Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ALLAH ki NemteiN....!!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ALLAH ki NemteiN....!!!!

    Asslamo Alikum
    Humarey aaram aur sakoon ke lye ALLAH tala ne kya nai pedah kya hay. Har cheez muyassar hay lekan phir bhi insaaan nashukra hay. Beshak ALLAH tala ki nemteiN countless hain. Lekan hum is thread main yeh sabit karein gay ke Ayy ALLAH hum nashukrey nai hain. Hum ALLAH tala ki nemteiN yaad karein gay. JO bhi aaye ga ALLAH tala ki aik nemat ka zikar karey ga. Us ke Bani Noh Insaan ke lye faiday likhey ga aik 2 lines main. aur Akhir main Alhamdolillah keh kar ALLAH tala ka shukar ada karey ga.

    Come on people. Lets make a chain.
    LET ME START..

    Allah tala ne jahaN dunya main insaan ko azmayshon main dala hay. Wahan in azmayshoN per poora utarne wale aur ALLAH ki raah per kamyabi se chalney wale momin ke lye Jannat banayi hay. Jis main Woh sada rahey ga. ALLAH ne JANNAT main behadh sakoon aur aaram rakh dya hay. Jahan Aish-o-Ishrat hay, Jahan pyar-o-Muhabbat hay, Jahan na khatam honay wali lazzatein hain.

    Ay ALLAH hum tera shukar ada kartey hain ke TU ne humarey lye JANNAT banayi. Humarey naseeb main JANNAT likh de amin.
    Allah

  • #2
    Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

    Wa salaam

    Allah Tala ka laakh laakh shuker hai keh ham saans ley rahey hain, jis sey murad yeh hai keh ALLAH paak abhi hum ko hamari islah k liye mazeed moqa day raha hy tak hum us ki taraf toba kartay huy raju kareen . . . .

    Aey Allah har insaan ko seedha rasta dikha dey aur unhein is qabil farma key haq aur jhoot mein farq pehchan sakein - Ameen.
    Last edited by Admin; 23 March 2009, 17:59.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

      walaikum salam

      Maa... Allah ki blessings mey sab sey ziada pyari blessing hein.

      :alhamd:
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

        Originally posted by Masood View Post
        Wa salaam

        Allah Tala ki nematon ka shuker ada karna aisey hi hai goya samundar sey moti nikalna. Na hi to ham mein himmat hai keh Allah ki nematon ka ziker kar sakein na hi shuker. Allah Tala ka laakh laakh shuker hai keh ham saans ley rahey hain, jis sey murad yeh hai keh Allah Tala abhi ham sey hamarey duniya mein kirdaar sey mayoos nahin huwa!!!

        Aey Allah har insaan ko seedha rasta dikha dey aur unhein is qabil farma key haq aur jhoot mein farq pehchan sakein - Ameen.
        did you mean to say abhi ALlah ney ham sey kaam leyna hai iss liye ham zinda hein?
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

          Originally posted by Xai View Post
          did you mean to say abhi ALlah ney ham sey kaam leyna hai iss liye ham zinda hein?
          To aur hamari zindagiyon ka kya matlab hai?? :mm:
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

            Originally posted by Xai View Post
            walaikum salam

            Maa... Allah ki blessings mey sab sey ziada pyari blessing hein.

            :alhamd:
            JI HaN - lafz maan main be inteha pyar aur muhabbat hay. ALLAH ka lakh lakh shukar hay ke humari AMMi ka saya humarey saroN par hay. aur jin ki MaaN ALLAH ko pyari ho gayi hain . Un ki Maan ko ALLAH tala Jannat main ala muqaam naseeb farmaye. Amin
            Allah

            Comment

            • #7
              Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

              Originally posted by Masood View Post
              To aur hamari zindagiyon ka kya matlab hai?? :mm:
              Nahi ... aap ney likha tha key "Allah T'ala abhi tak ham sey mayoos nahi huye" ... iss liye poocha :)

              @Topic
              Uni. aik pyari Nemat iss liye hai key ham wahan sey ilm hassil kertey hein :alhamd:

              Kabhi kabhi classes bhi miss ker detey hein jo key bohot ghalt baat hai
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

                Originally posted by Yaaram View Post
                JI HaN - lafz maan main be inteha pyar aur muhabbat hay. ALLAH ka lakh lakh shukar hay ke humari AMMi ka saya humarey saroN par hay. aur jin ki MaaN ALLAH ko pyari ho gayi hain . Un ki Maan ko ALLAH tala Jannat main ala muqaam naseeb farmaye. Amin
                Ameen.:rose
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #9
                  Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

                  Originally posted by Yaaram View Post
                  Asslamo Alikum
                  Humarey aaram aur sakoon ke lye ALLAH tala ne kya nai pedah kya hay. Har cheez muyassar hay lekan phir bhi insaaan nashukra hay. Beshak ALLAH tala ki nemteiN countless hain. Lekan hum is thread main yeh sabit karein gay ke Ayy ALLAH hum nashukrey nai hain. Hum ALLAH tala ki nemteiN yaad karein gay. JO bhi aaye ga ALLAH tala ki aik nemat ka zikar karey ga. Us ke Bani Noh Insaan ke lye faiday likhey ga aik 2 lines main. aur Akhir main Alhamdolillah keh kar ALLAH tala ka shukar ada karey ga.

                  Come on people. Lets make a chain.
                  LET ME START..

                  Allah tala ne jahaN dunya main insaan ko azmayshon main dala hay. Wahan in azmayshoN per poora utarne wale aur ALLAH ki raah per kamyabi se chalney wale momin ke lye Jannat banayi hay. Jis main Woh sada rahey ga. ALLAH ne JANNAT main behadh sakoon aur aaram rakh dya hay. Jahan Aish-o-Ishrat hay, Jahan pyar-o-Muhabbat hay, Jahan na khatam honay wali lazzatein hain.

                  Ay ALLAH hum tera shukar ada kartey hain ke TU ne humarey lye JANNAT banayi. Humarey naseeb main JANNAT likh de amin.

                  nice topic:rose

                  Mai apni personal life mai iss topic per bohat sochti hoon aur bohat allah ka shuker adaa kerti hoon.

                  Ager dehka jaye to, khuda tallah ne shayed hi kisi nemat se na nawaza ho. Aur khuda tallah to kabhi apni Nemat ata kerne se rukta nahi he.
                  Hum log hi naa shukre hote hain jo... apne dil mai hazaarou khawahishain le ker bethe hote hain... allah ne to humai wo sab diya hota he... aur de raha hota he... jo shayed kisi aur ke pass nahi hota..

                  Comment

                  • #10
                    Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

                    nice topic:thmbup:
                    @ topic
                    me abhi walk se wapas aei hon or sara rasta me Allah or Allah ki khubsurati ka hi sochti aei hon....mere rasate me jo sabza....darakht....phool....mehek...tazgi thi sab me Allah k husan ki jhalat dikhti he...love u Allah:phool:

                    Comment

                    • #11
                      Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

                      Originally posted by senorita View Post

                      mashallah :rose

                      Comment

                      • #12
                        Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

                        ALLAH tala ki aik nemat AANKH bhi hay. Science ne camera, adsa, telescopes, microscopes banayin hain. LEKAN aankh hi hoti hay jo yeh cheezain istemal main lati hay. ALLAH ne kesi ajab shay bana di hay. Jo insaan ke zehan main images takhleeq karti hay. aur is ki resolution. SubhanALLAH kya kehnay.

                        Insaan kesa ho agar us ko dikhayi na de. No iMages, :(

                        ALLAH tera lakh lakh shukar hay ke TU ne humain dekhney ko aankh di. Humain is ke sahe istemal ki taufeeq ata farma. Amin
                        Allah

                        Comment

                        • #13
                          Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

                          Originally posted by *Kashish* View Post
                          nice topic:rose

                          Mai apni personal life mai iss topic per bohat sochti hoon aur bohat allah ka shuker adaa kerti hoon.

                          Ager dehka jaye to, khuda tallah ne shayed hi kisi nemat se na nawaza ho. Aur khuda tallah to kabhi apni Nemat ata kerne se rukta nahi he.
                          Hum log hi naa shukre hote hain jo... apne dil mai hazaarou khawahishain le ker bethe hote hain... allah ne to humai wo sab diya hota he... aur de raha hota he... jo shayed kisi aur ke pass nahi hota..
                          Originally posted by senorita View Post
                          nice topic:thmbup:
                          @ topic
                          me abhi walk se wapas aei hon or sara rasta me Allah or Allah ki khubsurati ka hi sochti aei hon....mere rasate me jo sabza....darakht....phool....mehek...tazgi thi sab me Allah k husan ki jhalat dikhti he...love u Allah:phool:
                          :alhamd:
                          Allah

                          Comment

                          • #14
                            Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

                            . بیشک اللہ نے مسلمانوں
                            میرے مولامیرے مولا تیرے شکر گزار بندے تو تیرے بڑے ہی عظیم بندے ہوتے ہیں مجھ گناھگار سیاہ کار اور ذلیل و رسوا کو اپنے ان شکر گزار بندوں کی پاؤں کی دھول میں بھی اگر تو شمار کرلے تو میں تیری اس نعمت کا بھی شکر نہ ادا کرسکوں ۔ ۔ میری مولا میں کیا تھا؟؟؟؟ تیرا کروڑہا بار شکر ہے کہ میں جو کہ کچھ بھی نہ تھا کو تونے عدم سے مجھے اک وجود بخشا نہ صرف وجود بخشا بلکہ اس پر زندگی بھی عطا فرمائی اور نہ صرف زندگی عطا فرمائی بلکہ تند رست و توانا تمام ظاہری اور باطنی قوا کی ٹھیک ٹھیک درستگی اور سلامتی کہ ساتھ عطا فرمائی پھر تیرا کروڑہا بار شکر کہ تونے مجھے انسان پیدا کیا اشرف المخلوقات بنایا پھر تیرا اربہا بار شکر کہ تونے نہ صرف مجھے انسان بنایا کہ بلکہ زندگی کی سب سے افضل نعمت ایمان عطا فرمائی کہ میں پیدا ہی مسلمان گھرانے میں ہوا وگرنہ جانے کیا ہوتا ۔ ۔ ۔؟ پھر تیرا کرم ہوا کہ تونے مجھے اس سے بھی بڑھ کر رشک ایمان کی دولت بخشی کی ۔ ۔ ۔ اگر جتلایا تو فقط اپنی ایک ہی نعمت عظمٰی پر کہ جو سب نعمتوں کی تونے اسے ہمارا امام بنا کر ہم اپنا فضل عظیم فرمایا میرے مولا میں کیا تھا ؟ میں تھا ہی کیا کہ تونے مجھے اس قابل میں جگہ پاؤں تیری اس نعمت پر تیرا شکر کروں تو کیسے کروں کہ کر ہی نہیں سکتا کہ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔ ۔
                            استغفراللہ ربی من کل ذنب واتوب الیہ
                            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                            Comment

                            • #15
                              Re: ALLAH ki NemteiN....!!!!

                              Comment

                              Working...
                              X