Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aakhir Insan kab jagay ga?!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aakhir Insan kab jagay ga?!

    Musbat ekhtalafaat fikri balidgi kay liay yaqenan baray kaam ki cheez hain. Eslah-e-ahwal kay liay en ki mojodgi baray kaam ki cheez hain. En hi kay hawala say tameez-o-imtiyaaz ki surtain samnay aati hain. Insan ki baad’qismati yah hai kah insan sadyoon say taqseem dar taqseem kay amal say gozarta aa raha hai. Es say bari baad’qismati yah hai kah yah amal din ba din bharta hi chala ja raha hai. Mafad parast anasar inhain mazeed brha rahay hain. Natija-e-kar insan ka laho bay’waqar ho giya hai. Insan mehaz in kay hath ka khilona ho giya hai. Jab okta jatay hain toor phoor kar phank daitay hain. Aakhar yah sab kiya aur kayoon hai?????

    Ehsas tabqay na’seraf es par ghoor kartay hain balkah dukhi bhi hotay hain aur wo khud ko bay’bass samjhtay hain. Aman aur insani sakoon kay liay apni se kosheshain bhi kartay hain. Mafad parast tabqay aman aur sakoon kay kayam kay liay talwar otha rahay hain. Jan’kah haqiqat yah hai kah bay’sakoni kay wo khud zima’dar hain aur raad’amal ko khatam karnay kay liay gilay sokay sab ko ragra diya jar aha hai. Wo khud ko mehfooz karna chahtay hain hain. Wo jantay hain bil’aakhir moot oon ki ho gi. Chinay ga’ay
    wasael wapis chalay jaein gay.

    Ansted University kay bani member Dr. Roger Haw samaji zimadari ka ehsas karnay aur nibhanay kay hawala say kaam kar rahay hain jab’kah Dr. Adam B. Bodomo samaji sanjhoon kay hawala say apnay hisa ka kirdar ada kar rahay hain. Mairay nazdeek her doo omoor kay sath lisani mamaslatoon aur wahdatoon ko talashnay ki bhi zarorat hai. Goya aman sakoon aur wahdae-e-insani kay liay in tinoon omoor par bhar’poor kaam karna aaj ki pehli tarji qarar pae jani chaheay. Es tara insan taqseem dar taqseem kay amal say najaat pa sakta hai. Ba’surat digar aatay kal ka insan, insan nahain darinda ho ga. Bawar rehna chahiay aatay door ki shabashi ya lanat, gozray door kay sar aati hai.

    Yah baat itni bareek aur mohbam nahain jo insan ki samjh main na aa sakay. Adaray shah kay gamashtay hotay hain aur her acha bora os ki khush’nodi kay liay sar’anjaam daitay hain. Onhoon nay kabhi aur kisi bhi door main logoon kay liay kuch nahain kiya halankah wo logoon ki behbood kay liay qiyaam main aatay hain. Shah aur os kay adaray hamaisha say awaam ki jaib ka bojh rahay hain. Jab tak insan samjh nahain jata bojh rahain gay. Logoon ki mehnat ki kamae par shah aur os kay gamashtay aish ki gozartay rahain gay. Logoon ko chota gosht daikhnay ko naseeb nahain hota likin shah ki moqadas ga’ay ko haftay main doo bar mayasar aata hai. Ajeeb andhair hai mehnat karnay waloon ki izzat karnay ki baja’ay onhain shah ki gholami karnay par majboor kiya jata hai. Inkar ki surat main in ki gardanain jisam ka hisa nahain rehtein.

    Mein samjhta hoon es main shah aur os kay ghamashtoon ka koe qasoor nahain. Yah sara qasoor in mehnat’kashoon ka hai. Yah moti se baat aakhar aaj tak in ki samjh main kayoon nahain aae. Dunyaan ki sari laraeaan shah kay liay lari gae hain. Warna aam admi ka kisi dosray molak kay aam aadmi say kiya masla hai. Dunyaan kay her khitay ka aam admi kayoon nahain daikhta moamla shah ka hai lihaza wo jananay aur os ka kaam janay. Os ki madad aur ta’avan kaisa. Sarkain bana raha ho, hospital tameer kar raha ho, yatimoon kay liay koe project bana raha ho koe bhi kaam jo insan kay liay faeda’mand ho to es hawala say madad ka jawaz nikalta hai.

    Aisa koonsa adara hai jahan say aam admi ko faiz mil pata hai. Darkhast dahinda hi ko dhar liay jata hai ya phir wo insaf ki hasoli kay liay airiaan ragar ragar kar mar jata hai.

    Molvi pandat, padri waghera kabhi danista aur hamaisha adat say majboor insanoon ko taqseem kartay rehtay hain. Barah-e- rast na’sahi yah bhi shah kay madad gar hain.

    Mein kehta hoon hindo, muslin asae, yahodi, sikh waghera say pehlay her koe insan hai. Yahhi kora-e-arz par os ki shanakht hai. Es kay baad hi os ki koe sanvi shanakht aati hai. Ba’toor insan, insan ko insan kay qareeb’tareen hona chahiay. Apnay masael khud say hal karay. Apni zaroratain khud say pori karay. Dukh main eak dosray ka kaam aa’ay. Insan, insan ki khud say hifazat ka zima lay. Essay shah aur os kay gamashtoon ki zarorat hi nahain rehni chahiay. Jab insan, insan kay qareeb aa ja’ay ga to koe masla hi baqi na rahay ga. Aaj insan ko shah aur os kay gamashtoon ki zarorat nahain hai. Insan ko insan ki zarorat hai. Shah aur os kay gamashtay badi ka khoda hain. inhain taiyagnay ki zarorat hai.

    Insano aao shah aur os kay gamashtoon ka galap choro aur apni madad aap kay asool ekhtayaar karo. Mein yaqeen say kehta hoon in say tomhain kabhi kuch nahain mil pa’ay ga. Yah apna olu sidha karnay kay siwa kuch nahain jantay aur nahi janna chahtay hain. Aaj kay halaat main ehal-e-dard aur ehal-e-danish ka faraz hai kah wo insanoon ko eak dosray kay qareeb laein. Insan ko taqseem kay her harbay say bachanay ki sae karain. Samaji aur lisani sanjhoon ko talash kar dorioon ko nazdikioon main tabdeel kiya ja sakta hai. Shaed oon ki kosheshain insan ko shah aur os kay gamashtoon say bacha sakain. Mein janat hoon yah bara karwa sach hai likin es ko janay bagher aman aur sakoon ka sans nahain liya ja sakta.

  • #2
    Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

    aap ney baja farmaya dr sahab kia hay kay humay samajh zara kam kam aya ya ai
    wasalaam.

    Comment


    • #3
      Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

      Dr. Sahib batein to mashaAllah aap ney bohat tajarbah'karon wali ki hain aur mujhey aap ki sochein parh ker achha laga hai. Bohat bareek'beeni sey aap ney insaniyat ki taqseem ka nuqtah nikala hai...

      Jahan aap ki bohat sari baton sey mujhey itifaq hai wahan zahri si baat hai keh ikhtilaaf bhi hai.

      Main shahon aur aaj kal key khabees'sifat leadron key sakht khilaf hoon aur mera bas chaley to main inka gala kaat doon - magar woh kya hai keh aap khud likhey hain keh be'bassi hamara naseeb hai...

      Aaj kal kal shah ho ya naam'nehad leader yeh MEHAZ apni dukaan sajaney key liyey awwam ko ullu bnaa raha hai. Yehi kaam pehley bhi huwa karta tha magar waqt key sath sath aisey leader zaroor pedah huwey hain jinhon ney tareekh key warq ult kar rakh diyey hain - aisey hi aik leader ki hamein ab ashd zaroorat aan parrii hai jo in "shahon" aur "nasooron" ka gala kaat sakey..

      Dr. Sahib yeh bhi aik haqeeqat hai keh muashrey insaano sey bantey hain aur insaan key bghair insaan kuchh nahin. Magar yeh kehna keh insaan ko kisi "shah" ya kisi "leader" ki zaroorat nahin aur insaan khud hi insaan key dard ka mudawa baney, yeh bhi mumkin nahin. Aur yeh bhi nahin ho sakta keh insaan ki sab sey pehley pehchan INSAAAN hai uskey baad koi sanvi - merey nazdeek har insaan ki sab sey PEHLI pehchaan MUSALMAAN ki hai, uskey baad ussey us "rang mein dhala jata hai jis sey uski pehchan honey lagti hai" yani hindu, eesaii, yahoodi waghera! Yaad rakhein keh sab sey pehley insaan ko khalifa bnaya geya tha aur ussey tumaam makhlooq per sardar kiya geya tha.

      Insaano sey bhara muashra kisi 'shah' ya kisi 'rehnuma' key bghair aagey nahin bargh sakta. Phir problem kahan hai?

      Problem wohi hai jiska ziker aap ney khud bhi kiya hai:
      Es say bari baad’qismati yah hai kah yah amal din ba din bharta hi chala ja raha hai. Mafad parast anasar inhain mazeed brha rahay hain. Natija-e-kar insan ka laho bay’waqar ho giya hai. Insan mehaz in kay hath ka khilona ho giya hai. Jab okta jatay hain toor phoor kar phank daitay hain. Aakhar yah sab kiya aur kayoon hai?????

      Ehsas tabqay na’seraf es par ghoor kartay hain balkah dukhi bhi hotay hain aur wo khud ko bay’bass samjhtay hain. Aman aur insani sakoon kay liay apni se kosheshain bhi kartay hain.



      Mafad parast tabqay aman aur sakoon kay kayam kay liay talwar otha rahay hain. Jan’kah haqiqat yah hai kah bay’sakoni kay wo khud zima’dar hain aur raad’amal ko khatam karnay kay liay gilay sokay sab ko ragra diya jar aha hai. Wo khud ko mehfooz karna chahtay hain hain.
      In paragraphs mein aap ney sari haqeeqat biyan kar di hai aur yehi aaj kal ki duniya ka almiya hai! Reh'baron ney reh'zani ka roop dhaar liya hai magar chehron per masoomiyat ka naqaab charhaya huwa hai. Inkey meethey meethey alfaaz mein insaan ka dimagh mu'auf ho jata hai aur woh inhi ko apna rehber samajh ker bar bar inkey hathon zillat aur ruswaii ki wajah banta hai. Jab bar bar lutney key baad bhi aqal thikaney ko na aaey to UMEED per baat khatam kar deta hai.

      Warna insaani duniya ko aaj bhi yaad hai woh rehnumaii jahan mun'iim ko bhi gada'a key dar sey bakhshish ka bahan nahin milta tha. Jis key liyey Iqbal kehtey hain:

      Gadaii mein bhi woh Allah waley they ghay'yoor itney
      keh mun'iim ko gada'a key dar sey bakhshish ka na tha yara

      Woh daur hamein kabhi nahin bhoolna chahiyey jab Sarkaar-e-do'alam SAW ki zaat per 2 adad kajhoor tak bhi qom ki amanat huwa karti thi, aur Aap SAW ussey baant diya kartey they.... Sach hai keh pichhli kaii naslon sey shah qom per bojh baney huwey hain. Magar yeh mufad'prast log hain.

      Main bhi poochhta hoon, aakhir insaan kab jagey ga??
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

        itna sara likh diya woh bhi ek saath.... 372-shock

        Comment


        • #5
          Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

          Originally posted by ummid View Post
          itna sara likh diya woh bhi ek saath.... 372-shock
          ... aur aap parhti bhi hijjey kar key hain 372-haha
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

            Aakhir Insan kab jagay ga?!
            Jab subha ho gi!!
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

              Originally posted by Xai View Post
              Jab subha ho gi!!
              Japan mein to shaam bhi honey wali hai :zuban:
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

                Originally posted by Masood View Post
                ... aur aap parhti bhi hijjey kar key hain 372-haha
                aap jaise ustaad ho tu yahi hona hai hai... :lol

                Comment


                • #9
                  Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

                  Originally posted by ummid View Post
                  aap jaise ustaad ho tu yahi hona hai hai... :lol
                  Merey saath ustadiyaan na karo
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

                    Originally posted by Masood View Post
                    Merey saath ustadiyaan na karo
                    humare bhi apne kuch hunar hai aakhir...:blush:
                    ab sub kuch tu aap se nahi sikha na... :lol

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

                      Originally posted by ummid View Post
                      humare bhi apne kuch hunar hai aakhir...:blush:
                      ab sub kuch tu aap se nahi sikha na... :lol
                      tumhein sikhaaney ki kya zaroorat hai tum seekhi sikhaii ho :zuban:
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

                        Originally posted by Masood View Post
                        tumhein sikhaaney ki kya zaroorat hai tum seekhi sikhaii ho :zuban:
                        aap ko kyun jalan ho rahi hai... :zuban:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

                          Originally posted by ummid View Post
                          aap ko kyun jalan ho rahi hai... :zuban:
                          abhi operation jo huwa hai, jalan to ho gi :p
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

                            Originally posted by Masood View Post
                            abhi operation jo huwa hai, jalan to ho gi :p
                            tu aap se kis ne kaha tha ke humare naqsh e qadam per chalein... :lol

                            Comment


                            • #15
                              Re: Aakhir Insan kab jagay ga?!

                              itna zeada likhna ho to plzz inpage me likh dia karen ta k sab araam se parh saken:embarasse

                              Comment

                              Working...
                              X