Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Student life

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Student life

    Assalam o alaikkum...

    IS thread me app logo ko yeh Tell-na he k app student life me kaise thay....aur jo abhi bhi he...wo kaise he....

    aur is jawab se perhez kurna he k ""mein to abhi bhi seekh raha ho" ya "insaan her age mein seekhte he"

    sub ko samjh ajani chahie k yeh thread mere wasi tur mufad me he ta-k me ko hosla ho k mien akele nikamma nahi houn...

    app ne apni std life kaise guzari...sara sal sirf perha ya kuch aur gul bhi khilae...aur exam k dino ki kia feelings hoti thi...tension hoti thi ya nahi...
    notes khud likhte thay ya ...photostate...bole to alif se yeh tuk sub rakam kur dena he....

    aadab urz he....:salam:


  • #2
    Re: Student life

    Yaar yaqeen karo bahut acha tha jab student tha kia zindagee the ....

    kia din tye .............

    jab jee main aaya chutte kar lee ab to chutte karo to Manager sahab kahatey Faaz jee!!!!!!!! Kal kahan the .... halankeh 2nd Manager sey chutte mang lait hun................................. per shukar hai khuda ka k us Zaat nain ache job de izzat dee ........... kia kuch neheen dia...


    Faaz....:rose

    Comment


    • #3
      Re: Student life

      abhi likhunga zara dam to le lun :)

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment


      • #4
        Re: Student life

        Originally posted by Faaz View Post
        Yaar yaqeen karo bahut acha tha jab student tha kia zindagee the ....

        kia din tye .............

        jab jee main aaya chutte kar lee ab to chutte karo to Manager sahab kahatey Faaz jee!!!!!!!! Kal kahan the .... halankeh 2nd Manager sey chutte mang lait hun................................. per shukar hai khuda ka k us Zaat nain ache job de izzat dee ........... kia kuch neheen dia...
        me ko bhi to tell-llo kia kia gul khilae hien..:mm::mm:

        Comment


        • #5
          Re: Student life

          Originally posted by SherAli View Post
          abhi likhunga zara dam to le lun :)
          yahan windows shoping nahi kurni....di-ruct kharedna he....:donno:

          Comment


          • #6
            Re: Student life

            walaikum assalam:salam:
            main tou bilkul unparh hoonn..:kr:

            Comment


            • #7
              Re: Student life

              Originally posted by *ASK* View Post
              walaikum assalam:salam:
              main tou bilkul unparh hoonn..:kr:
              mujhay pata he ap kitne un parh ho...MBA to jaise mein kurrha ho na...

              chalo shabash achay bacho ki tarah sub khul k dasso .....:tasali::tasali:

              Comment


              • #8
                Re: Student life

                Originally posted by MSA View Post
                yahan windows shoping nahi kurni....di-ruct kharedna he....:donno:
                to koi baat nai ji...ham DOOR to DOOR shopping kar leNge :)

                Fall view from inside my car
                near my work place :)

                Comment


                • #9
                  Re: Student life

                  Wa Alaikum Assalam ,


                  notes to humesha khud hee banaey , jab lecture diya jata tha to us k baad teacher jab class off kar k jatay thay to jo bhi important points zehna mein hotay unhein note ker letay thay ...

                  aur phir complete notes bana letay thay ...aur notes banatay banatay hee saree tyaree ho jatee thi exams ki.....:khi:kabhi books khol k rattay nahin maray thay ...kiun k rattay maray bhi nahin jatay 372-scare

                  frnds waghera maang letay thay notes per maloom aglay din hota tha jab wo notes saree class mein ghoom rahay hotay thay :embarasse372-shock


                  Baaqi baad mein ...................:lpop:
                  Last edited by Eshaa Chaudhry; 19 September 2008, 15:35.
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Student life

                    Originally posted by MSA View Post
                    Assalam o alaikkum...

                    IS thread me app logo ko yeh Tell-na he k app student life me kaise thay....aur jo abhi bhi he...wo kaise he....

                    aur is jawab se perhez kurna he k ""mein to abhi bhi seekh raha ho" ya "insaan her age mein seekhte he"

                    sub ko samjh ajani chahie k yeh thread mere wasi tur mufad me he ta-k me ko hosla ho k mien akele nikamma nahi houn...

                    app ne apni std life kaise guzari...sara sal sirf perha ya kuch aur gul bhi khilae...aur exam k dino ki kia feelings hoti thi...tension hoti thi ya nahi...
                    notes khud likhte thay ya ...photostate...bole to alif se yeh tuk sub rakam kur dena he....

                    aadab urz he....:salam:
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #11
                      Re: Student life

                      Walikumsalam
                      Int3r3sting qu3stion..

                      @Grad3 7 tak to bht nikami thi :lol m3ans studi3s ki taraf d3han h3 nai tha...frds k3 sath mil k3 sara din sharati3n...aur school s3 off karn3 ko dil h3 nai karta tha...sara din n3xt day ki sharraton ki planning m3i guzarta tha :P infact hum frds phon3 p3 d3cid3 kart3 th3y k3 kal kon kon si sharrat karni hai :lol
                      kabhi gat3 k33p3r ki cycl3 m3i s3 hawa nikal d3t3 th3y:embarasse aur kabhi t3ach3rs ka lunch chupa d3t3 th3y:embarasseaur jab off tim3 hota tha to ghar jan3 s3 ph3l3 school k3 sath jo ghar th3y unki b3ll d3 kar bhag jat3 th3y:D
                      bhttttttt sharrati3n ki hain bht ziadaha....I r3ally 3njoy3d my school lif3...aur sab ki sab yaaad bun kar h3 r3h gayi3n:)

                      Aur jab class 8 m3i ayi to moth3r n3 kafi stricn3ss ki...aur shay3d m3i khud bi apn3 apko kuch chang3 karna chahti thi coz jo aim tha wo shararton s3 to mil nai sakta tha....thts y i start studying hard...
                      and till now I always got 80 to 85% marks....ab studi3s m3i kafi achi hun kyunk3 parhna h3 itna partha hai:pagal:
                      Last edited by *khushi*; 19 September 2008, 16:11.

                      Comment


                      • #12
                        Re: Student life

                        Originally posted by MSA View Post
                        mujhay pata he ap kitne un parh ho...MBA to jaise mein kurrha ho na...

                        chalo shabash achay bacho ki tarah sub khul k dasso .....:tasali::tasali:
                        chalain bata he deta hoon...
                        asal main studies ke moa"mlay main main thoda sa kanjoos tha aor ab bhi hoon....study mujhse bilkul nahi hoti....sirf exam ke dino main thodi bohat kar leta hoon.....aor rahi bat doston ki tou dost itne ziyada nahi hain jitne ziyada kam hote hain.....
                        now tu dasso mazid kiya poochna hai...thake wo bhi dassoon.:embarasse

                        Comment


                        • #13
                          Re: Student life

                          ji zaroor batain ge............intizar farmaaiye.
                          شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                          Comment


                          • #14
                            Re: Student life

                            haN ji to men vapas aa gaya apni kahani le kar. meri kahani bahot hi unique he ku k i'm sure k aisi kahani kisi ne na dekhi hogi aor na suni.

                            men gaaon men pala badha. mere father ek college ke degree college ke Pricipal the magar vo jante the k gaon ke schools men padhai kam aur buri baaten ziyada seekhte hen bachhe is liye unhon ne ghar par hii mujhe parhaya aur vo bhi aisi padhai k kabhi hafte men ek din hui to kabhi 2 din bas aur vo bhi 1-2 ghante hi bas. men tafreeh ziyada karta gaon men. men aur bachon ko school jaate dekhta to mujhe bada afsos hota.badi hasrat bhari nazron se school ko dekhta aur vahan jaate huye bachhon ko dekhta. men ne apne abba se ek roz pucha k abba men kab school jaunga to vo bole k jab tumhare bade bhai kahin job par city men jayenge tab jana vahan ke achhe school men. men ne socha na jane kab vo din ayega. :(

                            mere bhai bahot zabardast student the. unhon ne Masters men First position hasil ki aur gold medal bhi mile to is liye Allah ke fazl se unko pass karte hii Aligarh Muslim university men mathematics men Lecturership mil gai. bas phir kia tha men fauran unke sath gaya aur university ka hi ek High School tha jis men mujhe admission mil gaya. admission ke liye test hau English, Math aur Science ka. men kaamiyaab hua aur admission mil gaya. men pahli baar school grade 1o men gaya. mujhe pata bhi nai tha k kaise behave karte hen school men magar chun k university ka school tha is liye padhai achhi thi. Minto Circle naam tha us School ka jiska nam bad men Saif Uddin Tahir High School ho gaya kiuN k Bohri firqa ke peshva saif Uddin Tahir ne School ko laakhon diye to nam badal diya gaya magar aaj bhi Minti Circle [Sadat Hasan Minto ke nam par] hii kahlata hai. Khair to maiN ne vahan se ek sal ke bad High Scool aizazi numbaron ke saath pass kiya. men ne bahoooot mehnat kii thi. mere 79% marks the jab k First Division 60% par milti hai aur 75% Distinction [A+] hotaa tha. saare subjects men distinction ayi sab se ziyada number mere Farsi men aaye the uske English, math aur Science aur ophir deeniyat emN.

                            AligaRh Muslim University men admission High School [grade 10] ke bad hii mil jata hai yani maiN jab 14 sal ka tha to University Student ban gaya haha. ek saal k bas phir aizaazi nambaron ke saath pass kiyaa Pre University Class. uske bad mujeh Pre Medical meN admission mila at age 15 aur usi saal ke end emn maiN Medical College emn aa gayaa MBBS course men. socha ab kia hai maze haiN. 5 sal men Dr ban jauNga. sabhi bahot Khush the.

                            phir hua yuN k mere Bhai USA chale gaye PhD karne ke liye aur is taraH maiN akela ho gaya aur yahin se meri barbadi ka waqt shuru hua. maiN ne padhai se ziyada har us kaam men interest lena shuru kar diay jo na to sahi the aur na hi unki koi zarurat. bas tafreeh hii tafreeh karne laga. din men 2-2 pictures dekhne laga, doston ke saath rata raat bhar ghayab rahne laga. Girls College ke chakkar kaaTne shuru kar diye. aakHir meN nateeja yeh hua k meri attendance short, mere sessional marks low, meri buri halat aur nateeja yeh hua k mujhe Medicine se nikaal diyaa gayaa ya yuN kahen Withdraw kar liyaa. ab mera future bahot bleak nazar aane laga. sharmindagi men dub gaya. ghar men sabhi naaraz. bhai ne mujhe bahot Daantaa. men ne socha ab itni khowari ke bad kuchhto karna hi he. so men ne dil bardashta BSc Botany major se kar Dali. uske bad naukri ka koi Hisaab nahiiN laga. ek jagah mujhe naukri milne ke bad nahiiN mili ku k mere saath discrimionation hua. Hindu karta to samajh men baat aatii k bhai maiN muslim huN aur India men muslims ke saath aisa hona koi badi baat nai magar mere sath to muslim ne kiyaa :( mujhe is vaste naukri nai mili k maiN sunni tha jab k jahan mujhe taqreeban mil chuki thi job vo shiyon kii company thi. jis ne meri sifarish ki thi vo mere brother in law the jo Shia the to vo samjhe k maiN bhi shia hunga magar jab pata chala to mujeh nikaal baahar kiyaa :( mere bahnoi ne kaha miyaan dil na chhota karo sabhi aise nahin hote yeh koi ajeeb o Ghareeb hii shia hai lolz. mere yahaN to shia sunni ka koi bhed nahiin...hamare yahan to shia sunni men bahot shaadiyan hoti hen magar koi kia kare agar koi aisa soche to

                            is beech mere bhai ko Canada kii ek university meN Professorship mil gai to mujhe unhoN ne Canada bula liya aur apne DanDe ke saaye emn mujhe paRhvaayaa. maiN ne yahaN aan kar MSc kii 2 saal meN phir PhD jkii 3 saal meN is tarah 5 saal men maiN finally DR ban gaya magar ghas phoos ka hii lolz. kuchhaansoo poNch gaye, i proved to be a good student and my thesis won an award so mujhe usi University emN Researcher ke taur par Horticulturist kii job mil gayi. teaching position to nahiiN hai par i have research work to do for Agriculture Canada. to yeh thi meri checkered academic life.

                            bhai to kahne ka matlab yeh hai k...insan ko bahot naakaamiyaaN aur maayuusiyaaN milti ahin magar un se himmat nahiiN haarnii chaahiye bal k apna azm baland aur hausala aahani rakhna chaahiye aur Allah se madad maangte huye kamiyabi ki taraf ghaamzan hona chahiye. bahot aise lamhe aaye jab mujhe laga k thats the end of the road phir mere bhai aur abba ne encourage kiya aur bataya k there is always ligt at the end of tunnel, there is always a pot of gold at the base of the rainbow, there is always a bright dawning after the darkest of the nights. alhamdolillah aisa hi hua. thank to Allah MiyaN

                            so, have a resolve, set a goal and opersue it with determination and move ahead in life with full steam

                            Allah abRaa kaarsaaz hai :) aameen :)

                            Fall view from inside my car
                            near my work place :)

                            Comment


                            • #15
                              Re: Student life

                              Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                              Wa Alaikum Assalam ,
                              notes to humesha khud hee banaey , jab lecture diya jata tha to us k baad teacher jab class off kar k jatay thay to jo bhi important points zehna mein hotay unhein note ker letay thay ...
                              aur phir complete notes bana letay thay ...aur notes banatay banatay hee saree tyaree ho jatee thi exams ki.....:khi:kabhi books khol k rattay nahin maray thay ...kiun k rattay maray bhi nahin jatay 372-scare
                              frnds waghera maang letay thay notes per maloom aglay din hota tha jab wo notes saree class mein ghoom rahay hotay thay :embarasse372-shock
                              Baaqi baad mein ...................:lpop:
                              gud..mashaAllah..
                              mujhay to yad hi nahi rehta he k teacher ne abhi 10 min pehle kia bola372-haha..to bad me note kurne ka sawal hi paida nahi hota...aur phir 50 min k period jhelne k bad 1hr notes mein lagana...imposible:D:

                              aur jis tarah app k notes pori clas me phel jate thay...same issi tarah mere nahi ..bulke clas k aik student k phlee huwe hein to 3 saal se ussi k notes pori clas leti he372-haha

                              well....anxiously waiting for more....:salam:

                              Comment

                              Working...
                              X