Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

    zindagii gar ham ne sirf apne liye ji to kia jii...dusroN ke liye jiyeN to vohii asl maqsad-e-Hayaat hai :)

    jeena to hai usii kaa jis ne yeh raaz jaanaa
    hai kaam aadmii kaa auroN ke kaam aanaa

    ab aap Khawaateen o Hazraat is zimn meN apnii do do kauRiiyaan phaiNkeN, plz!

    Fall view from inside my car
    near my work place :)

  • #2
    Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

    Originally posted by SherAli View Post

    Yeh kehna bohat aasan he ke doosron ke liye jeena hamara maksad'e'heyaat he, per mein ne dekha he ke koi bhi doosron ke liye nahi jeeta, sub apnay aur apnon ke liye jeeta he. Mein kooshish karon ga ke Apnon ke saath saath dooron ke liye kuch karon, bus itna he kahon ga
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

      Originally posted by munda_sialkoty View Post

      aapkii baat se ittefaaq to hai par islam hameN yehi sikhaataa hai kiuN k nizaam-e-zakaat kaa mqasad hii yehi hai k unko bhi vo sab kuchh moyassar aa jaaye jo unke paas nahiiN hai...ham jab zakaat adaa karte ahiN yaa Khairaat/sadqa dete ahIn to yehii niyat honii chaahiye. ki Khayaal honda?

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment

      • #4
        Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

        wese yeh hain tu kitaabi baatein..... ab iss mushkal door mein kon dosron kaylie jeeta hai.... mujhe tu yeh lagta hai k hum sub apnay liye jeetay hain...... hum sub mafaad parast hain including myself.......
        :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

        Comment

        • #5
          Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

          Originally posted by SherAli View Post
          zindagii gar ham ne sirf apne liye ji to kia jii...dusroN ke liye jiyeN to vohii asl maqsad-e-Hayaat hai :)

          jeena to hai usii kaa jis ne yeh raaz jaanaa
          hai kaam aadmii kaa auroN ke kaam aanaa

          ab aap Khawaateen o Hazraat is zimn meN apnii do do kauRiiyaan phaiNkeN, plz!
          interesting thought
          baat serf itni hai ke insaan khudi ka putla hai
          aur iss khudi main wo dosron ki ahmiyat bhool jata hai

          but on the other hand
          main ney asey log bhi dekhy hain jo apni zaat ko bhool ke bas dosron ke lein kaam kartey hain

          aur mera khayal ye hai ke hum ko 50 - 50 % dono type ka hona chahye
          Huquq-ul-Ibaad ke saath Huquq-un-Nafs bhi koi cheez hoti hai

          Comment

          • #6
            Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

            Originally posted by SherAli View Post
            zindagii gar ham ne sirf apne liye ji to kia jii...dusroN ke liye jiyeN to vohii asl maqsad-e-Hayaat hai :)

            jeena to hai usii kaa jis ne yeh raaz jaanaa
            hai kaam aadmii kaa auroN ke kaam aanaa

            ab aap Khawaateen o Hazraat is zimn meN apnii do do kauRiiyaan phaiNkeN, plz!

            bhai mere me tou bs itna kahoon gi............zindagi majaaz se haqeeqat tak ka safar hai.....waris shah kehnday ne na...."waris !nae lazzat haqeeqat di........pehlaan chakhh le loon majaziat da"
            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

            Comment

            • #7
              Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

              Originally posted by saraah View Post
              bhai mere me tou bs itna kahoon gi............zindagi majaaz se haqeeqat tak ka safar hai.....waris shah kehnday ne na...."waris !nae lazzat haqeeqat di........pehlaan chakhh le loon majaziat da"

              mere case em,N to ulaT bhi saHeeH nahiiN paR rahii...ishq e Haqeeqii ke bad bhi ishq e majaazii naseeb na hua :)

              Fall view from inside my car
              near my work place :)

              Comment

              • #8
                Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

                Originally posted by SherAli View Post
                mere case em,N to ulaT bhi saHeeH nahiiN paR rahii...ishq e Haqeeqii ke bad bhi ishq e majaazii naseeb na hua :)
                stupid sher ali.....haqeeqat k baad majaaz ki kya wuqqat:hathora
                شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                Comment

                • #9
                  Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

                  Originally posted by saraah View Post
                  stupid sher ali.....haqeeqat k baad majaaz ki kya wuqqat:hathora

                  is dunyaa men ghar baar banaa kar hii to testing hai...varna raHbaaniyat jaaiz hoti ... saadhuvaana life ishTyle accepted hotaa hahaha

                  Fall view from inside my car
                  near my work place :)

                  Comment

                  • #10
                    Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

                    Originally posted by SherAli View Post
                    is dunyaa men ghar baar banaa kar hii to testing hai...varna raHbaaniyat jaaiz hoti ... saadhuvaana life ishTyle accepted hotaa hahaha

                    iss ko urf e aam me majaaz se haqeeqat hi kahtay han........jo k pehlay hi me arz kr chuki hun.......smjhay.
                    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                    Comment

                    • #11
                      Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

                      Originally posted by munda_sialkoty View Post
                      Yeh kehna bohat aasan he ke doosron ke liye jeena hamara maksad'e'heyaat he, per mein ne dekha he ke koi bhi doosron ke liye nahi jeeta, sub apnay aur apnon ke liye jeeta he. Mein kooshish karon ga ke Apnon ke saath saath dooron ke liye kuch karon, bus itna he kahon ga
                      dusroon ma mara naam sab sa pahla hona chaheya:khi:
                      sigpic

                      Comment

                      • #12
                        Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

                        Originally posted by saraah View Post
                        iss ko urf e aam me majaaz se haqeeqat hi kahtay han........jo k pehlay hi me arz kr chuki hun.......smjhay.

                        tum nahiiN samjhogi is baareek baat ko...chhoDDo ji jaan do rahen de...tum alRki ho...kaise samjhogi hahaha :kr::kr::kr:
                        kiuN MunDiya maiN soch bol riya na?

                        Fall view from inside my car
                        near my work place :)

                        Comment

                        • #13
                          Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

                          Jee haan doossron k liey jeena chahiey...laikin aaj kal waqt kahan hai kisi k pass ... kuch log aisay hain jin ko me ne dekha hai k apne aap ko bhool ker doosron k liey jeetay hooon laikin aisay insan bhot kam hai .... Me apne tor per her mumkin koshish kerta hoon k jahan tak ho sake kisi k kaam aa sakooon ( Jaiz Kamon main ) ....

                          Allah ham sab ko doosron k baray main sochne ki tofeeq de ... Amin
                          sigpic

                          Comment

                          • #14
                            Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

                            Originally posted by SherAli View Post
                            zindagii gar ham ne sirf apne liye ji to kia jii...dusroN ke liye jiyeN to vohii asl maqsad-e-Hayaat hai :)

                            jeena to hai usii kaa jis ne yeh raaz jaanaa
                            hai kaam aadmii kaa auroN ke kaam aanaa

                            ab aap Khawaateen o Hazraat is zimn meN apnii do do kauRiiyaan phaiNkeN, plz!
                            yaha aik insaan ka apnay liye jeena bohut mushkil hai tou koi kisi doosray k liye kaise jiye ..

                            Comment

                            • #15
                              Re: asl maqsad-e-Hayaat kia hai?

                              what dosro'n ke liye jeena..??.

                              when there is no tea in your cup what will you serve to others... yeh dosron ke liye jeena and all.. its not possible... aap dosro ki madad kar sakte hain.. per Allah ne aap ko zameen per apni zindagi jeene ke liye bhaija hai... na ke aap dosro ki zindagi jeeye.. or koi kisi ke amal ka boojh nahi utha sakta... so aisa kuch nahi hota... aap dosro ki madad kar sakte hain.. unhe rasta dikha sakte hain.. per us waqt jub aap ko khud rasta malooom ho.. jub aap ko khud raste ka nahi pata aap dosro ko kya raah batayenge.. aap kisi ko support kar sakte hain per us waqt jub khud aap ka paya (basic) mazboot ho.. rait mein garah khamba kisi ko sahara nahi de pata... "dosron ke liye jeena" koi sahi term nahi hai... "zaroorat mando'n ki madad" karna yeh sahi hota hai...

                              hosakta hai me ka concept abhi kaccha ho.. ya later me ki thinking develop ho.. but for now me aise hi sochti ho'n... :embarasse.. but I always ready to learn something right...

                              Comment

                              Working...
                              X