Doosto aur Doostniyoo :blush:
Salam Hukam kerta hoon
waqt badalta he, loog badal jatay hein, aur sub kuch badal jata he:donno:. Aap ne apni life mein bohat si changes dekhi hoon gi moaashray mein. Wo aisay koon se kaam ya aadat'o'atwwar thay jo aap buchpan mein frequently observe kerte thay, ya aap khud involve thay, lekin ub wo chezein aap ko nazar nahi aatein. Koi bhi baat jo us waqt aap ko ajeeb nahi lagti thi, lekin ub aap soochtay hein to kuch ajeeb sa lagta he, wo share keejiye 372-shock
Mein ne childhood mein dekha, ke hamaray mohallay daaron mein aik aadat bohat aam thi. Raat ke waqt wo salan wagaira frequently exchange kerte, even ager aik ghar ne kuch nahi banaya to wo hamsaye ke ghar mein aa ke bata deta ke aaj hum ne kuch nahi banaya to hamein salan dein, aur yeh baat mayoob bhi nahi samji jati thi :donno:, it was a common. Is ke ilawa akser loog aik doosray ke gharon mein bina ijazat ke aatay jatay thay, ager mohalay mein aik banda koi cheez khareed'ta, jese TV to usay dekhnay pura mohalla aata tha, aur sub bari bari mubarakein dete :khi:
Ub wohi loog hein, wohi mohallaydaar hein, lekin aisa koi concept exist he nahi kerta, sub apnay aap mein magan rehtay hein. Lagta he nahi he ke yeh loog bhi kabi aisa kia kerte thay, aakhir is major change ke pechay kia stimulants hein? Kia yeh shaoori'irtkaa he? Kia loog ub ziada mohazab ho gaye hein ya kuch aur? :donno:

Comment