salaam dosto...
abhii ek alRii meN Muqaddas Bibi ne yeh poochhaa k merii siggy meN jo mere vaalid-e-marHoom kii nazm "Khiraam-e-sabaa" se liyaa gayaa band hai uskaa matlab kia ha...unke is Hukm kii ta'meel karte huye yeh tauzeeH karne kii jasaarat kii hai...sochaa aap sabhii se share kartaa chaluuN:
to, mulaaHizah farmaaiye:
shaa'ir kahta hai k...sabaa [vo hawaa jo poorab kii taraf se chaltii hai] hazaaroN saroN pe ghunghraale baaloN se aTkheliyaaN kartii unheN chehre par lahraa kar guzar jaatii hai, sabaa aahiqoN ko kabhii chain nahiIn lene detii kiuN k vo maHboob ke paiGhaamaat salaamaat laayaa le jaayaa kartii hai, sabaa kabhii is libaas ko chheRaa to kabhii us chaadar [Hijaab] ko uRaaii magar is ke baa-vujood kisii ke haath na aayii, sabhii ne use maHsoos kiyaa magar koi use thaam na sakaa
bilkul usii taraH
shaa'ir kahtaa hai k meraa mujhe bhii sabaa kii taraH har shai se pyaar hai, moHabbat hai magar maiN bhii guzar jaanewaalaa huN, mujhe koii Haasil nahiiN kar saktaa kiuN k maiN ek temporary aarzii shai huN is dunyaa meN...meraa Thikaanaa us dunyaa meN hai...mujhe sab se moHabbat hai magar amiN kisii se munsalik [attached] nahiiN

Comment