buhat differences paida ho gay he...

                bardahst to he...kafi hud tuk logo ko bardasht kur leta ho:D...
                aur level...jub un'acceptable ho jay:D
                :-)

                I liked your point ... waqai agar differences ko aik taraf rakh ker aap sirf common terms pe baat ker liya karein tau kafi had tak aman mey log reh saktey hein
                Originally posted by *Samra* View Post
                Bardasht kerna.. sabar kerna aur doosre ki baat ko tahumul se sunna.. bohat bari khoobi he meri nazar mai.

                Bardasht ka level high se high kerte rehna chahiye.. kiou ke Zindagi mai Bohat si aisy baatain aati hain.. jo Bardasht kerni parti hain.

                Mai kaafi had tak bardasht ker leti hoon doosre ki baat ko.

                Ikhtelaaf ki soorat me .. discuss kerti hoon.. lekin ager koi faida na ho.. to khamoshi kerleti hoon.

                Mujhe ziada ghussa tab aata he.. jab koi Na insaafi wali baat kere.. aur jab koi doosre per Tanqeed kere.. lekin apne girebaan mai kabhi naa jhanke.
                good points :thmbup:
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #23
                  Re: Bardasht ...!

                  Originally posted by Xai View Post
                  exactly
                  aap ki akhri baat mujhey thori si samaj nahi ayi .... muktalif mazahib k log aik islami mulk mey aman sey reh rahey hien?
                  ji mere kehney ka matlab hia k yahan Pakistani, Indian, Philippines, Chinese, Miser, Iraq, Iran...gharz bahut qisam k log ek jagah kaam kartey hain lekin phir b aman hia...

                  Comment

                  • #24
                    Re: Bardasht ...!

                    Originally posted by Xai View Post
                    theek ummid
                    ignore kerney ki baat samaj aa jati hai ....lekin jab tum acceptance ki baat kerti ho? tau how does it work?
                    simple hai yara... aap kisi ko accept kar lo... I mean accept the way they are... so bardasht karne ki nobat nahi aati.... :D

                    Comment

                    Working...
                    X