Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Baahir jana he....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Baahir jana he....

    Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
    Eesha ji, mein kisi larki ki tareef kerta hoon to aap jelous kyoon ho jati hein :embarasse
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: Baahir jana he....

      Originally posted by saraah View Post



      pehli baar suna tou heraan mat ho samra...waqai usually tou parents nae chahtay esa..shaz o nadir hi hota hai esa k parents khud kahain...wrna beton ko hi aag lagi hoti hain

      maine kab kaha her ghar mai hota he.... lekin akser logou ki yehi soch hoti hai na.... zaahir he koi bhi parents apni Ulaad ko apne se door nahi kerna chahte...
      lekin wo yehi samjhte hain na ke pakistan mai koi future nazar nahi araha...




      Originally posted by MSA View Post
      Walaikum Assalam

      Ji bhi nahi372-shed...aisa to kuch nahi hota hur jaga372-shed

      mere amma abba mujhay bolte hein aisa per wo is lie kehte he k un ko dur he k mein ne bahir bhag jana he shadi kur k apni BIVI'on ko le k :lol....warna unho ne to kabhi nahi kaha k tum ne bahir jana he....aur agur kehte bhi he.......to meri bhi koi marz ihe....me ne to nahi jana bahir...idher hi reh k is mulk ko aur ganda kurna he:lol...jub sub ganda kur rahe he to mein bhi apna hissa dalo ga....per bahir nahi jaao ga...waisi mujhay pata he "NAIK WO HE JIS KO MAUQA NAHI MILA":lol....per agru khuda'na'khuasat koi bura patch aya to socho ga...warna nahi....infact me to kehta ho mein bara ho k aik dukan kholo ga...Engr PAN SHOP :lol...aur is me koi burai bhi nahi he;)....YA MEAT SHOP :lol....

      per waqt ka kuch nahi pata kuch bhi ho sakta he....jo log bahir hote he zaroori nahi wo patriotic na ho...mujborian bhi hoti he..kuch ki bivian bhi hoti he:lol....

      so its all about perception....ap kis tarah sochte he....

      hmmm achi baat hai... :thmbup: shabassh

      Originally posted by Crazy View Post
      Jaisay Jaisay Jis keh pass paisa aata hai woh kah eeman kharab ho jata hai, shoru main tu har banday kah eeman saaf hota hai, problem humhare aas pass keh log hain, humara culture, sab seh barh kar government khud currupt ho tu, insan acha karnay kah kaisay souchay? :na:


      :mm: acha

      Comment


      • #18
        Re: Baahir jana he....

        Originally posted by *Samra* View Post

        :mm: acha

        Such Mai :tasali:

        Comment


        • #19
          Re: Baahir jana he....

          Originally posted by Ibtesam View Post
          walikum salam
          wo pata hia kia baat hai
          door ke dhool suhaney jo hotey hain372-shock
          Pakistan main rehney waley ye samajhtey hain ke mulk se bahar paseon ke darkht lagey hain:lahoul
          :thmbup:
          ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

          Comment


          • #20
            Re: Baahir jana he....

            well.... yeh bilkul aise hai... humare pass hunar hai or un ke pass paisa.. tu yahan brain drain hota hai..... no harm in that.... until and unless aap bauaht zyadah clear ho apni life or life ke goals ko le ker.... in other words.. "focused"....
            pehle hum bhi aap ki tarah sochte the... my country... yahein reh ker jo karna hai kareinge and all... but "world of work" aap se "worth" mangta hai.. ager aap ke pass kuch nahi tu yeh aap ko aap ki saari khamiyon samait bahar utha ker phaink dega... be practicle... its not about ke aap ka mulk aap ko kya desakta hai ya nahi.... its sometimes ke aap ke pass jo hunar hai woh aap ke mulk ke kitne kaam aata hai... If your talent has no worth in your country.. so go and cash it somewhere else...
            372-shock

            Comment


            • #21
              Re: Baahir jana he....

              Originally posted by ummid View Post
              well.... yeh bilkul aise hai... humare pass hunar hai or un ke pass paisa.. tu yahan brain drain hota hai..... no harm in that.... until and unless aap bauaht zyadah clear ho apni life or life ke goals ko le ker.... in other words.. "focused"....
              pehle hum bhi aap ki tarah sochte the... my country... yahein reh ker jo karna hai kareinge and all... but "world of work" aap se "worth" mangta hai.. ager aap ke pass kuch nahi tu yeh aap ko aap ki saari khamiyon samait bahar utha ker phaink dega... be practicle... its not about ke aap ka mulk aap ko kya desakta hai ya nahi.... its sometimes ke aap ke pass jo hunar hai woh aap ke mulk ke kitne kaam aata hai... If your talent has no worth in your country.. so go and cash it somewhere else... 372-shock
              :thmbup: true

              Comment


              • #22
                Re: Baahir jana he....

                walaikum salam Samra!!

                Mera khayal hai k saari kahani opportunities ki hoti hai. Jiss ko jahan achey mwaqey milein gey us ney waheeN jana hai. Aur apney mulk mey meyri du'a hai plus ye kaam hamari generation ka hai k ham apni next generations k liye acha kuch ChoR ker jayein ta k un ko hijratein na kerni perhein ...

                Agar aap k kaam ko aap k apney mulk mey ehmiyat aur izaat dono milti hein tau koi wajey nahi banti k aap kaheen aur jao.
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #23
                  Re: Baahir jana he....

                  Originally posted by Xai View Post
                  walaikum salam Samra!!

                  Mera khayal hai k saari kahani opportunities ki hoti hai. Jiss ko jahan achey mwaqey milein gey us ney waheeN jana hai. Aur apney mulk mey meyri du'a hai plus ye kaam hamari generation ka hai k ham apni next generations k liye acha kuch ChoR ker jayein ta k un ko hijratein na kerni perhein ...

                  Agar aap k kaam ko aap k apney mulk mey ehmiyat aur izaat dono milti hein tau koi wajey nahi banti k aap kaheen aur jao.

                  bilkul :thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: Baahir jana he....

                    mere parents ne to esa kabhi nahi socha na hi kabhi kaha k un k bache bahir jaen....shaed jin ko apne mulk me hi behter mawake milte hen wo esa kabhi nahi sochte kion k apna mulk apna hi hota he:)

                    Comment

                    Working...
                    X