Hamein New Year Manana Chahiye ? Aap Ka Kiya Khayal Hay ? :cc:
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Hamein New Year Manana Chahiye?
Collapse
X
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye?
Originally posted by hayaa_nHamein New Year Manana Chahiye ? Aap Ka Kiya Khayal Hay ? :cc:
Islamic (Lunar) new year ke date ka pata nahin aur westernes ki copy karke new year manayenge.
Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye? q nahi ??
Assalaam o alaikum
manaanaa chahiyai q nahi manaanaa chahiyai. haaN jaisay kuch mehfil karaiN naat ki quraan shareef waghair paRhwaayaiN nafil paRhaiN apnay dastarkhwaan pay mad'oo karaiN mehmaanoN ko. shukar karaiN k zindagi ka aik aur saal mukammal hua aur dua karaiN k jitni aagay hay wo sehat salamti k saath guzray.
bass kharaafaat maiN na paRaiN paisa,time aur aakhiratt barbaad na karaiN. Dua karaiN to mujh haqeer ko b yaad kar laiN.
Wassalaam
Raza Baykamal
kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho
Comment
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye? q nahi ??
Originally posted by baykamalAssalaam o alaikum
bass kharaafaat maiN na paRaiN paisa,time aur aakhiratt barbaad na karaiN.
Raza BaykamalKhandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye?
Log to bara bara kuch karte hain...raat ki raat jag kar guzarte hain....Idher gaon mian log bare sada dil hain...yeh to 2 maheene guzar jane ka baad bhi pichle year ki date hi likh rahe hote hain.....:lol Hum nahi manate hainAllah
Comment
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye?
Bilkul manana chayee
hamara her terzy ammal westren jaisa hay...
//////////////
no dout about it...........kafee lambi behas hay
Lakin mujy aisa lagta hay k aik din aisa aana hay ......jab hamary bary main yeh kaha jay ga
Kawa chala huns kee chaal apni b bhool gia..
Khuda hum Muslim per reham kerain taka humain samaj ajay....
Comment
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye?
Dosto 1st January of 2006 ko Dhu Al Qadah, (Eid Ul Adha) ki bhi pehli taarikh hai, yeh Hajj Mubarak ka mahina hai, issi mahiney ke 9win taarikh ko Arafat ka din hai, jahan pe 30 lakh musalman ek din, ek jagah, ek waqt mein jama hokar dua karetey hain, jo ke kisi bhi religion mein ye example nahin milta ek waqt mein, ek din ek jagah itney log...Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
Hamarey naam ka patthar zaroor milega
Comment
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye?
nahi mnana chaey.khas kar jis tarah takribaat ka ehtmam kia jata he bilkul ghalat he.ab chunke ham isi tareekh ke hawale se hi chalte hen to saal badalne par serf wish kar den kafi he.lekin gheron ki tarah celebrate karna bilkul ghalat he
Comment
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye?
khushyan khud nahi aati, khushyun ko bolane ke liye bahanu ki sidiyan lagani padti hai! gum khud b kud aaja ta hai, mujhe lagta hai hamein new year mananna chahiye................ kuch is tarah se ke roone wali ankhoon mein or sisaktey labon per muskurahat aajaye, is tarah se hum naye saal ki shorwat bhi kar sakenge or longon ki duain bhi le lenge. kya khayal hai?
(i dn't mean here to celibrate against islami veiw)Last edited by shaan; 21 December 2005, 04:02.
Comment
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye?
Assalaam o alekum,
Manaanaa chaahiye kyoon nahin manaayien hum new year :cc: :cc: ager hum nahin new year manaayien gey to kaun manaaye gaa haan :a stick: :a stick: jitnien ghalat kaam hai wo hum to zeyaadaa kerte hain :( :(:tang: RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:
Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe
Comment
-
Re: Hamein New Year Manana Chahiye?
New year mananay main burai nahi hay..new year ko ham kis tarha mana rahay hain yeh baat hi har baat ko acha ya bura bana deti hay..bazat-e-khud to yeh din bura nahi hay,is ko jis tarha bhi ham manaein gay woh infiradi towr par is ko acha ya bura banata hay...khushi ka izhaar zaroori nahi k saari raat Naach kar Ga kar kiya jaey,hangama machaya jaey Firing ki jaey tab hi izhar-e-khushi hay.. kiya ham new year ka Aagaaz Duaon aur Ibadat say nahi kar saktay? ham ko kisi nay gun point par roka huwa hay? new year ka Aagaaz hi aap Namaaz say kijiye aur har aik k liye ijtimaai aur infiradi dua kijiye.had main rehtay huway enjoy kijiye.gifts ka tabadla kar k khushi hasil hoti ho to yeh bhi kijiye k khuloos say diya gaya gift bhi mohabatain barhata hay..new year ho ya Eid... har tehwaar ko manana ham par munhasir hay k ham us ko kis tarha manatay hain ?Last edited by hayaa_n; 23 December 2005, 03:12.:roseENIGMA:rose
Comment
Comment