Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Ur GreaT LeadeR~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~~Ur GreaT LeadeR~~

    Aslamoalikum:salam:
    ap me ham sab....yakinan kisi na kisi insan se mutaser hote hen.....us me kuch esi khoobiyaan dekhnte hen k us ko apna rehbar....apna quaid....apna LEADER man'ne lagte hen....to poochna ye he k akher wo kia qualities hoti hen jin ki bunyaad par koi Leader kehlata he....
    us shaks ka kirdaar?
    us shaks ki taleem?
    us ka moashre me asar-o-rasookh?
    us shaks ka khandaani back ground?

    or ye bhi bataen k jab aap history parhte hen to wahan apko konse esi shaksiyaat nazar ati hen jo ap k leay ideal leader k mayar par pura utarti hen?:mm:


  • #2
    Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

    Adolf Hitler
    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

    Comment


    • #3
      Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

      Originally posted by D@y W@lk3r View Post
      Adolf Hitler
      ap ne sawal k pehle hise ka jawab nahi dia?:mm:

      or hitler...kion...us ki konsi esi khoobyan hen jin ki waja se ap us ko history ka great leader samjhte hen?:mm:

      Comment


      • #4
        Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

        walaikum salam...
        Tareekhul Islam perhtey huye sab sey ziada dauré hakommat jo mujhey pasand hia wo Hazrat Umar (r.a) ka daur-e-hakoomat hai. MashAllah he had a very strong personality.

        Aaj key daur key muslim hukumrano mey mujhey Muhammad Mahatir achey lagey.

        Meyri nazar mey Ideal leader kaun hai:
        Aik pur umeed, mazbut kirdar key aesey insaan jo logon key sath chaltey huye un ko lead karein.
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

          Aik acha leader woh hota hay jo apni riayah ka khayal rakhey. un ki musharti condiotion se waqif ho aur is mamle main un ki khuwahishon ke mutabiq in mamlon per mashawarat ke baad faisla karey.

          Jis ko log hamesha achay ilfaaz main yaad rakhein.

          Quid-e-Azam Muhammad Ali Jinah was perfect leader.
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

            nice yaar


            YAADAIN
            ISLAM

            Comment


            • #7
              Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

              Originally posted by senorita View Post
              Aslamoalikum

              ap me ham sab....yakinan kisi na kisi insan se mutaser hote hen.....us me kuch esi khoobiyaan dekhnte hen k us ko apna rehbar....apna quaid....apna LEADER man'ne lagte hen....to poochna ye he k akher wo kia qualities hoti hen jin ki bunyaad par koi Leader kehlata he....

              us shaks ka kirdaar?

              us shaks ki taleem?

              us ka moashre me asar-o-rasookh?

              us shaks ka khandaani back ground?



              or ye bhi bataen k jab aap history parhte hen to wahan apko konse esi shaksiyaat nazar ati hen jo ap k leay ideal leader k mayar par pura utarti hen?


              Wa salaam Rita



              .... aur tum baaz nahin aati - kahan kahan sey batein nikaal lati ho :p Good topic....



              Duniya mein leader apney apney mahol key mutabiq parkhey jaatey hain - aur leadron ko parakhney key liyey muashrey ki study karna bohat zaroori amar hai... Leaders muashrey sey pedah hotey hain to jaisa rang muashrey ka ho ga, leaders waisey hi pedah hongey... Jo muashrey jageer'darana aur sarmaya'darana nizaam per chaltey hain wahan per leadron ka muashrey mein ba'asar aur khandani hona zaroori hai - chunkeh aisey muashron mein ilm ka fuqdaan hota hai, lehaza un key liyey ilm ka hona ya na hona ahmiyat nahin rakhta.



              Jin muashron mein ilm awwam ka hissah ho, wahan per kirdaar ki bohat ahmiyat hoti hai, beshak aisey muashron mein BHI sarmaya'daron key haath lambey hotey hain/ho saktey hain - magar aisey leadron ko apney kirdaar sey yeh sabit karna parta hai keh woh leader ban saktey hain aur apni awwam key interests ka paas rakh saktey hain...



              Agar aap mujh sey poochhein to merey zehan mein kuchh leader hain, jinhein main ideal leader kah sakta hoon (agar ham sirf 200 saal key ander rahein to) ....



              • Tipu Sultan
              • Adolf Hitler
              • Jeanne D'Arc
              • Ayatollah Khomeini
              • Fiedel Castro
              • (Zulifqar Ali Bhutto)
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • #8
                Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

                Originally posted by Xai View Post
                walaikum salam...
                Tareekhul Islam perhtey huye sab sey ziada dauré hakommat jo mujhey pasand hia wo Hazrat Umar (r.a) ka daur-e-hakoomat hai. MashAllah he had a very strong personality.

                Aaj key daur key muslim hukumrano mey mujhey Muhammad Mahatir achey lagey.

                Meyri nazar mey Ideal leader kaun hai:
                Aik pur umeed, mazbut kirdar key aesey insaan jo logon key sath chaltey huye un ko lead karein.
                haan mazboot kirdaar ka hona wajai bohat zaruri he
                or Hazrat Umar:salam:.....aj k time me aa jaen to sab seedha ho jaey:thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

                  Originally posted by Yaaram View Post
                  Aik acha leader woh hota hay jo apni riayah ka khayal rakhey. un ki musharti condiotion se waqif ho aur is mamle main un ki khuwahishon ke mutabiq in mamlon per mashawarat ke baad faisla karey.

                  Jis ko log hamesha achay ilfaaz main yaad rakhein.

                  Quid-e-Azam Muhammad Ali Jinah was perfect leader.
                  bilkul Mohammad Ali Jinah:salam:

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

                    Originally posted by Masood View Post
                    Wa salaam Rita



                    .... aur tum baaz nahin aati - kahan kahan sey batein nikaal lati ho :p Good topic....



                    Duniya mein leader apney apney mahol key mutabiq parkhey jaatey hain - aur leadron ko parakhney key liyey muashrey ki study karna bohat zaroori amar hai... Leaders muashrey sey pedah hotey hain to jaisa rang muashrey ka ho ga, leaders waisey hi pedah hongey... Jo muashrey jageer'darana aur sarmaya'darana nizaam per chaltey hain wahan per leadron ka muashrey mein ba'asar aur khandani hona zaroori hai - chunkeh aisey muashron mein ilm ka fuqdaan hota hai, lehaza un key liyey ilm ka hona ya na hona ahmiyat nahin rakhta.



                    Jin muashron mein ilm awwam ka hissah ho, wahan per kirdaar ki bohat ahmiyat hoti hai, beshak aisey muashron mein BHI sarmaya'daron key haath lambey hotey hain/ho saktey hain - magar aisey leadron ko apney kirdaar sey yeh sabit karna parta hai keh woh leader ban saktey hain aur apni awwam key interests ka paas rakh saktey hain...



                    Agar aap mujh sey poochhein to merey zehan mein kuchh leader hain, jinhein main ideal leader kah sakta hoon (agar ham sirf 200 saal key ander rahein to) ....



                    • Tipu Sultan
                    • Adolf Hitler
                    • Jeanne D'Arc
                    • Ayatollah Khomeini
                    • Fiedel Castro
                    • (Zulifqar Ali Bhutto)
                    :salam:

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

                      Qaid-E-Azam

                      shah faisal

                      Fedral kastro

                      Muhammad Mahatir

                      Zulfiqar Ali bhutto
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

                        1.Hazrat Omar bin Khitaab R
                        2.Hazrat Omar bin Abdul Aziz
                        3.Sultan Salahuddin
                        4.Muhammed bin Qasim
                        aur bahut bahut sarey inssan jino ney Islam ki sar bulandi kay lia apni janey qurbaan ki woh gumnaam log specially aaj kal kay dour mai
                        wasalaaam.

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

                          Originally posted by WASI ANJUM View Post
                          Qaid-E-Azam

                          shah faisal

                          Fedral kastro

                          Muhammad Mahatir

                          Zulfiqar Ali bhutto
                          :salam:

                          lekin ap ne bataya nahi k leader me konsi qualities hoti hen jo us ko aam logon se mumtaz kar k leader bnati hen?:mm:

                          Comment


                          • #14
                            Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

                            Originally posted by Nisa* View Post
                            1.Hazrat Omar bin Khitaab R
                            2.Hazrat Omar bin Abdul Aziz
                            3.Sultan Salahuddin
                            4.Muhammed bin Qasim
                            aur bahut bahut sarey inssan jino ney Islam ki sar bulandi kay lia apni janey qurbaan ki woh gumnaam log specially aaj kal kay dour mai
                            wasalaaam.
                            yakinan great leaders:salam:
                            ap ne bhi ye nahi bataya k konsi khobiyaan aik leader me hon to wo leader banta he?:)

                            Comment


                            • #15
                              Re: ~~Ur GreaT LeadeR~~

                              Walikum salam jiii

                              ZULAFIQAR ALI BHUTTO.
                              YASIR IRFAT
                              G.M.SAYED
                              KRNAL QAZAFI
                              SHAH FAISAL
                              SOORHIYA BAADSHAH
                              MATHEER MOHMMAD
                              SABASH CHANDER GOSH

                              IN SAB KO MERA SALAM:salam:

                              Comment

                              Working...
                              X