Dostoo, Habib Jalib ki ek poetry hai, jo keh kuch din pehle main ne sunni, or phir baghawat ka alam bulland kiya gaya,woh poetry yeh hai
Deep jis ka mahaalaat hi maiN jale
Chand logoN ki khushiyoN ko le kar chale
Woh jo saaye maiN har maslehat ke pale
Aise dastoor ko subh-e-benoor ko
MeiN nahiN maanta, meiN nahiN jaanta
MeiN bhi khaif nahiN takhta-e-daar se
MeiN bhi Mansoor hooN keh do aghyaar se
KyooN darate ho zandaan ke deewaar se
Zulm ki baat ko, jah'l ki raat ko
MeiN nahiN maanta, meiN nahiN jaanta
Phool shakhoN pe khhilne lage, tum kaho
Jaam rindoN ko milne lage, tum kaho
Chaak seenoN ke silne lage tum kaho
Iss khhulay jhooT ko, zeh'n ki looT ko
MeiN nahiN maanta, meiN nahiN jaanta
Tum ne looTa hai sadyoN humara sakooN
Ab na hum par chalega tumhara fasooN
Charahgar dardmandoN ke bante ho kyooN
Tum nahiN charahgar, koi maanay magar
MeiN nahiN maanta, meiN nahiN jaanta
hamare haan aaj kal jaisa halaat chal raha hian sab ko pata hai, poori nation ek stress main hia, kion keh pakistan to humain sab se aziz hai he, or country main jab itni instability ho (economical/political/behavioral),to as a nation humain kya kerna chahia, humain kaise apni leadership ko batana chahia keh keh we are peacful nation, or we need to progress rather than to stuck up in such issues.
Aap sab se darkhawast hai keh aap apne views with logic and in view of current situation apni suggestions bhi dain.

Comment