Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

hum aur humre parents

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • hum aur humre parents

    salam PG,s hope k seb theakh hon gay aj maa k naam per topic start kia gaya hain to mery zahen main ek aur topic aya k maa ka koi naim ul badel nhe per maa b ek insan hain aur insan sy b galtiyan hoti hain to kia aj k door main ba haseet ek maa apne faraiz sahe injam day rhain hain kiyon k
    main ny dekha k ek bacha jeb biger jata ahin to kah diya jta hain k media ka kasoor hain mahool he aysa hain zamana aysa ja raha hain schools main seekhty hon gy aysa per kabi hum ny yeh samjhny ki khoshish ki hain k burai kahan sy keb paida hoi ?????????// gher sy school sy media sy in seb main seb syyyyyyyy pehla kirdar ata hain parents ka kia aj kal k parents apne bachon ko just ek kamyab tareqi yafta paise wala koi business man he bana chaty hain ya pher ek ascha muslim ek ascha insaan ,.
    is per apne roshen kiyaalaat ka izhaar kerain k parents ko maa ki baap ko kayse apne bachon ki terbiyet kerni chaye/?// rose
    ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

    sigpic

  • #2
    Re: hum aur humre parents

    waslaam
    achaa topic hai :thmbup:
    ajkal ki baat kren tou its very much true ,,,,
    sab maaoon k liye tou nae kaha ja sakta ...lakin bohat hadd tak aaj ki mayen apnay faraiz se gafil hain....

    mere ek bhabhi hain....cousin ki wife ...wo star plus bohat shoq se dekhti hain unki ek beti hai 5 ki student......inkay ghar me baqi jaithaaniyon ki bachiyon ko jeans aur shorts nae pehnanay dete ...lakin inhon ne zidd kr k apni khwaahish poori ki.... aur bachi aksar o beshtar star plus dramas k mukalmay bolti nazar aati hai...
    beti ki studies pe bohat tawwajha deti hain maghar jaithani ki bachiyon se muqablay k liye ....

    esi bohat si misalain hamen apnay ird gird dekhnay ko mil jati hain zoni....
    hamaray neigbours me hain esi kayi maayen ...
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment

    • #3
      Re: hum aur humre parents

      hmm starplus ny sataynaas maar diya hain seb ka ye kam meri baji ki saas kerti hain baji star plus nhe dekhti aysa koi shoq nhe hain per zaighum mera bhanja aur bhanji apni daadi ama k room main ja ker dekhty hain ager baji bachon ko rokti ahin to yeh kaha jata hain k daadi k pass bytne nhe daytain its really wrong
      meri sister ny doseri bhari galti ki k 10 year k bachy ko mobile day ker un ki family main seb kids k pass hain mger wo apni ami sy le hoi terbiiyt ko bhol ker apne susraal k modernaization per amel kerti hain khti hain k majbor hon seb kids k pass hain ager zaighum k pass nhe ho ga to wo somplex ka shikar ho jaye ga yeh b galt khti hain wo :lahoul:lahoul
      ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: hum aur humre parents

        Originally posted by zoniash View Post

        zoni bilkul theek kaha me ne b yeh dono batain observe ki hain meri koi barri behan tou nae...but apni cousins aur friends ki families me dekhti hoon na ..waqai daadiyon ko b barra shoq hota hai....
        aur waqai yaar smtimes maayen apnay susraali set up ki wajah se b apni aulaad pr zulam kr jati hain.... i know very well...
        Last edited by saraah; 16 May 2009, 12:53.
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment

        • #5
          Re: hum aur humre parents

          Zonaish dearo.. bohat hi zabardast topic he :thmbup:

          Is per inshallah tafseel se likhoongi. :)

          Comment

          • #6
            Re: hum aur humre parents

            Originally posted by *Samra* View Post
            Zonaish dearo.. bohat hi zabardast topic he :thmbup:

            Is per inshallah tafseel se likhoongi. :)

            thanku ap ka wait rahy ga :rose
            ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: hum aur humre parents

              bohat acha topic he zoniash or wakai aj dekha jaey to bohat sare parents bachon ko ache se ache school me behjne ki koshish karte hen lekin gharon me is ka khyal nahi rakhte k bachon k kirdar or ikhlaq ki bhi tarbeyat ki jaey or ye star plus ka jo zikar hua ...ye aik beemari he jo Pakistani orat ko lag chuki he...kuch din pehle hamare ghar aik family jis me khatoon scarf leti hen or face bhi cover karti hen un k bache aey...wo khud sath nahi then to me ne socha bachi akeli bore ho gi to us ko cartoon channel laga deti hon us ne kaha nahi me cartoons nahi dekhti..mama kehti hen in me jaan dalni pare gi...me bari mutasir k 6/7 class ki bachi maan sath nahi phir bhi kitna khyal he...me ne kaha phir ap kia dekhti ho to boli ...ham star plus dekhte hen.....to me ne bohat logon ko bare dalail dete dekha he is k haq me...nani dadi ki age ki khawateen se le kar choti bachiyan sab ye dekh rahi hen or ye kitni khofnak baat he k kuch saal baad sara hindu culture hamare gharon me rach bas chuka ho ga

              Comment

              • #8
                Re: hum aur humre parents

                Walikum salam
                bachon ki sahi tarbiyat main ghar ke afrad aur school ke log sab hi bahut ahem kirdar ada kartey hain...iss main sab se bara haath maa aur teacher ka hai...ajj ke dour main hum bahcon ko agar tv se dour nai rakh saktey magar unko achi aur buri chez ke barey main bata saktey hain samjha saktey hain...ye keh dena ke star plus ya MBC ke programs bachon ko bigar rahey hain tu its not just....jo tv pe dekhaya jata hia ussko bachon ko samjhain ke kia achi cheez hai aur kia buri....meri aik student hai wo har tarhan ke chennls dekhti hia magar phir bhi wo bahut achey akhlaq aur kirdar ki malik hai...kiun ke usski mother har topic pe ussy discusion karti hai ke kia cheez achi thi aur kia buri aur yehi kaam hum teachers apney school main kartey hain....burai pe agar ap fulstop lagain gey tu bachon main tajasus barhey ga...bajaey rukney ke unko achey burey ki tameez karain tu hi sahi difference pata chalta hai aur bachon ki samajh main bhi baat aati hai

                Comment

                • #9
                  Re: hum aur humre parents

                  Originally posted by zoniash View Post
                  k parents ko maa ko baap ko kayse apne bachon ki terbiyet kerni chaye/?// rose
                  iss hissay ka jawaab dena me bhool gayi

                  sirf hazrat ali ka ek qoul share karoon gi jis me bohat gehri baat chupi hai
                  '' me bachay se 7 saal khailta hoon, doosray 7 saal uski taleem o tarbiat pe tawwjah deta hoon... aur 21wen bars usko dost bana leta hoon''

                  zoni just think abt it,.......agr har maa baap esa soch lain...tou ....!:)
                  شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                  Comment

                  • #10
                    Re: hum aur humre parents

                    Maine pehle bhi aik thread me likha tha... ke Maa baap ke haath me apni Ulaad ki tarbiyaat hoti he.. ager wo chahin to bache ko,.. kiya se kiya banaa dain.

                    Tarbiyat ke saath saath me samjhti hoon ke Dua kerni bhi bohat ziada zaroori he, Her qadam per parents ko khuda se madad maangni chaiyein.

                    AIk bache ki tarbiyat... to uske paida hone se pehle hi sharoo hojaati he.. to hi humare Nabi Hazrat Mohammed s.a.w. ne farmaya ke jab bacha paida ho.. to uske kaan mai Azaan do.
                    Aur iska maqsad yeh he ke.. bache ke kaanou me Khuda ka pegham dala jaye.

                    Akser parents kehte hain ke bacha abhi chota he... isko kiya samjh... lekin wo yeh nahi samjh rahe hote ke bacha her baat ko suun raha hota he..dehk raha hote he aur samjh raha hota he.
                    Last edited by *Samra*; 18 May 2009, 15:27.

                    Comment

                    • #11
                      Re: hum aur humre parents

                      Originally posted by senorita View Post
                      bohat acha topic he zoniash or wakai aj dekha jaey to bohat sare parents bachon ko ache se ache school me behjne ki koshish karte hen lekin gharon me is ka khyal nahi rakhte k bachon k kirdar or ikhlaq ki bhi tarbeyat ki jaey or ye star plus ka jo zikar hua ...ye aik beemari he jo Pakistani orat ko lag chuki he...kuch din pehle hamare ghar aik family jis me khatoon scarf leti hen or face bhi cover karti hen un k bache aey...wo khud sath nahi then to me ne socha bachi akeli bore ho gi to us ko cartoon channel laga deti hon us ne kaha nahi me cartoons nahi dekhti..mama kehti hen in me jaan dalni pare gi...me bari mutasir k 6/7 class ki bachi maan sath nahi phir bhi kitna khyal he...me ne kaha phir ap kia dekhti ho to boli ...ham star plus dekhte hen.....to me ne bohat logon ko bare dalail dete dekha he is k haq me...nani dadi ki age ki khawateen se le kar choti bachiyan sab ye dekh rahi hen or ye kitni khofnak baat he k kuch saal baad sara hindu culture hamare gharon me rach bas chuka ho ga

                      :thmbup: sahi kaha senorita ... mujhe bhi aisy mahol dehk ker bohat ziada dukh hota he.

                      Comment

                      • #12
                        Re: hum aur humre parents

                        :anyword:
                        ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

                        Comment

                        Working...
                        X