Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

AoOo BaaTaiN KaraiN...!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

    Originally posted by barg.e.gul
    ok aik sawal

    jo bhi hum kaam karein kya ussey bohot ziada involve ho ker karien ya phir.... aeysey hi??

    coz bohot saarey kaam hum apney taur per theek ker rahey hotey hein magar kuch logon ki nazar mey wo sahih nahi hotey jis tareekey sey hum ker rahey hotey hein, phir aeysey mey kya kerna chahiye???

    yar gul her koi her kaam apne apne tarike se karta hai..jaise ke main hon..mujhe jo kaam karna hota hai tu main chahti hon ke wo phir late na ho..main isko forun karna chahogi..ke jab yeh mujhe he karna hai tu main jaldi ku na karon...jaise mujhe raat ka khana pakana hota hai..ab jab mujhe pata hai ke mujhe he pakana hia tu main chahongi ke 8 se 9 baje tak khana ready ho...takey kisi ko bhi bhoke lage tu kha lai..yeh mera tarika hai.or main aise he karti hon jis din mujhe pakana hota hai main forun paka lete hon,,ab yeh kisi ko bura lagta hai tu lage mujhe nahi parwa...!

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • #17
      Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

      Originally posted by barg.e.gul
      theek hai aap ker saktey hein baatein ...
      maiin nahi karsakti kiya baatain :( wo he karain gai kiya baatain :(

      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • #18
        Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

        Originally posted by Masood
        aap ki baat hai naz main ney kal hi aisa aisa aik thread shuru karney ka socha tha aur likh bhi raha tha magar phir irada cancel kar diya - mera apna dil kar raha hai bohat dheeeeeeeeeer sari batein karoon aap logon sey - kyun don't know :cc:
        tu shuru kardete na uncle :p

        chalo ab karlo :blush:

        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

        Comment


        • #19
          Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

          Originally posted by Masood
          to aap bhi karein na - phir kya kaun janey kahein baton ka quota khatam na ho jaey

          Uncle app yeh ajeeb ajeeb si baatain ku karahe ho tabait set hiana :s

          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • #20
            Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

            Originally posted by naz
            tu shuru kardete na uncle :p

            chalo ab karlo :blush:
            Uncle ki bjanji yeh btao keh waqt tezi sey kyun guzar raha hai? aur safar per jatey huwey dil kyun dharrakta rehta hai?
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #21
              Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

              Originally posted by naz
              yar gul her koi her kaam apne apne tarike se karta hai..jaise ke main hon..mujhe jo kaam karna hota hai tu main chahti hon ke wo phir late na ho..main isko forun karna chahogi..ke jab yeh mujhe he karna hai tu main jaldi ku na karon...jaise mujhe raat ka khana pakana hota hai..ab jab mujhe pata hai ke mujhe he pakana hia tu main chahongi ke 8 se 9 baje tak khana ready ho...takey kisi ko bhi bhoke lage tu kha lai..yeh mera tarika hai.or main aise he karti hon jis din mujhe pakana hota hai main forun paka lete hon,,ab yeh kisi ko bura lagta hai tu lage mujhe nahi parwa...!
              theek naz
              yani key aap ki nazar mey kaam hamien apney tareekey sey kerna chahiye...yani jis tarhan hum satisfy hon us tarhan theek hai...??

              leykin mujhey bohot ajeeb si feelings hoti hien jab mujhey lagey key mey theek hun aur doosron ki nazron mey wo sahih tareeka na ho
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                Originally posted by naz
                maiin nahi karsakti kiya baatain :( wo he karain gai kiya baatain :(
                bilkul ker sakti hien bolney per pabandi thori hai
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #23
                  Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                  Originally posted by Masood
                  to aap bhi karein na - phir kya kaun janey kahein baton ka quota khatam na ho jaey :lol
                  nahi ye quota nahi khatam hota ... :-)
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #24
                    Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                    Originally posted by barg.e.gul
                    theek naz
                    yani key aap ki nazar mey kaam hamien apney tareekey sey kerna chahiye...yani jis tarhan hum satisfy hon us tarhan theek hai...??

                    leykin mujhey bohot ajeeb si feelings hoti hien jab mujhey lagey key mey theek hun aur doosron ki nazron mey wo sahih tareeka na ho
                    Baat yeh nahin Gul keh aap theek ho ya ghalat ho. Kaam ki noyyat per munahsir hai keh kya kaam kiya jaa raha hai. Agar koi aisa kaam hai jo standard hai jaisey kuchh office key kaam to woh usi standard tareeqey per karney chahiye. Magar private zindagi mein jo kaam hai woh aap ki apni zimmeydari hai hain. Agar drust hain to kya baat hai, agar drust sabit nahin hotey to you have to be bold enough to face the consequences :)
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #25
                      Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                      Originally posted by Masood
                      yeh btao keh waqt tezi sey kyun guzar raha hai? aur safar per jatey huwey dil kyun dharrakta rehta hai?
                      aik bohot asaan sa hal hai
                      jabhi bhi kisi bhi safar per jana ho aur hamari tayyari poori ho to hum fully satisfied hotey hein ....

                      dil ka to kaam hi dharkna hai ..to wo dharkey ga :-)
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #26
                        Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                        Originally posted by naz
                        Shy maine aj Qeeme ki Biryani khaye :eye:

                        khud he banaye thi :p
                        oohh achaa to kia aram se hazam ho gai thi wo biryani:wk

                        Comment


                        • #27
                          Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                          Originally posted by barg.e.gul
                          jabhi bhi kisi bhi safar per jana ho aur hamari tayyari poori ho to hum fully satisfied hotey hein ....
                          aur agar tayyari na ho aur phir bhi jana parrey to??
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #28
                            Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                            Originally posted by Masood
                            aur agar tayyari na ho aur phir bhi jana parrey to??
                            phir apni koshish poori rakhni chahiye....

                            jaisey kabhi kisi mulk mey kuch ho jaye to wo log emergency nafiz ker leytey hein yani key saari tawajo us per lagi hoti hai :-)

                            isi tarhan hamein bhi achanak kaheen jana perhey to us ki tayyari key liye sab kuch chor char ker apni koshish wahan lagana deyni chahiye....inshAllah
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #29
                              Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                              Originally posted by Masood
                              Uncle ki bjanji yeh btao keh waqt tezi sey kyun guzar raha hai? aur safar per jatey huwey dil kyun dharrakta rehta hai?
                              aray uncle dil nahi dharke ga tu jeyee gai kaise :blush: iska kaam he dharkan hai ....waqt tu guzrey ga he...bhot mukhtasir hogaya hai sub kuch..din se shaam kab hote hai or shaam se raat kab hote hai kuch pata nahi chalta,,,bhot tezi se zindagi guzar rahe hai.....bus time pora horaaha hai...zindagi ka....or safar per jate hue tu waqie mera bhi dil boht ghabrata hai ke cancel he hojaye jana....leken jana parta hai....ke kuch kaam pore karne hote hain...!

                              ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                              tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                              Comment


                              • #30
                                Re: AoOo BaaTaiN KaraiN...!

                                Originally posted by naz

                                yar gul her koi her kaam apne apne tarike se karta hai..jaise ke main hon..mujhe jo kaam karna hota hai tu main chahti hon ke wo phir late na ho..main isko forun karna chahogi..ke jab yeh mujhe he karna hai tu main jaldi ku na karon...jaise mujhe raat ka khana pakana hota hai..ab jab mujhe pata hai ke mujhe he pakana hia tu main chahongi ke 8 se 9 baje tak khana ready ho...takey kisi ko bhi bhoke lage tu kha lai..yeh mera tarika hai.or main aise he karti hon jis din mujhe pakana hota hai main forun paka lete hon,,ab yeh kisi ko bura lagta hai tu lage mujhe nahi parwa...!
                                parwa tu waise u ko hoti hai janam :eye:

                                hmmm sahi kaha khud ko satisfy karna chahiye bajaye kisi dosre ke

                                Comment

                                Working...
                                X