Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dosti ya Aetebaar?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dosti ya Aetebaar?

    Sathiyo aik ajeeb se maslay se 2,4 honay k bahd samjh mein nhi aa raha k aap logon se kia puchoon? yeh poochoon k Dosti ki bunyad kia hey? ager jwab aetebaar kerna hey to phir hum issaetebaar ko torrtay kiyun hein? misaal k taur per ager yaram meray achay dost hein mein unhein apni zaat se mataluq koi bat btati hun iss yaqeen k sath k yaaram ne meri bat sun lee aur uss bat ko raaz rakhtay huye dosti ka bharam qayem rakha.......right?...............ya phir aisay keh lijiye k yaaram ki/ke bhi koi intehaai gehray dost hein, woh yaaram se meri babatt poochtay hein aur yaaram unhein iss bharosay per bta detay hein k yeh to mera dost hey kisi se nhi kahay ga.......aur iss trah woh bat mujh tak pohnch jati hey.............to mein yeh janena chah rhi hun k iss mein qasoorwar kon hey? woh dost jis ne doosray dost per aetebaar ker k apni bat btai? ya wo dost jo iss bat ko apnay tak nhi rakh ska? ya woh teesra dost jis ne bat mujh tak pohncha di?..................kia aetebaar kerna khud ko dhoka dena hey?.......ya kisi k aetebaar ka pass nah kerna dosti ki toheen hey?.......ya phir insaan ko apni zaat tak hi mehdood rehna chahiye?.........mujhey aaj tak dosti ki azmat per itna yaqeen tha jitna aik insan khud per bhi nhi ker skta...........lekin pata nhi log iss rishtay ko kiyun ruswa ker detay hein! (yaaram aap se mazrat chahti hun aisi koi bat nhi hui mein ne aap ka nam sirf misaal denay k liye istemal kiya hey).

  • #2
    Re: Dosti ya Aetebaar?

    Assalaam o alekum,

    muskan qasoor sirf yaaram kaa hai :)
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #3
      Re: Dosti ya Aetebaar?

      Jab tak yeh pattah nahin chalta keh aap ney yaaram ko apney barey mein kya btaya aur yaaram ney apney dost ko aap key mutaliq kya btaya aur phir us dost ney aagey aap ko kya btaya - to faesla kaisey kiya jaa sakta hai kaun saheeh hai kaun ghalat? Muskan aik baat yaad rakhein keh har insaan kisi na kisi circumstances sey guzr raha hai, kisi na kisi situation mein hai aur har situation ki apni demand hai. Kaun kya kaisey karta hai yeh depend karta hai halaat per.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Dosti ya Aetebaar?

        AOA,

        Dosti kia hai? iss waqt aik acha sawaal ho sakta hai. aap ki baat he le lain to dosti aik muqadas rishta hai. iss ki bunyaad ahtabaar pe rakhi jati hai to iss ka aik matlab ye lain k ahtabaar khatam dosti khatam?jo dosti hum loog karte hain wo dosti nain dua salaam hai dosti ka naam hum nain zaroor suna hai nibhayi nain hai agar nibhayi b hai to ahsaan karte hoye main iss ko dosti nain manta agar koi b hai alif,bay,jeem,daal agar uss nain ahsa kia yaqeenan ghalat hai nain hona chaye tha baat choti hai ya barri hai baat baat hai raaz raaz.lakin uss pe qaiyaammat daikhain k uss ki baat b raaz na rahyi.kahte hain k zubaan se baat nikli aur kamaan se teer nika wapis nain ata hum kionkar wo baat kahyain k baar baar dardeed ki zaroorat paish aye.rahyi baat dosti ki to dost kahna ahsaan hai nibhani moshkil hai bohat dua salaam ko nacheez ki nakis aqal k mutabik dosti nain kahte.


        Sohail Abbasi.
        Apna haq ada karo.

        Comment


        • #5
          Re: Dosti ya Aetebaar?

          Originally posted by Masood
          Jab tak yeh pattah nahin chalta keh aap ney yaaram ko apney barey mein kya btaya aur yaaram ney apney dost ko aap key mutaliq kya btaya aur phir us dost ney aagey aap ko kya btaya - to faesla kaisey kiya jaa sakta hai kaun saheeh hai kaun ghalat? Muskan aik baat yaad rakhein keh har insaan kisi na kisi circumstances sey guzr raha hai, kisi na kisi situation mein hai aur har situation ki apni demand hai. Kaun kya kaisey karta hai yeh depend karta hai halaat per.

          Baat kisi k sahee ya ghalat honay ki nhi hey masood. Bat asool torrnay ki hey k jub aap kisi ko apna raaz detay hein to aap be fiker bhi ho jatay hein kiyun k aap ko samnay walay per ya yun kahiye k apnay dost per aetebaar hota hey k wo raaz uss tak hi rahay ga. lekin jub bat aap kisi teesray shakhs k muhn se suntay hein chahay wo aap ki jaan jaisa hi kiyun nah ho to kia aap ko dhachka nhi lagay ga? For example ager aap mujhey koi bat kehtay hein to kia yeh mera farz nhi hey k woh bat mein apnay tak hi rakhun! nah k har kisi se keh doon yeh soch ker k yeh aagay nhi btaye ga................to kia yeh aik achi bat ho gi? mein samjhti hun k insan ka dil aik teh khanay ki maninnd hona chahiye jis mein woh apnay doston ya even dushmanon ki baton ko bhi aik raz ki soorat mein dafan karta jaye. Kisi ka raaz amanat ki trah hota hey aur amanat mein khyanat kernay wala kabhi dost nhi ho skta chahay woh aap k sath kitna hi mukhlis kiyun nah ho.

          Comment


          • #6
            Re: Dosti ya Aetebaar?

            Originally posted by khurram_shaikh
            Assalaam o alekum,

            muskan qasoor sirf yaaram kaa hai :)

            Nhi Khurram Bhai qasoor yaaram ka nhi hey, qasoor ya to mera hey ya phir uss teesray shakhs ka jis ko aik amanat di gai aur uss ne uss mein khayanat ki.........

            Comment


            • #7
              Re: Dosti ya Aetebaar?

              Originally posted by khan
              AOA,

              Dosti kia hai? iss waqt aik acha sawaal ho sakta hai. aap ki baat he le lain to dosti aik muqadas rishta hai. iss ki bunyaad ahtabaar pe rakhi jati hai to iss ka aik matlab ye lain k ahtabaar khatam dosti khatam?jo dosti hum loog karte hain wo dosti nain dua salaam hai dosti ka naam hum nain zaroor suna hai nibhayi nain hai agar nibhayi b hai to ahsaan karte hoye main iss ko dosti nain manta agar koi b hai alif,bay,jeem,daal agar uss nain ahsa kia yaqeenan ghalat hai nain hona chaye tha baat choti hai ya barri hai baat baat hai raaz raaz.lakin uss pe qaiyaammat daikhain k uss ki baat b raaz na rahyi.kahte hain k zubaan se baat nikli aur kamaan se teer nika wapis nain ata hum kionkar wo baat kahyain k baar baar dardeed ki zaroorat paish aye.rahyi baat dosti ki to dost kahna ahsaan hai nibhani moshkil hai bohat dua salaam ko nacheez ki nakis aqal k mutabik dosti nain kahte.


              Sohail Abbasi.
              aaaaaaaaah Khan bhai kia kahun aap se! aap ki apni soch hey apna tajurba ya mushaheda ho ga lekin mein doston ko apnay khooni rishton per bhi tarjeeh deti hoon, Allah ka lakh lakh ahsaan hey k DOSTI k muamlay mein mein khushqismat hoon boht. slaam dua chand maheenon ki ho skti hey barson k rishtay slaam dua mein nhi aatay. Khan Bhai Dost to phir Allah ki nehmat hotay hein na har gharz aur matlab parasti se paak! khaloos aur muhabbat ka paiker Dost..............shayed hum qadar nhi kertay aisay logon ki....jo qadar kertay hein woh khushqismat hein aur jo aisay logon ki qadar nhi kertay wo HEERON ko apnay hathon se kho detay hein...............

              Comment


              • #8
                Re: Dosti ya Aetebaar?



                Muskan Bahna
                Assalam Alaikum

                Jahan tak Dosti ki baat hai, mere khyal mein ek limitation honi chahiye, dost wahi hota hai jiske saath bachpan guzra ho, aur bahut qareeb raha ho. Aur khas kar koi 'raaz' tab tak zahir nahin karni chahiye jab agla banda qabil e etbaar na ho jaye, kyon ke aaj kal aisa daur hai ke kisi ka raazdar ban.ne ke baad uska/uski ek na ek din raaz fash ho hi jata hai.
                Suppose main ne kisi ko raaz ki baat kisi ko bata bhi diya, to mujhe khauf nahin aana chahiye, wo kya kar lega meri raaz faash kar ke...lekin uss dost ke baarey mein to mujhey pata chal jayega ke wo kaisa fitrat ka shakhs hai aur future mein uss se kis tarah ka contact rakhney ka bhi ek lesson mil jata hai, aur uskey saath aisa behave karen ke wo khud sharminda ho jaye iss baat per ke jisne mujhey raazdar banaya, maine uska raazfash kar diya,

                Bahna bekhauf rahen, darr ussi ko lagta hai jo chor hota hai.
                Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                Comment


                • #9
                  Re: Dosti ya Aetebaar?

                  dosti dosti hoti hai... kasoor nahen..sometime ... hypertension... ya kisi prob ka koi hal nazar naa aa raha ho to generally kuch baten .. kuch info... third person ker ke poochney mein no haraj... :)
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #10
                    Re: Dosti ya Aetebaar?

                    Assalaam o alaikum
                    aaj kuch baith hi gya hooN to aik aur TooTi phooTi post gupshup main.
                    Hazrat ALI RAU nay farmayaa aur iss ka mafhoom kuch iss tarah hay.(agar kuch ghalti ho to darust zaroor kijiay ga)
                    " kisi say dosti ya aitemaad ka rishta baghair aazmaaesh k na rakho".
                    iss qaul maiN inn donoN batoN ka zikr haydosti aur aetemaad. ab yai aap pay hay k aap kaisay apnay dost ko parakhtay hain iss k liay yai b zaroori hay k dosti karnay say pehlay parkha jaayai dosti kar lainay k baad aap ka raaz b TooTta hay aur aap ka dil b.. kisi b aisi baat ko jo aap k liay koi khaas ehmiat nahi rakhti hay wo aap apnay naey dost say share karaiN aur daikhaiN k wo baat kahaaN tak pohanchti hay agar aap iss k result say mutmaen haiN to acha hay nahi to uss waqt apnay dil pay pathar rakh k ALLAH hafiz ka lafz istemaal kar laiN bohat si paraishaanioN say bach jayaiN gae..
                    Wassalaam
                    Raza Baykamal

                    kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                    Comment


                    • #11
                      Re: Dosti ya Aetebaar?

                      Originally posted by Muskan
                      aaaaaaaaah Khan bhai kia kahun aap se! aap ki apni soch hey apna tajurba ya mushaheda ho ga lekin mein doston ko apnay khooni rishton per bhi tarjeeh deti hoon, Allah ka lakh lakh ahsaan hey k DOSTI k muamlay mein mein khushqismat hoon boht. slaam dua chand maheenon ki ho skti hey barson k rishtay slaam dua mein nhi aatay. Khan Bhai Dost to phir Allah ki nehmat hotay hein na har gharz aur matlab parasti se paak! khaloos aur muhabbat ka paiker Dost..............shayed hum qadar nhi kertay aisay logon ki....jo qadar kertay hein woh khushqismat hein aur jo aisay logon ki qadar nhi kertay wo HEERON ko apnay hathon se kho detay hein...............

                      AOA,

                      Main sirf sis itna kahoon ga k boaht se dost the lakin aik aik kar k sath choorrte rahye lakin koch ahse hain jo har dokh dard main sath hain ab meri aik ahdat ban chuki hai dost aur dushman daikh baal k banata hoon baki aap apni jaga darost hain.


                      Sohail Abbasi.
                      Apna haq ada karo.

                      Comment


                      • #12
                        Re: Dosti ya Aetebaar?

                        Originally posted by Muskan
                        Sathiyo aik ajeeb se maslay se 2,4 honay k bahd samjh mein nhi aa raha k aap logon se kia puchoon? yeh poochoon k Dosti ki bunyad kia hey? ager jwab aetebaar kerna hey to phir hum issaetebaar ko torrtay kiyun hein? misaal k taur per ager yaram meray achay dost hein mein unhein apni zaat se mataluq koi bat btati hun iss yaqeen k sath k yaaram ne meri bat sun lee aur uss bat ko raaz rakhtay huye dosti ka bharam qayem rakha.......right?...............ya phir aisay keh lijiye k yaaram ki/ke bhi koi intehaai gehray dost hein, woh yaaram se meri babatt poochtay hein aur yaaram unhein iss bharosay per bta detay hein k yeh to mera dost hey kisi se nhi kahay ga.......aur iss trah woh bat mujh tak pohnch jati hey.............to mein yeh janena chah rhi hun k iss mein qasoorwar kon hey? woh dost jis ne doosray dost per aetebaar ker k apni bat btai? ya wo dost jo iss bat ko apnay tak nhi rakh ska? ya woh teesra dost jis ne bat mujh tak pohncha di?..................kia aetebaar kerna khud ko dhoka dena hey?.......ya kisi k aetebaar ka pass nah kerna dosti ki toheen hey?.......ya phir insaan ko apni zaat tak hi mehdood rehna chahiye?.........mujhey aaj tak dosti ki azmat per itna yaqeen tha jitna aik insan khud per bhi nhi ker skta...........lekin pata nhi log iss rishtay ko kiyun ruswa ker detay hein! (yaaram aap se mazrat chahti hun aisi koi bat nhi hui mein ne aap ka nam sirf misaal denay k liye istemal kiya hey).
                        dosti kiya hai.... mujhe pata nahi ....lakin itna zaroor hai meinay hamesha doston say hee dassa hoon.... doston nay hi mujhe loota hai.... dosto say hee mein hamesha rasta bhatka hoon.....
                        :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                        Comment


                        • #13
                          Re: Dosti ya Aetebaar?

                          Originally posted by Muskan
                          Nhi Khurram Bhai qasoor yaaram ka nhi hey, qasoor ya to mera hey ya phir uss teesray shakhs ka jis ko aik amanat di gai aur uss ne uss mein khayanat ki.........
                          wo kaise muskan? aap ney bhi to yaaram ko aik amanat hi di thi naa... usne wo baat aagey kar di to kya usne kuchh ghalt nahin kiya?
                          :rose

                          Comment


                          • #14
                            Re: Dosti ya Aetebaar?

                            Originally posted by rehman
                            dosti kiya hai.... mujhe pata nahi ....lakin itna zaroor hai meinay hamesha doston say hee dassa hoon.... doston nay hi mujhe loota hai.... dosto say hee mein hamesha rasta bhatka hoon.....
                            Rehmaan bhai yaheen to aap se bhool ho gai, aap pehchan hi nhi paaye k woh aap k dushman hi thay jo dost ban ker loot gaye, achay aur sachay dost to qismat walon ko miltay hein aur i think k mein boht zayada khushqismat hoon iss muamlay mein. aik baat yad rakhiye Rehman k jahan gharz aur matlab parasti ho wahan dosti nhi hoti wahan tabahi aur barbadi hi hoti hey,iss liye humesha mohtaat rahein.

                            Comment


                            • #15
                              Re: Dosti ya Aetebaar?

                              Originally posted by Mehak
                              wo kaise muskan? aap ney bhi to yaaram ko aik amanat hi di thi naa... usne wo baat aagey kar di to kya usne kuchh ghalt nahin kiya?
                              Mehak ghalat issi liye hua na k mein ne amanat yaaram k sapurd ki, ager mein aisa nah kerti to yeh nobat hi nhi aati.

                              Comment

                              Working...
                              X