Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Questions Not To Be Answered

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Questions Not To Be Answered

    Originally posted by MSA View Post
    Walaikum Assalam

    Mujhay aik sawal ka jawab nahi mila
    jub sub kam Allah ki marzi se hota he, to phir hame gunah ki saza kyun milti he?
    TO MUJH SE KION NAHEEN POUCHA YE SAWAL
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment

    • #17

      Dear MSA;

      Allah ki marzi ka matlab yeh nahi hai k Allah khud yeh chahta hai k hum gunha karain. Uss nay tu hum ku paida hi isss liye kia hai k hum sirf aur sirf uss ki ibadat karain. jaisa kay woh farmata hai k "Nahi paida kia maiany jinnon aur insanoon ku magar sirf apni ibadat kay liye" (Al-quran). Zahir woh kaisay yeh chahy ga k uss ka banday gunah karain.

      Yahan Allah ki marzi ka malab uss ki mashiat (taqdeer) hai. Woh ilm-e-ghaib ka jannay wala hai. Aur yeh janta hai k kiss insaan nay future main kia kerna hai. Aur iss duniaya main jo kuch bhi hota hai issee mashiat k tehat hota hai.

      Allah nay jitnay bhi banday iss dunia main paida kye hain woh sab aik doosray ki azmaish k liye paida kye hain. Kissie ku ziada rizaq dia hai kissi ku kam rizaq dia hai, kisse ku moseebat main dalta hai kisse ku assaishain deta hai, ta keh Allah yeh jaan sakay k her insaan un halaat main kaisaay react kerta hai. Kyun k Allah nay uss ku zaharee ikhtiar bhi dia hai. Agar woh koi ghalt kam kerta hai tu zahir hai Allah apni sunnat k mutabiq uss ku saza daita hai ya akhirat main saza day ga.

      Mera aap say sawaal hai k koi agar aap k saath ziadati keray tu kia aap nahi chahain gay k uss ku saza melay. Agar woh shakhs jiss nay aap k saath ziadati ki hai yeh kay k yeh tu Allah ki marzi thi mera koi qasoor nahi tu aap uss ku kia jawab daingay??

      Infact yeh dunia dar-ul-imtahan hai aur yahan hum jo kuch bhi kertain hain woh iss mashaiat ilahi k tehat kertay hain. Aur iss ka ajar ya saza hum ku akhirat main apnay amal ki bina per dia jai ga. Lykin yeh zaroor hai k Allah yeh janata hai k kaun kia amal kernay wala hai.

      Wasalam!

      Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

      Comment

      • #18
        Re: Questions Not To Be Answered

        Originally posted by soni kudi View Post
        372-haha372-hahaaap ki baatien parh k na bas hansny any ati hai.......

        :na:na na 1 haath v nahi doun gi
        mein ne bhi tumhein tunda nahi kerna tumhara haath le ker:D:
        :thmbup:

        Comment

        • #19
          Re: Questions Not To Be Answered

          Originally posted by aabi2cool View Post
          TO MUJH SE KION NAHEEN POUCHA YE SAWAL
          app samjhate hi nahi he....:embarasse
          bus jawab likhwa dete hein:embarasse

          Comment

          • #20
            Re: Questions Not To Be Answered

            Originally posted by Muhammad Ali Jawad View Post
            Dear MSA;

            Allah ki marzi ka matlab yeh nahi hai k Allah khud yeh chahta hai k hum gunha karain. Uss nay tu hum ku paida hi isss liye kia hai k hum sirf aur sirf uss ki ibadat karain. jaisa kay woh farmata hai k "Nahi paida kia maiany jinnon aur insanoon ku magar sirf apni ibadat kay liye" (Al-quran). Zahir woh kaisay yeh chahy ga k uss ka banday gunah karain.

            Yahan Allah ki marzi ka malab uss ki mashiat (taqdeer) hai. Woh ilm-e-ghaib ka jannay wala hai. Aur yeh janta hai k kiss insaan nay future main kia kerna hai. Aur iss duniaya main jo kuch bhi hota hai issee mashiat k tehat hota hai.

            Allah nay jitnay bhi banday iss dunia main paida kye hain woh sab aik doosray ki azmaish k liye paida kye hain. Kissie ku ziada rizaq dia hai kissi ku kam rizaq dia hai, kisse ku moseebat main dalta hai kisse ku assaishain deta hai, ta keh Allah yeh jaan sakay k her insaan un halaat main kaisaay react kerta hai. Kyun k Allah nay uss ku zaharee ikhtiar bhi dia hai. Agar woh koi ghalt kam kerta hai tu zahir hai Allah apni sunnat k mutabiq uss ku saza daita hai ya akhirat main saza day ga.

            Mera aap say sawaal hai k koi agar aap k saath ziadati keray tu kia aap nahi chahain gay k uss ku saza melay. Agar woh shakhs jiss nay aap k saath ziadati ki hai yeh kay k yeh tu Allah ki marzi thi mera koi qasoor nahi tu aap uss ku kia jawab daingay??

            Infact yeh dunia dar-ul-imtahan hai aur yahan hum jo kuch bhi kertain hain woh iss mashaiat ilahi k tehat kertay hain. Aur iss ka ajar ya saza hum ku akhirat main apnay amal ki bina per dia jai ga. Lykin yeh zaroor hai k Allah yeh janata hai k kaun kia amal kernay wala hai.

            Wasalam!
            jo kuch insaan kurta he us mein Allah ki marzi nahi hoti insaan ki hotihe??

            Comment

            • #21
              Re: Questions Not To Be Answered

              Originally posted by MSA View Post
              jo kuch insaan kurta he us mein Allah ki marzi nahi hoti insaan ki hotihe??
              Marzi say muraad agar khwhish hai, tu woh sirf insaan ki hotee hai. Lykin yeh kehna k jo kuch hota hai Allah ki marzi say hota hai, iss ka matlab (mashiat Illahi hai) yani taqdeer k likhye hoi k mutabiq hota hai. Ye sirf Allah hi janat hi k hamari tqadeer main kya likha hai.

              Yani jo kam chahy ghalat ho ya sahi woh her insaan apni itention say kerta hai. Lykin woh kam taqdeer ka hissa hai. Lykin koi yeh nahi keh sakta k main bora kam iss liye ker raha hon k woh meri taqdeer ka hissa hai. jaisa k main pehlay yeh keh choka hoon keh;

              K koi agar aap k saath ziadati keray tu kia aap nahi chahain gay k uss ku saza melay. Agar woh shakhs jiss nay aap k saath ziadati ki hai yeh kahe k yeh tu Allah ki marzi thi mera koi qasoor nahi tu aap uss ku kia jawab daingay??

              Yahee wajah hai k her borray aur achay amal ki Allah nay saza aur jaza rakhi hai.

              Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

              Comment

              • #22
                Re: Questions Not To Be Answered

                Originally posted by MSA View Post
                app samjhate hi nahi he....:embarasse
                bus jawab likhwa dete hein:embarasse
                TO JO SAMJKH NAHEEN AATI WO DOBARA SAWAL KAR K POUCH LIYA KARO NA . . . .WESAY JO KHUCH TUM POUCHNA CHA RAHAY HO US KA KISI HAD TAK JAWAB JAWAD BHAI NAY DAY DIYA PHIR BHI SAMJH NA AY TO POUCH LO
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment

                • #23
                  Re: Questions Not To Be Answered

                  Originally posted by aabi2cool View Post
                  TO JO SAMJKH NAHEEN AATI WO DOBARA SAWAL KAR K POUCH LIYA KARO NA . . . .WESAY JO KHUCH TUM POUCHNA CHA RAHAY HO US KA KISI HAD TAK JAWAB JAWAD BHAI NAY DAY DIYA PHIR BHI SAMJH NA AY TO POUCH LO
                  Dear Abid bhai! Thanks for quoting me. Lykin mera Khayal hai aap ziaada achee terhan wazahat ker sakain gay. Kyun k aap ki islam k baray main hum loogon say ziada knowledge hai. Please answer to MSA in your words. Thanks! :thmbup:

                  Allah-o-Akbar Kabeera, Wal Hamdulillaah-e-Kaseera, Subhan Allah-e-Bukratan-wa-Aseela

                  Comment

                  • #24
                    Re: Questions Not To Be Answered

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    TO JO SAMJKH NAHEEN AATI WO DOBARA SAWAL KAR K POUCH LIYA KARO NA . . . .WESAY JO KHUCH TUM POUCHNA CHA RAHAY HO US KA KISI HAD TAK JAWAB JAWAD BHAI NAY DAY DIYA PHIR BHI SAMJH NA AY TO POUCH LO
                    abb kia application likho
                    :donno:

                    Comment

                    • #25
                      Re: Questions Not To Be Answered

                      Originally posted by Muhammad Ali Jawad View Post
                      Marzi say muraad agar khwhish hai, tu woh sirf insaan ki hotee hai. Lykin yeh kehna k jo kuch hota hai Allah ki marzi say hota hai, iss ka matlab (mashiat Illahi hai) yani taqdeer k likhye hoi k mutabiq hota hai. Ye sirf Allah hi janat hi k hamari tqadeer main kya likha hai.

                      Yani jo kam chahy ghalat ho ya sahi woh her insaan apni itention say kerta hai. Lykin woh kam taqdeer ka hissa hai. Lykin koi yeh nahi keh sakta k main bora kam iss liye ker raha hon k woh meri taqdeer ka hissa hai. jaisa k main pehlay yeh keh choka hoon keh;

                      K koi agar aap k saath ziadati keray tu kia aap nahi chahain gay k uss ku saza melay. Agar woh shakhs jiss nay aap k saath ziadati ki hai yeh kahe k yeh tu Allah ki marzi thi mera koi qasoor nahi tu aap uss ku kia jawab daingay??

                      Yahee wajah hai k her borray aur achay amal ki Allah nay saza aur jaza rakhi hai.
                      ok thanks:salam:

                      Comment

                      Working...
                      X