Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

    P.S mujhey aap sab ko dukhi nahi kerna tha sirf ye key I just wanted to talk it out....
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

    wa'laikum as-salaam,

    nahiiN, aisa na socheN...we are all adluts here and to talk about facts of life such as death is wholly appropriate and an adult thing to do which is, no doubt, the most certain thing in life.

    kullu nafsin zaayeqat-ul-maut!

    yeh to aayegii aur aa kar rahegii, yake ba'd deegare...aaj uskii baarii hai to kal merii hogii...its a bitter fact that, like it or not, we have to swallow. Allah kii razaa ke aage sar-e-tasleem Kham kar denaa hii ai'n 'ibaadat hai.

    sab se pahle to aapkii cousin kii is jahaan-e-faanii se naa-gahaanii ruKhsat kii jaaNkaah Khabar sun kar dil malool ho gayaa aur Allah se du'aa kartaa huN k Allah marHooma kii maGhfirat farmaaye aur unkii rooH ko jannat-ul-firdaus meN 'aalaa maqaam 'ataa farmaaye aur muta'alliqeen ko sabr-e-jameel...aameen :dua inna nillaahii wa inna ilaihii reje'oon.

    mujhe aHsaas hai k bichaRne waaloN kaa Gham kis qadar gahraa hotaa hai. maiN ne apnii vaalidah ko baali 'umr meN khoyaa phir vaalid saaHib ko bhi awail-e-jawanii meN kho diyaa. unke jaane kaa Gham aaj bhi vaisa hii haraa hai jaise roz-e-awwal ko thaa par yeh soch kar taskeen-e-Khaatir kar letaa huN k vo [insha Allah] behtar jagah par hoNge. unkii baateN yaad aatii haiN to kaleja muNh ko aataa hai magar aaj bhii maiN unkii bataayii huii deenii aur dunyaavii baateN yaad kar ke sabaq letaa huN...maiN unkaa yeh qaul kabhii nahiiN bhool saktaa k:

    "beTaa, moHabbat sirf yeh hii nahiiN k maaN baap, bhai bahen, azeez o 'aqaarib, hamsaayoN, buzurgoN kii Khidmat karo bal k asl moHabbat yeh hai k Allah kii bandagii saHeeH ma'noN meN kareN jaisa k Uskaa Haq hai to insha Allah ham sab jannat meN yakjaa hoNge jo daai'mii rihaaish hogi..vahaN milne kii bharpoor koshish karnaa aur yehii asl moHabbat hai!"

    bas, jaanewaale kii yaad rah jaatii hai aur vo yaad jab aaye to maayoos honaa / udaas honaa ek fitrati 'amal hai magar ham Allah ke nek bande ban kar qayaamat ke roz surKh_rooii Haasil kar ke un se jaa milne kii sa'ii kareN to yeh hamaare Haq meN behtar hogaa :)
    Last edited by SherAli; 27 November 2008, 03:11.

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

    Comment

    • #3
      Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

      Originally posted by Xenja View Post

      P.S mujhey aap sab ko dukhi nahi kerna tha sirf ye key I just wanted to talk it out....

      Is sk siwa filhaal kuch nahi ..
      But buhat kuch kehnay ko hai ....
      jab ............I will talk after a while ..! :(

      Comment

      • #4
        Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

        kabhi sochein tu lafzon ki be-zubaani ka khiyal aata hai
        kabhi be-zubaan lafz Kattari ban jaatay hein
        kabhi be-naam lamhat zindgee
        aur kabhi rang bahri zindgi ...KHO jaati hai

        yehi .....Jeewan hai

        aap ki iss post ko parh kar kuch zukham tazay ho gay ..

        apnouN ko Kho deynay ka dukh ...
        Buhat Gehraa bul-keh Kaali Ghatta ki tarah ka siyah hota hai
        Jo mosamouN k Badalnay se Badlta nahi ...

        Bass ...Sab Muhabbat k khel hein ..
        Aur issi muhabbat mein hamein janay walay ..
        Buhat yaad aatay hein

        Magar iss muhabbat mein hum oss muhabbat ko nahi bhoolein
        Jo sab se azeem hai ..

        Jo Haq hai ..
        Jiss ko hee sirf baqa hai ..
        Sab ko ossi HAq k pass Loatna hai

        Dua hai k ..Hum sab Khatima HAQ ----Bar haq par ho ameen

        Buhat kuch hai dil mein ...!magar ...

        !!!!!!!!!!!

        Allah talaah Marhooma k..sab darjay Buland karay ameen
        Aur Peechay reh janay walouN ko onn k liyay Sadqa-e Jaariyaa bana-ay

        ameen sum ameen

        :rose :rose :rose :rose
        Last edited by Gul; 27 November 2008, 07:10.

        Comment

        • #5
          Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

          Ina'lillah'e'wa'ina'elehe'raje'oon.

          Death is a universal established truth, lets not talk about it ke yeh aaye gi he and blah blah.

          Aap ki cousin sirf 30 years ki thi, to jawan mout pe bohat dukh hota he, i know. Mere mamu ke ghar 3 saal mein tabahi hui. Mera cousin shahid 27, waheed 30, waheed's wife 31, his sisters 20 and 23 respectively, his both parents. Yeh aik he ghar mein 3 saal ke ander loog gaye. Pura ghar khali ho gaya. Aur yeh sabi loog aik bharpoor life guzar rahay thay. aur shahid ke ilawa sub ki natural death hui, chand aik din beemari, treatment jari tha, aur phir yeh loog apni neend mein he chal basay.

          Anyhow, waqee ajeeb lagta he, ke koi aap ka pyaara aap ki nazron ke samnay se chala jaye aur phir wo insaan sirf yaad ban ke reh jata he, we can't help it :)
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

            Inna-Lilaah hi wa inna illeaihe raajioon..
            May Allah shower his countless blessings upon your cousin in the world hereafter and make u able to bear this time of grief and pain with abundance of patience..ameen...
            yes no doubt mot to aik na aik din aa ker hi rehti ha...lakin jahan mot aati ha waha hi...mera apna experience ha ..waha hi Allah nay mutbaadil nizam terteeb dia hota ha ...yaani jab koi aapka piyaara aap say alag hota ha to ..automatically kuch time kay baad aapko asa sabar aa jata ha kay aap uss ki kami ko baghair roye poora hota daikhtay hain..phr mazeed yay kay ..aapko uss jasi shaksiat ki jhalkian routine life main dikhti rehti hain.aor aap ko din ba din itemenaan naseeb hota ha..Allah apnay bando say buhat pyaar kerta ha na..isi liay Allah buht ssari karsaziaan bhi saath hi main terteeb day dayta ha ...aor hummain pata bhi nahi chalta....:)

            Comment

            • #7
              Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

              Originally posted by Xenja View Post
              P.S mujhey aap sab ko dukhi nahi kerna tha sirf ye key I just wanted to talk it out....
              WASLAAM....EXTREMELY SORRY XENYA.....UNABLE TO SAY ANYTHING...
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment

              • #8
                Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

                Wasalam:rose

                Comment

                • #9
                  Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

                  انا للہ وانا الیہ راجعون
                  ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                  Comment

                  • #10
                    Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

                    Inna Lilahi wa inna elahi rajeoun :rose
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

                      Originally posted by Xenja View Post
                      P.S mujhey aap sab ko dukhi nahi kerna tha sirf ye key I just wanted to talk it out....
                      bahut afsos howa aap ki cousin ki death ka sun kar......... allah un ki magfrat farmai aur aap sub ko sabar ki taufeek......
                      :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

                        Originally posted by Xenja View Post
                        P.S mujhey aap sab ko dukhi nahi kerna tha sirf ye key I just wanted to talk it out....

                        Mar Jaey tu Barh Jati Hai Insan Ki Qeemat
                        Zinda Rahay tu Jeenay ki Saza Deti Hai Yeh Duniya
                        Inna Lillah e Waina Ileh he Raje'oon...Allah Taalah aap ki cousin ki Maghfrat kere ...

                        aap ne bilkul sahi kaha k jab insan pass nahien hota tu tab hamain pata chalta hai k wo hamari zindagey main kitni ahmiat rakhta tha

                        Mera Best and childhood friend jis ki wajha se aaj main jo kuch bhi hooon aik accident me us ki death ho gaee 2004 me .... us k baad aaj tak ham
                        saray friends us ko her qadam per her mushkil me yaad kerte hain k kaash aaj wo yahan per hota tu yooon na hota aur nahien tu koi mashwara hi deta is tarha ki bhot c batain hain jo ham kisi se share kerna chatay hain laikin ker nahien paatay aur jis se kerna chahtay hain wo hamaray pass jab nahien hota tu us ki kami mehsoos hoti hai .... aur baazzz logon ko ham apni zindagey main ignor bhi kerte rehtay hain yeh jo ooper me ne shair likha hai inho logon ki taraf ishara kerta hai laikin jab wo nahien hotay tu tab un ki ahmiat ka ahsas hamain zaroor hota hai .... is liey koshish yahi kerni chahiey k jin logon k saath ham rah rahay hoon jin se ham related hoon un k saath acha waqt guzray ta k hamari yaadain khoobsoorat hoon aur hamara her ik pal sanwar jaey

                        Allah aap ko aap ki family ko aur aap ki cousin ki family ko sakoon aata farmaey Aamin
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

                          Walikumsalam

                          Inna Lilahi wa inna elahi rajeoun
                          May Allah rest her soul in peace ameen.

                          Comment

                          • #14
                            Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

                            Originally posted by SherAli View Post
                            wa'laikum as-salaam,

                            nahiiN, aisa na socheN...we are all adluts here and to talk about facts of life such as death is wholly appropriate and an adult thing to do which is, no doubt, the most certain thing in life.

                            kullu nafsin zaayeqat-ul-maut!

                            yeh to aayegii aur aa kar rahegii, yake ba'd deegare...aaj uskii baarii hai to kal merii hogii...its a bitter fact that, like it or not, we have to swallow. Allah kii razaa ke aage sar-e-tasleem Kham kar denaa hii ai'n 'ibaadat hai.

                            sab se pahle to aapkii cousin kii is jahaan-e-faanii se naa-gahaanii ruKhsat kii jaaNkaah Khabar sun kar dil malool ho gayaa aur Allah se du'aa kartaa huN k Allah marHooma kii maGhfirat farmaaye aur unkii rooH ko jannat-ul-firdaus meN 'aalaa maqaam 'ataa farmaaye aur muta'alliqeen ko sabr-e-jameel...aameen :dua inna nillaahii wa inna ilaihii reje'oon.

                            mujhe aHsaas hai k bichaRne waaloN kaa Gham kis qadar gahraa hotaa hai. maiN ne apnii vaalidah ko baali 'umr meN khoyaa phir vaalid saaHib ko bhi awail-e-jawanii meN kho diyaa. unke jaane kaa Gham aaj bhi vaisa hii haraa hai jaise roz-e-awwal ko thaa par yeh soch kar taskeen-e-Khaatir kar letaa huN k vo [insha Allah] behtar jagah par hoNge. unkii baateN yaad aatii haiN to kaleja muNh ko aataa hai magar aaj bhii maiN unkii bataayii huii deenii aur dunyaavii baateN yaad kar ke sabaq letaa huN...maiN unkaa yeh qaul kabhii nahiiN bhool saktaa k:

                            "beTaa, moHabbat sirf yeh hii nahiiN k maaN baap, bhai bahen, azeez o 'aqaarib, hamsaayoN, buzurgoN kii Khidmat karo bal k asl moHabbat yeh hai k Allah kii bandagii saHeeH ma'noN meN kareN jaisa k Uskaa Haq hai to insha Allah ham sab jannat meN yakjaa hoNge jo daai'mii rihaaish hogi..vahaN milne kii bharpoor koshish karnaa aur yehii asl moHabbat hai!"

                            bas, jaanewaale kii yaad rah jaatii hai aur vo yaad jab aaye to maayoos honaa / udaas honaa ek fitrati 'amal hai magar ham Allah ke nek bande ban kar qayaamat ke roz surKh_rooii Haasil kar ke un se jaa milne kii sa'ii kareN to yeh hamaare Haq meN behtar hogaa :)
                            Aap bohot brave ho :rose
                            Originally posted by Gul View Post
                            kabhi sochein tu lafzon ki be-zubaani ka khiyal aata hai
                            kabhi be-zubaan lafz Kattari ban jaatay hein
                            kabhi be-naam lamhat zindgee
                            aur kabhi rang bahri zindgi ...KHO jaati hai

                            yehi .....Jeewan hai

                            aap ki iss post ko parh kar kuch zukham tazay ho gay ..

                            apnouN ko Kho deynay ka dukh ...
                            Buhat Gehraa bul-keh Kaali Ghatta ki tarah ka siyah hota hai
                            Jo mosamouN k Badalnay se Badlta nahi ...

                            Bass ...Sab Muhabbat k khel hein ..
                            Aur issi muhabbat mein hamein janay walay ..
                            Buhat yaad aatay hein

                            Magar iss muhabbat mein hum oss muhabbat ko nahi bhoolein
                            Jo sab se azeem hai ..

                            Jo Haq hai ..
                            Jiss ko hee sirf baqa hai ..
                            Sab ko ossi HAq k pass Loatna hai

                            Dua hai k ..Hum sab Khatima HAQ ----Bar haq par ho ameen

                            Buhat kuch hai dil mein ...!magar ...

                            !!!!!!!!!!!

                            Allah talaah Marhooma k..sab darjay Buland karay ameen
                            Aur Peechay reh janay walouN ko onn k liyay Sadqa-e Jaariyaa bana-ay

                            ameen sum ameen

                            I'm sorry Gul :rose
                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Ina'lillah'e'wa'ina'elehe'raje'oon.

                            Death is a universal established truth, lets not talk about it ke yeh aaye gi he and blah blah.

                            Aap ki cousin sirf 30 years ki thi, to jawan mout pe bohat dukh hota he, i know. Mere mamu ke ghar 3 saal mein tabahi hui. Mera cousin shahid 27, waheed 30, waheed's wife 31, his sisters 20 and 23 respectively, his both parents. Yeh aik he ghar mein 3 saal ke ander loog gaye. Pura ghar khali ho gaya. Aur yeh sabi loog aik bharpoor life guzar rahay thay. aur shahid ke ilawa sub ki natural death hui, chand aik din beemari, treatment jari tha, aur phir yeh loog apni neend mein he chal basay.

                            Anyhow, waqee ajeeb lagta he, ke koi aap ka pyaara aap ki nazron ke samnay se chala jaye aur phir wo insaan sirf yaad ban ke reh jata he, we can't help it :)
                            May Allah bless them :rose
                            Originally posted by rATSS View Post
                            Inna-Lilaah hi wa inna illeaihe raajioon..
                            May Allah shower his countless blessings upon your cousin in the world hereafter and make u able to bear this time of grief and pain with abundance of patience..ameen...
                            yes no doubt mot to aik na aik din aa ker hi rehti ha...lakin jahan mot aati ha waha hi...mera apna experience ha ..waha hi Allah nay mutbaadil nizam terteeb dia hota ha ...yaani jab koi aapka piyaara aap say alag hota ha to ..automatically kuch time kay baad aapko asa sabar aa jata ha kay aap uss ki kami ko baghair roye poora hota daikhtay hain..phr mazeed yay kay ..aapko uss jasi shaksiat ki jhalkian routine life main dikhti rehti hain.aor aap ko din ba din itemenaan naseeb hota ha..Allah apnay bando say buhat pyaar kerta ha na..isi liay Allah buht ssari karsaziaan bhi saath hi main terteeb day dayta ha ...aor hummain pata bhi nahi chalta....:)
                            yeah! :rose
                            Originally posted by saraah View Post
                            WASLAAM....EXTREMELY SORRY XENYA.....UNABLE TO SAY ANYTHING...
                            Originally posted by ummid View Post
                            Wasalam:rose

                            Originally posted by aabi2cool View Post
                            انا للہ وانا الیہ راجعون
                            Originally posted by Aanchal View Post
                            Inna Lilahi wa inna elahi rajeoun :rose
                            Originally posted by rehman View Post
                            bahut afsos howa aap ki cousin ki death ka sun kar......... allah un ki magfrat farmai aur aap sub ko sabar ki taufeek......
                            Originally posted by *khushi* View Post
                            Walikumsalam

                            Inna Lilahi wa inna elahi rajeoun
                            May Allah rest her soul in peace ameen.
                            :rose

                            Originally posted by sccorpion81 View Post

                            Mar Jaey tu Barh Jati Hai Insan Ki Qeemat
                            Zinda Rahay tu Jeenay ki Saza Deti Hai Yeh Duniya
                            Inna Lillah e Waina Ileh he Raje'oon...Allah Taalah aap ki cousin ki Maghfrat kere ...

                            aap ne bilkul sahi kaha k jab insan pass nahien hota tu tab hamain pata chalta hai k wo hamari zindagey main kitni ahmiat rakhta tha

                            Mera Best and childhood friend jis ki wajha se aaj main jo kuch bhi hooon aik accident me us ki death ho gaee 2004 me .... us k baad aaj tak ham
                            saray friends us ko her qadam per her mushkil me yaad kerte hain k kaash aaj wo yahan per hota tu yooon na hota aur nahien tu koi mashwara hi deta is tarha ki bhot c batain hain jo ham kisi se share kerna chatay hain laikin ker nahien paatay aur jis se kerna chahtay hain wo hamaray pass jab nahien hota tu us ki kami mehsoos hoti hai .... aur baazzz logon ko ham apni zindagey main ignor bhi kerte rehtay hain yeh jo ooper me ne shair likha hai inho logon ki taraf ishara kerta hai laikin jab wo nahien hotay tu tab un ki ahmiat ka ahsas hamain zaroor hota hai .... is liey koshish yahi kerni chahiey k jin logon k saath ham rah rahay hoon jin se ham related hoon un k saath acha waqt guzray ta k hamari yaadain khoobsoorat hoon aur hamara her ik pal sanwar jaey

                            Allah aap ko aap ki family ko aur aap ki cousin ki family ko sakoon aata farmaey Aamin
                            May Allah bless your friend ... :rose
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #15
                              Re: Zindagi ki aik aeysi haqeeqat...

                              and shukran all :rose

                              Working...
                              X