Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

pakistan ka taleemi nizaam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • pakistan ka taleemi nizaam

    salam seb theakh hain mere ko pata hain bally baz ki bhootni ny muje ko bata diya hain:khi::khi: aj hum ek aur discussion kerain gy wo yeh k
    pakistan ka taleemi nizaam k bare main apni raye sy mustafeed kerain seb
    kia ap log mutmaien hain pk k taleemi nizaam sy aur kayse mutmaieen hain???????????????????????????
    exams aur books ka sllybus ap logo k nazdeek sahe hain ya is mian kuch rado badel hona chaye

    kia is main koi changing honi chaye aur kia honi chaye changing
    :) jahan tak meri baat hain main apni raye sy bad main ap seb ko mustafeed keron g :D shukeria

    main khana kha k ati hon miltain hain break k baad:khi::khi:
    ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

    sigpic

  • #2
    Re: pakistan ka taleemi nizaam

    Walaikum Assalam...
    Pakistan k baqi nizamo ki tarah yeh nizam bhi kharab he 372-haha

    aur changing.....jub me is qabil ho ga k meri baat ki koi imp ho to mein changing bhi kuro ga inshaAllah

    Comment

    • #3
      Re: pakistan ka taleemi nizaam

      Originally posted by MSA View Post

      All the best:thmbup:

      Comment

      • #4
        Re: pakistan ka taleemi nizaam

        Originally posted by Ibtesam View Post
        All the best:thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: pakistan ka taleemi nizaam

          Originally posted by zoniash View Post

          Walikum salam
          ab tum uss jinri ko apni saheli bhi bana hi lo:khi:

          jab purey mulk ke har idarey ki A-Z bigri hui hai tu taleemi nezam kesey theek chal sakta hai:lahoul
          hamari Islamic values aur teachings hian unko tu utha ke bahar phek diya hai west ki taqleed main...magar afsoos ke west ki knowledge nai li baqi fazul cheein sari daal li hain..............bahut kuch hai badalney laqi:embarasse

          Comment

          • #6
            Re: pakistan ka taleemi nizaam

            Originally posted by MSA View Post
            Walaikum Assalam...
            Pakistan k baqi nizamo ki tarah yeh nizam bhi kharab he 372-haha

            aur changing.....jub me is qabil ho ga k meri baat ki koi imp ho to mein changing bhi kuro ga inshaAllah

            beta humasha yaad rekhna k is baat sy k ap ki baat ko koi impo nhe day ga apni raye na don to yeh galt ho ga chnaging hum ny he ly ker ani hain pk k her nizaam khrab is liya k hain k koi b insan bolne sy pehly yeh he souchta hain k meri baat ki koi value nhe honi ya kisi ny amel nhe kerna to rehny do kai faida aysa jeb tak hum souchai gy kabi b kamyab nhe hon g apne zaheno sy nekal do is baat ko baat gaer sahe suchi ho to ek akela insan b kafi hota hain changing lany k liya
            kisi b menzil ko pane k liya souch ek insan ki he hoti hain mger resta kai log dekhty hain i samjh
            ab aur gerdish-e- taqdeer kiya sitaye ge lota ke ishq mai naam o nishaan bethain hei

            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: pakistan ka taleemi nizaam

              Originally posted by zoniash View Post
              beta humasha yaad rekhna k is baat sy k ap ki baat ko koi impo nhe day ga apni raye na don to yeh galt ho ga chnaging hum ny he ly ker ani hain pk k her nizaam khrab is liya k hain k koi b insan bolne sy pehly yeh he souchta hain k meri baat ki koi value nhe honi ya kisi ny amel nhe kerna to rehny do kai faida aysa jeb tak hum souchai gy kabi b kamyab nhe hon g apne zaheno sy nekal do is baat ko baat gaer sahe suchi ho to ek akela insan b kafi hota hain changing lany k liya
              kisi b menzil ko pane k liya souch ek insan ki he hoti hain mger resta kai log dekhty hain i samjh

              mein kuch likho us pe behas ho...sirf behash i hoti rahe gi...nizam to wahi rahe ga...is se behter he k mein kuch kur k dikhao na...

              Comment

              • #8
                Re: pakistan ka taleemi nizaam

                Originally posted by MSA View Post

                mein kuch likho us pe behas ho...sirf behash i hoti rahe gi...nizam to wahi rahe ga...is se behter he k mein kuch kur k dikhao na...
                abhi yahan points note karlo
                jab kuch karney laqi ho jao tu yahan issi thread se point ko review kar ke unpe amal kar lena:tasali:

                Comment

                • #9
                  Re: pakistan ka taleemi nizaam

                  Originally posted by Ibtesam View Post
                  abhi yahan points note karlo
                  jab kuch karney laqi ho jao tu yahan issi thread se point ko review kar ke unpe amal kar lena:tasali:
                  acha to phir mein jo changing kuro ga posible wo yeh houn gi..

                  sare private institutes ko bund kurwa k ...waha k teachers ko govt institute me induct kurwao ga....pore pakistan ka syllabus aik hi ho ga....Matriculation k baad sirf aik hi field ho gi perhne k lie...sare subject nahi perhne pare ge....ISLAMIAT,PAK STUDIES,ENGLISH URDU....type sub sirf matric tuk houn ge....aur Matriic tuk Arabic, farsi, bhi ho gi ....Objective type aur conceptual paper houn ge...jo board me aisi teachers bethay he jin ka apne app pe control nahi un ko farigh...govt school k nizam ko renew kur k privite type kurna....blah blah blah...:Fp:

                  abb yeh sub ho skata he bhala abhi
                  te fir...ki fark painda he

                  Comment

                  • #10
                    Re: pakistan ka taleemi nizaam

                    talemi nizam se yad aya miana suna ha aj kal board kay papers 1000 rupay mai balkay mostly free mil rhay hain bacho ko372-shock

                    Comment

                    • #11
                      Re: pakistan ka taleemi nizaam

                      Originally posted by Fairy View Post

                      mere pas to matric ka paper 1 ghanta pehle ajata tha aur 9th bhi...phir me sub ko fwd kur deta tha 372-haha

                      Comment

                      • #12
                        Re: pakistan ka taleemi nizaam

                        Originally posted by MSA View Post
                        mere pas to matric ka paper 1 ghanta pehle ajata tha aur 9th bhi...phir me sub ko fwd kur deta tha 372-haha

                        aj kal tu bohat zyada ha pehlay tu kam hota tha aj kal khulay aam paper mil rhay hotay hain bacho ko372-shock

                        me ki bari mai tu asa nahi tha

                        Comment

                        • #13
                          Re: pakistan ka taleemi nizaam

                          Originally posted by Fairy View Post
                          aj kal tu bohat zyada ha pehlay tu kam hota tha aj kal khulay aam paper mil rhay hotay hain bacho ko372-shock

                          me ki bari mai tu asa nahi tha
                          us qoum ki kismat me likhi he tabahi
                          jis qoum k maktab ki fiza theakh na ho gi....:tasali:

                          matric tuk he bus yaha..intermediate me paper nahi arahe:embarasse...waha result k lie petia chul rahi he :kr:

                          Comment

                          • #14
                            Re: pakistan ka taleemi nizaam

                            Originally posted by zoniash View Post
                            salam seb theakh hain mere ko pata hain bally baz ki bhootni ny muje ko bata diya hain:khi::khi: aj hum ek aur discussion kerain gy wo yeh k
                            pakistan ka taleemi nizaam k bare main apni raye sy mustafeed kerain seb
                            kia ap log mutmaien hain pk k taleemi nizaam sy aur kayse mutmaieen hain???????????????????????????
                            exams aur books ka sllybus ap logo k nazdeek sahe hain ya is mian kuch rado badel hona chaye

                            kia is main koi changing honi chaye aur kia honi chaye changing
                            :) jahan tak meri baat hain main apni raye sy bad main ap seb ko mustafeed keron g :D shukeria

                            main khana kha k ati hon miltain hain break k baad:khi::khi:
                            w/salam

                            Pakistan ke taleemi nazam mein kuch kharabiyan hein meri nazar mein, unhein address zaroor kerna chahiye. Taleemi nazam mein behtari ke liye meri chand aik suggestions derj zail hein.

                            1. Bohat chooti classes mein yani KG se 5th tak buchay ke liye "personality development" per bhi kaam hona chahiye. Her buchay ki stage per presence honi chahiye ta ke wo beginning mein he confidence gain ker le.

                            2. Her buchay ko orally Islam ki basics batani chahiye, aur aik achay buchay ka mooashray mein kia kirdar hota he batana chahiye, ta ke buchay ko sha'oori tarbiyat bhi milay.

                            3. Buchon ki hand writting theek kerwanay ke liye aik specialist hona chahiye, jo buchon ko equally guide karay aur buchon ko pata ho ke wo kis khat mein likh rahay hein, yani hand writting ke baray mein buchon ki awareness bhi hona lazim he.

                            4. Khasoosan chooti class ke teachers ki training workshops honi chahiye, aur unhein batana chahiye ke chootay buchon ko kese educate kerna he.

                            5. Buchon ko out of syllabous activities mein bhi indulge kerna chahiye, like seed collection, wrapper collections, paper cuttings, sketchings and so on.

                            6th to 10th tak to koi ziada masla nahi, yeh as such abi chalna chahiye. Haan albata matric 'O' level mein computer and science labs ki sahoolat zaroor provide ke jani chahiye.

                            Ub aatay hein college ki taraf.

                            7. 11th standard to onward part system ya composit system khatam ker dena chahiye aur 6 monthly Symester System introduce kerwana chahiye. Is tarah student pura saal studies mein equally engage rahein ge aur un per bohat ziada burden bhi nahi paray ga. Aik sequence kaim rahay ga.

                            8.Koi student jo 70% se kum attendnce wala he, usay exams mein bethnay ki permission nahi honi chahiye.

                            9. MCQ's ko aik limited honay chahiyein.

                            10. Different colleges ke mabain different types ke competitions ka inekaad kerna chahiye ta ke studies mein homogenisation paida ho, aur sabi aik dooray ke experience se mustafeed ho sakein.

                            Abi ke liye itna he, kyoon ke mujay bhi bhook lagi he :khi:
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: pakistan ka taleemi nizaam

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post

                              wah wah :clap:

                              Comment

                              Working...
                              X