Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kottay ki firat hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kottay ki firat hai

    Kottay ki firat hai jab wo kisi dosray kottay kay monh main haddi daikhta hai to pehlay os par bhonkta hai phir os say haddi chein lainay ki koshesh karta hai. Es tara donoon main ghomsan ka run parta hai. Yahaan tak kah wo haddi ko bhi bhool jatay hain. Donoon lar lar kar bai'hal ho jatay hain. Darein'asna koe tisra haddi lay kar chalta banta hai aur larae ka moqam-o-midan aur naak naqsha hi badal jata hai. Goya larae ka silsala es china jhapti kay hawala say kabhi khatam nahain ho pata.

    Insan Allah Ta'ala ki azeem tarein mukhlooq hai. Kottay ki koe bhi adat insan main hona insaniat ki kholi toheen hai. Sari kaenaat insan kay tasaraf ki cheez hai aur kaenat hai hi insan kay liay. Allah nay insan ko Khalifah kay darjay par faez kiya hai. Goya es hawala say, insan Kaenat ka Amin hai. Es ka behtar barh kar estamal kaenat ki tazein aur hifazat ka fariza sar'anjam daita hai. Maday ko tasaraf main la kar apni danish ka saboot faraham karta hai. Es ki kavish say sukh, aasudgi aur kheer ko panpanay kay mowaqay mayassar aatay hain. Es hawala say insan kay paas:
    1- Vasael-e-qudrat wafar mojood hain.
    2- Mehnat ka onsar es ki fitrat ka khasa hai.
    3- Honar gur saliqa tariqa ki giraan qadar naimat say sarfaraz hai.
    4- Takhleeq kay liay namonay pehlay say hi kaenaat main mojood hain.
    5- Holy kotab ki saurat main Hadait mayassar hai.

    Hasad
    say barh'kar dunyaan main koe bori aur na'pasandida cheez nahain. Yah khamioon aur kharabioon ki NANI hai. Yah bhi keh saktay hain hasad Shitan ka jorwaan bhai hai. Yah wo bala hai jo jhagray kharay karti hai aur chein lainay kay jazboon ko oksati hai. Insan ki sar'bolandi doo hawaloon say wazay aur mosalam hai:

    Mayassar main auroon ko shareek karkay khoshi mehsus karta hai. Jis kay sabab barkat say nawaza jata hai.
    Mayassar na honay ki surat main mehnat aur kohesh karta hai.

    Yah bhi pehlay say teh'shoda haqiqat hai:
    1- Insan nay wasael talashay hain aur estamal main la raha hai.
    2- Bohat say wasael say motalaq ilm hasal kiya hai likin oon ka
    talashna aur estamal main lana baqi hai.
    3- Un'gint wasael ka ilm main lana, oon par garift karna aur oon
    ka estamal talashna abhi baqi hai.

    Baad'qismati yahaan say hi shoro hoti hai kah insan mayassar ko mil bant kar nahain kha raha. Auroon ko shamil karnay ki soch, sochnay ko bhi taiyar nahain aur nahi es kay hissay bikhray karna chahta hai. Halan'kah woh koli ya jozvi toor par kisi cheez ka haqiqi malik hi nahain. "Mairi mairaDr. Mohammad Nur-ulAlam Sahib
    "The single superpower, the United States of America, is facing
    a great economic crisis, the greatest economic crisis in its
    history."
    Amrika qomoon ko apnay masael khud say hal karnay day aur khud maloom wasael magar adam daryaat ki talash main niklay takah aati nasloon ka bhi kuch bhala ho sakay. Woh kabhi bhi
    mojoda koshesh main kamyaab nahain ho sakay ga kayoon'kah Mir Ja'afar kabhi kisi ka nahain ho saka.


  • #2
    Re: Kottay ki firat hai

    bohat achi tehreer:thmbup:....lekin ager itni lambi tehreer ap roman ki bajaey inpage me likh kar share karte to parhne me bohat asaani hoti or zeada log parh pate...abhi tawalat ko dekhte huey shaed sab na parh saken....baki is me koi shak nahi k amerika ne is waqt duya khas kar muslim dunya me tabahi phela rakhi he....us k apne qudarti wasail sav save hen or dusron k wo istemal kar raha he or qabza kar raha he...ye hamare waqt ka firo'n he....Allah ne chaha to is ka gharoor bhi khak me mile ga inshAllah....amerika

    Comment


    • #3
      Re: Kottay ki firat hai

      Originally posted by Dr Maqsood Hasni View Post
      Dr. Mohammad Nur-ulAlam Sahib
      :mm:
      That's Enough...!!

      Comment


      • #4
        Re: Kottay ki firat hai

        itna lamba kon pare ga
        sigpic

        Comment

        Working...
        X