Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

dil ki neeyat..?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • dil ki neeyat..?

    assalamalikum
    aik baat mujhay samajh nahi ati or koi mujhay samjhaye zara :D: kay aksar loog apnay amal ka khayal nahi kartay un ka jawab humesha yehi hota hai dil ki neeyat to achi hai or Allah diloo ki neeyat ko hi deekhta hai :)

    misaal kay toor par kay azaan hoo rahi the sab larkeoo nay doppatay pehnay or aik nay nahi pehna , usay kaha kay tum bhi pehan loo...to us nay kaha is say kia hota hai ? dil main to achi neeyat hai na :)

    kuch loog ajeeb say hotay hain jhagerool say lekan aksar loog kehtay yeh oper say aisa hai lekan dil ka bara acha hai :D:

    aisi batian aap ko aksar moukoo pay sunnay ko millian gee....to kia sirf dil main neyat kar leena kafi hia banday kay amaal oper say chaye kesay houn ?:donno:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: dil ki neeyat..?

    sab se awwal baat rupaTTaa sar se aise oRhnaa k baal, shaane aur seena mukammil taur par Dhake hoN aur yeh Hijaab ka ek Hissa hai. ab agar koi laRkii sirf azaan ke waqt sar par rupaTTe kii gaThri banaa kar yaa aise hii be-tarteebii se Daal le to vo koi ahmiyat nahiiN rakhtaa. azaan sun kar rupaTTaa sar pe lene kaa Hukm nahiIn hai. ailaan-e-namaaz hai so sar to pahle se hii aur ba'd meN bhi Dhakaa honaa chahaiye. azaan sun kar sirf ek Hukm hai aur vo hai "Haiiya-alas-salaaH" ya'nii namaaz kii taraf ru'joo karo.

    baaqii baateN aapkii paRhe likhe aur ilm wale log nahiIn kaheNge. yeh to saRak-chhaap baateN haiN...amal islaam kaa sutoon hai...nek amal aur phir niyat Khaalisatan Allah ke liye honii chaahiye...namood o numaaish yaa riyaakaarii yaa tasann'o ke liye nahiiN. Allah ham sab ko hidaayat de...aameen :)

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

    Comment

    • #3
      Re: dil ki neeyat..?

      Originally posted by Aanchal View Post

      :tasali: AIK DIN U KO SAB KHUCH SAMJHA DON GA :tasali:
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment

      • #4
        Re: dil ki neeyat..?

        Originally posted by SherAli View Post

        :)
        Ehtram to karna chaye na azan ka :)
        khair yeh to aik misaal di the main nay kay loog oper say chaye kuch bhi karian woh sirf yehi keh deytay hain kay hamari dil main to neeyat achi hai basi kafi hai :)

        aaj kal parhay loog hi aisi batian kartay hain or yeh fashion banta ja raha hai male , females sab main .....

        • #5
          Re: dil ki neeyat..?

          Originally posted by aabi2cool View Post
          :tasali: AIK DIN U KO SAB KHUCH SAMJHA DON GA :tasali:
          jab main oper pounch jaoun gee tab

          chaloo shabash apna tabsra karoo is pay jo hamray sar kay oper say na guzray
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment

          • #6
            Re: dil ki neeyat..?

            Originally posted by Aanchal View Post
            Ehtram to karna chaye na azan ka :)
            khair yeh to aik misaal di the main nay kay loog oper say chaye kuch bhi karian woh sirf yehi keh deytay hain kay hamari dil main to neeyat achi hai basi kafi hai :)

            haN vo to hai par pahle Hijaab hai uske bad aHtaraam Khud ba Khud aa jaayegaa. insha Allah

            aaj kal parhay loog hi aisi batian kartay hain or yeh fashion banta ja raha hai male , females sab main .....

            meraa ishaaraa dunyaa ke ilm waaloN se nahiIn thaa...deen kaa ilm rakhne waale aisa nahiIn kaheNge. isii liye deen kii ta;leem dunyaavii ta'leem ke saath saath honii chaahiye. hamaara almiya yehi hai k ham ne deen kii ta'leem ko backward qaraar de diyaa hai aur aksar logoN ke paas waqt hii nahiiN hotaa. Hai'f aur sad Hai'f!
            .....

            Fall view from inside my car
            near my work place :)

            Comment

            • #7
              Re: dil ki neeyat..?

              Originally posted by Aanchal View Post
              assalamalikum
              aik baat mujhay samajh nahi ati or koi mujhay samjhaye zara :D: kay aksar loog apnay amal ka khayal nahi kartay un ka jawab humesha yehi hota hai dil ki neeyat to achi hai or Allah diloo ki neeyat ko hi deekhta hai :)

              misaal kay toor par kay azaan hoo rahi the sab larkeoo nay doppatay pehnay or aik nay nahi pehna , usay kaha kay tum bhi pehan loo...to us nay kaha is say kia hota hai ? dil main to achi neeyat hai na :)

              kuch loog ajeeb say hotay hain jhagerool say lekan aksar loog kehtay yeh oper say aisa hai lekan dil ka bara acha hai :D:

              aisi batian aap ko aksar moukoo pay sunnay ko millian gee....to kia sirf dil main neyat kar leena kafi hia banday kay amaal oper say chaye kesay houn ?:donno:
              Originally posted by SherAli View Post
              sab se awwal baat rupaTTaa sar se aise oRhnaa k baal, shaane aur seena mukammil taur par Dhake hoN aur yeh Hijaab ka ek Hissa hai. ab agar koi laRkii sirf azaan ke waqt sar par rupaTTe kii gaThri banaa kar yaa aise hii be-tarteebii se Daal le to vo koi ahmiyat nahiiN rakhtaa. azaan sun kar rupaTTaa sar pe lene kaa Hukm nahiIn hai. ailaan-e-namaaz hai so sar to pahle se hii aur ba'd meN bhi Dhakaa honaa chahaiye. azaan sun kar sirf ek Hukm hai aur vo hai "Haiiya-alas-salaaH" ya'nii namaaz kii taraf ru'joo karo.

              baaqii baateN aapkii paRhe likhe aur ilm wale log nahiIn kaheNge. yeh to saRak-chhaap baateN haiN...amal islaam kaa sutoon hai...nek amal aur phir niyat Khaalisatan Allah ke liye honii chaahiye...namood o numaaish yaa riyaakaarii yaa tasann'o ke liye nahiiN. Allah ham sab ko hidaayat de...aameen :)
              Sher Ali Cheeta laga he :thmbup:

              Aanchal waise tumharay threads most interesting hotay hein puray PG mein. I always enjoy your threads
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: dil ki neeyat..?

                meray khayal mein amal aur niyat dono mein correlation hona zaroori hai..... meray kuch friends bhi sirf niyat per eimaan rakhte hain lakin zahri amal kuch different rakhte hain.... mera zaati khayal hai k vo log achay hotay hain jin kay amaal aur niyatein achi hoon aur zahri dekhnay ko bhi milay...... jab mein six month pehlay singapur mein tha eik larki jis ka taluk lahore se tha vo kaafi mod thein aur hum eik he class mein parhtay thay tu meinay kaha aap ko parda karna chahiye yaa pakistani girls jo dress pehnti hain vo pehan liya karo tu vo mujhe do baatein kahin eik uss nay kahi k pardah aurat ki sirf aankh mein hona chahiye aur dosra vo kahti hain jab mein iss singapur mein hazrat umer farook (razay allah tala annah) jese log dekhon gi tu parda karoon gi..... uss ki niyat kia thi walla alam.
                Last edited by rehman; 30 October 2008, 17:55.
                :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                Comment

                • #9
                  Re: dil ki neeyat..?

                  Originally posted by munda_sialkoty View Post
                  Sher Ali Cheeta laga he :thmbup:
                  thankoo yar par baRii bhook lagii hai...kisko khaauuN? ;) 372-haha

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment

                  • #10
                    Re: dil ki neeyat..?

                    mujhay jo bolna tha wo sub uper bol chuke...is lie abb me nahi bol raha 372-haha

                    Comment

                    • #11
                      Re: dil ki neeyat..?

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      jab main oper pounch jaoun gee tab

                      chaloo shabash apna tabsra karoo is pay jo hamray sar kay oper say na guzray
                      ALLAh oper walon ki khair karay gar tum oper pohnch gaien to oper waly bechary kahan jaien gay :khi: . . . .

                      baqi hamary tabsray k jumla haqooq mehfooz hain . . ma badolat jab munasab samjheen gay tabsra farmaien gay ab har ayray gairay natho kahiray k thred per hum tabsra to nahene na farma sakty
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment

                      • #12
                        Re: dil ki neeyat..?

                        Originally posted by SherAli View Post
                        thankoo yar par baRii bhook lagii hai...kisko khaauuN? ;) 372-haha
                        khasmaan noon khaa 372-haha
                        :thmbup:

                        Comment

                        • #13
                          Re: dil ki neeyat..?

                          wasalam

                          maze ka sawal hai.. or jawab bhi mil hi gaya hoga aap ko sub se.. :embarasse

                          Comment

                          • #14
                            Re: dil ki neeyat..?

                            Originally posted by ummid View Post
                            wasalam

                            maze ka sawal hai.. or jawab bhi mil hi gaya hoga aap ko sub se.. :embarasse
                            Isay jub sabi loog jawab de detay hein, tub yeh khush ho jati he :khi:
                            :thmbup:

                            Comment

                            • #15
                              Re: dil ki neeyat..?

                              Originally posted by munda_sialkoty View Post
                              Isay jub sabi loog jawab de detay hein, tub yeh khush ho jati he :khi:
                              or ab aap bhi khush hogaye honge... :D

                              Comment

                              Working...
                              X