Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ham aisay kiun hain....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ham aisay kiun hain....

    Last edited by *Rida*; 15 November 2008, 09:53.
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: Ham aisay kiun hain....

    wese aap nay meray dil ki baat ki hai..... aur mein aap se agreed iss baat per hoon k hamain apnay country ki gila geebat nahi karna chahiye.....

    yeh hamara country hai agar kuch gila shikway hain bhi tu hum mil beth kar tay karsakte hain...... wese bhi jo log country se bahir rahte hain vo tu kuch ziyada he country per critisize karte hain................ aur mujhe bhi ajeeb lagta hai......
    :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

    Comment

    • #3
      Re: Ham aisay kiun hain....

      waleikum assalam
      hum shaed zeyada hi haqeeqat pasand banne ki koshish karte hain k haan aise hai waise hota hai.achaai beyaan hi nahin karte:tauba
      friends k samne aisi koi baat nahin kar sakte kyun k humara image kharab hota hai magar mulk ki buraai kar lete hain k kon sa humari wajah se ho raha hai:fuming: jab k humari pehchan hi humara mulk hai.

      Comment

      • #4
        Re: Ham aisay kiun hain....

        salaam Rida,

        bajaa farmaayaa aapne...maiN bhii unhiiN logoN meN se huN aur maiN Haalaan k Pakistani bhi nahiiN magar Pakistan kii kamiiyoN ko bayaan kartaa huN. ab vajah bhii bataa detaa huN:

        maiN India se huN. maiN musalmaan huN alHamdolillah. zindagii kaa ek abRaa Hisaa gaaoN meN guzaaraa jahaN mujhe koi ta'leem bhii nahiIn milii...us gaaoN meN musalmaan aksariyat emN the aur haiN alHamdolillah is liye kabhii Hindu aksariyat kaa manfii asar nahiiN dekhaa...phir maiN AligaRh Muslim University emN aayaa jahaN musalmaan hii iqtidaar meN the is liye Allah ne mujhe is baar phir Hindu aksariyat ke imtiyaaz se bachaa liyaa.

        AligaRh ko "mini Pakistan" kahaa jaataa hai. ham indian muslims ko Ghaddar, Pakistani jaasoos, Pakistani terrosist aur na jaane kaun kaun se alqaab o aadaab se navaazaa jaataa hai. unkaa kahna hai k Pakistan jab ban gayaa to tum sab Pakistan jaao yaa phir Indian ban ke raho [ya'ni Hindu ban jaao, nauuzobillah!]. ham ne Pakistan ke vujood meN aane kii vajah se [jo saHeeH iqdaam thaa aur ahm Khush bhii haiN k kam se kam ham meN se kuchh bhai bahen to chain se aur sukloon se haiN...Allah kaa shukr adaa karte haiN] baRii qurbaaniyaaN dii haiN...jana o maal aur asmat gaNwaayii hai jo 'umooman Hindu-Muslim fasaadaat ke nateeje meN qaq'oo_pazeer huaa kartaa hai]

        HinduoN ke da've k ham Ghaddar ahiN, ham ko Pakistn se hamdardii hai vaGhairah vaGhaira vo kisi Had tak saHeeH bhii hai kiuN k ham pahle musalmaan haiN phir kuchh aur aur Pakistan Islam aur Muslim ke naam par banaa is liye fitrii taur par hamaaraa markaz Pakistan hii thaa aur hai...usii se hamaarii saarii hamdardiyaaN waqf haiN. mujhe yaad hai k jab Pakistan cricket yaa field hockey meN bain-ul-aqwaamii medals jeet-tii to ham miThaaii baaaNTte aur agar haar jaatii to ham sab us din khaanaa nahiiN khaate the. :(

        is pas manzar ko madd-e-nazar rakhte huye ham ko Pakistan se bahooooot saarii tavaqqo'aat vaabasta thiiN. ham use apnaa Islamii leader maan chuke the. phir jab Pkaistan intishaar aur bad-amanii kaa shikaar hone lagaa to yaqeen jaaniye k ham par kia qayaamat guzrii. pahle andaroonii Khalfishaar dekh kar lagaa k are! yeh kia huaa? yeh to India jaisa bantaa jaa rahaa hai jahaN hamaare jaan o maal o izzat o 'asmat kaa taHaffuz nahiiN. aur Pakistan ek zinda laash bantaa chalaa gayaa jis ke taaboot meN amrika ne aaKhirii kele gaaR dii jab Pakistan ne amrika kaa saath diyaa aur apne hii logoN kii jaan ke dar-pai ho gayaa.

        ab Rida socho...koi baahar se aa kar ya'ni koi saRak par chalne waala aira Ghaira natthoo Khaira to nahiIn kuchh kahegaa achchhaa ya aburaa...yeh to vohii kahtaa hai jiskaa koii rishta ho Khnooii uaa rooHaanii. hamaaraa to rooHaanii rishta hai is liye waah ke saath aah bhi nikal jaatii hai...agar ham sab chup ho kar baiTh jaayeN aur Halaat par takiya kar ke baiTh jaayeN to sab se pahle aHsaas kaa Khoon hogaa phir zameer kaa uske ba'd insaaniyat kaa. ham agar chup baiTh gaye to phir Allah hii Haafiz hai:

        aap kaheNgi k manfii baat hii kiuN kahii jaatii hai...vo is liye k manfii hii baateN ahm par asar-aavar hotii haiN aur zaahir hai k news aur views men vohii aataa hai jo garm Khabar hotii hai.

        lets pray for muslims and Pakistan! Allah ham muslims ko aur Pakistan ko deen o dunyaa meN 'izzat aur kamaiiyaabii 'ataa farmaa...aameen :)

        Fall view from inside my car
        near my work place :)

        Comment

        • #5
          Re: Ham aisay kiun hain....

          Originally posted by SherAli View Post

          I wouldn't comment much. I respect your feelings from the core of my heart.
          :thmbup:

          Comment

          • #6
            Re: Ham aisay kiun hain....

            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #7
              Re: Ham aisay kiun hain....

              Originally posted by rehman View Post

              Ameen ...
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment

              • #8
                Re: Ham aisay kiun hain....

                You are the Ambassador of Pakistan and be confident while you discuss anything with any person. Hamaray masail ziada tar America ki waja se kharay huay hein, hum pe kuch cheezein impose ki gai hein. Mere jub bhi kisi American se baat hoti he to wo akser poochtay hein ke Pakistan ke current situation kia he, aur mein bila jijak usay keh deta hoon ke Pakistan jin halaat ko bughat raha he wo aap ki waja se bughat raha he, aur kai baar yeh loog meri baat sun ker khasyaanay se ho jatay hein. Kuch behas kerte hein and I have logic to justify my point. So never let yourself down, keep your confidence high up. :thmbup:
                :thmbup:

                Comment

                • #9
                  Re: Ham aisay kiun hain....

                  sawal buhat acha hai tumhra :thmbup:

                  boriyan agar wo houn kay jin say masaiyl pay tawajoo di jaye to wo ghalat bhi nahi ....lekan itna bhi nahi kay har cheez ko bas tanqeedi nazar say deekhay or hal ki taraf dheeyan na dilwaye ..

                  agar insaan ko pata hai kay us main kia khami hai to wo apni us khami ko door karnay ki kushish karay ga ..or agar wo yeh kahay kay mujh main koi khami nahi main 100% sahi houn to wo na toapni khameoo ko kabhi pehchan paye ga or jab pehchan hi nahi paye ga to kabhi hal nahi karay ga ....:)

                  yeh to tha aik point :D:

                  or dosra point yeh kay hamray halaat ko dosroo say zaida khud ham nay aisa bana dia hai :)...such zaror likhna chaye lekan aisa such jo humye aik positive sooch day , aisa nahi ji bandoo main mazeed uljhan peda karay ....

                  apnay mulk say bahir kabhi bhi apnay mulk ki borai na karian :rose
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: Ham aisay kiun hain....

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    I wouldn't comment much. I respect your feelings from the core of my heart.

                    thankoo for respecting my feelings...its the mutual respect thais gonna lead us to a better understanding. aap plz kaheN jo kahna hai...ek dusre ke jazbaat kii qadar karte huye kuchh kahne se iHtiraaz na kareN...kahiye...ham bhii aapke jazbaat kii yaksaaN qadar kareNge :)

                    yeh na bhooliye plz k ham alag alag soch to rakh sakte ahiN magar ham sab musalmaan haiN is liye ham sab kaa nasb ul ai'n ek hii hona achaahiye...islam aur muslims kii bartarii aalam par jaisa k uskaa Haq hai aur Pkaistn ho yaa koi aur muslim mulk jo hamaaraarii ijtimaa'ii 'aalamii rahnumaaii kare...'aalamii ruhnuma chahaiye hameN...Allah hamaarii sun le! aameen :)

                    Fall view from inside my car
                    near my work place :)

                    Comment

                    • #11

                      You are a Muslim. To me it is even better for you than to be a Indian or Pakistani and thats all :thmbup:
                      :thmbup:

                      Comment

                      • #12
                        Re: Ham aisay kiun hain....

                        Originally posted by SherAli View Post
                        salaam Rida,

                        bajaa farmaayaa aapne...maiN bhii unhiiN logoN meN se huN aur maiN Haalaan k Pakistani bhi nahiiN magar Pakistan kii kamiiyoN ko bayaan kartaa huN. ab vajah bhii bataa detaa huN:

                        maiN India se huN. maiN musalmaan huN alHamdolillah. zindagii kaa ek abRaa Hisaa gaaoN meN guzaaraa jahaN mujhe koi ta'leem bhii nahiIn milii...us gaaoN meN musalmaan aksariyat emN the aur haiN alHamdolillah is liye kabhii Hindu aksariyat kaa manfii asar nahiiN dekhaa...phir maiN AligaRh Muslim University emN aayaa jahaN musalmaan hii iqtidaar meN the is liye Allah ne mujhe is baar phir Hindu aksariyat ke imtiyaaz se bachaa liyaa.

                        AligaRh ko "mini Pakistan" kahaa jaataa hai. ham indian muslims ko Ghaddar, Pakistani jaasoos, Pakistani terrosist aur na jaane kaun kaun se alqaab o aadaab se navaazaa jaataa hai. unkaa kahna hai k Pakistan jab ban gayaa to tum sab Pakistan jaao yaa phir Indian ban ke raho [ya'ni Hindu ban jaao, nauuzobillah!]. ham ne Pakistan ke vujood meN aane kii vajah se [jo saHeeH iqdaam thaa aur ahm Khush bhii haiN k kam se kam ham meN se kuchh bhai bahen to chain se aur sukloon se haiN...Allah kaa shukr adaa karte haiN] baRii qurbaaniyaaN dii haiN...jana o maal aur asmat gaNwaayii hai jo 'umooman Hindu-Muslim fasaadaat ke nateeje meN qaq'oo_pazeer huaa kartaa hai]

                        HinduoN ke da've k ham Ghaddar ahiN, ham ko Pakistn se hamdardii hai vaGhairah vaGhaira vo kisi Had tak saHeeH bhii hai kiuN k ham pahle musalmaan haiN phir kuchh aur aur Pakistan Islam aur Muslim ke naam par banaa is liye fitrii taur par hamaaraa markaz Pakistan hii thaa aur hai...usii se hamaarii saarii hamdardiyaaN waqf haiN. mujhe yaad hai k jab Pakistan cricket yaa field hockey meN bain-ul-aqwaamii medals jeet-tii to ham miThaaii baaaNTte aur agar haar jaatii to ham sab us din khaanaa nahiiN khaate the. :(

                        is pas manzar ko madd-e-nazar rakhte huye ham ko Pakistan se bahooooot saarii tavaqqo'aat vaabasta thiiN. ham use apnaa Islamii leader maan chuke the. phir jab Pkaistan intishaar aur bad-amanii kaa shikaar hone lagaa to yaqeen jaaniye k ham par kia qayaamat guzrii. pahle andaroonii Khalfishaar dekh kar lagaa k are! yeh kia huaa? yeh to India jaisa bantaa jaa rahaa hai jahaN hamaare jaan o maal o izzat o 'asmat kaa taHaffuz nahiiN. aur Pakistan ek zinda laash bantaa chalaa gayaa jis ke taaboot meN amrika ne aaKhirii kele gaaR dii jab Pakistan ne amrika kaa saath diyaa aur apne hii logoN kii jaan ke dar-pai ho gayaa.

                        ab Rida socho...koi baahar se aa kar ya'ni koi saRak par chalne waala aira Ghaira natthoo Khaira to nahiIn kuchh kahegaa achchhaa ya aburaa...yeh to vohii kahtaa hai jiskaa koii rishta ho Khnooii uaa rooHaanii. hamaaraa to rooHaanii rishta hai is liye waah ke saath aah bhi nikal jaatii hai...agar ham sab chup ho kar baiTh jaayeN aur Halaat par takiya kar ke baiTh jaayeN to sab se pahle aHsaas kaa Khoon hogaa phir zameer kaa uske ba'd insaaniyat kaa. ham agar chup baiTh gaye to phir Allah hii Haafiz hai:

                        aap kaheNgi k manfii baat hii kiuN kahii jaatii hai...vo is liye k manfii hii baateN ahm par asar-aavar hotii haiN aur zaahir hai k news aur views men vohii aataa hai jo garm Khabar hotii hai.

                        lets pray for muslims and Pakistan! Allah ham muslims ko aur Pakistan ko deen o dunyaa meN 'izzat aur kamaiiyaabii 'ataa farmaa...aameen :)
                        :rose Indian Muslims kay baray mein ham bhi isi tarah sochtay hain ....agar wahan kabhi Musalmanoon kay istehsaal ki khabar milti hai...tu hamin bhi bay had afsoos hota hai.. ALLAH TALA ham sab kay liye AsaniyaaaN paida fermaaye Ameen...
                        For New Designers
                        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                        Comment

                        • #13
                          Re: Ham aisay kiun hain....

                          Originally posted by lllife View Post
                          waleikum assalam
                          hum shaed zeyada hi haqeeqat pasand banne ki koshish karte hain k haan aise hai waise hota hai.achaai beyaan hi nahin karte:tauba
                          friends k samne aisi koi baat nahin kar sakte kyun k humara image kharab hota hai magar mulk ki buraai kar lete hain k kon sa humari wajah se ho raha hai:fuming: jab k humari pehchan hi humara mulk hai.
                          Originally posted by rehman View Post
                          wese aap nay meray dil ki baat ki hai..... aur mein aap se agreed iss baat per hoon k hamain apnay country ki gila geebat nahi karna chahiye.....

                          yeh hamara country hai agar kuch gila shikway hain bhi tu hum mil beth kar tay karsakte hain...... wese bhi jo log country se bahir rahte hain vo tu kuch ziyada he country per critisize karte hain................ aur mujhe bhi ajeeb lagta hai......
                          thanks for replying.....baat haqeeqat pasand honay ki nahin buraiyaan karnay ki hai.....loag in donoon mein farq nahin jantay shayed....
                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment

                          • #14
                            Re: Ham aisay kiun hain....

                            Xenia...ham dosrooN say discuss bhi kar lain... lakin is mein qosoor hamaray Media ka bhi hai... jo keh ghalat andaaz mein portray karta hai hamaray mulk ko......main phir kahon gi keh dosray countries mein aksar kafi buray halaat hotay hain.... aksar America kay hi baray mein ham loag suntay hain kafi dirty facts.....jin per Americans parda dalnay ki koshish kartay hain .....aur jab woh loag aisa kartay hain tu yeh batain aai gai ho jati hain... jab keh yahan khud mamlaat ko bar bar uchala jata hai...jab yahan Lal Masjid wala incident howa tha... main nay net per khabar perhi thi.... woh aisay andaaz main thi...keh kia kahon...mujhay bay had takleef hoi thi....
                            rahi sahi kasar yeh pvt channels poori kar daitay hian, exclusive kay naam per... sab say pehlay buri buri khabrain suna kar....credit laitay hain dawa kartay hain sab say pehlay, sab say aagay honay kaa....
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment

                            • #15
                              Re: Ham aisay kiun hain....

                              Originally posted by Aanchal View Post
                              sawal buhat acha hai tumhra :thmbup:

                              boriyan agar wo houn kay jin say masaiyl pay tawajoo di jaye to wo ghalat bhi nahi ....lekan itna bhi nahi kay har cheez ko bas tanqeedi nazar say deekhay or hal ki taraf dheeyan na dilwaye ..

                              agar insaan ko pata hai kay us main kia khami hai to wo apni us khami ko door karnay ki kushish karay ga ..or agar wo yeh kahay kay mujh main koi khami nahi main 100% sahi houn to wo na toapni khameoo ko kabhi pehchan paye ga or jab pehchan hi nahi paye ga to kabhi hal nahi karay ga ....:)

                              yeh to tha aik point :D:

                              or dosra point yeh kay hamray halaat ko dosroo say zaida khud ham nay aisa bana dia hai :)...such zaror likhna chaye lekan aisa such jo humye aik positive sooch day , aisa nahi ji bandoo main mazeed uljhan peda karay ....

                              apnay mulk say bahir kabhi bhi apnay mulk ki borai na karian :rose
                              ALLAH karay sab hi yeh baat samjhain...
                              yaqeen janain aisi itni batain samnay aati hain Pakistan kay baray mein keh jin per jitna fakhr kia jai kam hai.... kai lihaaz say Pakistan behtreen mulk hai.... apni defense side per bhi ,paidawari salahiyat kay lihaaz say... lakin ham na woh sab jantay hain na jannay mein dilchaspi rakhtay hain.....
                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment

                              Working...
                              X