Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Tarbiyat ka Amal Dakhal*

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

    Aik insaan ke groom hone me tarbiyat kis hud tak matter karti he?
    kia tarbiyat waqayi hi importance rakhti he?

    Agar koi bacha acha ho..tameez wala ho to kaha jata he ke iski tarbiyat achi hui he...
    or agar koi bacha bura ho..woh bara ho ke aik bura insaan banta he to kaha jata he ke iski tarbiyat sahi andaaz se nahi ki gayi ...

    or baa'z dafa dekhne me aya he ke maa baap baht ache hote hein..shareef log hote hein..unke ghar ka mahol bhee religious hota he likin unki ulaad bari ho ke achi nahi nikalti... to kia yahan bhee kahein ge ke tarbiyat ka kusoor he :donno:

    waiting for your views
    Last edited by mano_billi; 27 April 2009, 09:15.

  • #2
    Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

    Originally posted by mano_billi View Post

    kaha tu yehi jata hai.....
    tarbeeat really buht important hoti hai...... lakin kuch asar banda environment say bhi qobool karta hai .. yeh depend karta hai keh banda bahar kay mahoul ko kis andaaz say qobool karta hai.. positively ya negetively... aur agar 2nd situation ki tarah kuch ghalat ho jata hai jahan bacha kuch ghalat asraat accept kar raha hai....depend karta hai parents per keh kis tarah woh deal kartay hain aisi situation ko...
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

    Comment

    • #3
      Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

      taleem or tarbeyat dono ka asar hota he...or phir ird gird ka mahol bhi asar karta he.

      Comment

      • #4
        Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

        Originally posted by *Rida* View Post
        kaha tu yehi jata hai.....
        tarbeeat really buht important hoti hai...... lakin kuch asar banda environment say bhi qobool karta hai .. yeh depend karta hai keh banda bahar kay mahoul ko kis andaaz say qobool karta hai.. positively ya negetively... aur agar 2nd situation ki tarah kuch ghalat ho jata hai jahan bacha kuch ghalat asraat accept kar raha hai....depend karta hai parents per keh kis tarah woh deal kartay hain aisi situation ko...

        likin agar us bache ki tarbiyat achi hui ho or maa baap ki baaton par uska koi asar hi na hota ho to? :mm:
        or agar uske parents buray hon likin wo aik acha insaan ban jaye to :donno:

        Originally posted by senorita View Post
        taleem or tarbeyat dono ka asar hota he...or phir ird gird ka mahol bhi asar karta he.
        ji senorita sis taleem baht asar karti he likin uneducated log bhee to hote hein jo baht ache hote hein unhe bolne ka dhang bhee ata he sochne samajhne ki or right decisions karne ki salahiyat bhee hoti he 372-shock

        Comment

        • #5
          Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

          Originally posted by mano_billi View Post
          Aik insaan ke groom hone me tarbiyat kis hud tak matter karti he?
          kia tarbiyat waqayi hi importance rakhti he?

          Agar koi bacha acha ho..tameez wala ho to kaha jata he ke iski tarbiyat achi hui he...
          or agar koi bacha bura ho..woh bara ho ke aik bura insaan banta he to kaha jata he ke iski tarbiyat sahi andaaz se nahi ki gayi ...

          or baa'z dafa dekhne me aya he ke maa baap baht ache hote hein..shareef log hote hein..unke ghar ka mahol bhee religious hota he likin unki ulaad bari ho ke achi nahi nikalti... to kia yahan bhee kahein ge ke tarbiyat ka kusoor he :donno:

          waiting for your views

          mano guriya bohat hi zabardast topic hai.

          Bache ki tarbiyat me haath maa baap ka hi hota hai. Lekin uske saath saath Khuda ka Fazal bhi hona zaroori hai.
          Maa baap bohat ache hain..ghar ka mahol bohat acha he...pihr bhi bacha ghalat raaste per chala jata he... to hoskata he..ke parents se kahien DUAOU mai kami reh gaiy ho. Bcz HUM jitni bhi koshish kerlain...jitni bhi tarbiyat apni tarf se kerlain... ager hum saath mai Khuda se dua nahi kerte., aur fazal nahi maangte to...humai uski zaroor koi na koi kami nazar aye gi.

          Tarbiyat kerte waqt apni poori jaan laga deni chahiye.. kiuke bache hi apki Ankhao ki Thandak bante hain....

          aur tarbiyat ke saath Duaien kerna bhi laazmi hai.

          Comment

          • #6
            Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

            یہ سچ ہے کہ تربیت کا بچے کی شخصیت پر بڑا گہرا اثر پڑتا ہے اور یہ اثر منفی اور مثبت دونوں طرح کا ہوسکتا ہے اور یہ بھی سچ ہے کہ اس اثر کے منفی پہلو کو دیکھ کر معاشرہ اسے تربیت کہ فقدان سے تعبیر کرتا ہے جبکہ اس کہ مثبت اثر کو تربیت کہ حسن سے نتھی کیا جاتا ہے ۔ ۔ ۔۔
            باشعور والدین کی خواہش ہوتی ہے کہ وہ اپنے بچوں کی ذہنی تربیت اور فکری نشو و نما کہ لیے بہتر تعلیم تربیت کا ماحول پیدا کریں مگر ان کہ یہ سب کچھ کرنے کہ باوجود بھی بعض بچے بگڑ جاتے ہیں جس میں مختلف عوامل کار فرما ہیں جن میں سے سب سے بڑا المیہ یہ ہے کہ والدین باوجود کہ اپنے بچوں کہ بہتر مستقبل کہ لیے اپنی تمام تر توانائی، وقت اور رقم خرچ کرنے کے بچے کو ایک تو وہ توجہ نہیں دے پاتے کہ جس کا وہ بچہ حق دار ہے اور نہ ہی وہ توجہ دے پاتے ہیں کہ جو کہ بچے کی اخلاقی تربیت کا تقاضا ہوتی ہے پہلی توجہ کہ حوالے سے مجھے انگریزی کی چھوٹی سی کہانی یاد آگئی کہ جس میں ایک انگریز بچہ اپنے والد سے پوچھتا ہے کہ ڈیڈ آپ کی ایک دن کی آمدنی کتنی ہے ڈیڈ کہتا ہے کہ پچاس پونڈ تو وہ بچہ کہتا ہے آپ مجھے پچیس پونڈ دیں گے جس پر باپ پہلے تو کافی ناراض ہوتا کہ ابھی چند دن پہلے ہی تو تمہیں جیب خرچ دیا تھا اس کا کیا بنا ؟؟؟؟ بالآخر وہ بچہ کو پچیس پونڈ دے دیتا ہے دوسرے دن وہ بچہ پھر کچھ رقم باپ سے مانگتا ہے اور باپ شدید غصے کہ عالم میں اس کو کمرے میں بند کردیتا ہے اور کافی دیر کمرے میں بند رکھنے کہ بعد جب اسے کمرے سے کوئی آواز نہیں آتی تو اسے تشویش لاحق ہوتی ہے کہ کہیں بچے کو کچھ ہو نہ گیا ہو اور وہ پشیمانی بھی کہ چند پونڈز کہ لیے میں نے اپنے بچے کو اس قدر ٹارچر کیا ۔ ۔۔ ۔ جب وہ بچے کہ کمرے میں داخل ہوتا ہے تو بچہ ایک کونے میں پڑا ہوتا ہے وہ بچے کو اٹھاتا ہے اسے پیار کرتا ہے باقی رقم دے دیتا ہے جب وہ رقم بچے کو دیتا ہے تو بچہ پہلے والی رقم بھی نکال لاتا ہے جس پر باپ کو کافی حیرانگی اور ایک بار پھر غصہ آتا ہے اور وہ پوچھتا ہے کہ جب تمہارے پاس پہلے سے رقم موجود تھی تو پھربار بار تقاضا کیوں رتے ہو جس پر بچہ اپنی ساری رقم جو کہ پچاس پونڈ بنتی ہے باپ کو دے دیتا ہے اور کہتا ہے کہ میرے پاس پچاس پونڈ جمع کرنے میں کمی تھی اس لیے میں آپ سے بار بار رقم مانگتا تھا تو باپ پوچھتا ہے کہ اس پچاس پونڈ سے تم کیا خریدو گے تو بچہ جواب دیتا ہے کہ آپ کا ایک دن ۔ ۔۔ ۔ ۔ دوسرے قسم کی جو توجہ ہے اس پر ڈاکٹر صابر حسین خان صاحب لکھتے ہیں کہ ۔ ۔ ۔۔
            کیا آپ کو اندازہ ہے کہ آپ کے لڑکے یا لڑکی کی سرگرمیاں کیا ہیں۔ ۔ ۔؟ کبھی آپ نے غور کیا ہے کہ ان کی مصروفیات اور تفریحات کیسی ہیں۔ ۔ ۔ ؟ کبھی آپ نے سوچا کہ بیٹے کے دوست کیسے ہیں۔ ۔ ۔ یا بیٹی اپنا زیادہ وقت آئینے کے سامنے کھڑے ہوکر گزارنے لگی ہے۔ ۔ ۔؟ کبھی آپ نے دیکھا کہ نصابی کتابوں کے علاوہ بچے کیسے رسائل و جرائد کا مطالعہ کرتے ہیں۔ ۔ ۔؟ دفتر یا دکان میں بیٹھے ہوئے کبھی آپ کو خیال آیا کہ گھر میں اس وقت کون سی فلم دیکھی جا رہی ہوگی یا کیبل پر کون سا پروگرام آ رہا ہے۔ ۔ ۔ ؟
            کیا آپ کو علم ہے کہ آپ کے بیٹے کو حضرت عمر بن عبدالعزیز رضی اللہ عنہ، طارق بن زیاد رضی اللہ عنہ اور خالد بن ولید رضی اللہ عنہ کے بجائے نئی فلموں کی کہانیاں اور تمام نئے ادکاروں کی سوانح عمریاں زبانی یاد ہیں۔ ۔ ۔ ؟ کیا آپ کو پتا ہے کہ بیٹی کے پاس نیل پالش اور لپ اسٹک کے کتنے شیڈ اور نئے گانوں کے کتنے البم موجودہیں۔ ۔ ۔ ؟ کیا کبھی آپ نے ان کی بک ڈائری اٹھاکر دیکھی ہے کہ ان میں ٹیلی فون نمبر اور پتوں کے علاوہ کس نوعیت کے اشعار اور اقوال لکھے ہوئے ہیں ؟

            کیا کبھی آپ نے اپنے سولہ سالہ بیٹے یا چودہ سالہ بیٹی کو پاس بٹھا کر ان کے تیزی سے وسیع ہوتے ذہن کے مسائل، تضادات اور کشمکش سمجھنے کی کوشش کی ہے۔ ۔ ۔ ؟ کیا آپ کو یاد ہے کہ جب آپ خود بارہ سال کے تھے تو آپ کتنی شدت سے اپنے والدین کی عدم توجہی اور شفقت کی کمی کا شکار رہتے اور کیسے خواب دیکھا کرتے تھے۔ ۔ ۔ ؟ کیا آپ کا بارہ سالہ بچہ بھی عمر کے اس حصے اور تجربے سے گزر رہا ہے جس سے گزرتے ہوئے آپ کے نازک احساسات کو بھی ٹھیس لگی تھی؟
            اگر ان تمام سوالات کا جواب نفی میں ہے تو یقین کیجئے آپ خسارے میں ہیں اور زمانہ آپ کی شہ رگ پر ہاتھ رکھ چکا ہے۔ ساحل کی ریت کی طرح آپ کے قدموں تلے زمین سرکتی جارہی ہے۔ ۔ ۔ ۔

            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment

            • #7
              Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

              Originally posted by mano_billi View Post
              Aik insaan ke groom hone me tarbiyat kis hud tak matter karti he?
              kia tarbiyat waqayi hi importance rakhti he?

              Agar koi bacha acha ho..tameez wala ho to kaha jata he ke iski tarbiyat achi hui he...
              or agar koi bacha bura ho..woh bara ho ke aik bura insaan banta he to kaha jata he ke iski tarbiyat sahi andaaz se nahi ki gayi ...

              or baa'z dafa dekhne me aya he ke maa baap baht ache hote hein..shareef log hote hein..unke ghar ka mahol bhee religious hota he likin unki ulaad bari ho ke achi nahi nikalti... to kia yahan bhee kahein ge ke tarbiyat ka kusoor he :donno:

              waiting for your views

              tarbiyat karne vale hote hain parents ... bigaarne wale bhi parents hi hote hain. akser halat mai ... dono kabhi ziada sakhti ker ke ghalti kere hain our kabhi bohaat ziadah narmi ker ke.

              aur bohat Dua.. kerna... isi se to khuda humari madad kerta he.

              Comment

              • #8
                Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

                Originally posted by mano_billi View Post
                Aik insaan ke groom hone me tarbiyat kis hud tak matter karti he?
                kia tarbiyat waqayi hi importance rakhti he?

                Agar koi bacha acha ho..tameez wala ho to kaha jata he ke iski tarbiyat achi hui he...
                or agar koi bacha bura ho..woh bara ho ke aik bura insaan banta he to kaha jata he ke iski tarbiyat sahi andaaz se nahi ki gayi ...

                or baa'z dafa dekhne me aya he ke maa baap baht ache hote hein..shareef log hote hein..unke ghar ka mahol bhee religious hota he likin unki ulaad bari ho ke achi nahi nikalti... to kia yahan bhee kahein ge ke tarbiyat ka kusoor he :donno:

                waiting for your views
                maiN nay pehlay is mozo par kaheen reply kia tha :mm:

                khair apna khayal phir share kar layta hoon..

                mery nazdeek insani tarbiyat kay 4 marahil hotay haiN..
                1. Walidain.
                2. Asaatza.
                3. Muashra.
                4. aur insaan Khud...

                aur in maiN say har marhala aihem hai, koi ziadah ya kam zarori nahe hota.

                is par maiN phir kabhi roshni daal donga abhi thora jaldi maiN hoon, bus main point bata deay hain :embarasse
                That's Enough...!!

                Comment

                • #9
                  Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                  maiN nay pehlay is mozo par kaheen reply kia tha :mm:

                  khair apna khayal phir share kar layta hoon..

                  mery nazdeek insani tarbiyat kay 4 marahil hotay haiN..
                  1. Walidain.
                  2. Asaatza.
                  3. Muashra.
                  4. aur insaan Khud...
                  aur in maiN say har marhala aihem hai, koi ziadah ya kam zarori nahe hota.

                  is par maiN phir kabhi roshni daal donga abhi thora jaldi maiN hoon, bus main point bata deay hain :embarasse

                  thnx for your time apke ilm ki roshni ka intezar rahe ga
                  wase u ke charon points hi theek hein :salam:

                  Comment

                  • #10
                    Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

                    mano u kay kinay bachay hain372-shock

                    Comment

                    • #11
                      Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

                      tarbiat ka ansar humari society say ghaib hota ja raha hay . just to provide facilities dena aulaad kay liyay kaafi nahin hota bulkay un ki mental growth kay liyay shuro say un ko achay concepts as well as ideas dimagh mein bithana zarori hota hay . takay un mein achay aur buray ka clear imtiaz paida ho . the main role school ka enviroment or ghar ka environment can play a major role. yeah !!! tv channels and internet forums can play negative role on mental growth of children.

                      Comment

                      • #12
                        Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

                        gr8 topic mano :)

                        acha jee mera jahan taq khiyal hai keh 5saal say bacha chezon ko adopt karna sekhta hai, uss say pehlay bacha shishay ki tara saaf hota hai, 5saal say pehlay maa baap ka yeh farz hai keh woh bachay ki achi tarbiyat hain, aur 5saal kay baad bacha apnay mahol say batein sekhta hai, ab bacha bohat tezi say chezain sekhta hai, ab maa baap ko chahiyay keh woh bachay ko note karain aur jahan woh ghalat kar raha hai ussay samjhain, iss kay liay mujhay aik qoute yaad aa jia woh iss topic kay liay kafi munasib rahay ga

                        If you are born with a personality it is an accident but if you die with a personality its an achievement

                        Comment

                        • #13
                          Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

                          Originally posted by mano_billi View Post
                          Aik insaan ke groom hone me tarbiyat kis hud tak matter karti he?
                          kia tarbiyat waqayi hi importance rakhti he?

                          Agar koi bacha acha ho..tameez wala ho to kaha jata he ke iski tarbiyat achi hui he...
                          or agar koi bacha bura ho..woh bara ho ke aik bura insaan banta he to kaha jata he ke iski tarbiyat sahi andaaz se nahi ki gayi ...

                          or baa'z dafa dekhne me aya he ke maa baap baht ache hote hein..shareef log hote hein..unke ghar ka mahol bhee religious hota he likin unki ulaad bari ho ke achi nahi nikalti... to kia yahan bhee kahein ge ke tarbiyat ka kusoor he :donno:

                          waiting for your views
                          Aik buchay ki terbiyat mein bohat saaray awamal kar'farma hotay hein. Maslan

                          Buchay ki ghar mein ibtadai terbiyat
                          Buchay ki school mein terbiyat
                          Buchay ki shaoori tarbiyat
                          Ird Gird ka Mahool
                          Buchay ki jaiz zarooriyaat ka khyaal
                          Buchay ki kaar'kardgagi per nazar
                          Buchay ki deeni aur ehlaaki terbiyat
                          Maan baap ka buchay ke saath interaction
                          Ghar ke baki afraad ka buchay se interaction
                          Opportunities and Exposure

                          Aur bhi kuch cheezein hein jinhein aik symmetry ke saath buchay mein induce kia jata he. Jahan ghalti hui buchay ki tarbiyat ka tawazan biger jaye ga. So be careful, buchay paida kerna aasan he, us ki tarbiyat kerna itna aasan nahi :wk
                          :thmbup:

                          Comment

                          • #14
                            Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post

                            yaar munday teenoon naee lagda k ton mery nal reh reh k sayana hogaya waien :mm:
                            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                            Comment

                            • #15
                              Re: *Tarbiyat ka Amal Dakhal*

                              Originally posted by aabi2cool View Post
                              yaar munday teenoon naee lagda k ton mery nal reh reh k sayana hogaya waien :mm:
                              yaar tere saath reh ke mujay khurak per gai he :embarasse
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X