Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mohabat Kia He???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mohabat Kia He???

    Aslamoalikum :salam:
    aik sawal bohat din se mere dimagh me khalbali macha raha he:hehe:..socha ap se pooch loon akher ine aqalmand log hen yahan
    to sawal ye he k MOHABAT kia he?is ka TAQAZA kia he?kia Obey karna is ka lazmi juzve he?:mm:
    baat kee jeay baki sawal me sath sath karon gi:)

    ap sab ka bohat shukria k ap ne MOHABAT par apne qeemti khiyalaat ka izhar kia....ab chalte hen agle hise ki taraf.....ye baat to tey hui k mohabat kia he or taqaza kia he....jis se mohabat ki jaey us ki ita't....us k rang me rang jana....Gul ne bohat acha reply kia.....to me ab ye jan'na chahti hon....k ham sab mohabaton se bari mohabat....Allah or us k mehboob nabi ki mohabat ko kahan rakhte hen??pata nahi me jo baat jan;na chahti hon wo sahi se beyan kar sakun ya nahi lekin me dekhti hon k ham Allah or us k nabi se mohabat ke dawedar to hen lekin us mohabat ka taqaza kia he ye kion nahi jante?plzz ab is hawale se baat karen....ta k mere bhi ilam me izafa ho
    Last edited by AbgeenA; 26 February 2009, 19:30.

  • #2
    Re: Mohabat Kia He???

    waalikum asslam
    bohat umdah topic......:thmbup:

    lakin iss pe pohnchay hue log hi raye de saktay hain............:salam:
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment

    • #3
      Re: Mohabat Kia He???

      Originally posted by saraah View Post
      waalikum asslam
      bohat umdah topic......:thmbup:

      lakin iss pe pohnchay hue log hi raye de saktay hain............:salam:
      to phir main pohnchnay ki koshish karta hon:eye:
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment

      • #4
        Re: Mohabat Kia He???

        Originally posted by saraah View Post
        waalikum asslam
        bohat umdah topic......:thmbup:

        lakin iss pe pohnchay hue log hi raye de saktay hain............:salam:
        kuch to raey do...ham sab ki zindagi me mohabat kahin na kahin to hoti he na...to is me pohanchey huey logon ki zarurat nahi:D:

        Comment

        • #5
          Re: Mohabat Kia He???

          Originally posted by aabi2cool View Post
          to phir main pohnchnay ki koshish karta hon:eye:
          aap pohanch chukya hain aabi bhai.....bas oopar na pohanch jana......372-haha
          Originally posted by senorita View Post
          kuch to raey do...ham sab ki zindagi me mohabat kahin na kahin to hoti he na...to is me pohanchey huey logon ki zarurat nahi:D:
          haan haan rita kiyon nae..............
          kahin parrha thaaa....
          MOHABBAT KHUDA HAI
          KHUDA HAI MOHABBAT............:D:

          KAFI HAI YA AUR KUCH..........
          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

          Comment

          • #6
            Re: Mohabat Kia He???

            Originally posted by aabi2cool View Post
            to phir main pohnchnay ki koshish karta hon:eye:
            ji zarur:mm:

            Comment

            • #7
              Re: Mohabat Kia He???

              Originally posted by saraah View Post
              aap pohanch chukya hain aabi bhai.....bas oopar na pohanch jana......372-haha

              haan haan rita kiyon nae..............
              kahin parrha thaaa....
              MOHABBAT KHUDA HAI
              KHUDA HAI MOHABBAT............:D:

              KAFI HAI YA AUR KUCH..........
              kitab ki baat nahi na372-scare...kitabon me to me ne bhi parha he

              Comment

              • #8
                Re: Mohabat Kia He???

                Originally posted by senorita View Post
                Aslamoalikum :salam:
                aik sawal bohat din se mere dimagh me khalbali macha raha he:hehe:..socha ap se pooch loon akher ine aqalmand log hen yahan
                to sawal ye he k MOHABAT kia he?is ka TAQAZA kia he?kia Obey karna is ka lazmi juzve he?:mm:
                baat kee jeay baki sawal me sath sath karon gi:)
                walaikum salam

                Your thread's title reminded me of Junaid Jamshed's nasheed Muhabbat kya hai....

                tum ney suni ho gi ya nahi?
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #9
                  Re: Mohabat Kia He???

                  Originally posted by senorita View Post
                  Aslamoalikum :salam:
                  aik sawal bohat din se mere dimagh me khalbali macha raha he:hehe:..socha ap se pooch loon akher ine aqalmand log hen yahan
                  to sawal ye he k MOHABAT kia he?is ka TAQAZA kia he?kia Obey karna is ka lazmi juzve he?:mm:
                  baat kee jeay baki sawal me sath sath karon gi:)
                  Walikum salam ...!

                  Aap ke Topic bohut ache hote hain chiips

                  Iss baar bhi Acha Topic socha :thmbup:

                  Samandar nay kaha
                  Mohabbat samandar key gehraiyo may chepie hoe eik seepe hai
                  Jiss may chahat jessa anmol moti mojood hai :THANKS:

                  Baadal nay kaha
                  Mohabbat eik ~dhanak hai
                  Jiss may har Rang Nomaya hota hai... :hansi

                  Shairr nay kaha
                  Mohabbat eik esse ghazal hai
                  Jo har eik sunay walay kay dil may
                  uttar te chali jate hai thinkingg

                  Saaz nay kaha
                  Mohabbat eik essa geet hai
                  Jo Dil may uttar jata hai :dekh:

                  Malee nay kaha
                  Mohabbat gulshan kay phool key woh dilkash khusboo hai
                  Jiss may sara
                  gulshan mehak uttah hai :)

                  Ankhon nay kaha
                  Mohabbat ansoo ka samandar hai
                  jo kisse kay intezar may khamoshi say
                  behta hai

                  Dil nay kaha
                  Mohabbat kisse ko Khamoshi say chahay janay ka naam hai
                  kay aakhire
                  waqt bhee Izhar na kiya jay

                  Naseeb nay kaha
                  Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai
                  Aur jiss kay Dil may Mohabbat nahin
                  Woh duniya ka Badd Tareen shakhs Hai :lahoul

                  Nafrat nay kaha
                  Aakhiri Jeet Mohabbat ki Hoti hai

                  Comment

                  • #10
                    Re: Mohabat Kia He???

                    Mohabbat..... lafz suna suna sa lagta hai... :D

                    Comment

                    • #11
                      Re: Mohabat Kia He???

                      Originally posted by senorita View Post
                      kitab ki baat nahi na372-scare...kitabon me to me ne bhi parha he

                      rita.....mere halqa e ehbaab me muj se chotay...hum umar...aurrrr muj se barray log
                      b shamil hain.....muje unn ka sath achaa lagta hai kiyon k wo zindagi ko samjhtay
                      hain.....
                      aur wese b kisi ne kaha hai
                      ''behtreen jawani wo hai jis me burrhapay k asaar jon aur behtreen burrhapa wo hai
                      jis me jawani k aasar hon''

                      khairrr....in doston me se hi ek teacher hain meri.....35 sala khatoon hain.....
                      samjh lou k me ne mohabbat unn se seekhi...(its not at all a question of idealism in a typical sense)...wo sarapa mohabbat hain......:).
                      lets suppose me unn ko tassawar me dekh rahi hoon iss waqt.....
                      .................................................. ..................................
                      unn k wajood se roshni phoot rahi hai....ek noor ka hala tana hai unn k gird.....unn ko
                      sochti hoon tou taddadus ka ehsas ubhrta hai.....motiye k phool zehan me aatay
                      hain.......inn sab baton se yeh mat sochna k wo koi peerni hain....ya koi afsaanvi
                      kirdaar.........///
                      she is a practical woman ....n very very active.....
                      wo har kisi se mohabbat krti hain....sirf ALLAH k liye.........
                      jo unn se dushmni rakhta hai...wo unn s eb mohabbat krti hain.....
                      kiyon k wo ALLAH SE MOHABBAT KRTI HAIN.....AUR ALLAH K RASOOL se
                      mohabbat krti hain.......
                      wo hmen kaha krti thin.....k sab se mohabbat kro....bila waja....bila tekhsis.....:rose

                      baqi me ne sufi poets ko parrha hai......wo b insaan se mohabbat ka daras dete
                      hain....bila tameez ...kon kya hai...barra hai chota hai...ameer hai gareeb
                      hai....kuch b....:rose
                      baqi itna kahoon gi k me mohabbat k lughvi wa istalaahi muaani wa mafaaheem bmaa
                      sayaaq o sabaaq bayan nae kr sakti....aur ummees e qawwi hai yeh kaam aabi bhai
                      bakhoobi anjaam de lain ge.....///
                      aur ajkal ki mohabbat ...jo naujwaan nasal me barri maqbool hai...usko mohabbat
                      nae....
                      nae infatuation hai.....
                      in short...
                      mere nazdeek yeh ek ehsaas ka naam hai....so jo mere mehsoosaat thay me ne bayan kr diiye hain....shysmile
                      Last edited by saraah; 25 February 2009, 18:14.
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment

                      • #12

                        Strongly Agreed :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Mohabat Kia He???

                          Originally posted by kutkutariyaan View Post
                          Strongly Agreed :thmbup:

                          shysmile
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment

                          • #14
                            Re: Mohabat Kia He???

                            Originally posted by saraah View Post
                            shysmile
                            Ese na Shermaya kerain....Mujhe Hansi aa jati hai :hansi

                            Comment

                            • #15
                              Re: Mohabat Kia He???

                              Originally posted by senorita View Post
                              Aslamoalikum :salam:
                              aik sawal bohat din se mere dimagh me khalbali macha raha he:hehe:..socha ap se pooch loon akher ine aqalmand log hen yahan
                              to sawal ye he k MOHABAT kia he?is ka TAQAZA kia he?kia Obey karna is ka lazmi juzve he?:mm:
                              baat kee jeay baki sawal me sath sath karon gi:)
                              بہت اچھا سوال کیا ہے آپ نے سر دست مختصر الفاظ میں فقط اتنا عرض کروں گا کہ محبت ایک ایسا جذبہ ہے جو کہ اس کائنات کہ وجود کی بقاء کہ لیے ناگزیر ہے ۔(یاد رہے سردست ہمارا مقصد محبت کی تعریف بیان کرنا نہیں ہے) بلکہ محبت ہی وہ جذبہ ہے کہ جو وجہہ وجود کائنات ہے ۔اور جہاں تک آپ کہ دوسرے سوال کا تعلق ہے تو محبت کہ بہت سے تقاضے ہیں اور جس تقاضے کی طرف آپ نے توجہ دلائی ہے وہ بھی محبت کا ایک لازمی تقاضہ ہے یعنی محبوب کی اطاعت کرنا .سو ان معنوں میں اسے محبت کا جزو کہہ سکتے ہیں مگر حقیقی معنوں میں امر اطاعت نفس محبت میں شامل نہیں. ہاں مگر کمال محبت کہ لیے اطاعت لازمی جزو ہے . ۔یعنی آپ یہ نہیں کہہ سکتے کہ اگر فلاں, فلاں کی اطاعت نہیں کرتا تو اسے فلاں سے محبت بھی نہیں ہاں مگر آپ یہ کہہ سکتے ہیں کہ فلاں جو فلاں سے محبت کا دعویدار ہے مگروہ اسکی کامل اطاعت نہیں کرتا اس لیے وہ اپنی محبت میں کامل نہیں ۔

                              bohat acha sawal kiya aap nay sar e dast mukhtasr alfaz main faqat itna arz karon ga k mohabbat aik aysa jazba hy jo k is kaynaat k wajood ki baqa k liye naguzeer hy(yaad rahay k sare dast hamara maqsad mohabbat ki tareef bayan karna naheen hy) balk mohabbat hi wo jazba hy k jo wajhe wajood e kaynaat hy. aur jahan tuk aap k dosray sawal ka taluq hy to mohabbat k bohat se taqazay hain. aur jis taqazay ki taraf aap nay tawju dilai hy wo bhi mohabbat ka aik lazmi taqaza hy yani mehboob ki ita,at karna. so in manoon main isay mohabbat ka juzw keh saktay hain, magar haqeeqi manoon main amre ita,at nafs e mohabbat main shamil naheen. han magar kamal e mohabbt k liye ita,at lazmi juzw hy. yani aap ye naheen keh saktay k agar fulan , fulanki ita,at naheen karta to usay fulan se mohabbat bhi naheen, han magar aap ye keh saktay hain k fulan jo fulan se mohabbat ka dawaydar hy magar wo us ki kamil ita,at naheen karta is liye wo apni mohabbat main kamil naheen.
                              :salam:
                              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                              Comment

                              Working...
                              X