Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sudhar jio musalmano!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Sudhar jio musalmano!!

    Asalam-o-alikum dear members,

    Aap sab doston ki tawageh kuch baton ki tarah karwana chahonga. Kafi arsay say yeh batein meray zehan mein thi lekin koi acha forum nahi mil raha tha, ab PG par jesay keh kafi achi family ban gie hai mashALLAH to socha aap doston say hi share kar loon.

    Aksar doston sa suna hai keh Pakistan ko hukmuranon nay tabah kar dia hai, lekin kabhi hum nay yeh socha keh hum nay iss silsilay mein kia kia hai, well mein aap ko batata hoon keh asal mein hukmuranon nay nahi hum nay khud iss mulk ko tabah kia hai, aur iss ki asal wajah deen-e-islam say dori hai, hum jitnay islam say door hotay chalay jinagay utna hi aur mumalik hamaray liay khatra bantay jiangay. Hum nay iss baray mein kia kia siyiay baton keh,hum din mein 3ghantay ki movie to bari aasani say dekh saktay hain lekin 5waqt ki namaz parhtay huay hamrai jaan jati hai, hum roza to rakh letay hain lekin sab say ziada gussa rozay mein hi kartay hain, hum lakonn rupay de kar koi music function to dekh letay hain lekin zaqat detay huay hum 10baar sochtay hain, kia aesa hota hai musalman, sirf naam ka?? meri guzarish hai keh islam kay arkam ko pabandi say follow karain, mushkilat ko ALLAH par chor dein.

    Acha ab hum nay mulk kay liay kia kia, mein batata hoon kia kia, hum apna ghar to bara saaf rakhtay hain lekin road par sara kackra phenk detay hain kyon keh hamara ghar to saaf hai naa, hum parhay likhay to hain lekin humain gari kabhi bhi sedhi chalana nahi aaie, kisi mashor aadmi nay kaha tha keh agar kisi bhi mulk kay logon ko samajna ho to unn kay traffic ka nizam dekh lo, aur hamari road par sab ko jaldi rehti hai, sab log gussay mein hi rektay hain, aur yeh to hamari qom ki bemari hai keh hum gari to kabhi bhi sedhi nahi chala saktay, meri aap sab say guzarish hai keh yeh choti choti batein hain lekin inn ko sahi tor par amal karain to hamara mulk bhi kafi taraqi kar sakta hai.

  • #2
    Re: Sudhar jio musalmano!!

    :rose

    Comment

    • #3
      Re: Sudhar jio musalmano!!

      right

      Comment

      • #4
        Re: Sudhar jio musalmano!!

        very good. naik bano, naiki pheelao
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: Sudhar jio musalmano!!

          Originally posted by itfreak View Post

          ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

          Comment

          • #6
            Re: Sudhar jio musalmano!!

            bilkul sahi kaha aap nai....
            sigpic

            Comment

            Working...
            X