Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Our Problems?
Collapse
X
-
Re: Our Problems?
Wa Alaikum Aslam,
mere khyaal mein hamari society mein bohat se problem unawareness ki waja se hein. Buchay ki tarbiyat kese ki jaye ke wo bara ho ke moaasharay mein fa'aal kirdaar adaa ker sakay, bohat se loog nahi jaantay. Dukh hota he yeh dekh ker ke looong ko buchay peda kerne ka to pata he per un ki terbiyat kerne ka nahi pata.
Traffic - Yeh aik na hal honay wala masla lag raha he. Thanks to Lahore and Islamabad ke aisay baray cities mein traffic maintain ki hui he. Jis ka jo dil chahta he wo road ko he parking spot samaj ker gari khari ker deta he, baaz loog aisay dekhay hein ke roads ke dermeyan gari khari ker ke kisi shop mein ghus jatay hein aur horn dene per bahir aa ke gaari aagay peechay kerte hein, i am bit short tempered in these areas. mein aisay loogon se phudda ker leta hoon, because mein chup bhi nahi reh sakta aur aisay loogon ki shan mein kuch acha bhi nahi bool sakta.
baki baad mein:thmbup:
-
Re: Our Problems?
wsalaamz..Society main to problems hi problems ...wo bhi bayshumaar....kaamchori ..yaani kaam ko poora na kerna ..time zaya kerna aaj kal yay dono problems mujy buht prominent nazar aa rahi hain ...aor jahan tak baat ha causes ki to infact in problems kay peechay collective causes involve hoti hain na kay individual....buht say elements cause point per sum kertay hain to aik cause banti ha.....meray khyaal main aik cause element kaamchori aor time ko zayah kry ka yay bhi ho sakta ha kay time ki sahi importance ko aaj tak kisi nay elaborate krny ki koshih hi nhi ki..so log issi liay fazool ma wakt berbaad krtay hai...moreover ....kissi kay ghaatay (LOss) aor apnay naffay(Profit) kay lliay kaam chori ko kuch log best samajty hain..:khi:
Comment
-
Re: Our Problems?
aik aor bhi problem....bill jama kerwaanay jaao to itni lambi line main...khray ho ker 3 ..ghantay inteezaar kero.achanak kahi say koi banda aaye ga aor sab say aagay counter per sab say pehlay bill jama kerwaanay ki koshih keray ga....yay bhi bhala koi baat hui:fuming:.........abb iss ki cause to nih pata ..albatta solution pata ha..rekh kay ..blkay taka kay 2 mukkay maaro moonh per dimaagh thikaanay aa jaata ha asay logo kaLast edited by Capt.Abdur Rehman; 12 December 2008, 21:15.
Comment
-
Re: Our Problems?
meraa Khayaal hai k shaadii yoN par be-jaa israaf kii rok thaam honii chaahiye aur jahez kii la'nat kii jaReN kaaTii jaayeN...vo mard Hazraat jo iskii demand kareN yaa iskii vajah se biwiyoN par zulm aur tashaddud aur qatl karte maiN unkaa qala-qam'a kiyaa jaaye. iske liye hameN saKht-tareen qawaaneen banaaye jaayeN aur unkaa bharpoor nifaaz bhii kiyaa jaaye, Ghareeb hoN yaa ameer yaksaaN sulook kiyaa jaaye
Fall view from inside my car
near my work place :)
Comment
-
Re: Our Problems?
nice thread:thmbup:
hamare moashre ki aek prob to ye he k log dhoka karne ko ab bura nai samjhte,kam tolte hen,milawat karte hen or ye dono baten intehai darje k gunahon me ati hen or in ki waja se ham par Allah ne na ehel hukmaron ki surat me azaab bhi nazil kia he.
is k elawa traffic me bhi jald bazi,itni ghalat driving karte hen log k had nahi.
or ba ikhteyaar logon ka khud qawaneen par amal na karna or aam logon se tawako rakhna k wo qawaneen par amal karen.abhi Mr Dogar ki beti ka moamla aik choti si misal he.jis mulk ka chief justice ghalat tareeke se ye sab kare to wahan kia insaf ho ga.hansi ati he in jokers ko dekh kar:khi:
Comment
-
Re: Our Problems?
Originally posted by senorita View Postnice thread:thmbup:
hamare moashre ki aek prob to ye he k log dhoka karne ko ab bura nai samjhte,kam tolte hen,milawat karte hen or ye dono baten intehai darje k gunahon me ati hen or in ki waja se ham par Allah ne na ehel hukmaron ki surat me azaab bhi nazil kia he.
is k elawa traffic me bhi jald bazi,itni ghalat driving karte hen log k had nahi.
or ba ikhteyaar logon ka khud qawaneen par amal na karna or aam logon se tawako rakhna k wo qawaneen par amal karen.abhi Mr Dogar ki beti ka moamla aik choti si misal he.jis mulk ka chief justice ghalat tareeke se ye sab kare to wahan kia insaf ho ga.hansi ati he in jokers ko dekh kar:khi:
Comment
-
-
Re: Our Problems?
Originally posted by senorita View Posthan ji darust farmaya apne...afsos ka mukam he na
Comment
-
Re: Our Problems?
Originally posted by MSA View PostWalaikum Assalam...
problems to buhat he...per un ka hal aik hi he...subah shaam 2 joote :hehe: seriously yahi hal he...samjhanae ka time nishta...:thmbup:Last edited by SherAli; 14 December 2008, 06:15.
Fall view from inside my car
near my work place :)
Comment
-
Re: Our Problems?
Originally posted by SherAli View Postyeh to bataayaa hii nahiiN u ne k kis par paRe? vaise me kaa apnaa Khayaal hai k hamaare mulkoN ke logoN par "DanDe paR jaane ke Dar" kaa Khauf ziyaada hotaa hai...kiuN k...agar ek baar paR gayaa tab to public phir usii DanDe kii 'aadii ho jaayegii....tab kia hogaa?
Comment
Comment