Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

What really Does the EID mean

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • What really Does the EID mean

    ASLAM O ALEKUM
    Most of us waste our Eid days saying "Yar Eid pey itna bore hoa karne ko kuch nahi tha so so kar sara din guzara"
    what do you think?

    let me ask you




    Ap k Khayal main Eid ka matlab kiya hai?
    Itna sure hai k yeh din itna fazool nahi k so kar guzar diya jaye
    but aisa kiya hai jo is din main karna chahiye aur hum nahi karte.....

    I Have Green Blood In My Veins Because I Am a Pakistani



  • #2
    Re: What really Does the EID mean

    ham log jo pardes meN rahte haiN bil-Khusoos maGhribi mumaalik men to yahaN eid agar weekend par hui to Theek rahtaa hai varna to eid bas ek zimmedaarii kii taraH poorii kii jatii haiN. namaaz e eid paRh kar log apni apni jobs par aur bachche apne school/college chale jaate ahin phir weekends kaa intizaar hotaa hai eid milan part ke liye jo bas ek get-together hii hotaa hai bas kiuN k eid kaa josh o Kharosh to hotaa hii nahiiN.

    pahle hamaarii eid huaa kartii thii...subHaan Allah. haftoN pahle se taiyaariyaaN shu'u ho jaatii thiiN. chaand raat ko kia josh o Kharosh aur kia valvale hote the. raat guzaarnii mushkil huaa kartii thii. eid ke to bas vohii maze the. ab to bas ek responsibilty kii taraH adaa kar lete haiN :(

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

    Comment


    • #3
      Re: What really Does the EID mean

      boys ki eid aasay hi guzar jati hay .per hum tu eid kay din bohat enjoy kartin hain,
      gher main mazay mazay kay khanay pakati hai.Doston kay gher jati hai ya pher dost humray gher aateen hain.
      EID naaam hai ik dosay ki deed ka...............baqi pher kabi.....

      Comment


      • #4
        Re: What really Does the EID mean

        Originally posted by Barish aur Gulab View Post

        EID naaam hai ik dosay ki deed ka
        :thmbup:

        Meray Eid days bilkul bhi bore nahi guzartay, bulke kafi kuch hota he mere kerne ke liye. Dooston Rishtaydaron ka aana jana laga rehta. Yaaneyoon Maaneyoon mein eid baant'ta hoon. Is eid pe mere mamu invited hein, aik aur mere door ke uncle hein, un ka abi thori der pehlay phone aaya ke wo bhi eid ke 2nd day se mere ghar hoon gay. So khoob Cards ki gamein bhi hoon gi raat ko :bwink:
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: What really Does the EID mean

          Sher Ali, tu Apnay ghar ja ke eid kia kar. Aur tere ghar ka lawn kafi khoobsurat he
          :thmbup:

          Comment


          • #6
            Re: What really Does the EID mean

            eid tu eid hoti hai... Allah ka tuhfa rozdaaro'n ko... ab hum matlab nikalne baithein tu hume her din ka koi na koi matlab mil hi jaynega.. or Islam ka asool hai ke zaroorat mando ki madad karo... so humare liye her din ka maqsad bhi yahi hota hai... or chahe koi tehwaar ho us ka bhi... right??

            or rahi me ki eid bhi maze mein guzar jaati hai... per ager eid 30 rozo ke baad aaye or govt. holiday ho tu.. ager 29th rozo ke baad aaye or me ki koi presntation ho ya koi imp kaam tu me subha hi nikal jaati ho.. phir eid ka dosra roz maze mein guzarta hai.. ek baar tu eid ke din paka iradah kar liya ke aaj nahi jana college.. ke college se call aa gai ke aap ka viva hai.. list mein second name hi hai.. waise hi jana para.. phir shaam hogai aate aate.. per khair.. or is baar bhi 3 oct ko me ki HOD ke samne presnation hai...

            Comment


            • #7
              Re: What really Does the EID mean

              Originally posted by Champion_Pakistani View Post
              ASLAM O ALEKUM
              Most of us waste our Eid days saying "Yar Eid pey itna bore hoa karne ko kuch nahi tha so so kar sara din guzara"
              what do you think?

              let me ask you



              Ap k Khayal main Eid ka matlab kiya hai?
              Itna sure hai k yeh din itna fazool nahi k so kar guzar diya jaye
              but aisa kiya hai jo is din main karna chahiye aur hum nahi karte.....
              waalikum asslam
              aj tak ki eedon pe nazar daalun tou mili juli gizri han....
              boriat tab hoti hai jab aap k pass faragat ho,so me hatul imkaan bzy rehnay ki koshish krti hun....kush arsa pehlay tak ek khyaal zehan me jarr pkr gaya thaa k eid is very boring.bt phir life me kuch esa hua k me ne iss khyaal se jaan churraa li.:)...........now its f9 with me.
              mere nazdeek ye muslims k liye ALLAH ki janib se reward hai...after ramzan...ek hadees b hai iss hwalay se jo muje sahee trah yaad nahi...like uss ka mafhoom yeh hai k ramzan me bhook pyaas k baad ALLAH apnay bando ko ajr se nwazta hai.....reward deta hai......so agr aap ne ramzan khalis ALLAH k liye guzara.....tou i thnik..aap ki eid bore nae ho saklti......

              krna kya chahiye.......wohi jo ALLAH ko pasand hai......:)
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • #8
                Re: What really Does the EID mean

                Originally posted by ummid View Post
                eid tu eid hoti hai... Allah ka tuhfa rozdaaro'n ko... ab hum matlab nikalne baithein tu hume her din ka koi na koi matlab mil hi jaynega.. or Islam ka asool hai ke zaroorat mando ki madad karo... so humare liye her din ka maqsad bhi yahi hota hai... or chahe koi tehwaar ho us ka bhi... right??

                or rahi me ki eid bhi maze mein guzar jaati hai... per ager eid 30 rozo ke baad aaye or govt. holiday ho tu.. ager 29th rozo ke baad aaye or me ki koi presntation ho ya koi imp kaam tu me subha hi nikal jaati ho.. phir eid ka dosra roz maze mein guzarta hai.. ek baar tu eid ke din paka iradah kar liya ke aaj nahi jana college.. ke college se call aa gai ke aap ka viva hai.. list mein second name hi hai.. waise hi jana para.. phir shaam hogai aate aate.. per khair.. or is baar bhi 3 oct ko me ki HOD ke samne presnation hai...

                Aap ka pyara India musalmanon ke tehwaaron ka ehtraam nahi kerta he kia. Us din to generally chuti honi chahiye sub ko, ager sub ko nahi to Muslmanon ke is tehwaar ke ekhteraam mein koi convenient schedule pesh kerna chahiye :donno:
                :thmbup:

                Comment


                • #9
                  Re: What really Does the EID mean

                  Originally posted by saraah View Post
                  waalikum asslam
                  aj tak ki eedon pe nazar daalun tou mili juli gizri han....
                  boriat tab hoti hai jab aap k pass faragat ho,so me hatul imkaan bzy rehnay ki koshish krti hun....kush arsa pehlay tak ek khyaal zehan me jarr pkr gaya thaa k eid is very boring.bt phir life me kuch esa hua k me ne iss khyaal se jaan churraa li.:)...........now its f9 with me.
                  mere nazdeek ye muslims k liye ALLAH ki janib se reward hai...after ramzan...ek hadees b hai iss hwalay se jo muje sahee trah yaad nahi...like uss ka mafhoom yeh hai k ramzan me bhook pyaas k baad ALLAH apnay bando ko ajr se nwazta hai.....reward deta hai......so agr aap ne ramzan khalis ALLAH k liye guzara.....tou i thnik..aap ki eid bore nae ho saklti......

                  krna kya chahiye.......wohi jo ALLAH ko pasand hai......:)
                  Aisa kia hua aap ke life mein :embarasse
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #10
                    Re: What really Does the EID mean

                    Originally posted by munda_sialkoty View Post
                    Aap ka pyara India musalmanon ke tehwaaron ka ehtraam nahi kerta he kia. Us din to generally chuti honi chahiye sub ko, ager sub ko nahi to Muslmanon ke is tehwaar ke ekhteraam mein koi convenient schedule pesh kerna chahiye :donno:

                    India meN to chhuTTi hoti hai Eid kii aur bhi saare major muslim tewhaaroN kii alHamdolillah :)

                    Fall view from inside my car
                    near my work place :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: What really Does the EID mean

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Aap ka pyara India musalmanon ke tehwaaron ka ehtraam nahi kerta he kia. Us din to generally chuti honi chahiye sub ko, ager sub ko nahi to Muslmanon ke is tehwaar ke ekhteraam mein koi convenient schedule pesh kerna chahiye :donno:
                      well... schedule year ke start mein hi ban jaate hain.. viva list mein humara naam tha tu woh list bauaht pehle hi tay thi.. yahan hindu muslim aisa kuch nahi hota... hindus ke tu bauaht se aise festival hai jin per govt ne sire se holiday cancel hi kar di... so?? akser humare non-muslim freindz bhi apne festival ke roz presnation dene aate hain... big deal...

                      Comment


                      • #12
                        Re: What really Does the EID mean

                        Originally posted by SherAli View Post

                        India meN to chhuTTi hoti hai Eid kii aur bhi saare major muslim tewhaaroN kii alHamdolillah :)


                        tu hum kai kary
                        :hathora :hathora :hathora

                        Comment


                        • #13
                          Re: What really Does the EID mean

                          Originally posted by SherAli View Post

                          India meN to chhuTTi hoti hai Eid kii aur bhi saare major muslim tewhaaroN kii alHamdolillah :)
                          Phir Ummid her eid pe college / uni kia lene jati hein
                          :thmbup:

                          Comment


                          • #14
                            Re: What really Does the EID mean

                            Originally posted by munda_sialkoty View Post
                            Aisa kia hua aap ke life mein :embarasse
                            uffff:pagal:

                            hua yeh thaa k 2005 me ramzan me family me ek crisis aya....ramzan se le k december tak....wo eid bohat aziat naak thi.....me ne sochaa k ae ALLAH ..me ki9tni naashukri hun......muje muaf kr de.....aj k baad nashukri nahi krun gi........kiyon 2005 se pehlay ki eids ....iss eid se no doubt achi thin........so phir me ne touba ki......aur ALLAHMDOLILAH......tab se ab tak.......muje tamaniat hoti hai.eid pe.:)
                            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                            Comment


                            • #15
                              Re: What really Does the EID mean

                              Originally posted by ummid View Post
                              well... schedule year ke start mein hi ban jaate hain.. viva list mein humara naam tha tu woh list bauaht pehle hi tay thi.. yahan hindu muslim aisa kuch nahi hota... hindus ke tu bauaht se aise festival hai jin per govt ne sire se holiday cancel hi kar di... so?? akser humare non-muslim freindz bhi apne festival ke roz presnation dene aate hain... big deal...
                              Sher Ali aur aap dono satisfied ho to mein koon hota hoon argument kerne wala 372-shock
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...
                              X