Asalam-o-alikum meray azeez doston,
Yahaan par kuch batein karna chahoonga jin ko hum dekhtay aur kuch nahi kartay, Pakistan mein har koi kehta phir raha hay Pakistan aesa hay wesa hay, aur rehi sahi qasar media nay nikaal di hay, jab hum khud Pakistan ko bura bhala kaheingay too bahar walay kesay humain acha samjhaingay, mujhay yeh dekh par bohat dukh hota hay keh parhay likhay loog bhi aksar unparh waloon harkat kartay hain. Hum jab bhi koi cheez road par khatay hain too kyon iss ka wrapper road par hi phek detay hain, kyon hum apnay garden say too kora utha letay hain lekin ussay dosray kay garden mein pekh detay hain, kyon hum traffic rules ko follow nahi kartay, jis ka jahaan marzi ho wahaan gari chalata hay hay, kyon hum hamesha Pakistan kay baray mein bura hi sochtay hain, kyon hum koi bhi bura baat ko itni value detay hain aur achi baat ko bhool jatay hain, Pakistan jesa bhi hay humara apna mulk hay, iss mein hum aazad hain, humhain aazad mulk mila hay iss liay humain iss ki qadar nahi. Yehi Pakistani jab kisi bahar kay mulk jata hay too kesi rules follow karta hay, kyon woh yehi rules yahaan follow nahi kar sakta. Yeh mulk hamara hay aur humain hi iss ko badalna hay, meri aap sab say yeh guzarish hay keh aap sirf apna kaam pori imandari say karain, aur dosron par tanqeed karna choor dein too inshALLAH Pakistan bhi tareqi pazeer mulk kehliayga.

Comment