Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Are we happier than our ancestors?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Are we happier than our ancestors?

    ASSLAMOALIKUM.....

    ARE WE HAPPIER THAN OUR ANCESTORS?

    DALAAYAL KI ROSHNI ME BAAT KIJIYE......:thmbup:
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

  • #2
    Re: Are we happier than our ancestors?

    walaikum salam

    Ham log ziada sahooliaat mey tau hein magar Happier? .... :-)
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Are we happier than our ancestors?

      Originally posted by saraah View Post
      ASSLAMOALIKUM.....

      ARE WE HAPPIER THAN OUR ANCESTORS?

      DALAAYAL KI ROSHNI ME BAAT KIJIYE......:thmbup:
      Wa salaam

      Aap do mukhtalif adwaar ka muqabla kar rahi hain... Dono adwar mein kaafi kuchh mukhtalif tha - suna hai keh insaan kabhi kisi daur mein khush nahin raha... :) Aur khushi ki defination kya hai? Khushi kehtey kissey hain?

      Jo batein pichhley adwar mein thin, woh aaj nahin. Jo aaj hain woh pehley nahin thin. Insaan taraqiyon key urooj per pohanchta chala jaa raha hai magar hai aaj bhi haqeeqi taraqi sey koson door.

      Mera zaati khiyaal hai keh aaj kal insaan nafsa'nafsi mein is qadar kho chuka hai keh ussey apney ird gird parri khushiyaan bhi nazar nahin aatin aur kisi anjaani shay key peechhey bhagta phir raha hai - aik aisi shay jo anqa hai!

      Aaj har ghar mein do do TV hon gey, computer aam ho chuka hai - magar woh khushi nahin rahi jahan per aik radio set huwa karta tha aur sara sara muhalla mehfil laga ker ussey suneney aaya karta tha.. Jab insaan insaan sey milta hai to ussey khushi milti hai. Aaj kal ham tanhaii ki tarf barh chukey hain aur tanhaii mein agar aik do khushi mil bhi jaey to woh shayid us khushi key muqabil nahin ho gi jo pehley thi...

      Tension aik aam tarkeeb ban chuki hai - jissey kuchh bhi na ho woh bhi tension mein paya jata hai. Aaj kal ki zindagi materialised ho chuki hai, aur materialism khushi nahin deti :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Are we happier than our ancestors?

        Originally posted by saraah View Post
        ASSLAMOALIKUM.....

        ARE WE HAPPIER THAN OUR ANCESTORS?

        DALAAYAL KI ROSHNI ME BAAT KIJIYE......:thmbup:
        tarjumaaaaaaaaaaaaaaa pleeeeeeeeeeeeeej :donno:
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #5
          Re: Are we happier than our ancestors?

          Originally posted by aabi2cool View Post
          tarjumaaaaaaaaaaaaaaa pleeeeeeeeeeeeeej :donno:
          abi bhai ap bhi na ...aik tu sarah bechari aj charge hoi ha inay saray thread lagay hian us nay aur u tarjma pay atak gay:khi:

          Comment


          • #6
            Re: Are we happier than our ancestors?

            Originally posted by Fairy View Post
            abi bhai ap bhi na ...aik tu sarah bechari aj charge hoi ha inay saray thread lagay hian us nay aur u tarjma pay atak gay:khi:
            chalo na girly tum kahani batao topic pey ...with bohot saarey dalaail :P

            bohot arssey sey tum ney serious baatein nahi ki hein
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Are we happier than our ancestors?

              Originally posted by Masood View Post
              Wa salaam

              Tension aik aam tarkeeb ban chuki hai - jissey kuchh bhi na ho woh bhi tension mein paya jata hai. Aaj kal ki zindagi materialised ho chuki hai, aur materialism khushi nahin deti :)

              tu ap kahna chahtay hian pehlay log materialistic nhi thay?:lpop:


              pehlay population kam thi tu materialism kam tha ab barh gai tu materialism bhi bhar giya ya directly proportional ha :tasali:

              Comment


              • #8
                Re: Are we happier than our ancestors?

                Originally posted by Xai View Post
                chalo na girly tum kahani batao topic pey ...with bohot saarey dalaail :P

                bohot arssey sey tum ney serious baatein nahi ki hein

                miana kuch nhi kia:embarasse

                @topic

                hum zayda khush hain ancestors se ...humay kuch bhi karnay se pehlay logo ka souchna nahi parta372-shockkah log kia kahay gay ...hasnay kay lia pouuchna nahi partakah hum has lain:khi:...Humari khalaieen abhi bhi hum ko mana karti hian kah haso mat zyada :khi:bhi ab hasi arhiha tu hasay na tu kia karay:lahoul...Pehlay sab logo ko is chiz ki fikar hoti thi kah dosro kay ghar kia ho raha ha aur phir us per tanqed kia jata tha aj bhi humaray gaown mai asa hi hota per kam ha
                Saholtain mayasur hoi hain kam jaldi ho jata ha ....asaan hogia ha ...khush hi hain is dor se hum Shukar:alhamd:

                Comment


                • #9
                  Re: Are we happier than our ancestors?

                  Originally posted by saraah View Post
                  ASSLAMOALIKUM.....

                  ARE WE HAPPIER THAN OUR ANCESTORS?

                  DALAAYAL KI ROSHNI ME BAAT KIJIYE......:thmbup:
                  no we are not

                  Comment


                  • #10
                    Re: Are we happier than our ancestors?

                    Originally posted by xai View Post
                    walaikum salam

                    ham log ziada sahooliaat mey tau hein magar happier? .... :-)

                    aap tou waqai adhoori batain karti hain.:anyword10
                    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                    Comment


                    • #11
                      Re: Are we happier than our ancestors?

                      Originally posted by Masood View Post
                      Wa salaam

                      Aap do mukhtalif adwaar ka muqabla kar rahi hain... Dono adwar mein kaafi kuchh mukhtalif tha - suna hai keh insaan kabhi kisi daur mein khush nahin raha... :) Aur khushi ki defination kya hai? Khushi kehtey kissey hain?

                      Jo batein pichhley adwar mein thin, woh aaj nahin. Jo aaj hain woh pehley nahin thin. Insaan taraqiyon key urooj per pohanchta chala jaa raha hai magar hai aaj bhi haqeeqi taraqi sey koson door.

                      Mera zaati khiyaal hai keh aaj kal insaan nafsa'nafsi mein is qadar kho chuka hai keh ussey apney ird gird parri khushiyaan bhi nazar nahin aatin aur kisi anjaani shay key peechhey bhagta phir raha hai - aik aisi shay jo anqa hai!

                      Aaj har ghar mein do do TV hon gey, computer aam ho chuka hai - magar woh khushi nahin rahi jahan per aik radio set huwa karta tha aur sara sara muhalla mehfil laga ker ussey suneney aaya karta tha.. Jab insaan insaan sey milta hai to ussey khushi milti hai. Aaj kal ham tanhaii ki tarf barh chukey hain aur tanhaii mein agar aik do khushi mil bhi jaey to woh shayid us khushi key muqabil nahin ho gi jo pehley thi...

                      Tension aik aam tarkeeb ban chuki hai - jissey kuchh bhi na ho woh bhi tension mein paya jata hai. Aaj kal ki zindagi materialised ho chuki hai, aur materialism khushi nahin deti :)
                      IN SHORT WE R NOT HAPPIER............AGREED.:thmbup:
                      AUR KYA HI KHOOB KAHA AAP NE.....INSAN INSAN SE MILAY TOU KHUSHI MILTI HAI....:rose
                      SACH POOCHIYE TOU ME JAB SE INTERNET KI DUNIA ME DAAKHIL HUI HOON....AJB SE BE CHAINI HAI....MATLAB ISS DUNIA ME ISS QADAR TAMPTATIONS HAIN....K AP KO GHAR SE NIKLNAY KI FURSAT NAE MILAY GI....NEW GENERATION KHAS TOUR PE IS K SEHAR ME JAKKRRI PARRI HAI....AUR APNAY HAQEQI FARAIZ SE BE KHABAR.....AFSOS.....
                      Last edited by saraah; 6 April 2009, 11:49.
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment


                      • #12
                        Re: Are we happier than our ancestors?

                        Originally posted by aabi2cool View Post
                        tarjumaaaaaaaaaaaaaaa pleeeeeeeeeeeeeej :donno:

                        AABI BHAI AB ITNAY B NA BANAIN AAP......:yy:

                        EHDA MATBAL EH HAA K ''KEEH ASSIN AAPNAY WADD WADAIRYAAN NALON CHOKHAY SOKH WICH HAAN''......
                        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                        Comment


                        • #13
                          Re: Are we happier than our ancestors?

                          Originally posted by Fairy View Post
                          abi bhai ap bhi na ...aik tu sarah bechari aj charge hoi ha inay saray thread lagay hian us nay aur u tarjma pay atak gay:khi:
                          SHUKAR HAI YAAR ME CHARGE TOU HUI :dua

                          Originally posted by Xai View Post
                          chalo na girly tum kahani batao topic pey ...with bohot saarey dalaail :P

                          bohot arssey sey tum ney serious baatein nahi ki hein
                          NAE XENY APNI FARI TOU ''BEHAS O MUBAAHSA' ME POHJNCHI HUI THI KAL.....:ANYWORD10


                          Originally posted by Fairy View Post
                          hum zayda khush hain ancestors se ...humay kuch bhi karnay se pehlay logo ka souchna nahi parta372-shockkah log kia kahay gay ...hasnay kay lia pouuchna nahi partakah hum has lain:khi:...Humari khalaieen abhi bhi hum ko mana karti hian kah haso mat zyada :khi:bhi ab hasi arhiha tu hasay na tu kia karay:lahoul...Pehlay sab logo ko is chiz ki fikar hoti thi kah dosro kay ghar kia ho raha ha aur phir us per tanqed kia jata tha aj bhi humaray gaown mai asa hi hota per kam ha
                          Saholtain mayasur hoi hain kam jaldi ho jata ha ....asaan hogia ha ...khush hi hain is dor se hum Shukar:alhamd:
                          AHAAN......:D:

                          Originally posted by musaddaq View Post
                          no we are not
                          DALAAIL KAHAN HAIN .....:mm:
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #14
                            Re: Are we happier than our ancestors?

                            Originally posted by Fairy View Post
                            tu ap kahna chahtay hian pehlay log materialistic nhi thay?:lpop:


                            pehlay population kam thi tu materialism kam tha ab barh gai tu materialism bhi bhar giya ya directly proportional ha :tasali:
                            Nahin beti main ney yeh nahin kaha. Balkeh yeh kaha hai keh materialism ki hawwas ney khushiyon ko khatam kar diya hai.

                            Pehley log materialised nahin they. Kam per hansi khushi zindagi basar kar liya kartey they. Magar pehley ki nisbat ab hawwas ziyada ho gaii hai. Aur isi hawwas ki bina per nafsa nafsi phail gaii hai. Pehley log kam per guzara kar liya kartey they, aaj jitna bhi miley kam lagta hai :).

                            Magar yaad rakhein keh jis cheez ki bohtat ho, woh cheez apni qadar kho deti hai.

                            Hona to yehi chahiyey tha keh aabadi key saath saath material ko bhi bharna chahiyey tha, magar aisa nahin. Yehi wajah hai keh aaj bhi duniya ki nisf sey ziyada aabadi do waqt ki roti key liye bhi mohtaj hai. Zara aap apney ghar sey bahir nikal ker dekhein.

                            Aur yeh aakhri jumla hi us khushi ki kami ko zahir karta hai jiska Saraah ney poochha hai. Ham log aik ahatey mein muqayyad hotey jaa rahey hain - aap khud btaiyey keh aap kitna waqt apney parrosiyon key saath guzarti hain? Kitna waqt apney khandaan key saath guzarti hain?
                            Last edited by Masood; 6 April 2009, 12:25.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: Are we happier than our ancestors?

                              Originally posted by saraah View Post
                              AABI BHAI AB ITNAY B NA BANAIN AAP......:yy:

                              EHDA MATBAL EH HAA K ''KEEH ASSIN AAPNAY WADD WADAIRYAAN NALON CHOKHAY SOKH WICH HAAN''......
                              jay ay gal ay tay fair ik chup 100 sukh :wk
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              Working...
                              X